Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 263 264 265 266 [267] 268 269 270 271 ... 273
Print
Author  (Read 131116 times)
angel4u
Guest
«Reply #3990 on: July 31, 2009, 03:01:29 AM »
Dilko Hasa Ke Dilko Rula Dein,
Aansu Se Bharein Aankhein,
Pyaar Ki Baatein,
Milte Milte Kabhi Na Socha Kabhi
Juda Bhi Honge Hum Milte Milte,
Chalte Chalte Kabhi Na Socha Kabhi
Khafa Bhi Honge Hum Chalte Chalte,
Raahon Mein Mushkil Jo Aa Gayi,
Raahon Mein Mushkil Jo Aa Gayi,
Dilko Kaun Bataye,
Ab Tak Dil Mein Gunj Rahi Hai
Wohi Pyaar Ki Yaadein,
Pyaar Ki Baatein,
Pyaar Ki Baatein,
Hanste Hanste Kabhi Na Socha Kabhi
Ye Aankehin Royenge, Haste Haste,
Rukte Rukte Kabhi Na Socha Kabhi
Ye Saansein Khoyenge, Rukte Rukte,
Tooti Ye Saanson Ki Doriyan,
Tooti Ye Saanson Ki Doriyan,
Kab Tak Koi Chhupaye, Ab Tak Humko,
Loot Rahi Hai Wohi Pyaar Ki Raatein,
Pyaar Ki Baatein,
Pyaar Ki Baatein, Dilko Hasa Ke,
Dilko Rula Dein, Pyaar Ki Baatein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3991 on: July 31, 2009, 03:02:00 AM »
Tum Mere Kaun Ho, Kuch Bhi To Nahi,
Phir Bhi Main Apna Samajhta Hoon Tumhe,
Dekhta Hoon Tumhe Har Roz Sar-E-Raah Guzar,
Tum To Khamosh Barabar Se Guzar Jate Ho,
Aise, Jaise Mujhe Dekha Hi Nahi,
Aur Main Yunhi Apne Raste Par Chalta Hoon,
Aise, Jaise Mujhe Rukna Hi Nahi,
Tum Mere Kaun Ho, Kuch Tum Hi Batao Mujhko,
Main To Ye Soch Kar Khamosh Ho Jata Hoon,
Tum Mere Kaun Ho, Kuch Bhi To Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3992 on: July 31, 2009, 03:03:29 AM »
Jaane Walon Ko Kabhi Yaad Kiya Nahi Karte,
IshQ Mein Lagaye Hue Zakhm Kabhi Sila Nahi Karte,

Wo Karte The Har WaQt Deedar Ki Baatein,
Main Kaise Bataun Ke Bichhadne Wale Kabhi Mila Nahi Karte,

Jinhe Shaakh Se Tod Diya Jaaye Bedardi Se,
Wo Phool Zyada Der Tak Taza Kabhi Raha Nahi Karte,

Wo Log Jo Bahut Haseen Hote Hai,
Kabhi Bhi Kisise Wafa Nahi Karte,

Jinko Aadat Ho Dil Tod Jaane Ki Unse Ye Kehna,
Toote Hue Dil To Kabhi Juda Nahi Karte,

Bahut Bedard Hai Is Duniya Mein Basne Wale,
Bedard Ki Sana Hum Kabhi Kiya Nahi Karte,

Jo Janta Ho Is Shiddat-E-Tanhayi Ko,
Wo IshQ Ka Jaam Kabhi Piya Nahi Karte,

Wafa Ke Badle Mein Mili Ho Bewafayi Jise,
Wo Chalte Phirte To Hai Magar Jiya Nahi Karte,

Mohabbat Mein Jo Khud Ko Kar Dete Hai Barbaad,
Wo To Sanam Ki Bewafayi Ka Bhi Gila Nahi Karte,

Wo To Rehte Hai Har WaQt Khayalon Mein Base,
Main Kaise Keh Dun Ke Mujhse Wo Mila Nahi Karte,

Jaane Walon Ko Rok Lo,
Sachhe Humdam Baar Baar Mila Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3993 on: July 31, 2009, 03:04:18 AM »
Applause Applause Applause
Wonderful shayari.... Thanks for sharing sweetu.  Usual Smile


Thanks for reading dear...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3994 on: July 31, 2009, 03:04:40 AM »
Bahut Acche Angel.. bahut Khoooooob Likhi hai Yeh Rachna.. Applause


**~** Mann **~**

Maine nahi likhi hia re...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3995 on: July 31, 2009, 03:05:02 AM »
..

bohat khoob very nice Angel ji.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks saurabh, nice to see you after so long... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3996 on: August 02, 2009, 05:06:21 AM »
Usne Ek Baar Mujhse Puchha,
Ke Batao,
Mujhe Kitna Yaad Karte Ho,
Maine Kaha
Bahut Zyada,
Usne Dobara Sawal Kiya,
Ke Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi,
Maine Kaha,
Bahut Bahut Bahut Zyada,
Mera Jawab Sunkar Wo,
Zar-E-Lab Dheerese Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhse Bhi Puchho"
Aur Jab Maine Puchha,
To Uski Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi,
Aur Halka Sa Gulabi Rang Uske Chehre Pe Aa Kar Guzar Gaya,
Usne Mujhe Doobti Hui Nazronse Dekha,
Phir Palkein Jhuka Kar Boli,
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jaata Hai,
Jinhein Aadmi Bhool Jayein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3997 on: August 02, 2009, 05:08:46 AM »
Dil Laga Kar Hum Ye Samjhe, Zindagi Kya Cheez Hai,
IshQ Kehte Hai Kise Aur AashiQui Kya Cheez Hai,

Hai Ye Rukhsaar Ke Shole, Ye Bahein Marmari,
Aapse Mil Kar Ye Do Baatien, Samajh Mein Aa Gayi,
Dhoop Kiska Naam Hai Aur Chandni Kya Cheez Hai,

Aapki Shokhi Ne Kya Kya Roop Dikhlaye Hamein,
Aapki Aankhon Ne Kya Kya Jaam Pilaaye Hamein,
Hosh Kho Baithe To Jaana, Bekhudi Kya Cheez Hai,

Aapki Raahon Mein Jab Se Humne Rakha Hai Qadam,
Humko Ye Mehsoos Hota Hai Ke Hai Manzil Pe Hum,
Kio Kya Jaane Mohabbat Ki Khushi Kya Cheez Hai,

Baad Muddat Ke Mile To, Is Tarah Dekha Mujhe,
Jis Tarah Ek Ajnabi Par Ajnabi Daale Nazar,
Aap Ne Ye Bhi Na Socha Dosti Kya Cheez Hai,

Pehle Pehle Aap Hi Apna Bana Baithe Hamein,
Phir Na Jaane Kis Liye Dilse Bhula Baithe Hamein,
Ab Hua Malum Hum Ko Berukhi Kya Cheez Hai,

Pyaar Sachha Hai Mera To Dekh Lena, Aye Sanam,
Aap Aakar To Denge Khud Meri Zanjeer-E-Gam,
Banda Parvar Jaan Lenge Bandagi Kya Chiz Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3998 on: August 02, 2009, 05:09:13 AM »
Shayad Aap Bhi Humko Itna Hi Pyaar Karenge,
Aas Laga Ke Baithe Hai Hum,
Aap Ke Dil Ko Dastak Dete Phirte Hai,
Kya Aapko Sunayi Di Hamari Khatkhatahat,
Dilke Darwaze Ko Band Mat Karna,
Band Hai To Kholna Mat Bhulna,
Aapki Zindagi Ki Awaz Humko Yahan Tak Aati Hai,
Kash Aapko Khabar Hai,
Ke Aapse Jo Baatein Ki Thi,
Wo Aaj Tak Hamare Dil Mein Basi Hai,
Aur Aapki Yaadein Hai Mein Aaj Tak Rasee Hai,
Dil Ka Dard Hai,
Dawa Aapke Paas Hai,
Ye Kya Insaaf Hai Char Din Jo Muntazir Hui Hai,
Use Bhi Mar Dalna Chahte Ho Kya,
Lekin Hum Aapko Apne Mein Basa Ke Zinda Rahenge,
Agar Maut Aa Gayi Bhi To Bhi Aapko Yaad Karenge,
Lakh Sataoge Zindagi Mein,
Aapko Yaad Karenge Aur Jee Jayenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3999 on: August 02, 2009, 05:09:38 AM »
Din Guzar Gaya Aitbaar Mein,
Raat Kat Gayi Intezaar Mein,

Wo Maza Kahan Wasl-E-Yaar Mein,
Lutf Jo Mila Intezaar Mein,

Unki Ek Nazar Kaam Kar Gayi,
Hosh Ab Kahan Hoshiyaar Mein,

Meri Aankh To Uthi Phool Ki Taraf,
Dil Ulajh Gaya Husn-E-Khaar Mein,

Tumse Kya Kahein Kitne Gam Sahe,
Humne Bewafa Tere Pyaar Mein,

FiQr-E-Aashiyaan Har Khizaam Ki,
Aashiyaan Jala Har Bahaar Mein,

Kis Tarah Ye Gam Bhool Jayein Hum,
Wo Juda Hue Is Bahar Mein...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4000 on: August 02, 2009, 02:03:39 PM »
Wonderful gazals dear angel... Applause Thanks for sharing  Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4001 on: August 09, 2009, 08:31:17 AM »
Abhi Tak Saada Rakha Hai,
Ye Kaagaz Apni Chahat Ka,

Munasib Jab Bhi Samjhenge,
Koi Paigam Likh Denge,

Koi Paigam Kya Likhna Hai,
Is Chhote Se Kagaz Par,

Jisko Chahte Hai,
Bas Usika Naam Likh Denge...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4002 on: August 09, 2009, 08:46:03 AM »
Allah ka shukar hai, jisne aap ko sehat ataa farmai or dobara is mehfil ko rangeniyon se sajaya...

Badi himmat or pukhta irade ke bagair koi itni jaldi apni lay main wapas nahi aasakta, ummid karta hun aap isi tarah is bazm-e-sukhan main apni rangeeniyan bikherte rahenge.

Bohot achhe kalaam paish kiye aapne angel ji..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4003 on: August 09, 2009, 08:59:31 AM »
wah kya bat hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4004 on: August 09, 2009, 12:56:01 PM »
Allah ka shukar hai, jisne aap ko sehat ataa farmai or dobara is mehfil ko rangeniyon se sajaya...

Badi himmat or pukhta irade ke bagair koi itni jaldi apni lay main wapas nahi aasakta, ummid karta hun aap isi tarah is bazm-e-sukhan main apni rangeeniyan bikherte rahenge.

Bohot achhe kalaam paish kiye aapne angel ji..



Bahut shukriya Sayyid Ji..

Bas ye to aap sabki duwayein hai jisne mujhe itni jaldi thik kar diya. khair kamzori abhi bhi hia par yoindia se zyada din door rehna mumkin nahi mere liye. Tah-e-dil se shukriya ada karti hoon saare doston ka jinhone har pal meri achhi sehat ke liye duwayein Ki. thanks a lot.. Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 263 264 265 266 [267] 268 269 270 271 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:40:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer