Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 255 256 257 258 [259] 260 261 262 263 ... 273
Print
Author  (Read 132820 times)
angel4u
Guest
«Reply #3870 on: June 05, 2009, 02:50:16 AM »
Thank you so much Sayyid Ji...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3871 on: June 05, 2009, 02:02:27 PM »
Thank you so much @kaash Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #3872 on: June 05, 2009, 09:12:34 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Beautiful ones Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3873 on: June 06, 2009, 02:52:52 AM »
Thanks Sweety Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3874 on: June 07, 2009, 05:33:30 AM »
Chhodo Bhi Jaane Do,
Baat Karne Ke Kayi Mod Hai,
Hamein Bhi Mod Mudne Do,
Guzri Raaton Ki Siyaahi Ko,
Dinki Roshni Mein Chamakne Do,
Khata Humse Hui, Bewafayi Tumse Bhi,
Chot Humne Bhi Khayi, Dard Tumne Bhi Saha,
Ye Maana Ke,
Mohabbat Humne Ki, Chaha Tumne Bhi,
Magar WaQt Ke TaQaze The Kuch Aise Ke,
Bharam Humne Rakha,
Nibha Tumse Na Hua,
Chhodo Bhi, Ab Jaane Do,
Ab Us Kisse Ko, Adhoore Afsane Ko,
Mohabbat Ki Dastaan Ban Jaane Do,
Tumhe Bhi Ab Ke Bahane Hai,
Hamein Bhi Khush Rehna Hai,
Chhodo Bhi, Jaane Do,
Tumne Bhi Jeena Sikh Liya Hai,
Hamein Bhi Ab Jeene Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3875 on: June 07, 2009, 05:33:57 AM »
Jab Se Dil Lagaya Hai Tumse,
Sab Kuch Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Intezaar Karte Hai Hum Aapka Der Tak,
Aapko Na Aane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Baat Baat Pe Muskurate The Hum,
Ab To Rone Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Kabhi Talab Karte The Tumhe Hum,
Ab To Berukhi Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Kabhi Ek Humdard Chahte The Hum Bhi,
Par Ab To Tanha Gam Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jab Se Sochna Shuru Kiya Hai Tumko,
Saari Saari Raat Jaagne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ab To Chahe Chhod Bhi Do Hamein,
Tum Bin Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jise Bhic Haha Humne Wo Chhod Kar Chala Gaya,
Ab To Khone Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jabse Tum Gaye Ho Hamein Chhod Kar,
Tab Se Chup Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Tumse Na Koi Shikwa Na Koi Shikayat Hai Hamein,
Bas Khud Se Shikayat Karne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Malum Hai Ke Hamari Kismat Mein Tum Nahi,
Bas Kismat Se Ladne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Wo Jahan Bhi Rahe Bas Khush Rahe Naeem,
Ye Dua Maangne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3876 on: June 07, 2009, 05:34:59 AM »
Tujhko Chahe Aur Tera Hi Intezaar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhse Pyaar Kare,

Teri Yaad Aaye To Dhunde Tujhko Har Taraf,
Khudko Bhi Karar Nahi Mujhko Bhi Bekarar Kare,

Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare,
Tujhko Chahe Tujhpar Mitne Ki Tamanna Kare,

Tujhse To Kuch Keh Na Paaye Khud Se Ikraar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare,

Har Pal Duwaon Mein Tujhko Rab Se Ye Maange,
Apna Tujhe Bananeki Khwahish Ye Baar Baar Kare,

Pagal Ye Dl Bas Tujhise Pyaar Kare,
Tujhko Chahe Aur Tera Hi Intezaar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3877 on: June 07, 2009, 05:35:22 AM »
Jo Is Tarah Humse Nazarein Churaoge,
In Nazron Mein Kuch Aur Hi Zyada Samaoge,

Paoge In Kadmon Ko Har Raah Pe Humkadam,
Hamari Taraf Pyaar Ka Jo Ek Kadam Badhaoge,

IshQ Ke Khiladi Mushkilon Se Darte Kahan,
Hausla Badhta Jayega, Jis Kadar Aazmaoge,

Maan Lo Ye Baat Ke Bas Tum Hi Makeen Ho,
Is Dilke Sune Aangan Ko Tum Hi Sajaoge,

Chahte Hai Tumhe Kitna Aye Jaan-E-Mann Suno,
Jaan Tumpe Denge, Tab Jaan Jaoge...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3878 on: June 07, 2009, 06:18:19 AM »
Aap Yun Na Daaman Mera Chura Ke Jaiye,
Aakhir Mera Kasoor To Bata Ke Jaiye,

Nahi Jeena Manzoor Hamein Aapke Bagair,
Agar Jaana Hai Humko Mita Ke Jaiye,

Puchhenge Mujhse Log Naam Qaatil Ka,
Ye NaQaab Chehre Se Hata Ke Jaiye,

Kisne Tode Hai Phool Mere Khwabon Ke,
Naam To Mere RaQeeb Ka Bata Ke Jaiye,

Dekhiye Phir Tanha Reh Jaungi Main,
Ek Chirag To Mazaar Par Jala Ke Jaiye,

Toote Dilse Bhi Humko Duwayein Denge,
Na Hoiye Udaas, Muskura Ke Jaiye...


All Shayaries are Tooooooo Good dear.... Mujhe toh sab ke sab bahut accha laga padkar.... Yeh wala bi bahut accha hai. You really have too good collections...
Expect to read you more.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3879 on: June 07, 2009, 06:20:33 AM »
Thank you so much Roja... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3880 on: June 07, 2009, 02:30:57 PM »
Thank you so much @kaash Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3881 on: June 07, 2009, 02:45:30 PM »
Gam Mila To Ro Na Sake,
Khushi Mili To Hans Na Sake,
Ye Kaisa Raaz Hai Zindagi Ka,
Ham Samajh Na Sake,
Jisko Chaha Apna Bana Na Sake,

Aap Chale Gaye,
Phir Bhi Dilse Nikaal Na Sake,
Par Jab Aap The,
Paas Bhi Na Aa Sake,
Ab Aapki Yaadonko
Seene Se Lagake Phirte Hai,
Saamne Aapok Paa Kar Bhi,
Nazar Na Mila Sake,
Ye Kaisa Raaz Hai Zindagi Ka,
Hum Na Samajh Sake,
Jisko Chaha Apna Na Bana Sake,
Ab Palkon Ko Band Karke,
Pal Mein Aapke Paas Hote Hai,
Magar Jab Aankhon Ke Samne The,
Jee Bharke Dekh Bhi Na Sake,
Dil Dard Se Bhara Hua Tha,
Lekin Ro Na Sake,
Ye Kaisa Raaz Zindagi Ka,
Hum Na Samajh Sake,
Na Chup Reh Sake Na Pyaar Jata Sake,
Ab Aapke Sath Ke Liye,
Har Pal Tadapte Hai,
Magar Jab Aap Tadap Rahe The,
To Saath Na De Sake,
Dil To Rota Rahe Par,
Aankhon Se Aansu Na Bahe,
Pyaar Ke Is Riwaaj Ko Na Samajh Sake,
Dil Itni Chot Khakar Bhi,
Aap Hi Ko Chahta Kyon Hai,
Hum Samajh Na Sake,
Aapke Laakh Inkaron Ke Baad Bhi,
Aap Hamare Nahi Hai,
Ye Dilko Samjha Na Sake,
Laakh Chaha Humne,
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sake,
Aap Hamein Bhool Gaye,
Magar Hum Na Bhool Sake,
Jaise Khwaab Zindagi,
Aur Zindagi Khwaab Na Ho Sake,
Waise Aap Hamare Na Ho Sake,
Aur Hum Kisi Aur Ke Na Ho Sake...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3882 on: June 07, 2009, 02:45:52 PM »
Naye Dino Mein Tumhare Kareeb,
Hum Rahe Na Rahein,
Bhool Jana Wo Sab Kahi Baatein,
Bhool Jana Wo Chandni Raatein,
Ke Zindagi Ke Mausamon Mein,
Ek Mausam Judayi Ka Bhi Hai,
Sab Hi Bichhde To Mil Nahi Paate,
Zindagi Ko Kareeb Se Dekho,
Log Juda Ho Kar Mar Nahi Jaate...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3883 on: June 07, 2009, 02:46:26 PM »
Kaise Kahe Hum,
Kahan Raat Bitayi,
Kaunse Dareeche Mein,
Zindagi Ganwayi,
Shabnami Andhere Mein,
Mehfilein Jamayi,
Phir Bhi Apne Hisse Mein,
Aayi Hai Tanhayi,
Chaandni Ne Kiske Daaman Mein
Aag Hai Lagayi,
Aur Jaane Titli Kahan Apna,
Rang Chhod Aayi,
Har Saraf Suku Hai,
Mere Dilse Awaz Aayi,
Aaj Deewani Tu Bhi Kahan
Dil Ganwa Aayi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3884 on: June 07, 2009, 02:46:53 PM »
Mohabbat Ke Junoon Mein Aksar Aisa Hota Hai,
Galti Kisiki Ho Dono Ko Tadapna Padta Hai,

Zindagi Naam Hai Bas Ek Isi Chiz Ka,
Kabhi Paa Kar Bhi Kisiko Khona Padta Hai,

Zakhm Chahe Jitne Lage Dil Par Magar,
Na Chahte Hue Bhi Yahan Jeena Padta Hai,

Judayi Chahe Pal Bhar Ki Ho Bahut Dasti Hai,
Mohabbat Mein Yeh Azaab Bhi Sehna Padta Hai...
Logged
Pages: 1 ... 255 256 257 258 [259] 260 261 262 263 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 04:39:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer