Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 259 260 261 262 [263] 264 265 266 267 ... 273
Print
Author  (Read 132801 times)
angel4u
Guest
«Reply #3930 on: June 28, 2009, 05:12:42 PM »
Ek Awaz Liye Baitha Hoon,
Dil Mein Saaz Liye Baitha Hoon,

Tashnagi Dil Mein Rakhta Hoon,
Bas Ek AQs Liye Baitha Hoon,

Uski Aankhon Mein Aseer Hone Ke Liye,
Din Raat Liye Baitha Hoon,

Jaane Mile Bhi Ya Na Mujhe,
Bas Ek Aas Liye Baitha Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3931 on: June 28, 2009, 05:13:04 PM »
Dilka Kya Hai Wo To Chahega Musalsal Milna,
Wo Sitamgar Bhi Chahe Magar Sochiye Kis Pal Milna,

Wo Nahi WaQt To Hum Bhi Hai Adeem-Ul-Fursat,
Usse Kya Miliye Jo Har Roz Kahiye Kal Milna,

IshQ Ki Raah Ke Musafir Ka MuQaddar Malum,
Sheher Ki Soch Mein Ho Aur Use Jangal Milna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3932 on: June 28, 2009, 05:13:30 PM »
Is Dilki Raahon Mein,
Apno Mein Sapno Mein,
Palkon Ki Chilman Mein,
AshQon Ke Aansoo Mein,
Muskurate Hothon Mein,
Har Haseen Chehre Mein,
Har Lamhe Yaadon Mein,
Khoobsurat Mausam Mein,
Phootti Kaliyon Mein,
Khilte Phoolon Mein,
Suraj Ki Kirno Mein,
Dhoop Mein Saaye Mein,
Kadakte Badal Mein,
Baarish Ki Boondon Mein,
Dhalti Shamon Mein,
Tanha Raaton Mein,
Raat Ki Tareeki Mein,
Chanda Ki Roshni Mein,
Taaron Ki Jhilmil Mein,
Khushbu Mein Saanso Mein,
Ankahi Baaton Mein,
Pyaar Se Mohabbat Mein,
Dhunda Jahan Mein,
Paaya Tujhko Aankhon Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3933 on: June 30, 2009, 03:00:10 AM »
Mere Dil, Mere Musafir,
Hua Phir Se HuQam Sadir,
Ke Watan Badar Ho Hum Tum,
De Gali Gali Sadayein,
Karein Rukh Nagar Nagar,
Ke Suraag Koi Payein,
Kisi Yaar-E-Nama Bar Ka,
Har Ek Ajnabi Se Puchhein,
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka,
Sar-E-Kooe Na Shanaayan,
Hamein Din Se Raat Karna,
Kabhi Isse Baat Karna,
Kabhi Usse Baat Karna,
Tumhe Kya Kahun Ke Kya Hai,
Shab-E-Gam Buri Bala Hai,
Hamein Ye Bhi Tah Ganeemat,
Jo Koi Shumaar Hota,
Hamein Kya Bura Tha Marna,
Agar Ek Baar Hota,
Hamein Kya Bura Tha Marna,
Agar Ek Baar Hota...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3934 on: June 30, 2009, 03:00:27 AM »
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Na Manzil Hai Na Manzil Na Nishaan Hai,
Kahan Par Lakar Chhoda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Main Un Sheesha Garon Se Puchhta Hoon,
Ke Toota Dil Bhi Joda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Hai Deewano Ko Zanjeeron Se Nisbat,
Ye Rishta Bhi Khoob Joda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Mohabbat Ne Mujhe Barbaad Karke,
Lahoo Dilka Nichoda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Bhari Mehfil Mein Ali Ne Pukara,
Mere Ali Ko Dekha Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3935 on: July 01, 2009, 07:18:20 AM »
Bahut hi Umda Collection Hai Angel.. Har ek Shayari, Gazal, Nazm... Sab kuch ek se badh kar ek hain.. Bahut Bahut Khooooob.. Applause


**~** Mann **~**
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3936 on: July 01, 2009, 08:04:14 AM »
Bahut achchha collection hai Angel Ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #3937 on: July 01, 2009, 08:50:57 AM »
Ab Khushi Hai Na Kio Gam Rulane Wala,
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala,

Usko Rukhsat To Kya Tha Mujhe Malum Na Tha,
Saara Ghar Le Gaya, Ghar Chhod Ke Jaane Wala,

Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sab Ki Duniya,
Koi Jaldi Mein Koi Der Se Jaane Wala,

Ek Be-Chehra Se Ummid Hai Chehra-Chehra,
Jis Taraf Dekhiye Aane Ko Hai Aane Wala...


Sab ke sab Bahut accha collections hai dear hasina..
The above one is really wonderful. Thanks for sharing lovely collections sweetu.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3938 on: July 01, 2009, 11:41:43 PM »
Mujh jese kachuwe ki raftar se padhne waale ke liye aap ka collection bohot hi bada hai Angel Ji, gaahe gaahe bohot se ashaar padhta raha hun magar akeeri peshkash "Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine" to bar bar dohra ne ko dil karta hai, kain baar padh chuka Zabardast hai.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3939 on: July 02, 2009, 04:09:08 PM »
Bahut hi Umda Collection Hai Angel.. Har ek Shayari, Gazal, Nazm... Sab kuch ek se badh kar ek hain.. Bahut Bahut Khooooob.. Applause


**~** Mann **~**

Shukriya Vicky... Maine socha nahi tha ke aaj ye thread itne saare pages paar kar jayega aur itne saare comments bhi milenge.


So nice to see this Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3940 on: July 02, 2009, 04:23:44 PM »
Bahut achchha collection hai Angel Ji

Thanks a lot Rajesh Ji...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3941 on: July 02, 2009, 04:25:26 PM »
Sab ke sab Bahut accha collections hai dear hasina..
The above one is really wonderful. Thanks for sharing lovely collections sweetu.


Thank you so much re, hai kaahn re tu
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3942 on: July 02, 2009, 04:28:01 PM »
Mujh jese kachuwe ki raftar se padhne waale ke liye aap ka collection bohot hi bada hai Angel Ji, gaahe gaahe bohot se ashaar padhta raha hun magar akeeri peshkash "Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine" to bar bar dohra ne ko dil karta hai, kain baar padh chuka Zabardast hai.....

Mujhe bahut khushi hoti hia jab aapka comment ye thread pe hota hia. aapka bahtu shukriya ke aap itna waqt mere collection ko dete hai, isse badi appreciation to koi ho hi nahi sakti hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3943 on: July 02, 2009, 04:54:17 PM »
Udaasi Ka Ye Patthar Aansuon Se Nam Nahi Hota,
Hazaron Jugnon Se Bhi Andhera Kam Nahi Hota,

Kabhi Barsaat Mein Shadaab Belein Sookh Jaati Hai,
Hare Pedon Ke Girne Ka Koi Mausam Nahi Hota,

Bahut Se Log Dilko Is Tarah Mehfooz Rakhte Hai,
Koi Baarish Ho Ye Kagaz Zara Bhi Nam Nahi Hota,

Bichhadte WaQt Koi Badgumani Dil Mein Aa Jaati,
Use Bhi Gam Nahi Hota Mujhe Bhi Gam Nahi Hota...



Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Na Manzil Hai Na Manzil Na Nishaan Hai,
Kahan Par Lakar Chhoda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Main Un Sheesha Garon Se Puchhta Hoon,
Ke Toota Dil Bhi Joda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Hai Deewano Ko Zanjeeron Se Nisbat,
Ye Rishta Bhi Khoob Joda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Mohabbat Ne Mujhe Barbaad Karke,
Lahoo Dilka Nichoda Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine,
Bhari Mehfil Mein Ali Ne Pukara,
Mere Ali Ko Dekha Hai Kisine,
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisine,
Sahara De Kar Chhoda Hai Kisine...


Ek Awaz Liye Baitha Hoon,
Dil Mein Saaz Liye Baitha Hoon,

Tashnagi Dil Mein Rakhta Hoon,
Bas Ek AQs Liye Baitha Hoon,

Uski Aankhon Mein Aseer Hone Ke Liye,
Din Raat Liye Baitha Hoon,

Jaane Mile Bhi Ya Na Mujhe,
Bas Ek Aas Liye Baitha Hoon...


Bahut Bahut Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Excellent Sharing Angel!!! Thumbs UP icon_thumleft
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3944 on: July 03, 2009, 02:50:37 AM »
Thank you so much Khwaish Ji...
Logged
Pages: 1 ... 259 260 261 262 [263] 264 265 266 267 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:54:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer