Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 267 268 269 270 [271] 272 273
Print
Author  (Read 132778 times)
salil2002
Guest
«Reply #4050 on: September 06, 2009, 01:57:43 PM »
Aaj Ye Deewar Pardon Ki Tarah Hilne Lagi,
Shart Lekin Thi Ke Ye Buniyaad Hilni Chahiye,

Sirf Hungama Khada Karna Mera Maqsad Nahi,
Saari Koshish Hai Ke Ye Soorat Badalni Chahiye,

Mere Seene Mein Na Sahi To Tere Seene Mein Sahi,
Ho Kahin Bhi Aag Lekin Aag Jalni Chahiye...



bahut achche huzena dear

jala k aag hum bechen hai,tapish iski jeene na de
bujha le maye se isko hum, magar mera yaar peene na de
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4051 on: September 06, 2009, 01:59:17 PM »

wah wah bahut achhe Salil...


bujhaneko to bujh bhi jaaye har aag zamane ki,
kya karoge us aag ko lo lagi hia ashqon ke behne se...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4052 on: September 06, 2009, 02:08:08 PM »

wah wah bahut achhe Salil...


bujhaneko to bujh bhi jaaye har aag zamane ki,
kya karoge us aag ko lo lagi hia ashqon ke behne se...



ashqon ne lagayi hai aag jo mere seene main
oose bujhaye koi toh chen aa jaaye
ab toh bas yeh sochte hain aur rite hain
ashqon se meri chen tu pa jaaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4053 on: September 06, 2009, 02:13:45 PM »

ashq tere meri rooh ko bhi jala ke rakh denge,
teri aankhon ki nami me khudko duba ke rakh denge,
dard tera hamein bhi khoob dard deta hai jaanam,
isliye hum ashqon ko muskurana sikha lete hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4054 on: September 09, 2009, 12:50:06 AM »
Dil to bana hai jaise tootne ke liye
Ek saathi to mila tha jaise roothne ke liye
Pyar ki kashti bhi chali thi jaise doobne ke liye
Aur Rab ne khushiyaan di thi jaise lootne ke liye

Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyaaar Karne Ki Kya Khub Saza Mili..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4055 on: September 09, 2009, 07:59:02 AM »
Roja behen bohot achha likha hai.. yahan ayse hi likhte rehna..
Logged
Roja
Guest
«Reply #4056 on: September 09, 2009, 01:40:03 PM »
Roja behen bohot achha likha hai.. yahan ayse hi likhte rehna..

Sayyid bhaiya.... yeh mera likha shayari nahi hai. Yeh mera dost ka likha hua shayari hai jo mai yahan share ki.

and Bhaiya, thanks for reading  Usual Smile

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4057 on: September 09, 2009, 02:12:55 PM »
Achchhi baat hai.. aap ke dost ne bhi achha likha hai.. bas jab tak Angel ji wapas nahi aate tab tak hamin in ashkon ko muskurate rakhna hai..
Logged
Roja
Guest
«Reply #4058 on: September 09, 2009, 02:15:36 PM »
Achchhi baat hai.. aap ke dost ne bhi achha likha hai.. bas jab tak Angel ji wapas nahi aate tab tak hamin in ashkon ko muskurate rakhna hai..

Inshallah.. sab teek hoga bhaiya. Bas dua mein yaad rakhna
Logged
Roja
Guest
«Reply #4059 on: September 09, 2009, 02:16:45 PM »
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye......
Logged
Roja
Guest
«Reply #4060 on: September 09, 2009, 02:53:30 PM »
Hai Dua Yaad Muger Harf-e- Dua Yaad Nahi
Meray Nagmaat Ko Andaz-e-Nawa Yaad Nahi

Zindage Jaber-e-Musalsal Ki Terha Kaati Hai
Janay Kis juram Ki Pai Hai SazaYaad Nahi

Mein Nay Palkoon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai
Mein Wo Saai Hoon Jisay Koi Sada Yaad Nahi

Aoo Ek Sajda Karein Alam-e-Madhoshi Mein
Loog Kahtay hain Ke Sagher Ko Khuda Yaad Nahi...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4061 on: September 10, 2009, 03:22:54 PM »
Chal diye tum kinare per chodkar humko
Saat jeene ka wada tumne nibhaya nahi
Kaise keh du teri yaad rulati bi nahi
Kisi ne fir na apna naseeb banaya humko


Kaise batlaye hum apne seene ke dard ko
Kaise dikhlaye hum apne chalke ashq ko
Apni muskan mein kitne dard chupaye hai
Ab kaise dabhau in sulagte zakhmon ko

Her lamhe tum hi tum ho mere seene mein
Ufff... Kitna dard hai mere muskurate jeene mein
Nasur ban chuka hai tumhari judayi ka dard
Kitna sukh hai tere gam ka zehar peene mein..


Logged
Roja
Guest
«Reply #4062 on: September 11, 2009, 03:07:30 AM »
Ek chhota sa sapna tha
Us sapne mein koi apna tha

Us apne mein kuch sukoon tha
Jo zindagi ka junoon tha

Us junoon mein ek rahat thi
Jo sirf teri chahat thi

Us chahat mein ek andaz tha
Jo meri dhadkano ka raaz tha

Us raaz mein ek khushbo thi
Jo meri soch ki justju thi

Us justju mein ek hararat thi
Jo meri khushiyoun ki sharat thi

Us shahrat mein ek ehsaas tha
Jo hamesha mere pass tha

Us pass mein jo ek araam tha
Woh bus sirf ek tera naam tha


Logged
angel4u
Guest
«Reply #4063 on: September 27, 2009, 05:05:01 AM »
Teri Baatein Hi Sunane Aaye,
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye,

Phool Khilte Hai To Hum Sochte Hai,
Tere Aane Ke Zamane Aaye,

Aisi Kuch Chup Si Lagti Hai Jaise,
Hum Tujhe Haal Sunane Aaye,

IshQ Tanha Hai Sar-E-Munzil-E-Gam,
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye,

Ajnabi Dost Hamein Dekhke Hum,
Kuch Tujhe Yaad Dilane Aaye,

Dil Dhadakta Hai Safar Ke Hungaam,
Kash Phir Koi Bulane Aaye,

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai,
Shayad Ab Hosh Thikane Aaye,

Kya Kahein Phir Koi Basti Ujdi,
Log Kyon Jashn Manane Aaye,

Soye Raho Maut Ke Pehloo Mein Faraz,
Neend Kis WaQt Na Jaane Aaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4064 on: September 27, 2009, 05:07:10 AM »
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jayega,
WaQt Ka Kya Hai, Guzarta Hai Guzar Jayega,

Itna Manoos Na Ho, Khilwat-e-gam Se Apni,
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhega To Dar Jayega,

Tum Sar-E-Raah-E-Wafa Dekhte Reh Jaoge,
Aur Wo Baam-E-RafaaQat Se Utar Jayega,

Zindagi Teri Ata Hai To Ye Jaane Wale,
Teri Bakhshis Teri Dehliz Pe Dhal Jayega,

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz,
Zalim Ab Ki Bhi Na Royega To Mar Jayega...
Logged
Pages: 1 ... 267 268 269 270 [271] 272 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:56:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer