Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36 37 ... 273
Print
Author  (Read 132858 times)
angel4u
Guest
«Reply #480 on: February 24, 2007, 08:37:39 PM »

Aasman Se Utara Gaya,
Zindagi De Ke Maara Gaya,

IshQ Jisne Kiya Soch Le,
Wo To Bemaut Maara Gaya,

Meri Mehfil Se Wo Kya Gaye,
Sath Mein Dil Hamara Gaya,

Mujhko Sahil Ka Deke Fareb,
Maut Ke Ghaat Utara Gaya,

Maut Se Bhi Jo Na Mar Saka
Usko Nazron Se Maara Gaya,

Aasman Se Utara Gaya,
Zindagi Deke Maara Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #481 on: February 24, 2007, 08:38:27 PM »

Jo Dard Mila Apno Se Mila
Gairon Se Shikayat Kyon Kare,

Jo Zakhm Diya Phoolone Diya,
Kaanto Se Shikayat Kyon Kare,

In Aankhon Ne Jo Kuch Dekha
Aye Dil Bata Kis Muh Se Kahein,

Kuch Apno Ka Naam Ata Hai
Behtar Ye Lab Khamosh Rahe,

Jab Kar Na Sake Hum Unse Gila,
Gairon Se Shikayat Kyon Kare,

Dil Sheesha Samajh Kar Tod Diya
Manzil Pe Laa Kar Chhod Diya,

Wo Pyar Nahi Ek Sapna Tha,
Sapno Se Shikayat Kyon Kare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #482 on: February 24, 2007, 08:40:07 PM »

Aye Maut Unhe Bhule Zamane Guzar Gaye,
Aa Jaa Ke Zeher Khaye Zamane Guzar Gaye,

O Jaane Wale Aa Ke Tere Intezar Mein,
Raaste Ko Ghar Banaye Zamane Guzar Gaye,

Gam Hai Na Ab Khushi Hai Na Ummid Hai Na Aas,
Sab Se Najaat Paaye Zamane Guzar Gaye,

Kya LaayaQ-E-Sitam Bhi Nahi Ab Main Doston,
Pathar Bhi Ghar Mein Aaye Zamane Guzar Gaye,

Jaane Bahar Phool Nahi Aadmi Hoon Main,
Aa Jaa Ke Muskuraye Zamane Guzar Gaye,

Kya Kya Tavakoohat Thi Aahon Se,
Ye Teer Bhi Chalaye Zamane Guzar Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #483 on: February 24, 2007, 08:41:13 PM »

Guzre Peher Ke Lamhon Mein Jo Hona Tha So Ho Gaya,
Kuch Humne Paya To Nahi Jo Khona Tha So Kho Diya,

Ab Kiska Ye Qasoor Hua Aap Hi Kijiye Faisla,
Hum Bebas Kuch Yun Hue Ke Iktiyar-E-Faisla Kho Diya,

Us Chand Pe Fakhar Barson Raha, Us Chand Se RafaQat Thi Use,
Ab Daastan Kuch Yun Hui Ke Chandni Ne Chaand Ko Kho Diya,

Kya Khoob Naam Humne Hai Paaya, Kuch Be-Asar Taseer Hai,
Ye Naam To Rahega Sada, Bas Muskurahat Ko Labon Ne Kho Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #484 on: February 24, 2007, 08:42:10 PM »

Agar Aankhein Teri Zinda Hai,
To In Mein Khwab Bhi Zinda Rakh,

Mayoosi Le Jati Hai Kufar Ki Jaanib,
Hardam Ummid-E-Fatah Rakh,

Ragon Mein Jab Khoon Rawan Hai Ab Tak,
To Koshishein Apni Rawan Rakh,

Na Ummidi Le Jaati Hai Nakami Ke Jaanib,
Umangein Apni Jawan Rakh...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #485 on: February 24, 2007, 08:42:50 PM »

Lakh Koshish Ki, Bahut Jatan Kiye,
Magar Wo Na Ho Saka Kisi Bhi Tarah Mera,

Khud Par Yakeen Tha, Uspe Bhi Aitbaar Tha,
Magar Haalaat Ne Na Saath Diya Mera,

Kya Kya Sochta Tha Kya Kya Sapne Dekhe The,
Mitti Mein Mil Gaya Sab Kuch Mera,

Suna Tha Kismatein Insaan Apni Khud Likhta Hai,
Magar Is Hunar Se Bhi Maat Kha Gaya Haath Mera,

Koi Maane Ya Na Maane Sach To Ye Hai,
Kismatein To Uparwala Banata Hai,
Kab Kisko Kya Mila, Ye To Wo Hi Behtar Jaanta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #486 on: February 24, 2007, 08:43:31 PM »

Jab Dil Ki Baat Koi Dil Sun Le,
To Dil Ko Acha Lagta Hai...

Yeh Dil To Nadaan Hai,
Kabhi Hansta Hai To Kabhi Rota Hai..

Tumko Ehsaas Nahi Ke Yeh Tum Pe Kitna Marta Hai
Par Jaan Lo Tum Ke Ye Tumhaare Liye Dhadakta Hai...

Kabhi To Iss Dil Ke Awaaz Suno Tum Bi..
Yeh Tho Sirf Tumhe Pukaar Raha Hai

Iss Dil Ki Baat Har Koi Sun Leta Hai..
Kabhie Tum Bhi Sun Kar Dekho
Yeh Tumse Apne Pyar Ka Izhaar Kab Se Kar Raha Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #487 on: February 24, 2007, 08:44:33 PM »

Tumhari Aankho Ka Zikr Chhedun,
Ya Tumhare Rukhsaar Ke Geet Gaon
Ya Apni Ankho Se Tumhari In Aankho Mein Utar Jaon
Bahut Gehree Dubki Lagaun,
Ke Bahar Hi Na Aaon
Waheen Kaheen Ghar Banao
Or Sukoon Se Mar Jaaon
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #488 on: February 24, 2007, 08:45:18 PM »

Tumko Chahte Hue Bhi Bhul Jana Achha Laga,
Aansu Ko Chhupa Kar Muskurana Achha Laga,

Tum Ajnabi The Mere Liye Magar Apna Jaan Kar Achha Laga,
Pechan To Ek Pal Ki Thi Magar Sadiyon Se Jaan Kar Achha Laga,

Khwabon Mein Yaadon Mein Tum The Magar Tumko Bhulana Achha Laga,
Meri Rooh Ka Ek Hissa The Magar Khudse Juda Karna Achha Laga,

Meri Zindagi Ka Sarmaya The Magar Tumko Lutana Achha Laga,
Mere Armano Ka Sawan The Magar Tumko Barsana Achha Laga,

Meri Khushiyon Ka Jahan The Magar Tumko Mitana Achha Laga,
Khud Ko Bhool Jaana Aur Tumko Yaad Karna Achha Laga,

Sab Khwahishon Ko Mitana Sirf Tumhe Paana Achha Laga,
Logonke Kehne Mein Aana Aur Sab Kuch Bhulana Achha Laga,

Yehi To Rasm-E-Duniya Hai Ise Nibhana Achha Laga,
Tumko Chahte Hue Bhi Bhool Jana Achha Laga,
Aansu Ko Chhupa Kar Muskurana Achha Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #489 on: February 24, 2007, 08:46:04 PM »

Hasne Nahi Deta Kabhi Rone Nahi Deta,
Ye Dil To Koi Kam Bhi Hone Nahi Deta,

Tum Maang Rahe Ho Mere Dil Se Meri Khwahish,
Bachha To Kabhi Apne Khilone Nahi Deta,

Main Aap Uthta Hoon Shab-O-Roz Ki Zillat,
Ye Bojh Kisi Aur Ko Dhone Nahi Deta,

Wo Kaun Hai Isse To Main WaQif Bhi Nahi Hoon,
Jo Mujhko Kisi Aur Ka Hone Nahi Deta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #490 on: February 24, 2007, 08:47:04 PM »

Sardiyon Ke Mausam Mein,
Do Udaas Chehro Ne
Zindagi Ke Kagaz Se
Lafz Kuch Churaye The,
Be-Imaan Rishtone
Be Nishaan Chehron Se
Aas Aur Ummidon Ka
Aashiyana Banaya Tha,
Dukh Ki Tapti Kiron Ne,
Sukh Ki Gheri Chhanv Se,
Haadso Ki Thandak Ka,
Ek Jahan Banaya Tha,
Dil Ki Aarzuon Ko
Khwahishon Ki Basti Mein,
Tootna Bikherna Tha,
WaQt Ke Thapdedon Mein,
Zard Zard Patton Ko
Gard Gard Hona Tha,
Jitne Ehad Baandhe The,
Saath Saath Rehne Ke,
Unko Toot Jana Tha,
Apni Apni Baaton Ko,
Apne Apne Hathon Se,
Maslayhat Ki Mitti Mein
Humko Dafan Karna Tha,
Ek Saath Chal Kar Bhi
Door Door Rehna Tha,
Hum Ko Jaan Jaana Tha,
Sab Gharonde Sapne Ko
Jinko Humne Aur Tumne
Khwab Ke Jharonkon Se
Zehen Mein Sajaya Tha,
Unko Tod Kar Khud Hi
Rasta Banana Tha
Phir Judayi Honi Thi,
Hum Ko Laut Jana Tha,
Hum Ko Laut Jana Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #491 on: February 24, 2007, 08:48:07 PM »

Har Qadam Par Nit-Naye Saanche Mein Dhal Jate Hai Log,
Dekhte Hi Dekhte Badal Jaate Hai Log,

Kisliye Kijiye Kisi Ghum Ghashta Jannat Ki Talash,
Jab Ke Mitti Ke Khilone Se Bahel Jaate Hai Log,

Kitni Sada Dil Hai Ab Bhi Sunke Awaz-E-Jaraz
Pesh-O-Paas Se Bekhar Bhar Se Nikal Jaate Hai Log,

Shama Ki Maanind Ahal-Anjuman Se Beniyaaz,
Aksar Apni Aag Mein Chup Chap Jal Jaate Hai Log,

Unki Dosti Ka Ab Bhi Dam Bharte Hai Aap,
Thokarein Kha Kar To Suna Hai Sambhal Jaate Hai Log,

{Ghum-Ghasta=Lost}
{Awaz-E-Jaras=Sound Of Bells}
{Pesh-O-Paas=Thought And Wisdom}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #492 on: February 24, 2007, 08:49:35 PM »

Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai,

Humko Unse Wafa Ki Hai Ummid,
Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai,

Hum Hai MushtaaQ Aur Wo Bezaar,
Ya Ilaahi Ye Maajra Kya Hai,

Jab Ke Tujh Bin Nahi Koi Maujood,
Phir Ye Hungama Aye Khuda Kya Hai,

Jaan Tum Par Nisaar Karta Hoon,
Main Nahi Jaanta Dua Kya Karta Hoon...

{MushtaaQ=Interested}
{Bezaar=Displeased}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #493 on: February 24, 2007, 08:51:08 PM »

Ek Pal Mein Hamein Bhulne Wale,
Tere Liye Nigahein Tarasti Hai,

Sawan Bina Zindagi Mein Hamari,
Yaadein Teri Barasti Hai,

Rote Rahe Hai Hum Tanha Akele,
Tasveerein Teri Hasti Hai,

Teri Jafayein Bun Kar Khanjar,
Dil Mein Dasti Hai,

Dinke Ujale Se Bachte Rahe Par,
Raatein Judayi Ki Dasti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #494 on: February 24, 2007, 08:52:12 PM »

Na Ho Gar Hum To Kya Ho Jayega
Humari Justajoo Kya Ankhoon Se Ansoo Sa Beh Jayega
Na Khuli Ankh Sehar Par To Kya Ho Jayega
Tamannai Kya Sirf Ik MaQbara Sa Bun Kar Reh Jayega

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga
Humara Naam Kya Sahil Ki Ret Sa Beh Jayega
Ya Jastajoo Humari Kissi Ki Yadon Ka Hissa Bun Jayega
Kya Hamare Naam Ka Bhi Koi Kahin Diya Jalayega

Na Ho Gar Hum Toh Kya Hoga
Koi Kya Phir Bhi Hamare Lautne Ka Rasta Dekhega
Hum Ayenge Phir Khwabon Mein Isi Se Dil Behlayega
Ya Sawal-E-Wasl Pe Humein Afsanoo Ki Tarah Bhool Jayega!!!
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36 37 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 28, 2024, 11:07:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer