Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 269 270 271 272 [273]
Print
Author  (Read 133969 times)
angel4u
Guest
«Reply #4080 on: October 13, 2009, 03:01:39 AM »
Hum Ne Tum Se
Tumne Hum Se
Kaise Nibhayi
Mohabbat
Sochna,
Tanha Baith Ke
Akele Mein
Aankh Band Karke
Ke
Main Bewafa Thi
Ya
Tum Bewafa Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4081 on: October 23, 2009, 02:59:19 AM »
Tum Jo Aaogi To Khoya Hua Paogi Mujhe,
Meri Tanhayi Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Mere Kamre Ko Sajane Ki Tamanna Hai Tumhe,
Mere Kamre Mein Kitabo Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

In Kitabon Ne Bada Zulm Kiya Hai Mujh Par,
In Mein Ek Ramz Hai Jis Ramz Ka Mara Hua Zehen,

Aish-E-Ehsaas Ka Paigam Nahi Paa Sakta,
Zindagi Bhar Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta,

Tum Jo Aaogi To Khoya Hua Paogi Mujhe,
Meri Tanhayi Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4082 on: October 23, 2009, 02:59:47 AM »
Abhi Kuch Aur Dekho Tum,
Abhi Kuch Aur Jaano Tum,
Abhi Mausam Badalna Hai,
Abhi Suraj Nikalna Hai,
Abhi Barf Ke Todon Ko,
Pahadon Se Pighalna Hai,
Badalna Hai Abhi Chandi Ko Panai Mein,
Utarna Hai Abhi Sona Kirno Ki Rawani Mein,
Abhi To Jheel Ke Upar Kanwal Ke Phool Khilna Hai,
Abhi Uske Kinaron Par,
Guzre Hai Kayi Jhonke Hawaon Ke,
Abhi Kuch Phool Khilne Hai,
Abhi Kuch Zakhm Silne Hai,
Meri Baat Maano Tum,
Abhi Kuch Aur Thehro Tum,
Abhi Kuch Aur Thehro Tum...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4083 on: October 23, 2009, 03:00:22 AM »
Muddat Ho Gayi Un Tanhaiyon Ko Guzare,
Phir Ab Bhi In Aankhon Mein,
Wo Khamohsi Kyon Hai,
Tod Diya Yakeen Mohabbat Par Se Jisne Mera,
Wo Shakhs Ab Bhi Pyaar Ke Kabil Kyon Hai,
Chun Chun Kar Jiski Yaadonko Aapne Jivan Se Nikala Maine,
Wo Ab Bhi Mere Din Mein Raat Mein Shamil Kyon Hai,
Yaad Na Aayi Mujhe Chahat Jiski,
Mere Dil Par Ab Bhi Uski Hukumat Kyon Hai,
Khatam Ho Gaya Jo Rishta,
Wo Aaj Bhi Saans Le Raha Hai,
Mere Veeran Jeevan Mein
Wo Ab Bhi Shamil Kyon Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4084 on: October 23, 2009, 03:00:38 AM »
Dawa-E-Dosti Hai To Khulkar Mila Karo,
Yun Sahilon Ki Tarah Na Hat Kar Chala Karo,

Hum Bhi To Aayina Hai Par Bezubaan Nahi,
Parchhaiyon Se Apni Na Baatein Kiya Karo,

Har Shakhs Mere Ghar Ka Tujhko Sanam Kahe,
Yun Muskura Ke Sabko Na Apna Kaha Karo,

Bant Jaye Na Naseeb Mera Darbadar Kahin,
Gairon Ki Mehfil Mein Na Baitha Utha Karo,

Maangein Wo Roz Dil Mera Aur Todkar Kahein,
Toote Hue Dilon Ke Na Tukde Chuna Karo...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4085 on: October 23, 2009, 03:01:08 AM »
Muddat Se Jiske Waste Dil Bekarar Tha,
Wo Laut Kar Na Aaya Magar Intezar Tha,

Jo Humsafar Tha Chhod Gaya Raah Mein Mujhe,
Main Phans Gayi Bhanwar Mein Wo Dariya Ke Paar Tha,

Manzil Kareeb Aayi To Tum Door Hogaye,
Itna To Tum Batao Ke Ye Kaisa Pyaar Tha,

Chilman Giradi Ye Kisne Donoke Darmiyan,
Na Wo Sakun Se Baitha Na Mujhko Qaraar Tha,

Ye Mukhtasar Sa Haal Hai Rukhsat Ke WaQt Ka,
Aankhon Mein Aansu Aur Dil BeQarar Tha,

Ye Baat Umar Bhar Samajh Na Paayi Main,
Kyon Dil Mera Uska Talabgaar Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4086 on: October 23, 2009, 03:02:09 AM »
Zindagi Dupatta Hai,
Jis Mein Rang Saaton Hai,
Jispe Kaanch Jadte Hai,
Jis Mein Phool Silte Hai,
Jiske Kachhe Dhagon Se
Dosti Bhi Silti Hai,
AashiQui Bhi Silti Hai,
Chaute Lambe Halkon Mein,
Ghar Hai Kuch, Fakeeron Ke,
Aur Bahut Ameeron Ke,
Aur Un Mein Sheeshe Bhi,
Jis Mein AQs Dekhte Hai,
Jinse Log Darte Hai,
Kali, Surkh Dori Se,
Gam, Khushi Bhi Khadte Hai,
BaaQi Paanch Rangon Ke,
Dayre Hai, Halke Hai,
Duriyon Se Dhalke Hai,
Rang Chalte Chalke Hai,
Ek Dupatta Tera Hai,
Ek Dupatta Mera Bhi,
Par Mere Dupatte Mein,
Ghaant, Had Se Zyada Hai,
Aur Gul, Bahut Hi Kam,
Muntazir Ye Saansein Hai,
Kab Andhera Chhalkega,
Mere Khasta-E-Tan Se,
Ye Dupatta Dhalkega...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4087 on: October 23, 2009, 03:03:18 AM »
Teri Saasnon Mein Dhadakti Hai Jo Saanse Meri,
Aaj Unko Baksh De Zindagi Meri,
Kyonke Ab Tak To Tha Main Tumhari Ummidon Se Wabasta,
Lekin Ab Shayad Toot Raha Hai Meri Teri Zindagi Se Rishta,
Bewafa Na Kehna Mujhko Meri Saansein Hai Amanat Teri,
Ye Ek Ajeeb Dastan Hai To Agar Na Ban Saki Meri,
Meri Saansein Jeena Sikha Degi Tujhko,
Ulfat-E-Mohabbat Se Mila Degi Tujhko,
Ab Kabhi Tanhayi Se Na Ghabrana Tum,
Dilpe Haath Rakh Kar Mujhko Mehsoos Kar Lena Tum,
Mujhse Wabasta Saari Yaadein Bhula Do Tum,
Ya Phir Meri Saanson Ko Mita Do Tum...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4088 on: October 23, 2009, 03:04:20 AM »
Muddat Se Jiske Waste Dil Bekarar Tha,
Wo Laut Kar Na Aaya Magar Intezar Tha,

Jo Humsafar Tha Chhod Gaya Raah Mein Mujhe,
Main Phans Gayi Bhanwar Mein Wo Dariya Ke Paar Tha,

Manzil Kareeb Aayi To Tum Door Hogaye,
Itna To Tum Batao Ke Ye Kaisa Pyaar Tha,

Chilman Giradi Ye Kisne Donoke Darmiyan,
Na Wo Sakun Se Baitha Na Mujhko Qaraar Tha,

Ye Mukhtasar Sa Haal Hai Rukhsat Ke WaQt Ka,
Aankhon Mein Aansu Aur Dil BeQarar Tha,

Ye Baat Umar Bhar Samajh Na Paayi Main,
Kyon Dil Mera Uska Talabgaar Tha...


Wowwwwww Mujhe bahut accha laga yeh wala shayari dear
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4089 on: October 23, 2009, 03:06:34 AM »
Thanks Dear Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 269 270 271 272 [273]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 11:09:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer