Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 273
Print
Author  (Read 131154 times)
angel4u
Guest
«Reply #435 on: February 22, 2007, 05:39:59 PM »

Kisi Kamzor Lamhe Mein,
Agar Main Tum Se Ye Keh Doon,
Mujhe Tumse "MOHABAAT" Hai,
Tum Ye Mat Samajh Lena,
Ke.............!!!!!!!!!
Maine SACH Kaha HoGa,
Aisi Dil-Nasheen Baaton Ko,
Aisi Dilbar Aadaon Mein Kehna,
Mujhe Bachpanse Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Be-Sakhta Lehja,
Ye Sab Kuch JHOOT Kehta Hai Magar,
Is Jhoot Mein Ek SACH Bhi Hai,
Ke.................!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhe Tum Se "MOHABBAT" Hai...
* * * * *
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #436 on: February 22, 2007, 05:40:00 PM »
Nice Angel ji........!!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #437 on: February 22, 2007, 05:41:07 PM »

AashiQon Se Bas Yehi Iltija Hai Meri,
Mohabbat Na Karna Mohabbat Na Karna,

Rabba Mere Rabba Duhayi Hai Duhayi,
Diwano Ki Kismat Mein Likhi Kyon Judayi,

Chah Ke Bhi Hum Mil Na Paye,
Ho Ke Juda Kahin Mar Na Jaye,

Meri Tarahse Dekho Na Tum Aahein Bharna,
Mohabbat Na Karna Mohabbat Na Karna,

Na Teri Khata Hai Na Meri Ye Khata Hai,
Kya Hai Ye Majboori Hamein To Ye Pata Hai,

Aankhon Mein Aansu Dil Mein Hai Duhayi,
Koi Sune Na Apni Sadayi

Chup Chup Ke Mere Jiase Tum Bhi Na Marna,
Mohabbat Na Karna Mohabbat Na Karna,

AashiQon Ko Bas Yehi Iltija Hai,
Mohabbat Na Karna Mohabbat Na Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #438 on: February 22, 2007, 05:43:03 PM »

Meri Saanso Mein Tum Ho,
Meri Baaton Mein Tum Ho,
Meri Aankhon Mein Tum Ho,
Mere Dil Ki Dhadkan,
Mere Khwabon Mein Khayalon Mein Tum Ho,
Meri Har Baat Mein Tum Ho,
Tumhe Kaise Na Sarahoon
Mere Zarre Zarre Mein Tum Ho,
Jidhar Bhi Dekhun Tum Hi Tum Ho,
Haan
Agar Nahi Ho To
Bas
Meri Kismat Mein Nahi Ho,
Phir Bhi,
Meri Yaadon Mein, Mere Aansuon Mein To Tum Hi Tum Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #439 on: February 22, 2007, 05:50:41 PM »
Thanks Badnaam ji..



Koi To Ho Is Duniya Mein,
Koi To Ho Is Duniya Mein,
Jo Rahe Meri Saanson Mein,
Jo Rahe Is Dilki Dhadkan Mein,
Aisa Ho Tu Samne Aye Mere
Jisko Dekhkar Zindagi Ruk Jaye Meri,
Pyar Karunga Usko Zindagi Se Zyada,
Hojayega Wo Mere Apne Aapse Zyada,
Kahe Tu Is Duniya Mein Ho Mere Jaisa,
Koi To Hois Duniya Mein Mere Jaisa,
Pyar Kiya Tha Maine Jisko Is Duniya Mein,
Jo Jahan Bhul Gaya Tha Jiske Liye Main,
Bhool Gaya Tha Main Usko Dekhkar Har Kisiko,
Jee Utha Tha Usko Dekhte Hi,
Jaan Ban Gaye The Wo Meri Is Duniya Mein,
Soch Kar Jeeta Tha Jiski Yaad Ko Main Kahin,
Socha Na Tha Koi Hoga Is Duniya Mein,
Jisse Main Ye Kahun Ke Pyar Hai Tujhse,
Aankhon Mein Jiska Sapna Tha Mere,
Wo Dhundli Tasveer Thi Jiski Is Aankhon Mein,
Ek Din Samne Aaye Mere Is Tarah,
Duniya Ruk Gayi Ho Kuch Lamhe Ke Liye Jis Tarah,
Itne Pyare The Ke Samjha Nahi Pyar Kya Hai Us WaQt
Dekhkar Bhool Gaya Main Sabko Uska Chehra Dekhkar,
Jaise Aankhon Mein Tha Jo Chehra Saaf Hogaya Us Wakt,
Par Kuch Bol Na Sake Usko Us Wakt Dekhkar,
Ab To Yaad Aate Hai Wo Mujhko Har WaQt
Sochta Hoon Bol Deta Usko Us Wakt To Achha Hota,
Dekha Na Dekhenge Us Chehre Ko Phir Kabhi Zindagi Mein,
Kash Samajhne Aajaye Mere Wo Dilbar Wo Marne Se Pehle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #440 on: February 22, 2007, 05:52:16 PM »

Mujhe Ulfaton Mein Samet Lo Mujhe Bekhudi Ki Talash Hai
Jo Dilon Mein Rooh Mein Utar Sake Usi Rahgni Ki Talash

Hai

Mein Ulajh Gayi Main Bikhar Gayi Mere Humsafer Meri Baat Sun
Mujhe Zindagi Ki Talash Hai Mujhe Roshni Ki Talash Hai

Aey Mere Khuda Teri Di Hui Gam-E-Zindagi Ki Khiza'on Mein
Kisi Aur Se Ki Talab Nahi FaQat Ek Hansi Ki Talash Hai

Mujhe Padh Sake Mujhe Samjh Sake Mujhe Har Tarah Parakh Sake
Uss Dilbar Ki Talash Hai FaQat Uss Ghadi Ki Talash Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #441 on: February 22, 2007, 05:54:58 PM »

Yehi Manzar The Anjane Se Pehle,
Tumhare Shaher Mein Aane Se Pehle,

Zameen Ki Dhadkane Pechan Lena
Koi Dar-O-Deewar Banane Se Pehle,

Na Jane Kitni Aakhein Muntazir Thi,
Sitarein Baam Par Aane Se Pehle,

Dareeche Band Ho Jate Hai Kitne,
Yahan Manzar Badal Jaane Se Pehle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #442 on: February 22, 2007, 05:58:00 PM »

Aa Bhi Jao Ke Mausam Badalne Lage,
Aa Bhi Jao Ke Ye Dil Dhadakne Lage,

Aa Bhi Jao Ke Ab Chandni Dhalne Lagi,
Aa Bhi Jao Ke Shabnam Bahekne Lagi,

Aa Bhi Jao Ke Shab-E-Firak Ab Hui Tamaam,
Aa Bhi Jao Ke Dil Hua Tumhare Naam

Aa Bhi Jao Ke Titliyan RaQs Karne Lagi,
Aa Bhi Jao Ke Saansein Machalne Lagi,

Aa Bhi Jao Ke Tum Yaad Aane Lage,
Aa Bhi Jao Ke Jazbat Phir Jazbaat Hai,

Aa Bhi Jao Ke Hathon Ko Hai Thamna,
Aa Bhi Jao Ke Mere Ye Ehsaas Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #443 on: February 22, 2007, 06:02:54 PM »

Zaroori To Nahin Ke Jine Le Liye Sahara Ho,
Zaroori To Nahin Ke Hum Jinke Hai Woh Bhi Hamare Ho,
Kuchh Kastiya Doob Bhi Jaya Karti Hai,
Zaroori To Nahin Ke Har Kasti Le Liye Kinara Ho....

Hume Zaroorat Hi Nahin Ke Jine Ke Liye Sahara Ho,
Hum Unke Hai Woh Bhi Bahut Hai Woh Kyon Hamara Ho,
Yeh Sach Hai Ke Kuchh Kastiya Doob Bhi Jaya Karti Hai,
Par Saahil To Wahi Rehta Hai Kinare Ho Ya Na Ho....

Maana Ki Jine Ke Liye Hume Koi Sahara Nahin,
Par Sahara Hota To Kuchh Aur Baat Hoti
Koi ShaQ Nahin Ke Hum Unke Hai,
Par Woh Bhi Hamare Hote To Kuchh Aur Baat Hoti
Doob Gayi Kasti Koi Gham Nahin,
Par Kinara Milta To Kuchh Aur Baat Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #444 on: February 22, 2007, 06:07:28 PM »

Bahut Tanha Hoon,
Zindagi Ki Shayera Pur,
Bas Ek Sayeban Chahiye
Theherne Ke Liye,
Main Apne Andar Tanha
Bahut Tanha Hoon,
Ek Dost Chaiye Sath Ke Liye,
Zindagi Kahin Kahin,
Bahut Khoobsurat Nazar Aati Hai,
Bas!
Kuch Der Achhe Logonke Sath
Hansna Chahta Hoon,
Bahut!

Gar Ho Gaye Kahin
Achhe Dost Naraz
To Ye Zindagi
Dasht Se Zyada Nahi
Aye Dost
Tumhari Tarah Tanha Rehte Rehte
Main Bahut Thak Chuka Hoon,
Kuch Der Main Bhi
Hansna Chahta Hoon,
Bahut Hansna Chahta Hoon,
Dil Ki Gehraiyon Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #445 on: February 22, 2007, 06:08:52 PM »

Unko Bhi Humse Waisi Hi Mohabbat Ho Zaroori To Nahi,
Ek Si Donoki Halat Ho Zaroori To Nahi,

Dilki Chahat To Hai Khwab Jaga Deti Hai,
Haan Magar Saath Mein Qismat Bhi Ho Zaroori To Nahi,

Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,
Unko Nahi Bhi Meri Zaroorat Ho Zaroori To Nahi,

Muskurane Se Bhi Hote Hai Bayan Gam-E-Dil,
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zaroori To Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #446 on: February 22, 2007, 06:11:39 PM »

Pathar Tha Magar Barf Ke Golonki Tarah Tha,
Ek Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah Tha,

Khwabon Ki Tarah Tha Na Khayalon Ki Tarah Tha,
Wo Ilm-E-Riyazi Ke Sawalon Ki Tarah Tha,

Uljha Hua Aisa Ke Kabhi Sulajh Nahi Paya,
Suljha Hua Aisa Ke Misalon Ki Tarah Tha,

Wo Mil To Gaya Tha Magar Apna Hi Mukaddar
Shatranj Ki Uljhi Hui Chalon Ki Tarah Tha,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #447 on: February 22, 2007, 06:21:25 PM »

JAAN SE BADHKAR JAAN HO TUM

Jaan Se Badh Kar Jaan Ho Tum,
Is Dilka Armaan Ho Tum,

Duniya Ke Is Hujoom Mein,
Bas Meri Pehchan Ho Tum,

Tum Se Har Ek Saans Wabasta
Jeevan Ka Armaan Ho Tum,

Tum Bin Ek Pal Jeena Mushkil,
Ke Isse Anjaan Ho Tum,

Pyar Bhi Karna Aur Phir Darna
Kyon Itne Nadan Ho Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #448 on: February 22, 2007, 06:33:38 PM »

Husn Ki Baat Jab Bhi Chalti Hai,
Aapka Intekhaab Hota Hai,

Hum Ko Mehfil Azeez Hai Aise
Jismein Door-E-Sharab Hota Hai,

Jitna Sooraj Ka Sitara Ho Kareeb,
Utna Hi Wo Kharab Hota Hai,

Mohtsib Mohtabar Nahi Ye Khabar,
Aap Ka Bhi Ye Hisab Hota Hai,

Aur Khulte Hai Kitne Darwaze
Band Jab Ek Baab Hota Hai,

Sach Kisine Kaha Hai Ye Sanam,
IshQ Aakhir Azaab Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #449 on: February 22, 2007, 06:38:17 PM »

Rok Lo Qadam Jee Bhar Ke Dekh Lo,
Humara Tumhara Saath Bas Yahin Tak Tha,

Manzil Mile Na Mile Ab Hamari Kismat,
Ke Zindagi Ke Saath Safar Bas Yahin Tak Tha,

Tum Chal Nahi Sakte Isse Aage Ek Qadam,
Ruk Jao Ke Phoolon Ka Chaman Yahin Tak Tha,

Aage Aa Rahe Hain Gham Mujh Se Milne Gale,
Ke Apni Khushiyon Ka Thikana Bas Yahin Tak Tha,

Utho Aur Naye Humraahi Talash Karo,
Ke Yeh Khuwaab Suhana Bas Yahin Tak Tha...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:34:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer