Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 273
Print
Author  (Read 131099 times)
angel4u
Guest
«Reply #45 on: November 18, 2006, 08:00:52 PM »
aate aate mera naam sa reh gaya
uske honton pe kuch kanpata reh gaya

wo mere saamne hi gaya aur main
raaste ki tarah dekhata reh gaya

jhuth wale kahin se kahin badh gaye
aur main tha ki sach bolata reh gaya

aandhiyon ke iraade to achhe na the
ye diya kaise jalata hua reh gaya
nm
Logged
Talat
Guest
«Reply #46 on: November 18, 2006, 08:16:45 PM »
Very Nice collection Angel...... !! Good ones... !! Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #47 on: November 19, 2006, 06:58:03 PM »
Thanks Talat ji Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #48 on: November 19, 2006, 07:33:35 PM »

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein TaManna Bhi Nahi,
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi,

Yun To HungaMe Uthate Nahi Deewane-E-Ishq
Magar Aye Dost Kuch Aison Ka Thikana Bhi Nahi,

Muddatein Guzari Teri Yaad Bhi Aayi Na HaMein,
Aur HuM Bhul Gaye Ho Tujhe Aisa Bhi Nahi,

Ye Bhi Sach Hai Ke Mohabbat Mein Nahi Majboor,
Ye Bhi Sach Hai Ke Tera Husn Kuch Aisa Bhi Nahi,

Dilki Ginti Na Yaganon Mein Na Beganon Mein,
Lekin Is Jalvaagaah-E-Naaz Se Uthta Bhi Nahi,

BadguMan Ho Ke Mil Aayi Dost Jo Milana Hai Tujhe,
Ye Jhijhakte Hue Milna Koi Milna Bhi Nahi,

Shikwa-E-Jaur Kare Kya Koi Us Shokh Se Jo,
Saaf Qaayal Bhi Nahi Saaf Mukarta Bhi Nahi,

Meherbani Ko Mohabbat Nahi Kehte Aye Dost,
Aah Mujhse To Meri Ranjish-E-Bejan Bhi Nahi,

Baat Ye Hai Ke Sukun-E-Dil-E-Vehshi Ka MakaaM,
Kunj-E-Zindan Bhi Nai Vusa'at-E-Sehra Bhi Nahi,

Muh Se HuM Apne Bura To Nahi Kehte Ke,
Hai Tera Dost Magar AadMi Achha Bhi Nahi...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #49 on: November 19, 2006, 07:36:27 PM »

In Mein Dube To Kayi Sadiyan Ubharna Na Hua,
Aur Phir Dubne Wale Ko Ubharneki Thi Khwahish Bhi Kaha,
Dilne Danista Kinare Se Kinara Karke,
Phir Se Gardaab Ki Baahon Ka Sahara Chaha,
Aur Ab...........
Dil Hai Is Soch Mein Dooba Hua Kab Se Jaan'n
Ghera Sagar Hai Ke Gehri Hai TuMhari Aankhein...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #50 on: November 19, 2006, 07:39:43 PM »

Ise Maine Hi Likha Tha
Ke Lehje Baraf Ho Jayein
To Phir Pighla Nai Karte,
Parinde Darke Ud Jayein,
To Phir Lauta Nai Karte,
Ise Maine Hi Likha Tha,
Yakeen Uth Jaye To Sha'ed
Kabhi Wapis Nahi Aata,
Hawaon Ka Koi Toofan,
Kabhi Barish Nahi Laata,
Ise Maine Hi Likha Tha
Ke Sheesha Tut Jaye To,
Kabhi Phir Jud Nahi Pata,
Jo Raste Se Bhatak Jaye
Wo Wapis Mud Nahi Paata,
Ise Kehna Wo BeMani Adhura Khat
Use Maine Hi Likha Tha
Use Kehna Ke Deewane
MukaMMil Khat Nahi Likhte...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #51 on: November 19, 2006, 07:41:16 PM »

Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai HuMko,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Chaaro Soo Gunjti Ruswayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua HuMko,

Koi LaMha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaate Hai,
Ab To Khudko Bhi Muyassir Nahi Aa Paate Hai,
Raat Ho Din Ho Tere Pyaar Mein HuM Behte Hai,

Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai HuMko,

Jo Bhi GhuM Aaye Use Dilpe Saha Karte The,
Ek Wo Waqt Tha HuM Milke Raha Karte The,
Ab Akele Hi ZaMane Ke SitaM Sehte Hai,

Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai HuMko,

HuMne Khud Apne Hi Raste Mein Bichhaye Kaante,
Ghar Mein Phoolon Ki Jagah Laake Sajaye Kaante,
ZakhM Is DilMe Basaye Hue Khud Rehte Hai,

Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai HuMko,

Yun To Duniya Ki Har Ek Chiz Haseen Hoti Hai,
Pyar Se Badh Ke Magar Kuch Bhi Nahi Hoti Hai,
Raasta Rok Ke Har Ek Se Yehi Kehte Hai,

Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai HuMko,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Chaaro Soo Gunjti Ruswayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua HuMko...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #52 on: November 19, 2006, 07:44:00 PM »
Ek UMar Ke Baad Us Ko Dekha
Aankhon Mein Sawaal The Hazaron
Honthon Pe Magar Wohi TabbassuM
Chehre Pe Likhi Hui Udaasi
Awaaz Mein Gunjti Judayi
Baanhein Thi Magar Wasaley SaMaa  
SiMti Hui Uss Ke Baazuoon Mein
Ta Dair Sochti Rahi Thee
Kisi Abr-E-Guraiz Paa Ki Khatir
Main Kaise Shajar Se Kati Rahi Thi
Kiss Chhanv Ko Tark Kar Diya Tha
Mein Uss Ke Gale Lagi Hui Thi
Woh Ponch Raha Tha Aansoo Mere
Lekin Bohot Dair Ho Chuki Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #53 on: November 19, 2006, 07:48:29 PM »

ShabanaM Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Qissa Hua
Aankhein Meri Bheegi Hui Chehra Tera Utaraa Hua

Ab In Dino Meri Gazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai
Har Lafz Gunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua

Mandir Gaye Masjid Gaye Peeron Fakeeron Se Mile
Ek Usko Paane Ke Liye Kya Kya Kiyaa Kya Kya Hua

Shayad Ise Bhi Le Gaye Achhe Dino Ke Qaafile
Is Baag Mein Ik Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua

AnMol Moti Pyaar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi
Dil Ki Haveli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hua...
* * * * *{NM}
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #54 on: November 20, 2006, 12:56:10 AM »
Great Collection Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #55 on: November 21, 2006, 05:23:18 PM »
Thanks Aryaan and Majid. tongue3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #56 on: November 22, 2006, 06:10:18 PM »
Quote from: "majid"
aayla tumhaari zubaan itni lumbi hai
ha tabhi to main sochu itna bolti kaise ho hahaha


chup raho bandar, tumhari tarah uchhalti to nahi hoon na main itna saara, huh............  :razz: achha likha hia pagal bandar.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #57 on: November 23, 2006, 06:14:31 PM »

Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin,
Tere Seene Mein To Toofan Garajte Honge,
Bazm-E-Kaunain Teri Aankh Mein Veeran Sahi,
Tere Khwabon Ke Mehalaat To Sajte Honge,
Garcha Ab Koi Nahi Koi Nahi Ayega,
Phir Bhi Aahat Pe Tere Kaan To Bajte Honge...

Waqt Hai Naag Tere Jism Ko Dasta Hoga,
Dekh Kar Tujhko Hawayein Bhi Bhaparaati Hongi,
Sab Tere Saye Ko Aasaib Samajhte Honge,
Tujhse Humjoliyan Katra Ke Guzarti Hongi,
Tu Jo Tanhayi Ke Ehsaas Se Roti Hogi,
Kitni Yaadein Tere Ashkon Se Ubharti Hongi,

Zindagi Har Naye Andaaz Ko Apnati Hai,
Ye Fareb Apne Liye Jaal Naye Bunta Hai,
Raqs Karti Hai Tere Honthon Pe Halki Si Hansi,
Aur Jo Ko Kio Royi Ki Tarah Dhundta Hai,
Laakh Pardon Mein Chupa Shor-E-Azihat Lekin,
Dil Tere Dhadakne Ki Sada Sunat Hai,
Tera Gam Jaagta Hai Dilke Nehan Khano Mein,
Teri Awaz Se Seene Mein Fughaan Paida Hai,
Teri Aankhon Ki Udaaso Mujhe Karti Hai Udaas,
Teri Tanhayi Ke Ehsaas Se Dil Tanha Hai,
Jaagti To Hai To Thak Jaat Hai Aankhein Meri,
Zakham Jalte Hai Tere Dard Mujhe Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #58 on: November 23, 2006, 06:15:16 PM »

Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin,
Tere Seene Mein To Toofan Garajte Honge,
Bazm-E-Kaunain Teri Aankh Mein Veeran Sahi,
Tere Khwabon Ke Mehalaat To Sajte Honge,
Garcha Ab Koi Nahi Koi Nahi Ayega,
Phir Bhi Aahat Pe Tere Kaan To Bajte Honge...

Waqt Hai Naag Tere Jism Ko Dasta Hoga,
Dekh Kar Tujhko Hawayein Bhi Bhaparaati Hongi,
Sab Tere Saye Ko Aasaib Samajhte Honge,
Tujhse Humjoliyan Katra Ke Guzarti Hongi,
Tu Jo Tanhayi Ke Ehsaas Se Roti Hogi,
Kitni Yaadein Tere Ashkon Se Ubharti Hongi,

Zindagi Har Naye Andaaz Ko Apnati Hai,
Ye Fareb Apne Liye Jaal Naye Bunta Hai,
Raqs Karti Hai Tere Honthon Pe Halki Si Hansi,
Aur Jo Ko Kio Royi Ki Tarah Dhundta Hai,
Laakh Pardon Mein Chupa Shor-E-Azihat Lekin,
Dil Tere Dhadakne Ki Sada Sunat Hai,
Tera Gam Jaagta Hai Dilke Nehan Khano Mein,
Teri Awaz Se Seene Mein Fughaan Paida Hai,
Teri Aankhon Ki Udaaso Mujhe Karti Hai Udaas,
Teri Tanhayi Ke Ehsaas Se Dil Tanha Hai,
Jaagti To Hai To Thak Jaat Hai Aankhein Meri,
Zakham Jalte Hai Tere Dard Mujhe Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #59 on: November 23, 2006, 06:18:06 PM »

Ab Ke Uski Aankhon Mein,
Besabab Udaasi Thi,
Ab Ke Uske Chehre Par
Dukh Tha Bad-Hawasi Thi,

Ab Ke Yun Mila Mujhse,
Yun Gazal Suni Jaise,
Main Bhi Na-Shanasa Hoon,
Wo Bhi Ajnabi Jaise,

Zard Khal-O-Khad Uske,
Sogwar Daman Tha,
Ab Ke Uske Lehje Mein,
Kitna Khurdara Pan Tha,

Wo Ke Umr Bhar Jisne,
Sheher Bhar Ke Logon Mein,
Khudse Meherbaan Samjha,
Dilse Aashna Likha,

Ab Ke Sada Kagaz Par
Surkh Roshni Se
Usne Talkh Lehje Mein
Mere Naamse Pehle
Sirf "Bewafa" Likha...
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:31:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer