Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 254 255 256 257 [258] 259 260 261 262 ... 273
Print
Author  (Read 131129 times)
angel4u
Guest
«Reply #3855 on: May 31, 2009, 06:03:33 PM »
Zindagi Zindagi Hi Nahi Aapke Bina,
Kuch Meri Haisiyat Hi Nahi Aapke Bina,

Kuch Log Tanha Chhod Ke Chale Gaye Humko,
Ye Zindagi Udaas Hai Aapke Bina,

Kuch To Saath Dena Tha Aapko Mera,
Aap Bhi Chale Gaye Auron Ki Tarah,

Zindagi Mein Tere Siwa Chaha Nahi Kisiko,
Ab To Jee Hi Lenge Hum Aapke Bina,

Zindagi Zindagi Nahi Aapke Bina...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3856 on: May 31, 2009, 06:04:30 PM »
Aap Yun Na Daaman Mera Chura Ke Jaiye,
Aakhir Mera Kasoor To Bata Ke Jaiye,

Nahi Jeena Manzoor Hamein Aapke Bagair,
Agar Jaana Hai Humko Mita Ke Jaiye,

Puchhenge Mujhse Log Naam Qaatil Ka,
Ye NaQaab Chehre Se Hata Ke Jaiye,

Kisne Tode Hai Phool Mere Khwabon Ke,
Naam To Mere RaQeeb Ka Bata Ke Jaiye,

Dekhiye Phir Tanha Reh Jaungi Main,
Ek Chirag To Mazaar Par Jala Ke Jaiye,

Toote Dilse Bhi Humko Duwayein Denge,
Na Hoiye Udaas, Muskura Ke Jaiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3857 on: May 31, 2009, 06:04:50 PM »
Nayi Aarzu Naya Armaan Liye Aaya Hoon,
Main Apni Barbaadi Ka Samaan Liye Aaya Hoon,

Phir Raha Tha Dar Badar Gali Kuchon Mein,
Ab Tere Sheher Mein Rehne Chala Aaya Hoon,

Guzarne Wale Saare Mausam Ye Kehte Hai,
Main Teri Zindagi Ko Gulzaar Banane Aaya Hoon,

Darta Tha Main Jisse Ke Neend Na Aane Paaye,
Phir Wohi Khwaab Sajane Main Aaya Hoon,

Wo Peeta Nahi Hai Sharab Magar Phir Bhi Use,
Dhoondne Kel Iye Maikhane Tak Chala Aaya Hoon,

Gaya Tha Suraj Ki Or Roshni Leneke Liye,
Dekho Ke Khali Haath Hi Laut Aaya Hoon,

Use Paane Ki Aarzu Hi Kuch Itni Shiddat Hai Meri,
Is Khwahish Mein, Khudko Bhi Kho Aaya Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3858 on: May 31, 2009, 06:06:12 PM »
Kisko Alvida Kehna Bahut Takleef Deta Hai,
Ummidein Toot Jaati Hai,
YaQeen Par Beyakeeni Ki Kohar Kuch Aisi Chadti Hai,
Dikhayi Kuch Nahi Deta, Sujhayi Kuch Nahi Deta,
Dua Ke Lafz Honthon Par Musalsal Kapkapate Hai,
Kisi Khwahish Ke Andeshe Zehen Mein Daud Jaate Hai,
Gumaan Kuch Aisa Hota Hai Ke Jaise Mil Na Payenge,
Ye Gehre Zakhm FurQat Ke Kabhi Bhi Sil Na Payenge,
Magar Aisa Na Ho Ya Rab Duwayein Maan Leta Hai,
Dilon Ko Jaan Leta Hai,
Tu Koi Mojza Kar De,
Tu Aisa Kar Bhi Sakta Hai,
Judayi Ki Azziyat Se Mera Dil Ab Bhi Darta Hai,
Judayi Do Gahdi Ki Ho To Koi Khud Ko Samjhaye,
Judayi Char Pal Ki Ho To Kio Khud Ko Behlaye,
Judayi Umar Jaisi Ho To Kya Chaara Kare Koi,
Ke Ek Milneki Khwahish Mein Bhala Kab Tak Jiye Koi,
Mere Maula Guzarish Sun, Mere Maalik Karam Kar De,
Tu Aisa Kar Bhi Sakta Hai,
Kisiko Alvida Kehna Bahut TaQleef Deta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3859 on: May 31, 2009, 06:06:32 PM »
Dekh Gewara-E-Daanish Mein Bapa RaQs-E-Junoon,
Wehshatein Lutt Chuki Jannat-E-Arzi Ka Sukoon,
Waadiyan Aur Guzar Gaahein Bani Hai MaQtal,
Dard Ki Leher Ne Phir Kitne Jahan Chaat Liye,
Zindagi Fasal Ugti Hai FaQat Zakhmon Ki,
Khoon Ki Pyaas Mein Phir Baste Nagar Ujde Hai,
Zeest Ki Shaakh Se Phir Kitne Hi Gul Bichhde Hai,
Bachhe Maa Baap Ki Shaakhon Se Juda,
Phool Gulistaan Se Ude,
Roye Magrib Pe Hai Mazloom Lahoo Ke Chhinte,
Reza Reza Hai Sanam Khana-E-Eisa Ka Guroor,
Wo Jinhe Naaz Tha Insaan Nawazi Pe Kabhi,
Jinka Dava Tha Mohazab Hai Zamane Pe Wohi,
Aaj Insaan Ka Lahoo Pee Ke Sukoon Paate Hai,
RAQS AQDAAR KE KHANDRAAT PE FARMATE HAI...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3860 on: May 31, 2009, 06:06:57 PM »
Khaloos Kuch Kam To Nahi Kaarvan-E-Hayaat Mein,
Na Jaane Kyon Ye Dil Teri Wafa Ka Talabgaar Hai,

Aankh Se Ojhal Ho Kar Bhi Dur Nahi Hum,
Har Nashe Mein Husn Tera Shahkar Hai,

Thani Thi Ke Honthon Ko Apne See Lenge,
Wagarna Tere Kab Dil Pe Apne Ikhtiyar Hai,

Ye Judaiyon Ke Badal Kabhi To Raha Lenge,
Muntazir In Naino Ko Har Lamha Intezaar Hai,

Saare Alam Ko Bhula Kar Khayalon Mein Hum Doobe,
Kaho Jaana Ab Bhi Nai Tumko Aitbaar Hai???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3861 on: May 31, 2009, 06:07:22 PM »
Isse YaQeen Nahi Aata,
Ke Main Isse Mukammal Bhool Chuki Hoon,
Magar Aitbaar Kabhi Wo Mile To Karun,
Meri Jaan Ye To Socho,
Jo Apne Aapko Bhool Chuka Ho,
To Use Khud Se Bichhadte Hue Shakhs Ke Liye,
Kisiko Bhoola Dena Kya Aasan Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3862 on: May 31, 2009, 06:07:54 PM »
Meri Sochon Mein Tum Base Ho Aise,
Titli Ke Haseen Paron Mein Rang Ho Jaise,
Meri Aankhon Mein Samaye Ho Aise,
Kali Badliyon Mein Bhara Paani Ho Jaise,
Meri Rooh Mein Tum Utre Ho Aise,
Bande Ke Dil Mein Khuda Ki Mohabbat Ho Jaise,
Meri Saanson Mein Ghule Ho Aise,
Phoolon Ke Badan Mein Khushboo Ho Jaise,
Mere Honthon Pe Tum Aaye Ho Aise,
Koyal Ne Geet Koi Gaya Ho Jaise,
Mere Dil Mein Tum Rehte Ho Aise,
Seep Mein Band Moti Ho Jaise...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3863 on: May 31, 2009, 06:08:18 PM »
Mera Dil Ro Raha Hai Tum Bin,
Mera Sab Kuch To Tum Ho,
Main To Kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin,
Tum Bin Guzaar To Jayegi Zindagi,
Par Main Jee Na Paungi Tum Bin,
Hazaron Sitaron Ki Bhid Mein Bhi Dekho,
Ye Chand Kitna Tanha Hai Tum Bin,
Rahoon Kahin Bhi Kisike Sath Bhi,
Par Main Hamesha Udaas Hoon Tum Bin,
Agar Charagon Ki Roshni Mein Hoon Main,
Par Meri Zindagi Mein Andhera Hai Tum Bin,
Baharon Ka Mausam To Hai Gulshano Mein,
Par Phoolon Mein Khushboo Nahi Hai Tum Bin,
Is Hansi Ke Kehkahon Mein Dekho,
Mera Dil Ro Raha Hai Tum Bin,
Mera Sab Kuch To Tum Ho,
Main To Kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3864 on: May 31, 2009, 06:09:14 PM »
Wo Dil Hi Kya Jo Tere Milneki Tamanna Na Kare,
Main Tujhe Bhoolkar Zinda Rahoon Khud Na Kare,

Rahega Sath Tera Pyaar Meri Zindagi Bankar,
Ye Aur Baat Hai Meri Zindagi Wafa Na Kare,

Ye Thik Hai Nahi Marta Koi Judayi Mein,
Lekin Khuda Kisiko Kisise Juda Na Kare,

Suna Hai Usko Mohabbat Duwayein Deti Hai,
Jo Dil Pe Chot Khaye Magar Gila Na Kare...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3865 on: May 31, 2009, 06:12:21 PM »
Wo Dil Hi Kya Jo Tere Milneki Tamanna Na Kare,
Main Tujhe Bhoolkar Zinda Rahoon Khud Na Kare,

Rahega Sath Tera Pyaar Meri Zindagi Bankar,
Ye Aur Baat Hai Meri Zindagi Wafa Na Kare,

Ye Thik Hai Nahi Marta Koi Judayi Mein,
Lekin Khuda Kisiko Kisise Juda Na Kare,

Suna Hai Usko Mohabbat Duwayein Deti Hai,
Jo Dil Pe Chot Khaye Magar Gila Na Kare...


Kya Ghazal Share Ki Hai Angel Aapne..Yeh Ghazal Mujhe Bahut Pasand Hai..Khaas Kar Aakhir Ashaar To Lajaawab Hai..
Thankyou So Much Dear!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3866 on: May 31, 2009, 06:13:39 PM »
Thank you so much Khwaish Ji, for always appreciating the works Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3867 on: May 31, 2009, 06:16:22 PM »
Aap Yun Na Daaman Mera Chura Ke Jaiye,
Aakhir Mera Kasoor To Bata Ke Jaiye,

Nahi Jeena Manzoor Hamein Aapke Bagair,
Agar Jaana Hai Humko Mita Ke Jaiye,

Puchhenge Mujhse Log Naam Qaatil Ka,
Ye NaQaab Chehre Se Hata Ke Jaiye,

Kisne Tode Hai Phool Mere Khwabon Ke,
Naam To Mere RaQeeb Ka Bata Ke Jaiye,

Dekhiye Phir Tanha Reh Jaungi Main,
Ek Chirag To Mazaar Par Jala Ke Jaiye,

Toote Dilse Bhi Humko Duwayein Denge,
Na Hoiye Udaas, Muskura Ke Jaiye...


Bahut Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thankyou Angel!! icon_flower
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3868 on: May 31, 2009, 08:01:55 PM »
Thank you Khwaish Ji...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3869 on: June 04, 2009, 10:33:00 PM »
Phir ek baar behtareen ash'aar ki jhadi baras rahi he, bohot khoob angel ji.
Logged
Pages: 1 ... 254 255 256 257 [258] 259 260 261 262 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:19:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer