Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 273
Print
Author  (Read 132852 times)
angel4u
Guest
«Reply #465 on: February 24, 2007, 08:09:52 PM »

Hum Bhi Kasam Khate Hai,
Ke Hogi Tumhare Chehre Par Ek Pyaar Ki Jhalak,
Isliye......
Kabhi Mere Dil Mein Jhaank Kar Dekho,
Tumhare Liye Pyaar Kitna Hai,
Tum Chaho
To Fana Ho Jaye Tere Pyaar Mein,
Bas Is Dil Ka Khyal Rakhna,
Jis Din Toot Gaya Main Bhi Toot Jaunga,
Aur Kya Pata Ke Main Qayamat Bhi Le Aaun,
Aur.......
Jis Din Main Qayamat Le Aaya,
Us Din Duniya Badal Jayegi,
Isliye....
Main Kehta Hoon
Ke Mere Dil Mein Hi Baskar Rehna,
Kabhi Is Dilko Chhod Kar Mat Jana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #466 on: February 24, 2007, 08:11:27 PM »

Mehfil Mein Teri Sitaron Ki Roshni Bahut Hai
Isliye Alwida Teri Mehfil Ko Kar Hum Chale

Jane Dil Ke Kisi Koney Mein Aandhera Bahut Hai
Dil Ko Roshan Khuda Ki Ibaaddat Se Karne Hum Chale

Khuda Ko Pane Ki Chaah Iss Dil Mein Bahut Hai
Do Hathon Se Dua Mangne Hum Chale

Teri Aankhon Mein Base Motiyon Ki Chamak Bahut Hai
Khuda Se Apne Motiyon Ka Hisab Mangne Hum Chale

Pathar Na Kehna Jis Dil Mein Armaan Bahut Hai
Patharon Se Ek Jharney Ka Rukh Modne Hum Chale

Phool Na Kehna Jis Phool Mein Kante Bahut Hai
Phoolon Ko Kaaton Se Sajaane Hum Chale

Chaand Ke Noor Mein Chandni Bahut Hai
Hum Ek Tare Mein Apni Yaad Basa Kar Chale

Karvaan Zindagi Ka Yun Hi Badhta Jayega
Hum Aasmaan Tere Hathon Mein Saunp Kar Chale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #467 on: February 24, 2007, 08:14:39 PM »

Jab Bhi Tumhare Paas Aaun,
Ek Ehsaas Sa Hone Lagta Hai,

Jab Bhi Tumhare Paas Aaun,
Ek Darr Sa Lagne Lagta Hai,

Hai Tum Mein Aisi Kya Kashish,
Jo Main Tumhari Taraf Chala Aata Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #468 on: February 24, 2007, 08:15:48 PM »

Jab Raat Ki Nagan Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,

Jab Chand Ki Kirne Tezi Se
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,

Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hai,

Sab Jazbon Pe Chha Jate Ho
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,

Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raks Gamon Ka Hota Hai,

Khwabon Ki Tal Pe Sare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,

Gaate Hai Khwahish Le Main,
Masti Mein Jhumte Hai,

Sab Jazbon Pe Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #469 on: February 24, 2007, 08:16:59 PM »

Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai
Har Saans Ke Sath Tera Hi Naam Aata Kyu Hai

Tu Kitna Bhi Mujhse Talkh E Talluk Rakhle
Zikr Phir Bhi Tera Meri Zaban Pe Aata Kyu Hai

Yuh To Hai Kayi Fasle Tere Mere Bich
Lagta Phir Bhi Tu Mujhko Meri Jaan Sa Kyu Hai

Teri Furkat Main Tadapne Ki Ho Chuki Hai Adat Meri
Tere Dur Hone Ka Phir Bhi Ehsaas Mujko Rulata Kyu Hai

Ye Jaanti Hu Ke Tujhko Nahi Mohabbat Mujhse
Magar Phir Bhi Lab Pe Mere Tera Hi Naam Aata Kyu Hai

Hai YaQeen Tujhko Paana Na Hoga MumQeen Mere Liye
Ye Dil Phir Bhi Roz Umeed Ki Shama Jalata Kyu Hai

Mehsoos Ki Hai Berukhi Teri Baato Mein Kayi Baar Maine
Lehja Wo Phir Bhi Tera Mujhko Itna Bhata Kyu Hai

Hai Khabar Mujhko Nikalega Tu Meri Chahat Ka Janaza Ek Din
Mann Mera Phir Bhi Tere Khwab Sajata Kyu Hai

Gar Bichad Na Hi Hai To Khuda Humko Milata Kyu Hai
Is Dil-E-Nadaan Ko Akhir Wo Itna Satata Kyu Hai

Dil Mera Tujhko Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai
Har Saans Ke Sath Tera Hi Naam Aata Kyu Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #470 on: February 24, 2007, 08:19:13 PM »

YE DIL KA ROG

Ye Dilka Rog Ye Cahhat Khuda Kisi Ko Na De,
Buri Bala Hai Ye Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De,

Jo Chot Tune Mujhe Di Koyi Na De Tujhko,
Ye Bewafayi Ki Aadat Khuda Kisi Ko Na De,

Zaroori Hai To Bahut Zindagi Mein IshQ Magar,
Ye Jaan Lewa Zaroorat Khuda Kisiko Na De,

Ye Dil Ka Rog Ye Chahat Khuda Kisiko Na De,
Buri Bala Hai Ye Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #471 on: February 24, 2007, 08:20:15 PM »

Humsafar Banke Hum Saath Hai Aaj Bhi,
Phir Bhi Ye Safar Ajnabi Ajnabi
Raah Bhi Ajnabi Mod Bhi Ajnabi,
Jaaye Hum Kidhar Ajnabi Ajnabi,

Zindagi Ho Gayi Hai Sulagta Safar,
Dur Tak Aa Raha Hai Dhua Sa Nazar,
Jaane Kis Mod Par Kho Gayi Har Khushi,
Deke Dard-E-Jigar Ajnabi Ajnabi,

Humne Chun Chunke Tinke Banaya Tha Jo,
Aashiyan Hasraton Se Sajaya Tha Jo,
Hai Chaman Mein Wohi Aashiyana Aaj Bhi,
Lag Raha Hai Magar Ajnabi Ajnabi,

Kisko Malum Tha Din Ye Bhi Aayenge,
Mausamon Ki Tarah Dil Bhi Badal Jayenge,
Din Hua Ajnabi Raat Bhi Ajnabi,
Har Ghadi Har Pal Ajnabi Ajnabi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #472 on: February 24, 2007, 08:20:59 PM »

Bhule To Kasie Wo Chand Sa Chehra

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazrein Milana, Milake Jhukana,

Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,

Saagar Si Aankhon Mein Utra Tha Gehra
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,

Tere Ashkon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Meethe Se Hothon Se Mithi Si Baatein,
Mohabbat Ke Nagmonse Bhigi Si Raatein,

Teri Kami Se Jalta Ye Dil Ye Sehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #473 on: February 24, 2007, 08:21:59 PM »

Chandni Raaton Mein
Tanhaiyon Ke Aalam Mein,
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,

Ye Mausam Ka Takaza Hai,
Ya Nahsa Hai Uske Pyaar Ka,
Wo Hawa Banke Badan Ko Chhu Ke,
Rooh Mein Utar Jaata Hai,

Chand Ko Dekhti Hoon Jab Jab
Sharm Si Mujhko Aati Hai,
Ye Chand Bhi Ab To Mujhe
Usika Chehra Dekhta Hai,

Ye Taron Se Bhara Aasman,
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai,
Chanchal Si Dilki Aarzuon
Ko Andekha Paigam De Jata Hai,

Barish Ki Bunde Jab Mere
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai,
Ek Shararat Bhari Nazron Se
Wo Mujhe Chhed Ke Jaata Hai,

Sardi Ki Raaton Mein Jab Jab
Neend Se Bezaar Hoti Hoon,
Wo Chupke Se Aake Mujhe
Apne Seene Pe Sula Ke Jaata Hai,

Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jaati Hai,
Tu Jiski Deewani Hai
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai,

Chandni Raaton Mein
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,
Chand Banke Wo
Mere Dil Mein Samata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #474 on: February 24, 2007, 08:23:02 PM »

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron Tum To So Jao,
Sakoot Marg Tari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Hanso Aur Haste Haste Doobte Jao Khayalon Mein,
Hum Hi Par Raat Bhari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Hamein To Aaj Ki Shab Pau Phatne Tak Jagna Hoga,
Yehi Kismat Hamari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Tumhe Kya Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaya,
Ye Baazi Humne Haari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Kahe Jaate Ho Ro Ro Kar Hamara Haal Duniya Se,
Ye Kaisi Raazdari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Hamein Bhi Nind Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge,
Abhi Kuch BeQarari Hai Sitaron Tum To So Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #475 on: February 24, 2007, 08:24:07 PM »

Kash Ye Zindagi Tere Naam Ho Jaye,
Umar Yunhi Tamam Ho Jaye,

Aur Ye Chaar Din Ki Zindagani Ka Safar,
Tere Sath Hi Tamam Ho Jaye,
Kash Ye Zindagi Tere Naam Ho Jaye,

Gam Na Mile Khushiya Hi Mile Tujhko,
Aur Teri Aankhon Ka Har Behta Hua Aansu,
Meri Aankhon Ke Naam Ho Jaye,

Kash Ye Zindagi Tere Naam Ho Jaye,
Umar Yunhi Tamaam Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #476 on: February 24, 2007, 08:24:50 PM »

Kiya Hai Jise Pyar Humne Zindagi Ki Tarah,
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,

Badha Ke Pyaas Meri Usne Hath Chhod Diya,
Wo Kar Raha Tha Marawat Bhi Dillagi Ki Tarah,

Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tareeki,
Chhupega Wo Kisi Badli Mein Chandni Ki Tarah,

Kabhi Na Socha Tha Humne Uske Liye
Karega Hum Pe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #477 on: February 24, 2007, 08:35:22 PM »

Ek Din Mere Mazar Par Jo Chirag Kisine Jala Diya,
Usi Sanam Ke Daaman Ne Sar Shaam Hi Bujha Diya,

Mujhe Dafan Karna Tu Jis Ghadi, To Ye Usse Kehna Ke,
Wo Jo Tera AashiQ Tha, Is Khaak Ne Use Daba Diya,

Dam Ghoosul Se Mere Beshtar, Use Hum Dumoon Ne Ye Soch Kar,
Kahin Jaye Uska Na Dil Dahal, Meri Lash Par Se Hata Diya,

Meri Aankh Jhabki Thi Ek Pal, Mere Dil Ne Chaha Ke Uth Kar Chal,
Dil Bekarar Ne Haay Wohi Chutki Leke Jaga Diya,

Zara Unki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf Zakhm Shuda Hath Mein,
Mere Piche Aye Dabe Dabe Mujhe Saanp Keh Ke Dara Diya,

Maine Dil Diya Maine Jaan Di, Magar Aah Tune Na Kadar Ki,
Kisi Baat Ko Jo Kaha Kabhi, Use Chutkiyon Mein Uda Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #478 on: February 24, 2007, 08:36:06 PM »

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufak Tak Chhaye The,
Hum Jab Uske Shaher Se Nikle Sab Raaste Sath Laye The,

Jane Wo Kya Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat,
Pyar Ki Baatein Karte Karte Uske Nain Bhar Aaye The,

Kaise Jaati Mere Badan Se Beete Lamhon Ki Khushbu,
Khwabon Ki Us Basti Mein Kuch Phool Mere Humsaye The,

Kaisa Pyara Manzar Tha Jab Dekhke Apne Sathi Ko,
Pair Pe Baithi Ek Chidiya Ne Apne Par Phailaye The,

Rukhsat Ke Din Bhigi Aankhon Uska Kehna Haaye,
Tumko Laut Hi Jana Tha To Is Nagri Kyon Aaye The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #479 on: February 24, 2007, 08:36:50 PM »

Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar,
Humne Aagoshe-E-Mohabbat Mein Sulaye Pathar,

Wehshat-E-Dil Ke Tookalaf Ke Zaroorat Ke Liye,
Aaj Us Shokh Ne Zulfon Mein Sajaye Pathar,

Un Qadmon Ke Tale Chand Sitare Dekhe,
Apni Raahon Mein Sulagte Hue Patthar,

Main Teri Yaad Ko Yun Dil Mein Liye Phirta Hoon,
Jaise Farhaad Ne Sine Se Lagaye Patthar,

Fikar Sagar Ke Kharidaar Na Bhulein Kabhi,
Maine AshQon Ke Gehar The Jo Banaye The Pathar...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 08:17:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer