Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36 37 38 39 ... 273
Print
Author  (Read 131168 times)
angel4u
Guest
«Reply #510 on: February 24, 2007, 09:15:38 PM »

Gam Bade Aate Hai Qatil Ki Nigahon Ki Tarah,
Tum Chhupa Ko Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote Kyon Kar,
Dil Hi Dushman Hai Mukhalif Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Khadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi Ilzaam Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aaye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #511 on: February 24, 2007, 09:16:32 PM »

Tabahi Ka Apni Nishaan Chhod Aaye,
WaraQ Dar WaraQ Daastan Chhod Aaye,

Har Ek Ajnabi Se Pata Puchhte Hai,
Tujhe Zinagi Hum Kahan Chhod Aaye,

Wohi Log Jeene Ka Fun Jante Hai,
Jo Ehsaas-E-Sood-O-Zoyaand Chhod Aaye...

Nikal Aaye Tanha Teri Rehguzar Par,
Bhatakne Ko Hum Kaarwan Chhod Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #512 on: February 24, 2007, 09:18:52 PM »

Tang Aa Chuke Hai Kashmakash-E-Zindagi Se Hum,
Thukra Na Dein Jahan Ko Kahin Be-Dili Se Hum,

Mayoosi-E-Maal-E-Mohabbat Na Puchhiye,
Apno Se Pesh Aaye Hai Begangi Se Hum,

Lo Aaj Humne Tod Diya Rishta-E-Ummid,
Lo Ab Kabhi Gila Na Kraenge Kisise Hum,

Ubhrenge Ek Baar Abhui Dilke Walwale,
Jo Dab Gaye Hai Baar-E-Gam-E-Zindagi Se Hum,

Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir IttefaaQ Se,
Puchhenge Apna Haal Teri Bebasi Se Hum,

Allah Re Fareb-E-Masahiyat Ke Aaj Tak,
Duniya Ke Zulm Sehte Rahe Khamoshi Se Hum,

Hum Gam Zada Hai Laye Kahanse Khushi Ke Geet,
Denge Wohi Jo Payenge Is Zindagi Se Hum...

{Maal=ConseQuence, Masahiyat=God's Will}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #513 on: February 24, 2007, 09:20:20 PM »

Tera Khayal Dilse Mitaya Nahi Abhi,
Bedard Maine Tujhko Bhulaya Nahi Abhi,

Kal Tune Muskura Ke Jalaya Tha Jise,
Sine Ka Wo Charag Bujhaya Nahi Abhi,

Gardan Ko Aaj Bhi Teri Baahon Ki Yaad Hai,
Chaukhat Se Teri Sar Ko Uthaya Nahi Abhi,

Behosh Ho Ke Jald Tujhe Hosh Aagaya,
Main Badnaseeb Hosh Mein Aaya Nahi Abhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #514 on: February 24, 2007, 09:21:38 PM »

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujhse To Sharma Na Sakegi

Main Baat Karunga To Ye Khamosh Rahegi
Sine Se Laga Lunga To Ye Kuch Na Kahegi
Armaan Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi

Ye Ankhein Hain Thehri Hui Chanchal Wo Nigahein
Ye Haath Hein Sehme Hai Aur Mast Wo Baahein
Parchhayi To Insaan Ke Kaam Aa Na Sakegi

In Honthon Ko Main Kuch De Na Sakoonga
Is Zulf Ko Main Haath Mein Bhi Le Na Sakoonga
Uljhi Hui Raton Ko Ye Suljha Na Sakegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #515 on: February 24, 2007, 09:22:34 PM »

Tumhe Bhul Jaun Ye Hota Nahi,
Koi WaQt Ho Dard Sota Nahi,

Na Ho Jao Badnaam Tum Is Liye,
Main Ro Roke Daaman Bhigota Nahi,

Ye Fasl Hai Jo Uge Khud Ba Khud,
Koi Dard Ke Beej Bota Nahi,

Ye Mana Ke Toofan Ka Zor Hai,
Main Ghabra Ke Kashti Dubota Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #516 on: February 24, 2007, 09:24:03 PM »

Tumko Hum Dil Mein Basa Lenge Tum Aao To Sahi,
Saari Duniya Se Chhupa Lenge Tum Aao To Sahi,

Ek Wada Karo Ab Humse Na Bichhdoge Kabhi,
Naaz Hum Saare Utha Lenge Tum Aao To Sahi,

Bewafa Bhi Ho Sitamgar Bhi Jafa-Pesha Bhi,
Hum Khuda Tumk Bana Lenge Tum Aao To Sahi,

Yun To Jis Simt Nazar Uthti Hai Tareeki Hai,
Pyaar Ke Deep Jala Lenge Tum Aao To Sahi,

Ikhtalfaat Bhi Mit Jayengi Rafta Rafta,
Jis Tarah Hoga Nibha Lenge Tum Aao To Sahi,

Raah Tareek Hai Aur Door Hai Manzil Lekin,
Dard Ki Shamein Jala Lenge Tum Aao To Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #517 on: February 24, 2007, 09:25:12 PM »

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Ahista Chal,
Dilki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aahista Chal,

Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Fasla Ruswai Ka Hai Kam Zara Aahista Chal,

Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,

Koi Bhi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #518 on: February 24, 2007, 09:26:49 PM »

Tumne Suli Pe Latke Jise Dekha Hoga,
WaQt Ayega Wohi Shakhs Masiha Hoga,

Khwab Dekha Ya Ke Sehra Mein Basera Hoga,
Kya Khabar Thi Ke Yehi Khwab To Saya Hoga,

Main Fizaon Mein Bikhar Jaunga Khushbu Bankar,
Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #519 on: February 24, 2007, 09:27:33 PM »

Tu Mere Sath Chal Na Payegi,
Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi,
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Bana,
Khwab Phir Khwab Hai Labon Ki HaQeeQat Kya Hai,
Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Ayegi,

Maine Mana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi,
Apni Mehrumi-E-Qismat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi AshQ-E-Nadamat Ke Siwa Kya Degi,
WaQt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #520 on: February 24, 2007, 09:28:28 PM »

Har Ghadi Khudse Ulajhna Hai MuQaddar Mera,
Main Hi Kashti Hoon Mujh Hi Mein Hai Samundar Mera,

Kaise Puchhun Ke Kahan Gum Hoon Barson Se,
Har Jagah Dhundta Phirta Hai Mujhe Ghar Mera,

Ek Se Hogaye Mausamon Ke Chehre Saare,
Meri Aankhon Se Kahin Kho Gaya Manzar Mera,

Muddatein Beet Gayi Khwab Suhana Dekhe,
Jaagta Rehta Hai Har Neend Mein Bistar Mera,

Aaina Dekh Ke Nikla Tha Main Ghar Se Bahar,
Aaj Tak Hath Mein Mehfooz Hai Pathar Mera...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #521 on: February 24, 2007, 09:29:09 PM »

Mohabbat Se Bhi Nafrat Ho Gayi Hai
Humein Ye Kaisi Wehshat Ho Gayi Hai

Fanaa Kar Dalun Khud Ko Aur Sab Ko
Meri Ye Kaisi Fitrat Ho Gayi Hai

Jahan Matlab Wahan Mohabbat Milegi
Tijarat Se Mohabbat Ho Gayi Hai

Mujhe Wehshat Thi Jis Deewangi Se
Wohi Meri Qismat Ho Gayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #522 on: February 24, 2007, 09:30:07 PM »

Mil Mil Ke Bichhadna Mujhe Achha Nahi Lagta,
Par Tum Ko Bhi Paane Ka Raasta Nahi Milta,

Tere Khaloos-E-Mohabbat Pe Aitbar Hai Itna,
Siwa Tere Koi Rishta Sachha Nahi Lagta,

Tu Mera Pyar Meri Zindagi Mera Sab Kuch,
Bina Tere Ye Jeewan To Mujhe Achha Nahi Lagta,

Bahut Mushkil Se Milte Hai Kisiko Chahne Wale,
Main Jisko Chahta Hoon Wo Mujhe Hi Nahi Milta,

Dil To Kya Jaan Bhi Main Usko De Deta,
Wo Ek Baar Apne Pyaar Ka Izhaar To Karta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #523 on: February 24, 2007, 09:31:47 PM »

Tum Puchho Aur Hum Na Batayein Aise To Halat Nahi,
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi,

Kisko Pata Tha Sanwle Badal Bin Barse Ud Jate Hai,
Saawan Aya Lekin Apni Qismat Mein Barsaat Nahi,

Toot Gaya Jab Dil Hi To Ye Saans Se Nagma Gaya Maine,
Goonj Rahi Hai Kyon Shehnai Jab Ke Koi Baaraat Nahi,

Gam Ke Andhere Mein Tujhko Apna Sathi Kyon Samjhun,
Tu Phir Tu Hai Mera To Saya Bhi Mere Sath Nahi,

Mere Gamgeen Hone Se Hai Sabhi Hairat Mein,
Jaise Pathar Hoon Mere Seene Mein Jazbaat Nahi,
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #524 on: February 24, 2007, 09:32:58 PM »

To Kya Hoga?
Yehi Hoga Ke Tum Mujhse Bichhad Jaoge,
Jaise Rang Se Khushbu
Badan Se Door Saanso Ki Dor
Giraft-E-Shaam Se Naraz Suraj Ki Kiran,
Ekdam Bichhad Jaye,

Ke Jaise Raat Ke Pichhle Paher
Khwabidaah Galiyan
Neem Khwabidah Gharon Mein Zalzala Aaye,
To Ek Basti Ujad Jaye,

Ke Jaise Dhoop Ke Sehra Mein,
Tashna Lab, Bhatakte Bhulte Beghar Parindein,
Sakht Jaa Parindon, Bagolon Ke Bhanwar Mein,
Apni Chhanv Bantta Badal Nuchad Jaye,

To Kya Hoga?
Yehi Hoga Ke Main Tumse Juda Hokar,
Kahin TaQseem Ho Jaunga,
Lamho Mein Bikhar Jaunga,
Tanhayi Ke Andhe Ghar Ki Teh Mein Utar Jaunga,
Tumse Rooth Kar Khudse Khafa Hokar,

To Kya Hoga?
Yehi Hoga
Na Koi Zalzala Ayega
Koi Aankh Nam Hogi Na Sannata,
Bichhega Shaher Ki Galiyon Mein,
Zulfein Khol Kar Royegi Tanhayi,
Na Sheher-E-Dil Fagaraan Mein,
Moyi Mehshar Bapa Hoga,

To Kya Hoga?
Tumhare Sath,
Apne Rang Honge,
Roshni Hogi,
Sitare Bantte Khwabon Ka
Apna Silsila Hoga,
To Kya Hoga?
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36 37 38 39 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:54:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer