Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 ... 273
Print
Author  (Read 132854 times)
angel4u
Guest
«Reply #450 on: February 22, 2007, 06:40:59 PM »

Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya,
Aur Usne Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya,

Ghar Se Be-Ghar To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,

Uski Ek Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye,
Jaise Kisi Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,

Mohabbat Mein Meri Hi Kami Thi Ye Ehsaas Dila Diya,
Jabse Maine Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #451 on: February 22, 2007, 06:42:42 PM »

IshQ Mein Nahi Hisab Jeene Aur Marne Ka,
Ke Usiko Dekh Kar Jeete Hai Jis Kafir Pe Dum Nikle,

Kahan Mehkhane Ka Darwaza Aur Kahan Wayez,
Bas Hum Itna Jaante Hai Ke Kal Wo Ata Tha Ke Hum Nikle,

Nikalna Khudse Aadam Ka Sunte Aaye Hai Lekin,
Bahut Beabroo Hokar Tere Kooche Se Hum Nikle,

Hazaron Khwahishein Aisi Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle,
Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #452 on: February 22, 2007, 06:43:47 PM »

Jab Tumhe Ye YaQeen Ho Jaye,
Ke Main Tumhe Kitna Chahti Hoon,
Tumse Kitni Mohabbat Karti Hoon,
To Usi Din Tum Laut Ana,
Tum Mujhe Apna Muntazir Paoge,

Jab Tumhe Asia Lage Ke
Koi Tumhare Sang Nahi Hai,
Koi Tumhara Humdam Nahi Hai,
To Usi Din Tum Laut Aana,
Tum Mujhe Zaroor Apna Muntazir Paoge,

Jab Tumhe Zindagi Dushwar Lage
Jab Koi Umeed Na Koi Aas Ho
Koi Bhi Na Tumhare Pass Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Agar Kabhi Yaadein Bahut Dukh De
Tanhai Ka Ehsas Bohat Sataye
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Yun Lage Tumhe Ke
Tum Ab Ek Qadam Bhi Nahi Chal Sakte
Mazeed Is Aag Main Nahi Jal Sakte
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Har Saans Bojh Lagne Lage
Tum Andar Hi Andar Tootne Lago
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Na Mile Panah Kisi Ki Banhoon Mein
Aur Shiddat Se Kisi Ki Zaroorat Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Yeh Ehsaas Tumhe Tadpane Lage
Ke Tum Ne Kabhi Takraya Tha Kisi Ko
Yaa Phir Koi Tumhein Takra De
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Aankhoon Mein Aa Jaye Agar Ashk Tumhari
Aur Koi Shaks Pouchne Wala Na Ho
Koi Gum Bant Ne Wala Na Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Koi Tod De Agar Dil Tumhara
Ho Agar Na Koi MuQabil Tumhara
Tanhai Ka Ehsas Bohat Sataye
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaogi

Yeh To Dukh Deti Hain Sada
Tumhe Bhe Yaadein Sataye Jab
Mehfil Mein Bhi Khud Ko Tanha Paoo
To Us Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Yeh Mera Wada Raha Tumse
Jo Kuch Bhi Maine Kaha Tumse
Yeh Sab Na Bhool Paooge
Tum Muje Sada,Sada Apna Muntazir Paooge
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #453 on: February 22, 2007, 06:46:00 PM »

Khamosh Raho Meri Baahon Mein, Ab Koi Sawaal Na Poocho,
Bade Behaal Hai Mere Raat Din, Tum Inka Haal Na Poocho.

Chaand Bhi Khoya Rehta Hai, Chakor Ki Aankho Mein,
Meri Dhadkano Ko Rehta Hai Kiska Khayaal Na Poocho,

Mere Nagmo Mein Tera Pyaar Hai, Hai Tu Meri Shayri,
Saaz-E-Dhadkan Ka Saaz Hai Tu, Tere Bagair Kya Hogi Taal Na Poocho.
* * * * *
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #454 on: February 23, 2007, 04:06:06 AM »
Nice collections Angel
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #455 on: February 24, 2007, 09:00:43 AM »
Bahut khoob collection husena dear
Logged
angel4u
Guest
«Reply #456 on: February 24, 2007, 07:45:09 PM »
thanks deepika nad salma Usual Smile


Humne Kuch Is Tarah Mohabbat Ki Hai
Ke Mohabbat Mein Aapki Parastish Ki Hai...

Aapke Bagair Zindagi Ka Koi Tassavvur Nahin
Maine Kuch Is Tarah Se Aapki Tamanna Ki Hai...

Hamare Darmiyan Hayal Rahein Saddiyon Ki Khamoshiyan
Maine Aap Se Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hai...

Mere Dil Mein Bas Jao Tum Rooh-O-Mohabbat Ban Ke
Maine Dil Ki Gehrayi Se Ye Iltija Ki Hai...

Aapke Milne Se Pehle Main Khud Se Naa-Ashna Thi,
Samjha Hai Pyar Ko Jab Se Mohabbat Ki Hai...

Meri Zindagi Ki Khushiyan Aap Se Hi Hain Wabasta
Main Ne Rab Se Aapko Paane Ki Dua Ki Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #457 on: February 24, 2007, 07:46:46 PM »

Dil Nahi Hai Ye Jaan Hai Pyaare,
Is Mein Ek Mehmaan Hai Pyaare,

Hum Wafa Karte Tum Jafa Karte,
Kaisa Tera Imaan Hai Pyaare,

Paas Reh Ke Bhi Door Hoon Tujhse,
IshQ Ka Imtehaan Hai Pyaare,

Chah Par Bas Nahi Arha Mera,
Hasratein Be-Imaan Hai Pyaare,

Ho Ke Haasil Bhi Tu Nahi Haasil,
Faasle Darmiyan Hai Pyaare,

Muskurane Se Dard Hota Hai,
Dard Dil Ki Hi Shaan Hai Pyaare,

Toote Dil Rehte Hai Jahan Sanam,
Ghar Nahi Wo Makaan Hai Pyaare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #458 on: February 24, 2007, 07:48:43 PM »

IshQ Ki Daastan Hai Pyare,
Apni Apni Zubaan Hai Pyare,

Hum Zamane Se InteQam To Lein,
Ek Hasi Darmiyan Hai Pyare,

Tu Nahi Main Hoon Main Nahi Tu Hai,
Ab Kuch Aisa Guman Hai Pyare,

Rakh Kadam Phoonk Phoonk Kar Nadan,
Zarre Mein Jaan Hai Pyare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #459 on: February 24, 2007, 07:49:58 PM »

Apnepan Ka Ehsaas Wo Jab Mujhe Dilata Hai,
Ek Ajeeb Si Dor Se Mujhe Apne Aur Karib Le Jata Hai

Kabhi Kabhi To Lagti Hai Uski Duriya Hi Achi Mujhe,
Paas Aa Kar To Mujhe Aur Bhi Tadpata Hai

Chup Reh Ke Bhi Yun To Kayi Baatein Keh Jata Hai,
Par Izhar Kar Ke Un Baato Ka Mujhe Hi Khamosh Kar Jata Hai

Barso Ki Pehchan Hai Phir Bhi Anjaan Hun Su Ke Pehlu Se,
Har Baar Wo Mujhe Ek Naye Rang Main Nazar Aata Hai

Jab Raaaz-E-Dil Karta Hai Baya To Main Chup Si Ho Jati Hu,
Chupke Se Apni Baato Tale Mujhe Apni Duniya Mein Le Jata Hai

Kabhi Narm To Kabhi Sakht Kabhi Dur Kabhi Paas Rehta Hai,
Har Roop Main Mujko To Bas Wahi Ek Bhata Hai

Kabh Anjaana Kabhi Begana Kabhi Apna Kabhi Jaana-Pehchaana Banke,
Dhire Dhire Se Hole Hole Se Ruh Mein Utar Ta Jaata Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #460 on: February 24, 2007, 07:51:04 PM »

Sare Aam Mulakat Se Darte Kyon Ho,
IshQ Karte Ho To Halaat Se Darte Kyon Ho,

Milta Hai Sakoon Us Yaar Ke Koonche Mein,
Par Har Roz Jana Bhi To Achha Nahi Lagta,

Baaare Mein Kabhi Uske Soche Bhi To Kya Soche,
Wo Gair Nahi Par Apna Bhi To Nahi Lagta,

Ye Batao Zara Mera Khayal Aate Hi,
Dinse Ghabrate Ho Raatse Darte Kyon Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #461 on: February 24, 2007, 07:52:28 PM »

Agar Taaron Ki Roshni Chura Li Jaye,
To Wo Hamesha Ke Liye Andheron Mein Kho Jayein,

Agar Chand Se Chandni Na Mile
To Wo Banjar Zameen Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai,

Ye Nazuk Phool Rangon Aur Khushbuon Ke Bina Kuch Bhi To Nahi,
Pani Jo Pyaas Na Bujha Paye Wo Pani Hi Kya,

Ek Jism Rooh Ke Bagair Bejaan Hai,
Bas Ek Khaak Hai, Bas Mitti Hai,

Tumhare Bina Meri Zaat Aise Hi Hai,
Tum Bin Ye Ehsaas, Ye Jazbaat, Ye Lagan
Sab Be Maani Hai, Be Sood Hai,

Mera Dil Aur Meri Rooh Bechain Hai,
Mujhe Sukoon Nahi, Mujhe Qarar Nahi,

Main Tootta Hua Tara Hoon,
Bina Khushbu Ka Phool Hoon,
Bina Dhadkan Ke Dil Hoon,
Bina Saanson Ke Jism Hoon,

Mujhko Kaun Chahega
Mujhko Kaun Poojega
Ke Meri Nigahein Aaj Bhi
Tumhari Raah Dekhti Hai,
Tumhe Dhundti Hai, Tumhe Khojti Hai,
Tumhara Intezar Karti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #462 on: February 24, 2007, 07:53:58 PM »

IshQ Ko Be-NaQaab Hona Tha
Aap Apana Javaab Hona Tha

Teri Aankhon Ka Kuch Qusuur Nahi
Haan Mujhi Ko Kharaab Hona Tha

Dil Ki Jis Par Hain NaQsh-E-Rangaa-Rang
Usko Sada Kitaab Hona Tha

Humne Naakaamiyo Ko Dhund Liya
Aakhirash Kaamayaab Hona Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #463 on: February 24, 2007, 08:08:03 PM »

Meri Dua Hai Ke Khush Raho Tum,
Mile Na Koi Gam Jahan Bhi Raho Tum,

Samundar Ki Tarah Dil Hai Gahera Tumhara,
Khushiyon Se Bhara Rahe Daaman Tumhara,

Tum Jo Kaho Wo Har Khwahish Puri Ho Tumhari,
Khuda Se Bhi Bas Yehi Dua Hai Hamari,

Tohfa Kya Doon Tumeh Duwaon Ke Siwa,
Ke Khuda Hamesha Rahe Razi Tumse Sada,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #464 on: February 24, 2007, 08:08:49 PM »

INTEHA!!!

Aaj Tak Tumhe Dekha Nahi,
Phir Bhi Dilne Chaha Hai,
Aaj Tak Tumhe Maana Nahi,
Phir Bhi Dil Ne Apna Jana Hai
Aaj Tak Tumhe Jaana Nahi
Phir Bhi Dil Ne YaQeen Kiya Hai,
Aaj Tak Tumhe Paya Nahi
Phir Bhi Dil Ne Hasil Kiya Hai,
Aaj Tak Tumhe Chhua Nahi,
Phir Bhi Dil Ne Mehsoos Kiya Hai,
Ye Inteha Nahi To Aur Kya Hai,
Ke Dil Ne Tum Par Bharosa Kiya Hai,
Tumhe Apna Maana Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 08:51:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer