Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 252 253 254 255 [256] 257 258 259 260 ... 273
Print
Author  (Read 132826 times)
angel4u
Guest
«Reply #3825 on: May 21, 2009, 07:23:20 PM »
Dekha Tumne Mohabbat Ka Dastoor,
Tu Mujhse Aur Main Tujhse Door,

Tanhaiya MuQaddar Ban Gayi Hai Hamari,
Aur Dil Hai Ke Zakhmon Se Choor,

Apna Gam Hum Aksar Bhool Jaate Hai,
Jaise Dikhte Hai Hum Majboor,

Meri Dhadkan Kehti Hai Mujhse,
Wo Milne Tujhse Aayega Zaroor,

Koshish Karte Raho Ummid Na Chhodna,
Wohi Hoga Jo Khuda Ko Hai Manzoor...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3826 on: May 21, 2009, 07:24:19 PM »
Woh Baat Sach Agar Hai Jo Farma Rahe Hai Aap,
Kyon Baar Baar Meri Kasam Kha Rahe Hai Aap,

Besoche Samjhe Aapko Apna Samajh Liya,
Pachtana Mujhko Chahiye, Pachhta Rahe Hai Aap,

Kya Chiz Hai Fareb Koi Sikhe Aapse,
Kashti Meri Bhanwar Mein Hai Chakra Rahe Hai Aap,

Kehte The Hum Karenge MuQabil Ka Samna,
Aayina Haath Mein Hai To Ghabra Rahe Hai Aap...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3827 on: May 21, 2009, 09:11:44 PM »
Woh Baat Sach Agar Hai Jo Farma Rahe Hai Aap,
Kyon Baar Baar Meri Kasam Kha Rahe ho Aap,

Mere marne ki jaldi mujse zada unko hai Rahim,
Jabhi toh aksar meri kasmein khakar tod dia karte hai woh...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3828 on: May 21, 2009, 09:14:25 PM »
Woh Baat Sach Agar Hai Jo Farma Rahe Hai Aap,
Kyon Baar Baar Meri Kasam Kha Rahe Hai Aap,

Besoche Samjhe Aapko Apna Samajh Liya,
Pachtana Mujhko Chahiye, Pachhta Rahe Hai Aap,

Kya Chiz Hai Fareb Koi Sikhe Aapse,
Kashti Meri Bhanwar Mein Hai Chakra Rahe Hai Aap,

Kehte The Hum Karenge MuQabil Ka Samna,
Aayina Haath Mein Hai To Ghabra Rahe Hai Aap...

Applause Applause Applause Applause wah wah lavz khatam hojaenge mere tariff karte karte Angel di...Bahaut acha likha hai..

Iska jawab likhne ko mann chah raha hai par padkar Rahim khamosh hogaya hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3829 on: May 22, 2009, 02:39:20 AM »
Thank you so much Rahim... Usual Smile
Shukriya meri sharings hamesha padhne ke liye Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3830 on: May 22, 2009, 03:02:07 AM »
Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye,
WaQt Rukta Nahi Kisike Liye,

Dilko Apne Saza Na De Yun Hi,
Soch Le Aaj Do Ghadi Ke Liye,

Har Koi Pyaar Ko Dhunta Hai Yahan,
Apni Tanha Si Zindagi Ke Liye,

WaQt Ke Sath Sath Chalta Rahe,
Yehi Behtar Hai Aadmi Ke Liye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3831 on: May 23, 2009, 02:58:22 AM »
Ek Paheli Si Ban Gayi Hai Zindagi Ab To,
Kya Ho Raha Hai, Nahi Kuch Khabar Ab To,

Kab Mile The Hum Sapno Mein Tumse,
Kuch Yaad Nahi, Kuch Khabar Nahi Ab To,

Teri Wo Baatein, Wo Kahani Teri,
Kuch Yaad Bhi Hai, Kuch Yaad Nahi Ab To,

Tu Rehta Hai Aas Paas Mere,
Phir Dil Mera Mayoos Kyon Hai Ab To,

Teri Kavita Mein Tha Jo Pyaar Kabhi,
Dard Banke Chhalakta Hai Ab To,

Pyaar Ka Socha Na Tha, Ikraar Tha Dosti Ka,
Kab Hue Dushmani, Kuch Khabar Nahi Ab To...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3832 on: May 23, 2009, 02:58:57 AM »
Zindagi Mein Tumhari Aa Na Sake,
Ab Khwabon Mein Chale Aate Hai,
Tum Laakh Nazrein Pher Lo Sanam,
Hum Phir Bhi Chale Aate Hai,

Kehne Ko To Tum Bhul Chuki Thi,
Phir Bhi Anjaane Mein Pukarti Ho,
Tum Kabhi Bhuli Nahi Thi,
Sirf Jaankar Anjaane Mein Pukarti Ho,

Mann To Mann Hai,
Mann Ko Kya Kehna,
Hum Ayenge Sapno Mein,
Sapno Ka Kya Kehna,

Azeez Bewafa Nahi,
Tum Paas Aao Ya Na Aao,
Wo Mar Ke Bhi Mara Nahi,
Uski Yaadon Ko Gale Se Lagao...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3833 on: May 24, 2009, 04:47:24 PM »
Bahaut khoob Angel di...Applause Applause Haan hamesha apki sharings padta hoon kyun ki dil ko choo leti hai apki sharings...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3834 on: May 24, 2009, 04:48:57 PM »
Bahut sahi kaha aapne Rahim ji, mai bi hamesha Angel ki collections padti hu. Bahut accha lagta hai iska collections.  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3835 on: May 24, 2009, 08:26:28 PM »
Thank you so much Roja and Rahim Usual Smile
Aap log padhte hai isiliye man karta hia yahan sharings karne ka Usual Smile
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3836 on: May 25, 2009, 03:05:15 PM »
bahut achche huzena dear.............aap dino din bahut hi khoobsurat likhte ja rahe hain.....sach main jab dil udaass hota hai toh aapki shayaris padne ka mazaa hi kucch aur hota hai .................ek shayari likh raha hoon pasand aaye toh daad dijiyega


kya kahoon ab dil ka haal, ab samajh nahin aata hai
na jaane kyun ise dard k aalam mein chen aata hai
mohabbat se yeh rehta hai is tarah katkar
kii gujre jo hawa bhi chhukar toh yeh seham jaata hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3837 on: May 25, 2009, 07:07:26 PM »
very nice sharing Angel ji, behad achhi  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Thank you so much Kaash Ji..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3838 on: May 25, 2009, 07:09:30 PM »
bahut achche huzena dear.............aap dino din bahut hi khoobsurat likhte ja rahe hain.....sach main jab dil udaass hota hai toh aapki shayaris padne ka mazaa hi kucch aur hota hai .................ek shayari likh raha hoon pasand aaye toh daad dijiyega


kya kahoon ab dil ka haal, ab samajh nahin aata hai
na jaane kyun ise dard k aalam mein chen aata hai
mohabbat se yeh rehta hai is tarah katkar
kii gujre jo hawa bhi chhukar toh yeh seham jaata hai
Thank you so much Salil. Ye jaanke achha laga ke aap hamari shayris padhte hai aur aapko achha bhi lagta hia... THank you for so kind words. Bas yehi dua hai ke kabhi itna dukh na aaye ke us dukh ki wajahse kisiko meri shayri padhni pade.

aur aapki shayri ka to kya kahun.Bahut hi khoobsurat hai as usual Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3839 on: May 25, 2009, 07:13:08 PM »
Teri Chaah Mein Hadd Se Guzar Jaunga Ek Din,
Pyaar Hota Hai Kya Ye Dikhaunga Ek Din,

Teri Sangdili Ko Sehte Sehte,
Main Jaan Se Apni Guzar Jaunga Ek Din,

Apni Saari Chahatein Tujhpe Waar Ke,
Pyaar Karna Tujhe Bhi Sikhaunga Ek Din,

Jee Na Payega Tu Bhi Hoke Juda Mujhse,
Aisa Pyaar Tujhse Kar Jaunga Ek Din,

Andheron Mein Hi Dhundta Reh Jayega Mujhko,
Aisi Berukhi Dikhlaunga Ek Din,

Kho Ke Mujhko Pachhtaoge Bahut Sanam Tum,
Wafa Isi Tumse Kar Jaunga Ek Din,

Aisi Deewangi Se Chahunga Tujhe,
Bhool Jaoge Tum Bhi Sara Jahan Ek Din,

Jaan Teri Bhi Labon Pe Aa Jayegi,
Banke Khaak Jab Mitti Mein Mil Jaunga Ek Din...
Logged
Pages: 1 ... 252 253 254 255 [256] 257 258 259 260 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 02:05:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer