Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 251 252 253 254 [255] 256 257 258 259 ... 273
Print
Author  (Read 131138 times)
angel4u
Guest
«Reply #3810 on: May 21, 2009, 07:17:23 PM »
Mohabbat Tak Rasaa'ii Chahta Hoon,
Main Kab Saari Khudayi Chahta Hoon,

Khushi Bhi Mujhko Raas Aati Nahi Hai,
Gamon Se Bhi Rihaayi Chahta Hoon,

Khizaan Mein Shaakh Se Gul Jaise Bikhre,
Main Yun Tujhse Judayi Chahta Hoon,

Mere Honthon Pe Kaliya Khil Uthti Hai,
Main Phir Shola-Navaa'ii Chahta Hoon,

Ganwa Baitha Hoon Sab Kuch Phir Bhi 'Sahil',
Yehi Farmaan-Rawayi Chahta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3811 on: May 21, 2009, 07:17:40 PM »
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi,
Bujh Gaya Dil Chirag Jalte Hi,

Khul Gaya Sheher-E-Gam Ke Darwaze,
Ek Zara Si Hawa Ke Chalte Hi,

Kaun Tha Tu Ke Phir Na Dekha Tujhe,
Mit Gaya Khwaab Aankh Malte Hi,

Tu Bhi Jaise Badal Sa Jaata Hai,
AQs-E-Deewar Ke Badalte Hi...
* * * * *

Subah-Ta-Shaam Sochta Hoon Main,
Sau Tere Naam Sochta Hoon Main,

Ye Jo Ek Taza Aag Bhadki Hai,
Iska Anjaam Sochta Hoon Main,

Saamne Hai Kalam Bhi Kaagaz Bhi,
Aur Paigaam Sochta Hoon Main,

Tujhse Is Dilka Jo TaalluQ Hai,
Uska Kuch Naam Sochta Hoon Main,

Ek Shaam-E-FiraaQ Dhal Bhi Gayi,
Phir Bhi Har Shaam Sochta Hoon Main,

Kya Sabab Hai Gam-E-Zamana Ka,
Laa Zara Jaam Sochta Hoon Main,

Ab Koi Fikr Hi Nahi BaaQi,
Bas Tera Naam Sochta Hoon Main...
Logged
pandit
Guest
«Reply #3812 on: May 21, 2009, 07:18:10 PM »
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi,
Bujh Gaya Dil Chirag Jalte Hi,

Khul Gaya Sheher-E-Gam Ke Darwaze,
Ek Zara Si Hawa Ke Chalte Hi,

Kaun Tha Tu Ke Phir Na Dekha Tujhe,
Mit Gaya Khwaab Aankh Malte Hi,

Tu Bhi Jaise Badal Sa Jaata Hai,
AQs-E-Deewar Ke Badalte Hi...
* * * * *

Subah-Ta-Shaam Sochta Hoon Main,
Sau Tere Naam Sochta Hoon Main,

Ye Jo Ek Taza Aag Bhadki Hai,
Iska Anjaam Sochta Hoon Main,

Saamne Hai Kalam Bhi Kaagaz Bhi,
Aur Paigaam Sochta Hoon Main,

Tujhse Is Dilka Jo TaalluQ Hai,
Uska Kuch Naam Sochta Hoon Main,

Ek Shaam-E-FiraaQ Dhal Bhi Gayi,
Phir Bhi Har Shaam Sochta Hoon Main,

Kya Sabab Hai Gam-E-Zamana Ka,
Laa Zara Jaam Sochta Hoon Main,

Ab Koi Fikr Hi Nahi BaaQi,
Bas Tera Naam Sochta Hoon Main...


Kya baat hai angel..
bahut acche...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3813 on: May 21, 2009, 07:18:29 PM »
Muskurate Raho,
Dard Kaisa Bhi Ho Aankh Namm Na Karo,
Raat Kaali Sahi Koi Gam Na Karo,

Ek Sitara Bano Jagmagate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

Baantni Hai Agar Baant Lo Har Khushi,
Gam Na Zaahir Karo Tum Kisi Par Kabhi,

Dil Ki Gehrayi Mein Gam Chhupate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

AshQ Anmol Hai Kho Na Dena Kahin,
Inki Har Boond Hai Motiyon Se Haseen,

Inko Har Aankh Se Tum Churate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

Faasle Kam Karo Dil Milate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3814 on: May 21, 2009, 07:18:50 PM »
Thanks Pandit Ji...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3815 on: May 21, 2009, 07:19:08 PM »
Ab Kise Chahein Kise Dhunda Karein,
Wo Bhi Aakhir Mil Gaya Ab Kya Karein,

Halki Halki Baarishein Hoti Rahein,
Hum Bhi Phoolon Ki Tarah Bhiga Karein,

Aankh Moonde Us Gulaabi Dhoop Mein,
Der Talak Baithe Use Socha Karein,

Dil Duniya Deen Mohabbat Shayri,
Har Dareeche Se Tujhe Dekha Karein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3816 on: May 21, 2009, 07:19:31 PM »
Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo,
Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo,

Mujhko Mujhse Juda Na Karo,
Na Khuda Ko Khudayi Ka Gam Hai To Phir,
Doob Jao Khuda Khuda Na Karo,

Ye Sikhaya Hai Dosti Ne Hamein,
Dost Bankar Kabhi Wafa Na Karo,

IshQ Hai IshQ Ye Mazak Nahi,
Chand Lamhon Mein Faisla Na Karo...
Logged
pandit
Guest
«Reply #3817 on: May 21, 2009, 07:19:48 PM »
Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo,
Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo,

Mujhko Mujhse Juda Na Karo,
Na Khuda Ko Khudayi Ka Gam Hai To Phir,
Doob Jao Khuda Khuda Na Karo,

Ye Sikhaya Hai Dosti Ne Hamein,
Dost Bankar Kabhi Wafa Na Karo,

IshQ Hai IshQ Ye Mazak Nahi,
Chand Lamhon Mein Faisla Na Karo...


Again nIce piece.............
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3818 on: May 21, 2009, 07:20:25 PM »
Khud Apne Aapse Bhi
Sharmata Hoga,
Use Jab Pyaar Mera
Yaad Aata Hoga,
Wo Mere Dil, Meri Mohabbat
Ko Thukrane Wala,
Kabhi Kabhi Apne Hi Andar,
Bikhar Jaata Hoga,
Meri Veeran Zindagi Kabhi,
Sochta Hoga,
Jab Kabhi Deep Wo Koi
Jalata Hoga,
Har Simt Use Mera Chehra
Nazar Aata Hoga,
Jab Koi Pehen Ke Seeha Rang,
Dekhta Hoga,
Chheen Kar Khushiyan Aur Labon Ki,
Hasi Kisiki,
Sochta Hoon Aamir,
Wo Shakhs
Kaise Muskurata Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3819 on: May 21, 2009, 07:20:40 PM »
Again nIce piece.............

Thanks..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3820 on: May 21, 2009, 07:20:56 PM »
Yeh Adhoorapan,
Jaise Aadhi Kaali Raat,
Jaise Aadha Chand,
Jaise Bin Sooraj Kiran,
Jaise Bin Badal Barsaat,
Jaise Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaise Beawaz Koyal,
Jaise Sookhi Kali,
Jaise Thehra Hua Paani,
Jaise Bin Paani Machhli,
Jaise Andha Raahi,
Jasie Bikhri Zulfein,
Jasie Dulhe Bin Baraat,
Aise Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Ye Adhurapan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3821 on: May 21, 2009, 07:21:16 PM »
Mohabbaton Ke Diye Jala Kar Kabhi To Dekho,
Tum Mere Dil Mein Jhank Kar Kabhi To Dekho,

Mere Dilki Raahein Teri Muntazir Hai,
Kabhi In Raahon Mein Aa Kar To Dekho,

Meri Mohabbat Seepiyon Ki Maanind BeQeemat Padi Hai,
Kabhi Baarish Ka Pehla Qatra Bankar To Dekho,

Mujhe Meri Mohabbat Milegi Zaroor,
Ise YaQeen Ka Bharam Rakh Kar To Dekho,

Main Apni Mohabbat Ki Sachaiyon Ka YaQeen Dilaun To Kaise,
Kabhi Khuda Se Meri Mohabbat Ke Baare Mein Puchh Kar To Dekho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3822 on: May 21, 2009, 07:21:36 PM »
Abhi To Zakhm Taaza Hai Abhi To AshQ Behne Do,
Abhi To Yaad Uski Tum Hamare Saath Rehne Do,

Wo Saari Baat Dilki Mere Dil Mein Hi Na Reh Jaye,
Jo Kehna Tha Mujhe Tumse Wo Aaj Mujhe Kehne Do,

Kuch Log Aise Bhi To Bas Rahe Hai Is Zameen Par,
Jo Kehte Hai Hame Sab Gam Tum Is Duniya Se Sehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3823 on: May 21, 2009, 07:22:14 PM »
Tu Pariyon Ke Sheher Se Aayi Thi,
Dilne Isse Pyaar Ki Ummid Lagayi Thi,

Ek Shor Sa Macha Phir Insano Mein,
Ek Halchal Si Mach Gayi Qabrastano Mein,

Phir Ek Jang Ki Hue Deewano Mein,
Wo Mashoor Hue Qabrastano Mein,

Phir Isne Ek Aag Laga Di Dilke Gulistano Mein,
Aur Main Bhi Ek Naam Banke Reh Gaya Afsano Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3824 on: May 21, 2009, 07:22:59 PM »
Zindagi Bhi Ajeeb Hai,
Kya Kya Rang Dikhati Hai,
Pehle Maine Kisi Aur Ko Chaha,
Phir Tumse Mohabbat Hui,
Yahan Tak Ke Zindagi Tumhare Naam Kar Dali,
Phir Yun Hua Ke Tumne Meri Hi Reet Aage Badhayi,
Aur Mujhe Tanha Chhod Diya,
Mujhe Dar Hai Ke Kahi,
Tareekh Apne Aapko Dohra Na De...
Logged
Pages: 1 ... 251 252 253 254 [255] 256 257 258 259 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 11:35:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer