Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 33 34 35 36 [37] 38 39 40 41 ... 273
Print
Author  (Read 131172 times)
angel4u
Guest
«Reply #540 on: February 25, 2007, 05:38:34 PM »

Charo Taraf TANHAI Hai,
Ek Udaasi Si Chhayi Hai,
Sochkar Uski Baaton Ko,
Aankh Meri Bhar Aayi Hai,
Bechaini Hai Seene Mein,
Aaye Na Maza Jeene Mein,
Kitna Mujhe Tadpata Hai,
Kabhi Mujhko Hasaye,
Kabhi Mujhko Rulaye,
Mujhe Kitna Satata Hai,
Wo Bahut Yaad Ata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #541 on: February 25, 2007, 05:44:46 PM »

Main Tumse Phir Kuch Na Kahunga,
Magar-------------Aaj,
Mere Mehboob Meri Ek
Ilteja Sun Lo-----------
Mumkin Hai Ye Harf-E-Aakhir Hi Ho,
Dekho! Mujhe Tum Yun Na Aazmao,
Aisa Na Ho Ke Mera Wajood Bikhar Jaye,
Aur Tum------Tum Samet Bhi Na Sako,
Bilkul Us Glass Ki Manind,
Jo Tumhari Ek Zara Si Galti Se,
Chakna Choor Hogaya----Aur,
Tumhe Zar Si Kharash Tak Bhi Na Aayi,
Wo Shishe Ka Ek Nazuk Sa,
Glass Tha,
Jo-----------Bazar Mein Tumko Phir Mil Jayega,
Aur Main-----Main Ek Jeeta Jaagta,
Wajood--------Jo Ek Baar
Bikhar Gaya To Tum Mujhe
Phir Na Paa Sakoge,
Yun Na Bhula Sakoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #542 on: February 25, 2007, 05:47:08 PM »

Jeene Ki Tamanna Na Rahi Mujhe Uske Jaane Ke Baad,
Ro Raha Hoon Zindagibhar Main Ek Pal Muskurane Ke Baad,

Ab Aa Rahi Hai Wo Mujhse Pyaar Jatane Mujhe Samjhane,
Jab Kuch Bhi Na Bacha Mere Paas Ghar Jalane Ke Baad,

Ye Bhi Uski Inayatein Hai Ke Main Tanha Hoon Duniyaki Mehfilon Mein,
Aaj Roshan Hai Uski Zindagi Mera Charag Bujhane Ke Baad,

Aisi Bhi Kya Khata Hui Humse Ke Wo Hamein Aise Zakham De Gaye,
Aaj Main Tanha Hoon Kabar Ke Veerane Mein Mehfile Sajane Ke Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #543 on: February 25, 2007, 05:48:31 PM »

Jo Na Mil Sake Wo Hai Bewafa, Ye Badi Ajeeb Si Baat Hai,
Jo Chala Gaya Mujhe Chhod Kar Wo Hi Aajtak Mere Sath Hai,

Jo Kisi Nazar Se Ata Hui Wo Hi Roshni Hai Ek Khayal Mein
Wo Na Aa Sake Main Hoon Muntazir Ye Khalish Kahan Thi Wisal Mein,
Meri Justaju Ko Khabar Nahi Na Wo Din Rahe Na Wo Raat Hai,

Kare Pyar Labpe Gila Na Ho Ye Kisi Kisika Naseeb Hai,
Ye Karam Hai Uska Jafa Nahi Wo Juda Bhi Rehke Kareeb Hai,
Wo Hi Aankh Hai Rubaru Usi Haath Mein Mera Haat Hai,

Mera Naam Tak Jo Na Le Saka Jo Mujhe Qaraar Na De Saka,
Jise Ikhtiyar To Tha Magar Mujhe Apna Pyar Na De Saka,
Wo Hi Shakhs Meri Talash Hai Wo Hi Dard Meri Hayat Hai,
Jo Chala Gaya Mujhe Chhod Kar Wo Hi Aaj Tak Mere Saath Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #544 on: February 25, 2007, 05:51:51 PM »

Rafta Roya Karenge Aap Bhi Pehro Isi Tarah,
Atka Kahin Jo Aapka Dil Bhi Meri Tarah,

Na Taab Hijr Hai Na Armaan Wasl Mein,
Kambakht Dilko Chain Nahi Hai Kisi Tarah,

Gar Chup Rahe To Gam-E-Hijraan Se Chhut Jayein,
Kehte To Hai Bhale Ki Wo Lekin Buri Tarah,

Na Jaye Waan Bane Hai Na Bin Jaye Chain Hai,
Kya Kijiye Humein To Hai Mushkil Sabhi Tarah,

Lagti Hai Galiyaan Bhi Teri Mujhe Kya Bhali,
Qurbaan Tere Phir Mujhe Ke Le Isi Tarah,

Hoon Jaan Balab Butaan-E-Sitamgar Haath Se,
Kya Sab Jahan Mein Jite Hai Momin Isi Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #545 on: February 25, 2007, 05:53:11 PM »

Sata Sata Ke Humein Ashkbaar Karti Hai,
Tumhari Yaad Bahut Bekarar Karti Hai,

Wo Din Jo Saath Guzare The Pyar Ke Humne,
Talash Unko Nazar Baar Baar Karti Hai,

Gila Nahi Jo Naseebon Ne Kar Diya Hai Juda,
Teri Judai Bhi Ab Humko Pyar Karti Hai,

Kinare Baith Ke Jiske Liye Tha Qaul-O-Karaar,
Nadi Wo Ab Bhi Tera Intezaar Karti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #546 on: February 25, 2007, 05:55:20 PM »

Suno Humse Tumse Kuch Kehna Chahte Hai,
Is Tees Ko Is Dard Ko Hum Sehna Chahte Hai,

Jisko Kabhi Shisha Kabhi Aaina Kehte Ho Tum,
Seene Ke Us MuQaam Mein Hum Rehna Chahte Hai,

Maujon Ka Daar Nahi Hai, Saahil Se Nahi Hai Pyar,
Bas Tham Lo Hume Tum Hum Behna Chahte Hai,

Aankhone Baat Kar Li, Nazron Ne Bhed Khola,
Ab Honth Kaampte Hai Kuch Kehna Chahte Hai,

Kya Yaad Karoge Humko Jab Paas Hum Na Honge,
Tere Khwab Mein Khayal Mein Hum Rehna Chahte Hai,

Khayal Mein Tere Aks Se Ye Sab To Keh Chuke Hai,
Tere Samne Gar Ho Ijaazat Kehna Chahte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #547 on: February 25, 2007, 05:56:42 PM »

Dard Ki Galiyon Mein Ghuma Ke Ab Sehra Aa Nikla,
Awara Phir Ab Ban Gaye Hum Tera Nishan Hi Mera Manzar Nikla,

Laut Aaye Hum Phir Dard Ka Darwaza Khatkhatane,
Shayad Yehi Zindagi Nasoor Badsha Nikla,

Maan Li Ab Haar Humne Aur Khumaar Ke Samne Ghutne Tek Diye,
Teri Badsalooki Se Dekh Kaise Mera Karwaan Badnaam Nikla,

Na Kehna Awara Hamein Hum To Bas Mohabbat Kiya Karte Hai,
Kya Karega Jo Wo Phoool Kisi Aur Ka Nikla,

Ye Garmiyan Ye Narmiyan,
Ba Yehi Mausam Hai Jo Mera AshQ Teri Aankhonse Aa Nikla,

Lo Chale Gaye Ab Hum Raah Se Teri,
Phir Na Kehna Tu Kyon Mere Raste Ka Pathar Nikla...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #548 on: February 25, 2007, 06:05:35 PM »

Mil Bhi Na Saka Dilse Juda Bhi Na Hua,
Wo Ek Shakhs Jo Kabhi Mujhse Khafa Bhi Na Hua,

Main To Samjha Tha Mera MuQaddar Sanwarega Uske Hawale Se,
Lekin Wo Insaan Hi Raha Khuda Na Hua,

Aankhein To Shayad Bhula Bhi Deti Mohabbat Ke Bikhre Rang,
Dil Hi Ba-Zid Tha Uski Yaadon Se Riha Na Hua,

Har Rishte Ke Ehsaas Ki Apni Alag Kahani Hai,
Par Jo Dard Diya Usne Wo Bayan Na Hua,

Saanson Ke Saath Chalna Tha Use Ban Ke Zindagi,
Wo Tamaam Umar Ka Rog Bana Meri Dawa Na Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #549 on: February 25, 2007, 06:08:47 PM »

Wo Aankh Ke Kehne Pe Safaarat Nahi Karta,
Dil Hai Ke Abhi Uski Himayat Nahi Karta,

Kis Baat Pe Rootha Hai Pata Ho To Manaun,
Wo Rooth To Jata Hai Shikayat Nahi Karta,

Har Baat Mein Hai Uske Sau Sau Matlab,
Wo Baat To Karta Hai Wazaahat Nahi Karta,

Us Shakhs Ke Waadon Mein Wafa Aaye Kidhar Se,
Waade Bhi Jo Az Rah-E-Mohabbat Nahi Karta,

Main Usse Rooth Kar Jaati Nahi Ke Aksar,
Roothun To Manane Ki Zehmat Nahi Karta,

Main Uske Liye Saare Zamane Se Buri Hoon,
Wo Shakhs Jo Khud Se Bhi Bagawat Nahi Karta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #550 on: February 25, 2007, 06:09:55 PM »

Usne Ek Baar Mujhse Puchha,
Ke Batao,
Tum Mujhe Kitna Yaad Karte Ho,
Maine Kaha Bahut Zyada,
Usne Dobara Sawal Kiya,
Phir Bhi Batao To Sahi Aakhir Kitna,
Maine Kaha Bahut, Bahut Bahut Zyada,
Mera Jawab Sunkar,
Wo Zair-E-Lab Dhire Se Muskurayi Aur Kaha,
Ab Mujhse Bhi To Puchho
Aur Jab Maine Puchha,
To Uski Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi,
Aur Halka Sa Gulabi Rang Uske Chehre Pe Aakar Guzar Gaya,
Usne Mujhe Doobi Hui Nazron Se Dekha,
Aur Phir Palkein Jhuka Kar Boli,
"Pagal Yaad To Unhe Kiya Jaata Hai Jinhe Aadmi Bhul Jaye"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #551 on: February 25, 2007, 06:14:02 PM »

Kasam Se Zara Bhi Tera Intezar Nahi Ab,
Dil-E-Nadan Mein Koi Aas Nahi Ab,

Mohabbat Ke Saude Mein Saare Hasaare Hamare,
BaaQi Tujhse Koi Hisab Kitab Nahi Ab,

Neend Koson Door Hai Aankhonse Meri Ab,
Shabnami Palkon Mein Koi Khwab Nahi Ab,

Mashgala Hai Tera Mere Dilse Khelna,
Is Dil Mein Lekin Koi Jazbaat Nahi Ab,

Khatam Hui Saari Sazayein Hamari,
Yaar BaaQi Tera Koi Azaab Nahi Ab,

Chhod Ke Tujhe Jaun Bhi To Kahan?
Waapsi Ka Koi Imkaan Nahi Ab,

Kyon Khade Ho Sar Ko Jhukaye,
Tujhse Mera Koi Sawal Nahi Ab,

Khatam Hui Saari Ranjishein Tere Mere Darmiyan,
Ke Ladne Ka Tujhse Koi Jawaaz Nahi Ab...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #552 on: February 25, 2007, 06:14:57 PM »

Mujhse Wo Aksar Kehti Thi,
Meri Bas Itni Si Khwahish Hai,
Kuch Aise Pehchani Jaun,
Aap Ke Naam Se Jaani Jaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #553 on: February 25, 2007, 06:16:10 PM »

Jaan Ko Ye Kaise Rog Laga Liya Hai,
Kyon Humne Gamon Se Rishte Badha Liye Hai,

Baat Be Baat Par Purnam Ho Jana,
Humne Ye Kaisa Miyaaj Bana Liya Hai,

Khudse Berukhi Ki Wajah Malum Nahi,
Haan Bechainiyon Se Marasim Bana Liye Hai,

Jabse Thehra Man Pyaase Sehra Ki Tarah,
Humne Aankhon Mein Samundar Basa Liye Hai,

Behisi Hi Behisi Phaili Hai Har Taraf,
Yun Lagta Hai Logone Dil Pathar Bana Liye Hai,

Phir Bhi Shikwa Nahi Kisi Baat Ka Zamane Se,
Humne Hothon Par Taale Laga Liye Hai,

Dhundne Nikloge To Khabar Hogi,
Kuch Log Jo Bekhabri Be Ganwa Liye Hai,

Uktaaye Se Phirte Hai Mehfil-E-Yaran Se Hum,
Jab Se Shehr-E-Dil Ne Weerano Me Ghar Bana Liye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #554 on: February 25, 2007, 06:17:03 PM »

Aye Mere Rab.....
Mujhe Bata Ke Main Aisa Kya Karun,
Ke Tujhe Pasand Aa Jaun,
Ke Tu Meri Har Khata Muaaf Kar De,
Mera Dil Bahut Bechain Hai, Isko Chain-O-Qarar De De,
Muddaton Se Is Mein Khazaan Hai,
Ab To Ise Bahar De De...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 33 34 35 36 [37] 38 39 40 41 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:27:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer