Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40 ... 273
Print
Author  (Read 131169 times)
angel4u
Guest
«Reply #525 on: February 24, 2007, 09:34:32 PM »

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete
Jo Jaa Chuka Hai Usko Bhula Kyon Nahin Dete

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete

Kayi Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya
Tum Uski Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete

Wo Aag Jo Dil Mein Lagayi Thi Kabhi Tum Ne
Wo Aag Aaj Khud Hi Bujha Kyon Nahin Dete

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Hue
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #526 on: February 24, 2007, 09:35:28 PM »

Rabse Tujhko Duwaon Mein Mangte,
Lekin Tujhe Pana Rabko Hi Na Manzoor
To Main Kya Karun,

Dil-O-Jaan Se Tujhko Chaha Tujhko Jana,
Lekin Is Mohababt Mein Dil Hi Toot Gaya!
To Main Kya Karun,

Har Pal, Har Ghadi, Har Saans Mein Tujhi Ko Yaad Karna Chaha,
Lekin Kambakht Ye Saansein Hi Pal Pal Ki Mohtaj Ho Gayi
To Main Kya Karun,

Gar Main Zindagi Bahr Tujhe Pyar Karna Chahun
Lekin Teri Ruswayi Ka Dar Mujhe Sataye,
To Main Kya Karun,

Maine Zindagi Bhar Ke Liye Tera Sath Chaha,
Lekin Zindagi Bhar Ke Liye Teri Yaadein Mili,
To Main Kya Karun,

Zindagi Bhar Teri Yaadon Ke Sahare Jee Nahi Sakta Main,
Lekin Kambakht Ye Maut Bhi Na Aayi!
To Main Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #527 on: February 24, 2007, 09:36:32 PM »

Tum Aaj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Yeh Aazmaaish Na Baar Baar Hogi
Main Jaanta Hu Mujhe Khabar Hai Ke Kal Fiza Khushgawaar Hogi

Raah-E-Mohabbat Mein Zindagi Bhar Rahegi Yeh Kashmakash Baraabar
Na Tumko Qurbat Mein Jeet Hogi Na Mujhko FurQat Mein Haar Hogi

Hazaar Ulfat Sataye Lekin Mere Iraadon Se Hai Ye Mumkin
Agar Sharaafat Ko Tumne Chedaa To Zindagi Tum Pe Waar Hogi ....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #528 on: February 24, 2007, 09:37:26 PM »

Dil Ki Ladi Ko Aur Wo Badha Rahe Hai Aaj,
Sar-Ta-Paa Bahar Bane Jaa Rahe Hai Aaj,

Jaise Ke Ho Raha Hai Tuloo-E-Aftab-E-Naaz,
Kuch Aisi Shaan Se Wo Chale Aa Rahe Hai Aaj,

Thukra Ke Iltija Ko Paa-E-Guroor Se,
Armano Ka Wo Khoon Kiye Jaa Rahe Hai Aaj,

Wo Pyar Ki Fizayein Wo Rangeen Sohbatein,
Manzar Wo Saare ShauQ Ke Yaad Aa Rahe Hai Aaj,

Gila Karein Bhi To Kis Baat Ka Karein,
Apne Kiye Ki Aap Saza Paa Rahe Hai Aaj...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #529 on: February 24, 2007, 09:38:36 PM »

Phirse Mausam Baharon Ke Aane Ko Hai,
Phir Se Rangeen Zamana Badal Jayega,
Ab Ki Bazm-E-Charagaan Saja Lenge Hum,
Ye Bhi Armaan Dilka Nikal Jayega...

Aap Kar Dein Jo Mujhpe Nigah-E-Karam
Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam,
Yun Fasana To Mera Rahega Yahin,
Sirf Unwan Uska Badal Jayega,

Fiki Fiki Si Kyon Shaam-E-Maikhana Hai,
Lutf-E-SaaQi Bhi Kam Khali Paimana Hai,
Apni Nazron Se Hi Kuch Pila Dijiye,
Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jayega...

Mere Mitne Ka Unko Zara Gam Nahi,
Zulf Bhi Unki Aye Dost Bharam Nahi,
Apne Hone Na Hone Se Hota Hai Kya,
Kaam Duniya Ka Yun Hi To Chal Jayega,

Aapne Dil Jo Mera Toda To Kya,
Aapne Uski Duniya To Chhoda To Kya,
Aap Itne To Aakhri Pareshan Na Ho,
Wo Samhalte Sambhalte Sambhal Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #530 on: February 24, 2007, 09:39:57 PM »

Abhi Wo Dard BaaQi Hai,
Agarche WaQt Marham Hai
Magar Kuch WaQt Lagta Hai,
Kisiko Bhool Jaane Mein,
Dobara Dil Basane Mein,
Abhi Kuch WaQt Lagta Hai,

Abhi Wo Dard BaaQi Hai.....

Main Kaise Nayi Ulfat Mein Apni
Zaat Ko Gum Kar Dun,
Ke Mere Jism-O-Wajdaan Mein,
Wo Fard BaaQi Hai,
Abhi Us Shakhs Ki Mujhpar
Nigaah-E-Sard BaaQi Hai,
Abhi To IshQ Ke Raaston Ki
Mujh Par Gard BaaQi Hai

Abhi Wo Dard BaaQi Hai.....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #531 on: February 24, 2007, 09:41:12 PM »

Tu Kisi Aur Ki TaQdeer Hai Aye Jaan-E-Gazal,
Log Toofan Utha Denge Mere Sath Na Chal,

Pehle HaQ Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera,
Pehle HaQ Tha Teri Khushbu-E-Badan Par Mera,
Ab Mera Pyar Tere Pyar Ka HaQdaar Nahi,
Main Tere Gesu-O-Ruhsaar Ka HaQdaar Nahi,
Ab Kisi Aur Ke Shaano Pe Hai Tera Aanchal...

Main Tere Pyar Se Ghar Apna Banaun Kaise,
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise,
Meri Qismat Mein Nahi Pyar Ki Khushbu Shayad,
Mere Hathonki Lakeeron Mein Nahi Tu Shayad,
Apni TaQdeer Bana Mera MuQaddar Na Badal...

Mujhse Kehti Hai Ye Khamosh Nigahein Teri,
Meri Parwaz Se Unchi Hai Panahein Meri,
Aur Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hoon...

Ab Kisi Aur Ki Baahon Mein Hai Baahein Teri,
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal!!!
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #532 on: February 25, 2007, 04:53:10 AM »
Bohat khoooooooooob Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #533 on: February 25, 2007, 05:24:27 PM »
Thanks Aryaan...

Lagta hai sirf tumhe hi pasand aaya hai mera collection..

Thanks a lot dear Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #534 on: February 25, 2007, 05:28:50 PM »

Guroob-E-Shaam Hi Se Khud Ko Yun Mehsoos Karta Hu
Ki Jaise Ek Diya Hu Or Hawa Ki Zad Pe Rakha Hu

Chamakti Dhoop Tum Apne Hi Daaman Me Rakh Lena
Main Saari Raat Pedon Ki Tarah Baarish Me Bheega Hu

Koi Toota Hua Rishta Na Daaman Se Ulajh Jaye
Tumhaare Saath Pehli Baar Bazaaron Me Nikala Hu

Yeh Kis Awaaz Ka Bosaa Mere Honton Pe Kaanpa Hai
Main Pichli Shab Sadaaon Ki Halavat Bhool Baithaa Hu

Bichad Ke Tum Se Maine Bhi Koi Saathi Nahi Dhoondha
Hujum-E-Rahguzar Mein Door Tak Dekho Akela Hun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #535 on: February 25, 2007, 05:30:35 PM »

Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi,
Main Jo Mara To Mar Jayegi Tanhayi,

Main Jab Ro Ro Ke Dariya Ban Jaunga,
Us Din Paar Utar Jayegi Tanhayi,

Tanhayi Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Dun,
Socho Kis Ke Ghar Jayegi Tanhayi,

Veerana Hoon Aabadi Se Aaya Hoon,
Dekhegi To Dar Jayegi Tanhayi,

Yun Aao Ke Paanv Ki Bhi Aawaz Na Ho,
Shor Hua To Mar Jayegi Tanhayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #536 on: February 25, 2007, 05:32:35 PM »

Din Dhala Aur Yaadon Ke Tarane Chale Aaye,
Wo Phir Ankhonko Rulane Chale Aaye,

Khayalon Ke Aanchal Mein Bandh Ke,
Jaise Dilko Samjhane Chale Aaye,

Aadat Hai Dilko Diye Ki Tarah Jalne Ki,
Wo Hawaon Ki Tarah Ise Bujhane Chale Aaye,

Ye Dard Unke Hi Karam Se Aabad Hai,
Marham Banke Ye Zakham Mitane Chale Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #537 on: February 25, 2007, 05:33:38 PM »

Jab Yaad Ka Album Kholun To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,
Main Apna Bachpan Sochun To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,

Ab Jaane Kis Nagri Mein Jaa Kar Soye Hue Hai Barsonse,
Main Raat Gaye Tak Jagoon To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,

Kuch Baatein Thi Phoolon Jaisi, Kuch Khushbu Jaise Lehje The,
Main Sehan-E-Chaman Mein Tehloon To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,

Jab Panchhi Laut Kar Aate Hai Aur Shaam Ki Laali Padti Hai,
Main Jheel Kinare Baithun To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,

In Ulti Sidhi Rekhaon Ko Pehron Chuma Karte The,
Main Apni Hatheli Dekhun To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai,

Wo Pal Bhar Ki Naarazgiyan Aur Maan Bhi Jana Pal Bhar Mein,
Ab Jo Kabhi Khudse Ruthun To Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #538 on: February 25, 2007, 05:35:15 PM »

Meri Soch Ke Gehre Paani Mein,
Tere Nain Kanwal Jab Hanste Hai,
Mere Dhyan Ke Ujle Aangan Mein,
Jab Subah Sitare Chunti Hai,
Jab Shaam Koi Sur Bunti Hai,
Jab Andaishon Ki Baahon Mein,
Tere Saans Ka Resham Khulta Hai,
Jab Hare Kachoor Khilaon Mein,
Tere Jazbon Ka Zar Ghulta Hai,
Main Sochta Hoon, In Raaston Mein,
Hum Kitni Der Ke Baad Mile,
Jab Kitne Mausam Beet Gaye,
Is Qarb Kathoor Musafat Mein,
Dil Sadiyon Chakna Choor Hua,
Is Hijr Ke Tapte Sehra Mein,
Kya Gazlein Thi Jo Raakh Hui,
Kya Neendein Thi Jo Khaak Hui...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #539 on: February 25, 2007, 05:37:33 PM »

Kaante Ne Phoolse Kaha,
Ke Sari Duniya Ke Log,
Mujhse Nafrat Aur Tumse Mohabbat Karte Hai,
Phool Ne Badi Shaistagi Se Kaha,
Sari Duniya Ki Nafrat Se Kya Hota Hai,
Main To Tumse Mohabbat Karta Hoon...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:55:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer