Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30 31 32 33 ... 273
Print
Author  (Read 132853 times)
angel4u
Guest
«Reply #420 on: February 21, 2007, 05:44:12 PM »

Zindagi Ki Raahon Mein
Baar Baar Ye Dekha Hai
Sirf Sun Nahi Rakha
Khud Bhi Azmaya Hai,
Tajurbon Se Saabit Hai,
Jo Bhi Padhte Aye Hai
Usko Thik Paya Hai,
Is Tarah Baaton Se
Manzilon Se Pehle Hi
Sath Kaante Jaate Hai,
Log Rooth Jaate Hai,
Ye Tumhe Bata Dun Main
Chahaton Ke Rishton Mein
"Girah Nahi Lagti"
Lag Bhi Jaye To Is Mein
Phir Kashish Nahi Rehti,
Ek Pheeka Pheeka Sa
Rabta To Hota Hai,
Taazgi Nahi Rehti,
Rooh Ke TaaluQ Mein,
Zindagi Nahi Rehti,
Baat Wo Nahi Banti,
Dosti Nahi Rehti,
Laakh Baar Mil Kar Bhi,
Dil Kabhi Nahi Milte,
Yaad Ke Dareechon Mein
Titliyon Ke Rangon Mein,
Phool Phir Nahi Khilte,
Isliye Main Kehta Hoon,
Hum Is Tarah Ki Baaton Mein,
Ehtiyaat Karte Hai,
Hum Is Tarah Ki Baaton Se,
Ijtinaab Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #421 on: February 21, 2007, 05:50:08 PM »

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega.

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega.

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega.

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega.

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-O-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega.

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #422 on: February 21, 2007, 05:51:44 PM »

Tumne Jise Toot Ke Chaha, Jisko Beinteha Pyaar Kiya,
Tum Bhi Waisi Hi Tawakko Rakho Thik Hai,
Lekin Wo Pya Raur Inteha Tumko Bhi Mile Zaroori To Nahi,

Jisko Paane Ke Liye Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahe,
Tumhare Liye Uski Aankh Kabhi Nam Ho Zaroori To Nahi,

Pyar Karke To Dekho Aayengi Hazar Rakawatein,
Pyar Mein Pyar Kar Loge Tum Unsabko,
Lekin Phir Bhi Tumko Pyar Mil Jaye Zaroori To Nahi

Jo Jazba Tumhare Dil Mein Hai Usko Paa Lene Ka Uski Chahat Ka,
Wo Bhi Tumhari Chahat Mein Bekarar Ho, Aisa Zaroori To Nahi,

Dil-O-Jaan Se Chahte Ho Tum, Jaan Bhi Doge Tum,
Apne Pyaar Ke Liye,
Lekin Aisa Karne Ke Baad Bhi Tumhe Tumhari
Jaan Mile Ye Bhui Koi Zaroori To Nahi,

Pyar To Wo Jazba Hai Jo Dilse Parwaan Chadta Hai,
Aur Phir Badhta Hi Rehta Hai,
Is Mein Manzil Paa Lena Zaroori To Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #423 on: February 21, 2007, 05:54:28 PM »

Tum The To Maut Bhi Bhagti Thi Mujhse,
Tum The To Aag Bhi Na Jala Saki Mujhe,
Tum The To Kaante Bhi Phool Ban Jaate The,
Tum The To Toofan Bhi Darte The Mujhse,
Tum The To Garam Hawa Bhi Na Chhuti Thi Mujhe,
Tum The To Humsafar The Sab Mere,
Tum The To Chehre Pe Ronak Thi Mere,

Aur Aaj

Tum Nahi To Maut Bhi Dhundti Phirti Hai Mujhe,
Aag Jalane Ko Daudti Hai Mujhe
Phool Ki Khushbu Bhi Kaante Bankar Chubti Hai,
Toofan Bhi Garak Kar Rahe Hai Mujhe,
Koi Bhi Humsafar Nahi Akela Hoon Main,
Darta Hoon Apna Chehra Dekh Kar Aaine Mein,
Hawa Se Dar Lagta Hai Kahin Uda Na Le Mujhe,
Aa Jao Ke Kahin Khuda Na Le Jaye Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #424 on: February 21, 2007, 05:56:10 PM »

Agar Jo Dilki Sunoge To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Pyar Phir Kahan Paoge,

Jaan Deneki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindagi Banane Wale Kahanse Laoge,

Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Hamein,
To Har Taraf Sirf Tum Hi Ko Paoge,

YaQeen Apni Mohabbat Par Itna Hai Mujhe,
Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge,

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Doob Gaye To,
Kahin Jaana Bhi Chahoge To Na Jaa Paoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #425 on: February 21, 2007, 05:57:42 PM »

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Jinke Chalon Pe Hum
Apni Kismat Ki Buniyadein Rakhte Hai,
Wo Taare Toot Jaate Hai,
Wo Daaman Chhut Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Ke Ye Toote Hue Taare
Phir Se Jagmagate Hai,
Musafir Laut Aate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke WaQt Ke Sagar Se Hum
Yaadon Ke Jo Kuch Anmol Se Moti,
Dilke Dhage Mein Pirote Hai,
Gamse Jalne Lagte Hai,
Phir Bikharne Lagte Hai,
Ke Ye Bikhre Hue Moti
Phir Se Jud Bhi Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Raste Hi Main Kahin Pe,
Manzil Kho Si Jaati Hai,
Kadam Badhate Hi Rehte Hai,
Hum Chalte Hi Rehte Hai
Lekin Fasle Kisi Bhi Tarahse,
Kam Nahi Hote,
Aur Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Hum Khudko Tok Bhi Dein To
Kadmon Ko Rok Bhi Dein To,
Manzar Badalne Lagte Hai,
Yakin Jaano Ye Sab Sach Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Dil Ro Ke Bhi Hasta Hai,
Ke Dil Hans Ke Bhi Rota Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Haan
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #426 on: February 22, 2007, 05:18:01 PM »

Bahut Door Hai Tu Magar Phir Bhi Humko,
Tere Paas Aane Ko Dil Chahta Hai,

Dosti Tujhse Nahi Teri Sirat Se Ki Hai,
Isliye Dsot Banane Ko Dil Chahta Hai,

Bharosa Na Tha Dosti Par Kabhi Humko,
Tere Milne Ke Baad Bharosa Karne Ko Dil Chahta Hai,

Hamein Narazgi Mein Is Tarah Manaya Hai Tune,
Ke Phir Ruth Jane Ko Ko Dil Chahta Hai,

Tu Achha Hai Tujhse To Rutha Na Jayein,
Par Tujhe Satane Ko Dil Chahta Hai,

Dosti Ne Diya Bahut Fareb Humko Magar,
Teri Dosti Ko Nibhane Ko Dil Chahta Hai,

Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Pyar Karta Hai,
Allah Se Tujhe Mangne Ko Dil Chahta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #427 on: February 22, 2007, 05:19:24 PM »

Ek Tera Ehsas Hai,
Jo Har WaQt Mere Saath Hai
Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tadpaati Hai
Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki
Na Chain Hai Na Sakoon Hai
Yeh Kaisa Mera Haal Hai
Raatein Ho Gayi Hain Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katti
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai
Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har WaQt Mere Saath Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #428 on: February 22, 2007, 05:21:40 PM »

Jab Kabhi Chaudwin Ka Chand Dekhun,
Tum Yaad Aate Ho,
Jab Kabhi Subah Ki Pehli Kiran Dekhun,
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai,
Jab Kabhi Suraj Ko Dhalta Dekun,
To Tumahre Gam Yaad Aate Hai,
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunu,
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunayi De,
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhun,
To Tumhare Lab Yaad Aaye,
Jab Kabhi Baraste Badal Dekhun,
To Tumhari Yaad Mein Doobi Wo Shaam Yaad Aye,
Jab Kabhi Gazal Mein Tumhara Tazkara Karun,
To Tumhari Khushbu Mein Base Khat Yaad Aaye,
Jab Kabhi Barish Mein Moti Ki Manind Chamakti Boond Ko Dekhun,
To Tumhari Pyaasi Aankehin Yaad Aaye,
Jab Kabhi Koi Prem Katha Padhun,
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Pyar Yaad Aye,
Jab Kabhi Andheri Raat Mein Chamakte Sitaron Ko Dekhun,
To Tumhari Nazron Ki Shararat Yaad Aaye,
To Tumhari Wo Mulakat Yaad Aaye,
Jab Kabhi Chand Ko,
Baraste Badalon Ko Dekhun,
To Tumhari Yaad Aaye,
Bas Jab Jab Main Saans Lun,
To Tum Yaad Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #429 on: February 22, 2007, 05:24:05 PM »

Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi,
Mere Hathonse Apna Hath Chhuda Lena,

Apne Daaman Se Meri Ummidein,
Mere Sajdon Se Apne Pair Hata Lena,

Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi,
Tod Dena Mere Pyar Ki Zanjeerein,
Mita Dena Apne Hathonse Meri Lakirein,

Meri Aankhon Se Apne Khwab
Apne Kandhonse Mera Sar Hata Dena,
Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #430 on: February 22, 2007, 05:27:13 PM »

Tum Apne Ranj-O-Gam, Apni Pareshaani Mujhe De Do
Tumhe Gam Ki Kasam Is Dil Ki Veerani Mujhe De Do

Ye Mana Main Kisi Qaabil Nahi Hoon, In Nigahon Mein
Bura Kya Hai, Ye Hairaani, Ye Dukh, Mujhe De Do

Main Dekhun To Sahi Duniya Tumhe Kaise Satati Hai,
Koi Dil Ke Liye Apni Nigehbaani Mujhe De Do

Wo Dil Jo Maine Maanga Tha Magar Gairon Ne Paaya Hai,
Badi Sahi Hai Agar Pareshaani Mujhe De Do
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #431 on: February 22, 2007, 05:29:27 PM »

Aye Ho To Thoda Baitho, Ek Raaz Ki Baat Batate Hai,
Tum Samjho Ya Na Samjho Phir Bhi Tum Ko Samjhate Hai,

Jee Kar Ke Naam Kamana To Aksar Logon Ko Ata Hai
Kuch Aise Log Bhi Hote Hain Jo Mar Kar Naam Kamate Hai

Pehle To Pyar Ki Baatein Wo Sharma Sharma Batlate The,
Ab Haal-E-Dil Ka Afsana Batla Kar Ke Sharmate Hai,

Pehle Wo Gusse Mein Aksar Ruk Ruk Karke Chal Padte The
Ab Mere Khayalon Mein Shayad Chalte Chalte Ruk Jate Hai,

Malum Nahin Dil Ki Dhadkan Seene Mein Hai Ya Mehfil Mein,
Lekin Hum Unke Jaate Hi Bechain Bahut Ho Jate Hai,

Koi Dhundo Us Shayar Ko Jisne Chand Achhe Sher Likhe
Likhte Likhte Waise Aksar Khud Mein Hi Gum Ho Jate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #432 on: February 22, 2007, 05:31:46 PM »

Yeh Jee Chahta Hai Tumhe Khat Likhun,
Magar Sochta Hoon Ke Khat Mein Tumhe
Wafa Aashna, Be-Muravvat Likhun,
Wo Milne Milane Ki Rasmein Likhun,
Un Aankhon Ke Wo Surkh Dooray Likhun,
Larazte Labon Ke Katore Likhun,
Tabassum Ke Shole Sharare Likhun,
Shararat Ke Rangeen Ishare Likhun,
Hui Baat Khamoshiyon Mein Likhun,
Likhun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...

Nazar Reh-Guzar Dar Dareeche Likhun,
Haram Farsh Chilman Ghaleeche Likhun,
Khalish Karb Zakhm-E-Tamanna Likhun,
Junoon Bekhudi Jaam-O-Meena Likhun,
Jafa Berukhi Beniyazi Likhun,
HaQeeQi Muraadi Majaazi Likhun,
Dil Aaraa Dil Aazaar Dilbar Likhun,
Sanam Sangpaara Sitamgar Likhun,
Tumhari Ada Apni Wehshat Likhun,
Likhun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...

Mulakat Ka Aakhri Pal Likhun,
Main Daaman Likhun Ye Ke Aanchal Likhun,
Glogeer Afsurdaa Gharyan Likhun,
Wo Namak Palkon Ki Ladyaan Likhun,
Kashakash Hawaadis Salasil Likhun,
Hayaat-O-Ajal Ka Main Haasil Likhun,
Ghazal,Nazm, Qata, Rubai Likhun,
Hadees-E-Dam-E-Alwidayi Likhun,
Koi Khat Likhun Ya Wasiyat Likhun,
Likhun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #433 on: February 22, 2007, 05:35:19 PM »

Wo Keh Ke Chale Itni Mulakat Bahut Hai
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai

Aansu Mere Tham Jaye To Phir ShauQ Se Jana
Aise Mein Kahan Jaoge Barsaat Bahut Hai,

Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai,

Gar Hui Ho Kio Khata To Maaf Kar Dena,
Maine Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,

Samajh Gaya Hoon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi,

Phir Kabhi Na Aaugna Tumhari Zindagi Mein Laut Ke,
Sari Zindagi Ke Tanhayi Ke Liye Aaj Ki Raat Bahut Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #434 on: February 22, 2007, 05:37:07 PM »

FarQ Sirf Itna Sa Hai
Teri Doli Uthegi, Meri Maiyatt Uthegi

Phool Tujh Par Bhi Honge
Phool Mujh Par Bhi Honge

Tu Saj Ke Gayi
Main Sajaya Gaya

Tu Uth Ke Gayi
Main Uthaya Gaya

Sakhiyan Teri Bhi Thi
Dost Mere Bhi The

Mehfil Waha Bhi Thi
Log Yaha Bhi The

Un Ka Hansna Waha
In Ka Rona Yaha

Qazi Udhar Bhi Tha
Maulvi Idhar Bhi Tha

Do Bol Tere Padhe
Do Bol Mere Padhe

"FarQ Sirf Itna Sa Tha

"Tera Nikah Padhaya Gaya
Mera Janaaza Uthaya Gaya

Tujhe Apnaya Gaya
Mujhe Dafnaya Gaya
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30 31 32 33 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 08:34:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer