Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 250 251 252 253 [254] 255 256 257 258 ... 273
Print
Author  (Read 132830 times)
angel4u
Guest
«Reply #3795 on: May 16, 2009, 05:32:56 PM »
Har Baar Mere Saamen Aati Rahi Ho Tum,
Har Baar Tumse Milke Bichhadta Raha Hoon Main,

Tum Kaun Ho Ye Khud Bhi Nahi Jaanti Ho Tum,
Main Kaun Hoon Ye Khud Bhi Nahi Janta Hoon Main,

Tum Mujhko Jaan Kar Hi Padi Ho Azaab Mein,
Aur Is Tarah Khud Apni Saza Ban Gaya Hoon Main,

Tum Jis Zameen Par Ho Main Uska Khuda Nahi,
Paas Sar Basar Aziyat-O-Aazar Hi Raho,

Bezaar Ho Gayi Ho Bahut Zindagi Se Tum,
Jab Bas Mein Kuch Nahi Hai To Bezaar Hi Raho,

Tum Ko Yahan Ke Saaya-O-Partoo Se Kya Garaz,
Tum Apne HaQ Mein Bich Ki Deewar Hi Raho,

Main Ibteda-E-IshQ Se Bemahar Hi Raha,
Tum Inteha-E-IshQ Ka Mayar Hi Raho,

Tum Khoon Thukti Ho Ye Sunkar Khushi Hui,
Is Rang Is Ada Mein Bhi Purkaar Hi Raho,

Maine Ye Kab Kaha Tah Mohabbat Mein Hai Nijaat,
Maine Ye Kab Kaha Tha Wafadar Hi Raho,

Apni Mata-E-Naz Luta Kar Mere Liye,
Bezaar-E-Iltafaat Mein Nadad Hi Raho,

Jab Main Tumhe Nishaat-E-Mohabbat Na De Saka,
Gam Mein Kabhi Sukoon-E-RafaQat Na De Saka,

Jab Mere Saare Chirag-E-Tamanna Hawa Ke Hai,
Jab Mere Khwaab Kisi Bewafa Ke Hai,

Phir Mujhko Chahne Ka Tumhe Koi HaQ Nahi,
Tanha Kar Jaane Ka Tumhe Koi HaQ Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3796 on: May 16, 2009, 05:34:44 PM »
Jisko Dil Ne Apna Maan Liya,
Usko Dil Todne Ki Aadat Thi,

Hamein Dil Jodna Aata Tha,
Usko Tanz Karne Ki Aadat Thi,

Hamein Bardasht Karna Aata Tha,
Use Mazak Udane Ki Aadat Thi,

Hamein Sabar Karna Aata Tha,
Use Dusron Ki Khushiyon Ko
Gam Mein Badalne Ki Aadat Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3797 on: May 16, 2009, 05:35:05 PM »
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsaat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,

Kabhi Toofano Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Qadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,

Kabhi Har Pal Imtehaan Hai,
Kabhi Bin Maange Imaan Hai,
Kabhi Kuch Nahi Kabhi Sab Kuch Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzar Si Kabhi Bezar Si...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3798 on: May 16, 2009, 05:35:24 PM »
Khoobsurat Hai Wo Lafz,
Jo Dusron Ko Samjha De,
Khoobsurat Hai Wo Muskurahat,
Jo Dusronke Chehron Par Bhi Muskan Saja De,
Khoobsurat Hai Wo Jazbaat,
Jo Kisika Ehsaas Karein,
Khoobsurat Hai Wo Baatein,
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhayein,
Khoobsurat Hai Wo Aansu,
Jo Kisi Ke Dard Ko
Mehsoos Karke Beh Jayein,
Khoobsurat Hai Wo Qadam,
Jo Kisi Ki Madad Ke Liye,
Aage Badhein,
Khoobsurat Hai Wo Insaan,
Jisko "KHUDA" Ne Ye
Khoobsurti Bakshi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3799 on: May 16, 2009, 05:38:08 PM »
Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe,
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe,

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon Ek Baar Bata Dijiye Mujhe,

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu,
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe,

Main Kya Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhe Kuch Khabar Nahi,
Hai Aap Kitne Door Sada Dijiye Mujhe,

Ke Maine Apne Zakhm Ki Tash'heer Jaa Baja,
Main Manta Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe,

Qaim To Ho Sake Koi Rishta Gohor Ke Sath,
Gehre Samundaron Mein Baha Dijiye Mujhe,

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasne Se Fayda,
Hai Teergi To Aag Laga Dijiye Mujhe,

Jalte Dino Mein Khud Paas-E-Deewar Baith Kar,
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe,

Yun To Shola-E-Jaan Sard Ho Chuka,
Lekin Sulag Uthun To Hawa Dijiye Mujhe...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3800 on: May 16, 2009, 05:40:09 PM »
Bahut khoob... Last wala mujhe bahut pasand hai dear Thanks for sharing.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3801 on: May 16, 2009, 05:41:09 PM »
Thanks for reading dear..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3802 on: May 17, 2009, 03:52:21 PM »
Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Dil Mein Na Samaye,
Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Aarzu Na Ban Paye,
Par Itna Zaroor Kehna Hai,
Agar Samajh Sako,
Ke Dil Mein Kabhi Kisiko
Itni Jagah Na Do
Ke Dil Ke Liye Dhadakna Hi
Mushkil Ho Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3803 on: May 17, 2009, 03:52:38 PM »
Aye Kaash
Kabhi Yeh Tum Samajh Sako Ke,
In Aankhon Mein Jo Roshni Hai,
Sirf Tumse Hai,
In Saanson Mein Jo Khushbu Hai,
Sirf Tumse Hai,
Is Dil Mein Jo Dhadkan Hai,
Sirf Tumse Hai,
Meri Jo Zindagi Hai,
Sirf Tumse Hai,
Aye Kaash,
Kabhi Ye Tum Samajh Sako...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3804 on: May 17, 2009, 03:53:02 PM »
Hum Dosti Ehsaas Wafa Bhool Gaye Hai,
Zinda To Hai Jeene Ki Ada Bhool Gaye Hai,

Khushbu Jo Lutate Hai Masalte Hai Usiko,
Eksaas Ka Badla Ye Milta Hai Kali Ko,
Ehsaas To Lete Hai Sila Bhool Gaye Hai,

Karte Hai Mohabbat Ka Aur Ehsaas Ka Sauda,
Matlab Ke Liye Karte Hai Imaan Ka Sauda,
Dar Maut Ka Aur Khauf-E-Khuda Bhool Gaye Hai,

Ab Mom Mein Dhalkar Koi Pathar Nahi Hota,
Ab Koi Bhi Qurbaan Kisi Par Nahi Hota,
Kyon Bhatke Hai Manzil Ka Pata Bhool Gaye Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3805 on: May 17, 2009, 03:53:34 PM »
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Kabhi Tu Mujhe Sar-E-Raah Mile,
Main Hazar Lamhon Ko Khich Kar,
Ye Jo Chalta WaQt Hai Baandh Dun,
Ye Jo Gardishein Hai Zameen Ki,
Usi Ek Lamhe Pe Ruki Raahein,
Main Taka Karun Tujhe Jazb Se,
Yunhi Pyar Se Yunhi IshQ Se,
Teri Har Hada Ko Samet Lun,
Main Hisaar-E-Jaan Mein Saja Rakhun,
Na Tu Keh Sake, Na Main Keh Sakun,
Tu Jo Paas Ho To Main Jee Sakun,
Tu Jo Door Ho To Na Jiya Karun,
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Mere Humsafar Dhadkano Ko Khich Kar,
Ye Jo Chalta Dil Hai Baandh Dun,
Ye Jo Silsile Hai Meri Saans Ke,
Teri Doori Mein Hi Haar Dun,
Tu Jo Paas Ho To Main Jee Sakun,
Tu Jo Door Ho Na Jiya Karun,
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Mere Humsafar Tu Jo Na Mile...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3806 on: May 17, 2009, 03:54:26 PM »
Saawan Rutt Mein Khayal Ki Bauchhar,
Teri Sochon Ki Phowaar Mere,
Jism-O-Jaan Ki Pyaasi Dharti,
Har Taraf Phool Khilte Hai,
Jaise Baarish Mein Phir Dhulte Hai,
Jaise Saahil Se Lehre Milti Hai,
Jaise Subah Subah Kaliyan Khilti Hai,
Aise Neem-E-Sehur Mujhe Chhu Kar Guzarti Hai,
Jaise Baad-E-Baarish Ke Dhunk Utarti Hai,
Jaise Taza Gulab Khilte Hai,
Jaise Do Pyaase Saawan Milte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3807 on: May 17, 2009, 03:54:50 PM »
Ab Jab Hui Baarish,
Ye Bhi Ek Khayal Aaya,
Kyon Na Ek Badal Ko,
Raazdan Bana Lun Main,
Jo Bhi Mujhpe Guzri Hai,
Unko Sab Bata Dun Main,
Mujhe Tumse Kitna IshQ Hai,
Usko Sab Bata Dun Main,
Phir Tumhare Dil Pe Wo,
Aaj Hi Baras Jaye,
Tere Udaas Se Chehre Par,
Phir Se Nikhaar Aa Jaye,
Chup Tanha Khamoshi Mein,
Phir Se Bahar Aa Jaye,
Baarish Ki In Boondon Se,
Tera Tan Badan Mehek Jaye,
Shabnam Ke Qatron Se,
Bheeni Si Khushbu Aaye,
Hawa Bhi Aanchal Sarka Ke,
Dhanak Ke Saat Rang Bikhra Ke,
Tujhko Mera Payam De,
Tere Haathon Ki LeQeeron Mein,
Bas Mera Naame Likha Jaye,
Chhu Kar Mera Ehaas Tujhko,
Baat Dilki Kar Jaye,
Sargoshi Tanhayi Mein,
Tumhein Yaad Sirf Meri Aaye,
Badal, Khushboo Aur Rangon Se,
Boondon Se Bhi Keh Dunga,
Tabish Ko Tum Se IshQ Hai,
Tabish Ko Tumse IshQ Hai,
Ab Jab Kabhi Bhi Baarish Ho,
Tumhe Tabish Ka Hi Khayal Aaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3808 on: May 17, 2009, 03:55:56 PM »
Sitam Koi Naya Ijaad Karna,
Tu Mujhko Bhi Meri Jaan Yaad Karna,

Qayamat Hai Dil-E-Nalaan Qayamat,
Tera Reh Reh Ke Ye Fariyaad Karna,

Chalo Ab Lutf Hi Ko Aazmao,
Tumhe Aata Nahi Bedaar Karna,

Mare Ko Marna Hai O Sitamgar!
Shahid-E-Nazar Pe Bedaar Karna,

Aseer-E-Zulf Hai "Mehroom" Unka,
Jinhe Aata Nahi Aazad Karna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3809 on: May 20, 2009, 03:46:19 PM »
Azmat-E-Zindagi Ko Bech Diya,
Humne Apni Khushi Ko Bech Diya,

Chashm-E-SaaQi Ke Ek Ishaare Pe,
Umr Ki Tishnagi Ko Bech Diya,

Rind Jaam-O-Subuu Pe Hanste Hai,
Shaikh Ne Bandagi Ko Bech Diya,

Rehguzaron Pe Lut Gayi Raadha,
Shaam Ne Bansuri Ko Bech Diya,

Jagmagate Hai Wehshaton Ke Dayar,
AQl Ne Aadmi Ko Bech Diya,

Lab-O-Rukhsaar Ke Ivaz Humne,
Sitvat-E-Khusravii Ko Bech Diya,

IshQ Behruupiya Hai Aye 'Sagar'
Aap Ne Saadgi Ko Bech Diya...
Logged
Pages: 1 ... 250 251 252 253 [254] 255 256 257 258 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 04:22:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer