Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 256 257 258 259 [260] 261 262 263 264 ... 273
Print
Author  (Read 132814 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3885 on: June 08, 2009, 05:31:50 PM »
Kisko Alvida Kehna Bahut Takleef Deta Hai,
Ummidein Toot Jaati Hai,
YaQeen Par Beyakeeni Ki Kohar Kuch Aisi Chadti Hai,
Dikhayi Kuch Nahi Deta, Sujhayi Kuch Nahi Deta,
Dua Ke Lafz Honthon Par Musalsal Kapkapate Hai,
Kisi Khwahish Ke Andeshe Zehen Mein Daud Jaate Hai,
Gumaan Kuch Aisa Hota Hai Ke Jaise Mil Na Payenge,
Ye Gehre Zakhm FurQat Ke Kabhi Bhi Sil Na Payenge,
Magar Aisa Na Ho Ya Rab Duwayein Maan Leta Hai,
Dilon Ko Jaan Leta Hai,
Tu Koi Mojza Kar De,
Tu Aisa Kar Bhi Sakta Hai,
Judayi Ki Azziyat Se Mera Dil Ab Bhi Darta Hai,
Judayi Do Gahdi Ki Ho To Koi Khud Ko Samjhaye,
Judayi Char Pal Ki Ho To Kio Khud Ko Behlaye,
Judayi Umar Jaisi Ho To Kya Chaara Kare Koi,
Ke Ek Milneki Khwahish Mein Bhala Kab Tak Jiye Koi,
Mere Maula Guzarish Sun, Mere Maalik Karam Kar De,
Tu Aisa Kar Bhi Sakta Hai,
Kisiko Alvida Kehna Bahut TaQleef Deta Hai...


Naye Dino Mein Tumhare Kareeb,
Hum Rahe Na Rahein,
Bhool Jana Wo Sab Kahi Baatein,
Bhool Jana Wo Chandni Raatein,
Ke Zindagi Ke Mausamon Mein,
Ek Mausam Judayi Ka Bhi Hai,
Sab Hi Bichhde To Mil Nahi Paate,
Zindagi Ko Kareeb Se Dekho,
Log Juda Ho Kar Mar Nahi Jaate...


Bahut Bahut Bahut Khoob!! Bahut Gehre Jazbaat Hai inn Nazmo mein.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks A Lot For Sharing Angel!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3886 on: June 09, 2009, 02:51:12 AM »
Thanks a lot for Reading Khwaish Ji and for such lovely comments

Thankyou !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3887 on: June 09, 2009, 04:41:54 PM »
Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaye,
Dosti Dushmani Na Ho Jaye,

Tum Meri Dosti Ka Dam Na Bharo,
Aasman Muddayi Na Ho Jaye,

Baithta Hoon Hamesha Rindo Mein,
Kahin Zaahid Wali Na Ho Jaye,

Apne Koo-E-Wafa Se Darta Hoon,
AashiQui Bandagi Na Ho Jaye...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3888 on: June 09, 2009, 04:53:17 PM »
Shola Hoon, Bhadkne Ki Guzaarish nahi Karta,
Sach Mooh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahi Karta...

Girti Hui deewar Ka Humdard Hoon lekin,
Chadte Hue Suraj ki Parastish Nahi Karta...

Shola Hoon, Bhadkne Ki Guzaarish Nahi Karta...

maathe Ki pasine Ki Mehak Aaye To Dekhe,
Woh Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahi Karta...

Shola Hoon Bhadkne Ki Guzaarish nahi karta...

Humdardi-E-Ahabab Se Darta Hoon "Muzaffar",
main Zakhm To rakhta Hoon, Numaayish Nahi Karta...

Shola Hoon, Badhakne Ki Guzaarish Nahi Karta,
Sach Mooh Se Nikal jaata Hai Koshish Nahi Karta...

               -Muzaffar Warsi-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3889 on: June 09, 2009, 05:06:52 PM »
Bahut umdaah...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3890 on: June 10, 2009, 08:10:04 AM »
Naye Dino Mein Tumhare Kareeb,
Hum Rahe Na Rahein,
Bhool Jana Wo Sab Kahi Baatein,
Bhool Jana Wo Chandni Raatein,
Ke Zindagi Ke Mausamon Mein,
Ek Mausam Judayi Ka Bhi Hai,
Sab Hi Bichhde To Mil Nahi Paate,
Zindagi Ko Kareeb Se Dekho,
Log Juda Ho Kar Mar Nahi Jaate...


Wah great lines..... Thanks for sharing dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #3891 on: June 10, 2009, 08:11:07 AM »
Shola Hoon, Bhadkne Ki Guzaarish nahi Karta,
Sach Mooh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahi Karta...

Girti Hui deewar Ka Humdard Hoon lekin,
Chadte Hue Suraj ki Parastish Nahi Karta...

Shola Hoon, Bhadkne Ki Guzaarish Nahi Karta...

maathe Ki pasine Ki Mehak Aaye To Dekhe,
Woh Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahi Karta...

Shola Hoon Bhadkne Ki Guzaarish nahi karta...

Humdardi-E-Ahabab Se Darta Hoon "Muzaffar",
main Zakhm To rakhta Hoon, Numaayish Nahi Karta...

Shola Hoon, Badhakne Ki Guzaarish Nahi Karta,
Sach Mooh Se Nikal jaata Hai Koshish Nahi Karta...

               -Muzaffar Warsi-



bahut khoob. Nice sharing... Warsi sb ka kya kehna. Lajawab shayari.. Applause
Thanks for sharing bhaiya.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3892 on: June 11, 2009, 02:29:41 PM »
bahgut achche angel dear dino din aapki shayari aur nikharti ja rahi hai....isi tarah likhte rahiye

mohabat ko samjha toh dard ko jaana hai
kyun jalti hai shama aur kyun parvaane ko jal jaana hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3893 on: June 11, 2009, 03:59:43 PM »
bahgut achche angel dear dino din aapki shayari aur nikharti ja rahi hai....isi tarah likhte rahiye

mohabat ko samjha toh dard ko jaana hai
kyun jalti hai shama aur kyun parvaane ko jal jaana hai


Are mera likha hua  nahi hia, mere collections mein se hai Usual Smile

thanks for liking dear...

Thank you Roja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3894 on: June 12, 2009, 04:03:13 PM »
Locking this thread...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3895 on: June 13, 2009, 02:46:41 PM »
Yun Teri Tasveerko Dil Mein Basa Liya Humne,
Jaise Andhere Mein Shamma Ko Jala Liya Humne,

Ab Nahi Gam Hamein Tanha Raaton Ka,
Teri Yaadon Se Duniya Ko Saja Liya Humne,

Bichha Ke Phool Wafa Ke Unki Raahon Mein,
Apni Raahon Ko Kaanto Se Saja Liya Humne,

Pyaar Ka Har Zakhm Mohabbat Badhata Gaya,
Har Baar Purane Zakhmon Ko Chhupa Liya Humne,

Jab Dil Hua Bojhal Zakhmon Se Zyada,
Tanhayi Mein AshQon Ko Baha Liya Humne,

Milte Hai Dukh Wafa Sile Mein Hussain,
Par Kuch Ho Tumko Apna Bana Liya Humne...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3896 on: June 14, 2009, 07:09:41 AM »
Dard Hai Tanhayi Hai,
Mehfil Mein Wo Na Aaya,
Humne Khudko Tanha Paya,
Is Duniya Ka Hai Riwaj Yehi,
Jeeta Hai Insaan Banke Haiwan,
Main Na Jee Paungi,
Is Duniya Ke Tarz Pe Na Jee Paungi,
Bas Yehi Ek Sathi,
Meri Tanhayi Bas Tanhayi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3897 on: June 14, 2009, 07:11:34 AM »
Baadbaan Khulne Se Pehle Ishara Dekhna,
Main Samundar Dekhti Hoon Tum Kinara Dekhna,

Yun Bichhadna Bhi Bahut Aasan Tha Usse Magar,
Jaate Jaate Usko Wo Mud Kar Dubara Dekhna,

Kis Sabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chaand,
Ye Shab-E-Hijraan Zara Apna Sitara Dekhna,

Aayine Ki Aankh Hi Kuch Kam Nahi Thi Mere Liye,
Jaane Kya Kya Dikhayega Tumhara Dekhna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3898 on: June 14, 2009, 07:12:32 AM »
Dekh Aaj Bhi Logonko Tera AQs Meri Aankhon Mein Nazar Aata Hai,
Wo Sab Jo Mere Saath Guzra Dekh Sab Ko Nazar Aata Hai,

Bahut Man Tha Mujhe Ke Koi Mere Dilse Tera Pyaar Khatam Kar Ke Dikhaye,
Aaj Kuch Paison Mein Tune Bech Diya Mujhe Magar Phir Bhi Mujhe Yakeen Na Aaye,

Duniya Kehti Rahi Ke Tu Bewafa Hai Magar,
Main Tujhme Apni Wafa Dhundta Raha,

Kya Mil Gaya Tumhe Is Deewane Ko Barbaad Karke,
Mar To Usi Din Gaya Tha Jab Thi Kisiki Baahon Mein Tum Aankhen Band Karke,

Kyon Kiya Aisa, Kyon Khuda Ne Meri Suni Nahi,
Shayad Sajdon Mein Tumhari Ibadat Karta Tha,

Khuda Bhi Khuda Na Ban Saka Dekho,
Mera Khuda To Phir Maaf Kar Diya Karta Tha,

Sirf Ek Teri Ibaadat Ki Thi Ye Hi Pasand Na Aaya Khuda Ko,
Warna Hum To Qayamat Ke Roz Bhi Apni Jaan Ke Samne Pesh Hone Ko Baithe The,

Kaagaz Ke Kuch Tukdo Ne Mera Khuda Khareed Liya,
Warna Hum To Upar Baithe Khuda Se Lad Pade The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3899 on: June 14, 2009, 07:13:47 AM »
Der Tak Hansta Raha Wo Mujhko Rota Dekh Kar,
Kaat Kar Rasta Gaya Wo Mujh Ko Hata Dekh Kar,

Sir Pe Mere Jab Koi Saya Nahi Dekha Gaya,
Chadta Sooraj Daal Gaya Mujhko Tapta Dekhkar,

Mere Dushman Khoob Roye Dekh Kar Chehra Mera,
Ghar Kiye Usne Chirag Mujhko Marta Dekh Kar,

Usne Yun Rakh Diye Kaante Phoolon Ki Jagah,
Darmiyaan Gulshan Ke Usne Mujhko Rehta Dekhkar...
Logged
Pages: 1 ... 256 257 258 259 [260] 261 262 263 264 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 02:23:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer