Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 257 258 259 260 [261] 262 263 264 265 ... 273
Print
Author  (Read 131125 times)
angel4u
Guest
«Reply #3900 on: June 14, 2009, 07:14:13 AM »
Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai,
Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Nahi,

Usne Kaha Ke Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez?
Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar Hai,

Usne Kaha Kaun Sa Tohfa Tumhe Main Dun,
Maine Kaha Wohi Shaam Jo Abhi Tak Udhaar Hai,

Usne Kaha Khizan Mein MulaQat Ka Jawaz,
Maine Kaha, Qurb Ka Matlab Bahar Hai,

Usne Kaha Senkdo Gam Zindagi Mein Hai,
Maine Kaha Gam Nahi, Jab Ghamgasar Sath Hai,

Usne Kaha Sath Kahan Tak Nibhaogi,
Maine Kaha Jitni Ye Saans Ki Taar Hai,

Usne Kaha Mujhko YaQeen Aaye Kis Tarah,
Maine Kaha, Naam Mera Aitbaar Hai...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3901 on: June 14, 2009, 07:49:57 AM »
Tamam peshkash qabil-e-tareef hai.
Logged
shab
Guest
«Reply #3902 on: June 14, 2009, 07:52:29 AM »
 NICE CREATION ANGEL JI
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3903 on: June 14, 2009, 08:18:15 AM »
Tamam peshkash qabil-e-tareef hai.

Bahut bahut Shurkiya Sayyid Ji..

Aapka tah-e-dilse shukriya ke aapna hamare collection ko itna time deke padha. Thank you so much Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3904 on: June 14, 2009, 08:18:55 AM »
NICE CREATION ANGEL JI

Thanks for liking Shab Ji... actualy this is not my creation these are from my collection Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3905 on: June 14, 2009, 02:12:45 PM »
Kise Pukare Hum Is Hajoom-E-Gam Mein,
Ke Sabhi Hamare Aazmaye Hue Hai,

Tum Hi Ne Kar Diya Hamein Tanha,
Warna Hum To TalluQ Nibhaye Hue Hai,

Dheeme Dheeme Aansu Dilse Girte Hai,
Ke Hum Apna Gam Sab Se Chhupaye Hue Hai,

Khushiyon Se Bhi Ab To Lagta Hai Dar,
Is Qadar Zakhm Humne Khaye Hue Hai,

Hum Karein Kisi Par Ab Kaise Bharosa,
Ke Zamane Se Dhoke Khaye Hue Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3906 on: June 14, 2009, 02:13:10 PM »
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan,
Jahan Nafrat Dil Mein Bas Na Sake,
Jahan Koi Kisipe Hans Na Sake,
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan,
Jahan Dard Kisiko Raas Na Ho,
Jahan Zulmat Ki Boo Baas Na Ho,
Jahan Koi Malool Udaas Na Ho,
Jahan Tu Bhi Mere Paas Na Ho,
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3907 on: June 14, 2009, 02:14:13 PM »
Mohabbat Rooth Jaati Hai,
Mohabbat Toot Jaati Hai,
Mohabbat Mein Adakari Nahi Chalti,
Mohabbat Mein Riyakari Nahi Chalti,
Mohabbat Sachhe Jazbon Se Bana Anmol Moti Hai,
Mohabbat Zindagi Mein FaQt Ek Baar Hoti Hai,
Mohabbat Kaanch Ke Maanind,
Mohabbat Aanch Ke Maanind,
Ke Jhon Jhon WaQt Guzre To,
Ye Har Pal Tez Hoti Hai,
Sulagti Aag Ke Maanind,
Mohabbat Raag Ke Maanind,
Ke Iske Sunne Walon Par,
Ajeeb Madhoshi Chha Jaati Hai,
Mohabbat Jhilmilati Hai,
Chamakte Chand Ke Maanind,
Mohabbat Ek Moorat Hai,
Mohabbat Khoobsurat Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3908 on: June 14, 2009, 02:15:01 PM »
Zindagi Se Haar Maani Aur Lahed Mein Kho Gaye,
Khaak Ka Takiya Banaya Aur Sukoon Se So Gaye,

Ek Hichki Aayi Aur Saaman-E-Duniya Lut Gaya,
Dekhte Dekhte Hi Barson Ka Saath Chhut Gaya,

Kis Kadar Tumko Pukara, Kis Kadar Awaz Di,
Tum Magar Khamosh The Meri Hi Bas Awaz Thi,

Aisa Lagta Hai Jaise Sath Rehte Hi Na The,
Is Tarah Rukhsat Hue Jaise Ke Jante Hi Na The,

Koi Sargoshi, Koi Awaz Aati Hi Nahi,
Kya Hamari Bhi Koi Awaz Jaati Hi Nahi???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3909 on: June 14, 2009, 02:15:21 PM »
Dhuwan Utha Tha Deewane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat,
Lekin Wo Khaamosh Raha Duniya Ke Dar Se Saari Raat,

Raat Yun Jalte Dil Par Teri Yaadon Ki Barsaat Hui,
Jaise Ek Pyaas Ki Cheeta Par Barkha Barsi Saari Raat,

Saari Raat To Sapne Dekhe Subah Ko Ye Mehsoos Hua,
Humne Apna Sar Takraya Ek Patthar Se Saari Raat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3910 on: June 14, 2009, 02:16:02 PM »
Use Rokte Bhi To Kaise,
Wo Jo Sheher-E-Dil Tha Ujad Gaya,
Wo Jo Khwaab Tha Bikhar Gaya,
Kabhi Mausamon Ki Nazar Lagi,
Kabhi Wehmon Ne Dara Diya,
Kabhi Manzilon Ke Siraab Ne,
Kabhi Raaste Mein Daga Diya,
Kabhi Zindagi Ki Kitab Se,
Hamein Jisne Chaha Mita Diya,
Bus Isi Liye,
Wo Jo Jaa Raha Tha To Door Tak,
Ise Dekhte Hi Rahe Magar,
Nahi Di Sada,
Use Rokte Bhi To Kisliye?
Use Rokte Bhi To Kisliye???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3911 on: June 14, 2009, 02:17:20 PM »
Baadal Ko Chhuneki Aadat To Thi,
Udne Ka Armaan Nahi Tha Magar,
De Diya Mujhko Ek Ajnabi Aasman,
Mere Pairon Se Meri Zameen Chhin Kar,
Hum Pardesi Hogaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3912 on: June 14, 2009, 02:17:56 PM »
Kaash Tum Jaan Sakte Is Dil Ki Baat,
Kaash Hum Bata Sakte Is Dil Ki Baat,
Humne To Kahi Thi Is Dilki Baat,
Kabhi Aankhon Se Kabhi Posheeda Baaton Se,
Kabhi Saanson Se Kabhi Aahon Se,
Tum Hi Na Samajh Paaye Is Dilki Baat,
Is Dilne Di Awaz Tumko Baar Baar,
Tum Hi Na Sun Paaye Is Dilki Awaz,
Tumne Na Suni Is Dilki Aawaz,
Is Dil Ne Na Suni Phir Kisiki Awaz...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3913 on: June 14, 2009, 02:49:11 PM »
Are mera likha hua  nahi hia, mere collections mein se hai Usual Smile

thanks for liking dear...

Thank you Roja...
srry Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3914 on: June 14, 2009, 02:52:44 PM »
Aayla kyon sorry kehte ho tongue3
Logged
Pages: 1 ... 257 258 259 260 [261] 262 263 264 265 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:56:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer