Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 273
Print
Author  (Read 131150 times)
angel4u
Guest
«Reply #390 on: February 19, 2007, 07:31:48 PM »

Kabhi Aati Hai Khamoshi Se,
Chupke Se
Sargoshi Se,
Andheri Raat Mein
Bhigi Barsaat Mein,
Kabhi Veerane Mein
Kabhi Anjane Mein
Kabhi Mehfil Mein
Kabhi Tanhayi Mein,
Kya Khabar Kyon Aati Hai,
Ye WaQt Ke
Kis Wajahse Kiske Liye,
Kiski Khatir
Kiske Liye
Kya Batane
Ye Kya Hai
Ek Ehsaas Hai
Ek Pyaas Hai
Phir Bhi Achhi Lagti Hai,
Anjani Si
Begani Si
Pehchani Si
Ek Khoobsurat Yaad
Tumhari...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #391 on: February 19, 2007, 07:48:21 PM »

Yaad Unki Humse Bhulayi Na Gayi,
Lage Mele Phir Bhi Tanhayi Na Gayi,

Aankhonse Aansu To Beh Nikle Aakhir
Dil Ki Tadap Kisiko Dikhayi Na Gayi,

Kasie Guzregi Tanhayi Mein Zindagi
Humse To Ek Shab Bhi Bitayi Na Gayi,

Udasi Ka Sawan Pal Pal Barse,
Honthon Par Muskaan Layi Na Gayi,

Jal Thal Jul Thul Aakhon Se Bhi Nami,
Tanhayi Ki Jalti Chingari Bujhayi Na Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #392 on: February 19, 2007, 07:52:09 PM »

Kya Hua
Tere Shaher Mein
Raat Bhar
Bahut Shor Tha Bada Zikr Tha
Mere Naam Ka!
Tere Shaher Ke Baam-O-Dar Mera Naam Le Kar Pukarte The,
Kahan Hai Tu,
Laut Aa, Laut Aa, Laut Aa,
Ke Teri Zaat Se Wabasta Shakhs Junoon Ki Had Tak Pahuch Gaya,
Tera Naam!
Kaagaz, Darakht, Zameen Par Likhne,
Mein Is Qadar Magan Hai,
Log Kehte Hai Wali Hai,
Koi Na Chhedo Isko
Baddua Di To Kahan Panaah Milegi Tumko!

Ye Kya Kiya
Ye Tumne Khud Se Hi Kya Kiya?
Chale The Mujhko Surkhro Karne
Aur Apna Hi Nishaan Kho Diya
Main Laut Aaunga
Tere Shaher Mein
Simat Lunga Tujhko Chaar Soo,
Bas Is Kadar Bata Mujhe
Aye Sanam,
Kaun Kiska Naseeb Hai
Kaun Kiska Naseeb Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #393 on: February 19, 2007, 07:54:34 PM »

Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
Gham-E-AshiQi Se Hatna Acha Nahi Lagta.

Khidki Me Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Tere Ghar Se Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.

Rahon Me Teri Yaad Ke Jugnoo Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Ke Chalna Acha Nahi Lagta.

Aye Jaan Tumhe Kab Tak Har Baar Manaun Main
Har Baat Pe Bigadna Acha Nahi Lagta.

Sono Kabhi Ankhoon Ko Kahe Deti Hain Yeh Bahut Kuch.
Har Baat Zubaan Se Kehna Acha Nahi Lagta.

Sawan Ki Ruto Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhton Se Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.

Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Chot Kha Kar.
Haal-Dil Sabhi Se Kehna Acha Nahi Lagta.

Ab Kisi Nigah-E-ShoQ Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Yaad Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.

Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Se Palatna Acha Nahi Lagta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #394 on: February 19, 2007, 07:55:37 PM »

Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai,
Mera Andaz-E-Bayan Mera ZoQ-E-Aagahi Ki Tafseer Hai,

Khaak Hoon Manzil Bhi Meri Khak Magar Sach Hai,
Duniya Kuch Nahi FaQat Mere Khwabon Ki Tafseer Hai,

Main Rond Gaya Hota Kab Se Dar-E-Washet,
Meri Wafa Magar Mere Paanv Ki Zanjeer Hai,

Mere Andaz-E-Bayan Se Nalayan Na Hona Ke
Mera Sach Hi Mera Mujasem Meri Tasveer Hai,

Bhatakti Chahat Par Pehre Bithana Kab Aasan Hua,
Ye Chahat Ye Ulfat To Zindagi Ka Safar Hai,

Mere Warson Mein Warset Ka Zikr Hai Asfer,
Kya Bataun? Chahat Poonji Chahat Hi Jagir Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #395 on: February 19, 2007, 07:56:32 PM »

Kabhi Kitabon Mein Phool Rekhna
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo
Nazar Say Harf-E-Salam Likhna
Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein
Sulagtay Din Thay, Sulgati Ratein
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par
Muhabbaton Kay Payaam Likhna
Gulab Chehron Say Dil Lagana
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana
Wo Arzu'on Kay Khawab Bun'na
Wo Qissa-E-Na Tamaam Likhna
Mere Nagar Ki Haseen Fizao
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao
To Poochna Ke Kahan Basay Wo
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna
Gayee Ruton Main Chup Chaap Apna
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha
Kissi Kay Chehray Ko Subah Likhna
Kissi Kay Chehray Ko Sham Likhna
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #396 on: February 19, 2007, 07:57:13 PM »

Yeh Husn Yeh Aada Yeh Nazakat Yeh Aankhen,
Sab Khubiya Hai Magar Bewafa Hai Tu,
Pechle Baras Tha Khuff Tujhe Kho Na Do,
Ab Ke Baras Yeh Hai Tera Samna Na Ho,
Woh Hai Salamat To Addabat Ka Maza Hai,
Dushman Ko Kabhi Jaan Se Mara Nahi Karte,
Guzre Hai Hum IshQ Ki Aisi Makaam Se,
Ke Nafrat Si Hogai Hai Muhabbat Ke Naam Se ,
Naseeb Ki Mehfil Main Bewafai Ka Darwaza Khul Gaya.
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #397 on: February 19, 2007, 07:59:19 PM »

Khusbo'on Ki Tarha Meri Har Saans Main
Piyar Apna Basanay Ka Wada Karo
Ranng Jitnay Tumhari Mohabbat Kay Hain
Meray Dil Main Sajanay Ka Wada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pay Mujko Yakeen
Phir Bhi Dil Chahta Hai Meray Dil Nasheen
Yoonhi Meri Tasali Ki Khatir Zara
Mujko Apna Bananay Ka Wada Karo
Jab Mohabbat Ka IQrar Kartay Ho Tum
Dhadkanoon Main Naya Rang Bhartay Ho Tum
Baarha Kar Chukay Ho, Magar Aj Phir
Mujhko Apna Bananay Ka Wada Karo
Sirf Lafzoon Say IQrar Hota Nahi
Ik Janib Say Hi Piyar Hota Nahi
Main Tumhain Yaad Rakhnay Ki Khaon Qasam
Tum Mujko Na Bhulanay Ka Wada Karo.
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #398 on: February 19, 2007, 08:01:12 PM »

Shaam Ke Ujalo Par,
Apny Narm Hatho Sy,
Koe Baat Achi Si,
Koe Khawab Sacha Sa,
Koi Bolti Kushbu,
Koi Sochta Lamha,
Jab Bhi Likhna Chaho Gy,
Soch Ker Daricho Sy,
Yaad K Hawalo Sy,
Mere Naam Chup Chup Kar,
Tum Ko Yaad Aay Ga,
Hath Kaanp Jain Gy,
Shaam Teher Jay Gi,
Meri Yaad Aay Gi,
Meri Yaad Aay Gi,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #399 on: February 19, 2007, 08:02:20 PM »

Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi DASTAKEN
Toota Kiska Dil Kiski Aah Ban Gayee DASTAKEN
Humse Kya Poochte Ho Jamane Ki Wahshay Ke Nisaan
Suno Un Khandaron Mein Kya Keh Rahi Hain DASTAKEN
Hum Bhi Hue Hain Apni Garj Ke Deewane Eay Garjmandon
Humen Dekh Kar Sote Hue Kafan Se Laut Gayee DASTAKEN
Ab Chale Tere Ujalon Se Nihaar Ke Bajam E Khushi
Andheron Se Hawayen Lekar Aa Gayee DASTAKEN
Kyun Itne Gum Lekar Chalte Ho Sar E Bazar
Chupana Dushwaar Palkon Par Askon Ki Jo Hui DASTAKEN
Tujhse Bhi Ho Khafa Ye Malamat Hai Hum Par
Ye To Chahre Pe Dard Ki Ubhar Aayee DASTAKEN
Tum Ro Rahe Ho Apni Mayoosiyon Ko Doston
'Khushboo' E Jahan Ki Aahen Ban Gayee DASTAKEN
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #400 on: February 19, 2007, 08:03:31 PM »

Chand Ki Chahat Karty Hooo
Tum Pagal Larky Lagty Hooo
Wo Dur Falak Pe Rehta Hai
Tum Kahin Zameen Pe Basty Hoo
Sitareey Uss Kay Hum Dum Hain
Kiyun Baat Nahin Samajty Hoo
Wo Pariyun Kay Deese Ka Baasi Hai
Tum Aam Sei Surat Lagty Hoo
Kiyun Raat Bhaar Neend Nahin Aatee
Kiyun Sooch Main Doobay Rehty Hoo
Jo Tum Pe Beeti Mohabiat Main
Uss Se Kiyun Nahin Kehty Hoo
Khaboon Main Khoyee Rehty Hoo
Kiyun Mary Mary Phirty Hoo
Chand Se Batain Karty Hoo
Raat Ki Baahoon Main Sotey Hoo
Yun Aas Lagayey Bethy Hoo
Kisi Ki Baat Suntay Hoo
Chand Ki Chahat Karty Hooo
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #401 on: February 19, 2007, 08:05:06 PM »

KYA AB BHI...

Kya Ab Bhi Meri Jhalak Khwabon Mein Nazar Aati Hai Tumhe,
Kya Meri Har Yaad Ab Bhi Raat Bhar Jagati Hai Tumhe,

Har Andhera Tumhe Mujh Tak Khich Lata Tha,
Kya Ab Bhi Koi Roshni Is Tarah Bulati Hai Tumhe,

Mera Har Raaz Tumhe Hawa Hi Bata Jaati Thi,
Kya Ab Bhi Khushbu Mere Paigam Sunati Hai Tumhe,

Meri Takleef Par Wo Aankh Mein Nami Ka Aa Jana,
Kya Ab Bhi Meri Koi Baat Rulati Hai Tumhe,

Tumhara Har Jazba, Tumhari Aankh Mujhse Keh Deti,
Kya Ab Bhi Wo Kuch Na Keh Kar Har Baat Batati Hai Tumhe,

Har Awaz Pe Tumhe Mere Aane Ka Hota Tha Guman,
Kya Ab Bhi Koi Aahat Yun Satati Hai Tumhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #402 on: February 20, 2007, 05:43:29 PM »

Jo Keh Na Sake Wo Fasana Yaad Aata Hai
Guzra Hua Dilkash Jamana Yaad Aata Hai

Jab Husn Se IshQ Takraya Tha Kabhi
Ghayal Hua Tha Ek Parwana Yaad Aata Hai

Dil Se Mohabbat Ke Tufaan Uthe The Jab
Aankhon Ka Sapne Sajana Yaad Aata Hai

Kasturi Jaise Din Mehakte The Mere
Raaton Ka Gungunana Yaad Aata Hai

Aankhon Ka Mil Kar Jhuk Jana Nahin Bhula
Hothon Ka TharTharana Yaad Aata Hai

Mera Usko Kankhiyon Se Dekhna Baar Baar
Aur Uska Wo Muskurana Yaad Aata Hai

Raaton Ko Tanha Yaad Mein Kisiki...
Dhuan Udata Ek Deewana Yaad Aata Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #403 on: February 20, 2007, 05:46:15 PM »

Baadalon Aaj Tum Na Garajna,
Dil Mein Pehle Se Bada Shor Macha Hai
Suraj Tu Aaj Na Nikalna,
Dil Mein Pehle Se Badi Aag Lagi Hai

Gam Tu Mujhe Na Satana,
Mehkhana Hamare Liye Band Ho Chuka Hai
Aaine Tu Mujhe Mera Chehra Na Dikhana,
Khud Se Nafrat Si Ho Gai Hai
Khuda Tu Mujhe Apne Paas Na Bulana,
Tujh Se Bhi Nafrat Ho Gai Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #404 on: February 20, 2007, 05:52:18 PM »

Unse Milne Ko Dil Mera Har Pal Bekaraar Hai,
Jaa Chuke Hai Woh Abhi, Ab Kiska Intezaar Hai,

Parchaayi Jiski Girte Hi Pathar Pighal Jaaye,
Kisi Ka Dil Na Tode Woh To Aisa Dildaar Hai,

Chandni Uspe Girti Hai Toh Chand Sharmaaye,
Mujh Se Haseen Banaakar Khuda Gunehgaar Hai,

Udaasi Bohot Hai Is Duniya Mein Berukhi Bankar,
Chehro Par Sabke Sirf Uska Hi Nikhaar Hain,

Nazrein Cheen Leti Hain Woh Jab Aage Se Guzre,
Jee Bhar Ke Dekh Sake Kisko Yeh Ikhtiyaar Hai,

Aanchal Mein Chand Ke Taare Nahi Hai Ab Jitne,
Aalam Mein Is Par Tiki Nazarein Beshumaar Hai,

Tum Apni Jaan Uske Qadmon Mein Rakh Sakhte Ho,
Magar Saara Zamana Bhi Uspar Jaan Nisaar Hai,

Har Dil Dhadakta Hai Uske Naam Seh Har Lamha,
Fakr Kar Mere Dil Ki Use Toh Sirf Tumse Pyaar Hain,
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 02:42:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer