Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 249 250 251 252 [253] 254 255 256 257 ... 273
Print
Author  (Read 132831 times)
angel4u
Guest
«Reply #3780 on: May 16, 2009, 05:16:32 PM »

Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Kitna Haseen Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Duniya-E-Dil Tabah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Sarf-E-Nigaah-O-Aah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Fard-E-Amal Siyaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Rehmat Ko Bepanaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Aisi Bhi Ek Nigaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Zarron Ko Mahar-O-Maah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Mujhse Lage Hai IshQ Ki Azamat Ko Chaar Chaand,
Khud Husn Ko Gawah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Masoomi-E-Jamaal Ko Bhi Jis Pe RashQ Ho,
Aise Bhi Kuch Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Aage Qadam Badhayein Jinhe Sujhta Nahi,
Roshan Chirag-E-Raah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

TanaQeed-E-Husn Maslahat-E-Khaas-E-IshQ Hai,
Ye Jurm Gaah-Gaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Gulshan Parast Hoon Mujhe Gul Hi Nahi Azeez,
Kaanton Se Hi Nibaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Yun Zindagi Guzar Raha Hoon Tere Bagair,
Jaise Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Mujhse Ada Hua Hai 'Jigar' Justajoo Ka HaQ,
Har Zarre Ko Gawaah Kiye Jaa Raha Hoon Main...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3781 on: May 16, 2009, 05:16:57 PM »

Behte Dariya Mein Utar Jaana Tha,
Khaak Tha Aur Bikhar Jaana Tha,

Usse Bichhde To Zamana Beeta,
Ab Talak Zakham To Bhar Jaana Tha,

Maan Leti Hoon Tujhe Hi Manzil,
Ab Kahan Yaad Kidhar Jaana Tha,

Hausle Humne Bacha Kar Rakhe,
Jab Hamein Hadd Se Guzar Jaana Tha,

Jaan! Is Hijr Pe Rona Kaisa,
Ek Din Yun Bhi To Mar Jaana Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3782 on: May 16, 2009, 05:17:23 PM »

Hum Jo Toote To Is Tarah Toote,
Jaise Honthon Se Girke Patthar Par,
Koi Shaffaaf Aayina Toote,
Jaise Palkon Se Tootta Aansu,
Jaise Seene Mein Ek Kamaan Toote,
Jaise Ummid Ki Nazuk Daali,
Barg Mausam Mein Na Gahaan Toote,
Jaise Aankhon Mein Khwaab Ki Dori,
WaQt-E-TaQmeel Se Ulajh Jaye,
Jaise Pairon Tale Zameen Nikle,
Jaise Sar Par Ye Aasman Toote,
Jaise Ek Shaakh Pe Bharosa Kiya,
Is Pe Jitne The Aashiyaan Toote,
Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye,
Jaise Ta-Der Mein Dhyaan Toote,
Ab Jo Reza Hue To Sochte Hai,
Kisne Dekha Tha Tootna Apna,
Hum Jo Toote To Raayegaan Toote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3783 on: May 16, 2009, 05:17:47 PM »

Mehfilein Lutt Gayi Hai Jazbaat Ne Dam Tod Diya,
Saaz Khamosh Hai Naghmaat Ne Dam Tod Diya,

Har Musarrat Gam-E-Derooz Ka Unwaan Bani,
WaQt Ki Godd Mein Lamhaat Ne Dam Tod Diya,

Anginat Mehfilein Mehroom-E-Chirghaan Hai Abhi,
Kaun Kehta Ke Zulmaat Ne Dam Tod Diya,

Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Ummidon Ke Chiraag,
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tod Diya,

Jinse Afsana-E-Hasti Mein Tasalsul Tha Kabhi,
Un Mohabbat Ki Riwayat Ne Dam Tod Diya,

Jhilmilate Hue AshQon Ki Ladi Toot Gayi,
Jagmagati Hui Barsaat Ne Dam Tod Diya,

Haay Adaab=E=Mohabbat Ke TaQaze Saghar,
Lab Hile Aur Shikayat Ne Dam Tod Diya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3784 on: May 16, 2009, 05:18:01 PM »
Maine Hamesha Hawaon Ko Apni Rooh Se Chhune Ki Khwahish Ki,
Parindon Aur Geeton Se Pyaar Kiya Hai,
Phoolonko Choom Kar Aankhon Se Lagaya Hai,
Khoobsoorat Nazmon Aur Udaas Kar Denewale Afsano Ke Sang,
Raatein Bitayi Hai,
Aur Sheron Ke Hajoom Mein Raha Hoon,
Lekin Iske Bawajood,
Mere Aur Inke Darmiyaan Hamesha Koi Na Koi Parda Hi Raha Hai,
Aur Jahan Bhi Ye Parda Zara Hata Hai,
Maine Shiddat Se Khudko Tanha Mehsoos Kiya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3785 on: May 16, 2009, 05:18:14 PM »

Apne Maazi Ke Tasavvur Se Hiraasa Hoon Main,
Apne Guzre Hue Ayyaam Se Nafrat Hai Mujhe,
Apni Bekaar Tamannaon Pe Sharminda Hoon Main,
Apni Besud Ummidon Pe Nidaamat Hai Mujhe,

Mere Maazi Ko Andhere Mein Daba Rehne Do,
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Meri Ummidon Ka Haasil Meri Khwahish Ka Sila,
Ek Benaam Aziyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Kitni Bekaar Ummidon Ka Sahara Lekar,
Maine Aiwaan Sajaye The Kisiki Khatir,
Kitni Berabt Tamannaon Ke Maabham Khaake,
Apne Khwabon Mein Basaye The Kisiki Khatir,

Mujhse Ab Meri Mohabbat Ke Fasane Na Puchho,
Mujhko Kehne Do Ke Maine Unhe Chaha Hi Nahi,
Aur Wo Mast Nigahein Jo Mujhe Bhool Gayi,
Maine Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nahi,

Mujhko Kehne Do Ke Main Aaj Bhi Jee Sakta Hoon,
IshQ Nakaam Sahi Zindagi Nakaam Nahi,
Unko Paane Ki Khwahish Unhe Paaneki Talab,
ShauQ Bekaar Sahi Sai-Gam Anjaan Nahi,

Wahi Gesu Wahi Nazar Wahi Aarid Wahi Jism,
Main Jo Chahun Ke Mujhe Aur Bhi Mil Sakte Hai,
Wo Kanval Jinko Kabhi Munake Liye Khilna Tha,
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Sakte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3786 on: May 16, 2009, 05:18:37 PM »

Jab Se Hum Tabaah Hogaye,
Tum Jahanpanah Hogaye,

Husn Par Nikhaar Aa Gaya,
Aayine Siyaah Ho Gaye,

Aandhiyon Ko Kuch Pata Nahi,
Hum Bhi Gard-E-Raah Ho Gaye,

Dushmano Ko Chitthiyan Likho,
Dost Khair-Khwaah Ho Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3787 on: May 16, 2009, 05:18:55 PM »
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Dil Bhi Karta Hai Yaad Chhup Ke Tujhe,
Naam Leti Hai Zubaan Tera,
Ye Bhi Nahi Mujhe Malum,
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera,
Kaun Si Shaakh-E-Gul Pe RaQsaan Hai,
RashQ-E-Firdaus Aashiyan Tera,
Jaane Kin Waadiyon Mein Thehra Hai,
Girat-E-Husn Kaarvaan Tera,
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri,
Kaun Batlayega Nishaan Tera,
Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche,
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere,
Kuchh Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha,
Kuchh Khayalat The Ajeeb Mere,
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi,
Baar-E-Dar Ho Gaye RaQeeb Mere,
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair Qismat Meri Naseeb Mere,

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

Wo Zamana Teri Mohabbat Ka,
Ek Bhooli Hui Kahani Ka,
Tere Kooche Mein Umar Bhar Na Gaye,
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hai,
Lazzat-E-Qarb Ho Ke Zakhm-E-FiraaQ
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hai,
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha,
Kis Mohabbat Se Haar Maani Hai,

Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3788 on: May 16, 2009, 05:19:18 PM »

Kareeb Maut Khadi Hai Zara Theher Jao,
Qaza Se Aankh Ladi Hai Zara Theher Jao,

Thaki Thaki Si Fazayein Bujhe Bujhe Taare,
Badi Udaas Gahdi Hai Zara Theher Jao,

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Seher Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hai Zara Theher Jao,

Abhi Na Jao Ke Taaron Ka Dil Dhadakta Hai,
Tamaam Raat Padi Hai Zara Theher Jao,

Phir Iske Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge,
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Theher Jao,

Dam-E-FiraaQ Mein Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh To Lun,
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3789 on: May 16, 2009, 05:19:33 PM »
In Kaali Sadiyon Ke Sarse Jab Raat Ka Aanchal Dhalkega,
Jab Dukhke Baadal Pighlenge, Jab Sukh Ka Saagar Jhalkega,
Jab Ambar Jhoom Ke Naachega, Jab Dharti Nagme Gaayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Jis Subah Ki Khatir Jag Jag Se Hum Sab Mar Mar Ke Jeete Hai,
Jis Subah Ke Amrit Ki Dhun Mein Hum Zeher Ke Pyaale Peete Hai,
In Bhuki Pyaasi Roohon Par Ek Din To Karam Farmayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Maane Ke Abhi Tere Mere Armaano Ki Keemat Kuch Bhi Nahi,
Mitti Ka Bhi Hai Kuch Mol Magar Insaano Ki Kismat Kuch Bhi Nahi,
Insaano Ki Izzat Jab Jhuthe Sikko Mein Na Toli Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Daulat Ke Liye Jab Aurat Ki Ismat Ko Na Becha Jayega,
Chahat Ko Na Kuchla Jayega, Izzat Ko Na Becha Jayega,
Apne Kaale Kartuton Par Jab Ye Duniya Sharmayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Beetenge Kabhi To Din Aakhir Ye Bhuk Ke Aur Bekarari Ke,
Tootenge Kabhi To Butt Aakhir Daulat Ki Ijarahdari Ke,
Jab Ek Anokhi Duniya Ki Buniyaad Uthayi Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Majboor Budhapa Jab Sooni Raahon Ki Dhool Na Phenkega,
Masoom Ladakpan Jab Gandi Galiyon Mein Bhuk Na Mangega,
HaQ Mangne Walon Ko Jis Din Suli Na Dikhayi Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

FaaQon Ki Chitaon Par Jis Din Insaan Na Jalaye Jayenge,
Seene Ke Dehekte Dozakh Mein Armaan Na Jalaye Jayenge,
Ye Narak Se Bhi Gandi Duniya, Jab Swarg Ban Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3790 on: May 16, 2009, 05:24:11 PM »

Marvellous Sharing Angel.... Applause Applause Applause Applause

Pata nahin kyun aankh bhar aayi ye padh ke ... baar baar padha..har baar dil ke aur andar tak utar gayi !!
Logged
pandit
Guest
«Reply #3791 on: May 16, 2009, 05:26:18 PM »

Kareeb Maut Khadi Hai Zara Theher Jao,
Qaza Se Aankh Ladi Hai Zara Theher Jao,

Thaki Thaki Si Fazayein Bujhe Bujhe Taare,
Badi Udaas Gahdi Hai Zara Theher Jao,

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Seher Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hai Zara Theher Jao,

Abhi Na Jao Ke Taaron Ka Dil Dhadakta Hai,
Tamaam Raat Padi Hai Zara Theher Jao,

Phir Iske Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge,
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Theher Jao,

Dam-E-FiraaQ Mein Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh To Lun,
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...

BAHUT ACCHE ANGEL JEE............
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3792 on: May 16, 2009, 05:27:20 PM »
Bahut shukriya Talat.
I Love this poem like anything...
So shared. Nice that you liked it so much Usual Smile

And

thanks Pandit ji..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3793 on: May 16, 2009, 05:29:54 PM »
In Kaali Sadiyon Ke Sarse Jab Raat Ka Aanchal Dhalkega,
Jab Dukhke Baadal Pighlenge, Jab Sukh Ka Saagar Jhalkega,
Jab Ambar Jhoom Ke Naachega, Jab Dharti Nagme Gaayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Jis Subah Ki Khatir Jag Jag Se Hum Sab Mar Mar Ke Jeete Hai,
Jis Subah Ke Amrit Ki Dhun Mein Hum Zeher Ke Pyaale Peete Hai,
In Bhuki Pyaasi Roohon Par Ek Din To Karam Farmayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Maane Ke Abhi Tere Mere Armaano Ki Keemat Kuch Bhi Nahi,
Mitti Ka Bhi Hai Kuch Mol Magar Insaano Ki Kismat Kuch Bhi Nahi,
Insaano Ki Izzat Jab Jhuthe Sikko Mein Na Toli Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Daulat Ke Liye Jab Aurat Ki Ismat Ko Na Becha Jayega,
Chahat Ko Na Kuchla Jayega, Izzat Ko Na Becha Jayega,
Apne Kaale Kartuton Par Jab Ye Duniya Sharmayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Beetenge Kabhi To Din Aakhir Ye Bhuk Ke Aur Bekarari Ke,
Tootenge Kabhi To Butt Aakhir Daulat Ki Ijarahdari Ke,
Jab Ek Anokhi Duniya Ki Buniyaad Uthayi Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

Majboor Budhapa Jab Sooni Raahon Ki Dhool Na Phenkega,
Masoom Ladakpan Jab Gandi Galiyon Mein Bhuk Na Mangega,
HaQ Mangne Walon Ko Jis Din Suli Na Dikhayi Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi.....

FaaQon Ki Chitaon Par Jis Din Insaan Na Jalaye Jayenge,
Seene Ke Dehekte Dozakh Mein Armaan Na Jalaye Jayenge,
Ye Narak Se Bhi Gandi Duniya, Jab Swarg Ban Jayegi,

Wo Subah Kabhi To Aayegi...

Sach Kaha Talat Ne, Aankhon Bhar Aayi Yeh padhkar!!

Angel,Sach mein bahut bahut hi khoobsurat peshkash share ki hai aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut Khoob!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3794 on: May 16, 2009, 05:31:22 PM »
Bahut bahut shukriya Khwaish ji..

aapko pasand aaya ye hamare liye bahut badi baat hai.. Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 249 250 251 252 [253] 254 255 256 257 ... 273
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 05:48:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer