Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 34 35 36 37 [38] 39 40 41 42 ... 273
Print
Author  (Read 131175 times)
angel4u
Guest
«Reply #555 on: February 25, 2007, 06:19:11 PM »

Manzil Ke Paas Hi Rishte Ki Dhool Hai,
Jab Wo Nahi To Apne Ye Jazbe Fazool Hai,
Jo Roothna To Khwab Me Bhi Aana Chhodna,
Kis Kadar Jangasal Tere Jaana Usool Hai,
Sabayam FaQat Dil Hi Jale Kyon FaraaQ Mein,
Aankhein Bhi Jurm-E-Chah Mein Barabar Shamool Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #556 on: February 25, 2007, 06:20:36 PM »

Main Aise Shakhs Ki Maasoomiyat Par Kya Likhun,
Jo Mujhe Apni Khataon Mein Bhi Bhala Hi Laga,

Na Mere Lutf Par Hairan, Na Apni Uljhan Par Pareshan,
Mujhe To Ye Shakhs Har Shakhs Se Juda Hi Laga,

Zuban Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai,
Aankh Uthayi Jab Bhi To Bolta Hi Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #557 on: February 25, 2007, 06:22:32 PM »
Aaj Humne Chand Pighalte Hue Dekha,
Girte Hue Palloo Ko Sambhalte Hue Dekha,

Ajeeb Rang Ke Khile Hai Ab Ke Bahar Mein,
Har Phoolko Tere Samne Dhalte Hue Dekha,

AshQ Kahan Kho Jate Hai Kya Malum,
Humne To Dard Mando Ko Behelte Hue Dekha,

Samundar Ke Kinare Ek Chhota Sa Ghar Ho,
Aagan Mein Tujhe Uske Tehelte Hue Dekha,

Har Wo Din Phir EID Kar Li Maine,
Jab Jab Tujhe Raat Nikalte Hue Dekha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #558 on: February 25, 2007, 06:28:53 PM »

Lamha Lamha Guzarta Teri Yaad Ke Saaye,
Teer Dilme Utra Teri Yaad Ke Saaye,

Koi Khushiya Manata Hai Koi Nagma Gaata Hai,
Hamein Gam Ne Pukara Teri Yaad Ke Saaye,

Ashkon Ki Hai Kya Keemat Tum Khoon-E-Jigar Lo,
Har Qatra Hamara Teri Yaad Ke Saaye,

Taaza Gulon Ki Khushbu Jane Ho Kab Naseeb,
De Koi Tu Ishara Teri Yaad Ke Saaye,

Lafzon Mein Saja Kar Tamasha-E-Gam Apna,
Shaher Mein Utra Teri Yaad Ke Saaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #559 on: February 25, 2007, 06:30:16 PM »

Dushman-E-Jaan Jab Apni Hi Jaan Ho Jaye,
Tu Kehne Wala Kyon Na Bezubaan Ho Jaye,

Puchte Ho Kya Deen-O-Iman Ki Baat,
Aadmi Kaisa Bhi Ho Beimaan Ho Jaye,

Aapne Kyon Ki Zehmat Zeher Dene Ki,
Aap Kehte To Ye Khadim Benishan Ho Jaye,

Aapki Aankhon Mein Jo Ghar Kiya Tha Humne,
Kahin Sar Ki Jumbish Se Na Bemakan Ho Jaye,

Hum Aise Hi Nahi Karte Koi Tarkeeb,
Ke Dushman Bewajah Hi Bekiran Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #560 on: February 25, 2007, 06:31:54 PM »

Faaslon Ki Duniya Mein IshQ Hai Kaam Mushkil,
Mohabbat, Ulfat, Qurbat Tamaam Mushkil,

Jo Kismat Se Mil Bhi Jaaye Sar-E-Raah,
Ho Jata Hai Kar Na Kalam Mushkil,

Bo Dete Hai Pal Mein Beej Nafrat Ke,
Hai Mohabbat Ka De Na Paigam Mushkil,

Sar Jhukaun To Milte Hai Mohabbat Ke Khazane,
Aise Jazbaat Ka Karna Hai Par Ehtaram Mushkil,

Man Hi Man Mein Chahte Hai Aur Nahi Kehte,
Darte Hai Ke Lena Hai Naam Mushkil,

Sari Subahein Hojati Hai Khushnuma Khushrang,
Guzaarne Padti Hai Bas Ek Shaam Mushkil,

Inki Kya Nazakat Ka Puchhte Ho Tum,
Ye Wo Afsana Hai Jiska Ikhtetaam Hai Mushkil...
{Ikhtetaam=End}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #561 on: February 25, 2007, 06:35:32 PM »

Khwab-O-Gul Pareshan Rehne Do,
Hamein Bahar Na Karo Khizan Rehne Do,

Kyon Chhupate Ho Duniya Se Hamari Baatein,
Ye To Ayan Hai Ayan Rehne Do,

Dilke Phaphoolon K Na Chhedo Aise,
Jo Dard Jahan Hai Wahan Rehne Do,

Jo Hai Man Mein Kahan Koi Nikalta Hai,
Chhodo Ye WaQt Ka Zeeyan Rehne Do,

Na Bharo Zakhm Hamare Saare,
Kuch To Ghav Ke Nishan Rehne Do,

Sab Le Lo Humse Sab Hi Kuch Le Lo,
Bas Awaz-E-Paa Ka Gumaan Rehne Do,

Jo Lutf Hai Nala-E-Neem Shab Mein,
Hamein Yun Hi Be-Karan Rehne Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #562 on: February 25, 2007, 06:36:51 PM »

Koi To Hai Jo Mujhe Daad Diya Karta Hai,
Lafzo Ki Chunayi Mein Mera Sath Diya Karta Hai,

Chori Se Chupke Se Har Taraf Se Aa Kar,
Mere Khayalon Mein Mujhse Baat Kiya Karta Hai,

Har Ghardi Har Lamha Rehta Hai Mere Sath,
Raat Se Din Phir Din Se Raat Kiya Karta Hai,

Rakhta Hai Mere Har Meezaj Ka Khayal,
Kabhi Sheh De Ke Mujhse Maat Liya Karta Hai,

Kehte Hai Log Mujhe Ke Tu Deewana Hogaya,
Ab Ghar Ki Deewaron Se Baat Kiya Karta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #563 on: February 25, 2007, 06:40:53 PM »

Sinf-E-Nazuk Se Yun Na Mila Kijiye,
Apni Hasraton Ko Dil Mein Daba Dijiye,

Phir Na Ho Shok-E-Wafa Kabhi Paida,
Phir Na Aise Hi Thokar Kha Lijiye,

Ab Na Guzre Koi Shaam Kisike Sath,
Pichhli Shamon Ko Bhi Dilse Bhula Dijiye,

WaQt Ke Sath Na Ho Phir Kabhi Dhoka,
Apni Fursaton Ko Bhi Ye Samjha Dijiye,

Karna Ho Phir Kabhi Aurat Ka Khayal,
Sabse Pehle Apni Maa Ki Duwa Lijiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #564 on: February 25, 2007, 06:43:24 PM »

Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho,
Wo Haathon Mein Mehandi Rachane Lage Hai,
Safar Aakhri Hai Koi Unse Keh De,
Janaza Mera Sab Uthane Lage Hai,

Sitam Jite Jee Usne Mujhpar Hai Dhaya,
Magar Baad Marne Ke Phir Ye Sitam Hai,
Qabar Mein Bhi Mujhko Kahan Chain Yaaron,
Idhar Bhi Farishte Satane Lage Hai,

Adamat Ke Sholon Mein Sabhi Rishte Naate,
Khuloos-E-Wafa Ke Hue Khaak Dekho,
Mere Humsafar The Jo Achhe Dino Mein,
Wohi Mujhse Daman Bachane Lage Hai,

Udhar Surkh Joda Hai Unke Badan Par,
Idhar Tanko Dhampa Hai Maine Kafan Se,
Idhar Laash Par Meri Matam Hai,
Udhar Banke Dulhan Wo Jane Lage Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #565 on: February 25, 2007, 06:44:42 PM »

Kya Tum Bhi Chhatt Pe Jaa Ke,
Aftab Ko Pehron Takte Ho,
Ye Sochte Ho Kya Meri Tarah,
Ke Aaj Tumhare Wahan Bhi Chaand Nikla Hoga,
Chaand Kya Tumhe Bhi Kya,
Kuch Kuch Mujhsa Dikhta Hai,
Jaise Tum Mujhko FalaQ Ka
Wo Pyara Chaand Lagte Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #566 on: February 25, 2007, 06:46:28 PM »

Gira Jab Toot Kar Kisike Gale Ka Haar Bunke,
Main Ekisi Ke Gale Par Chadhna Chhod Diya,
Mili Jab Saza Ek Baar Muskurane Ki,
Soch Kar Ye Maine Muskurana Chhod Diya,

Jab Dekha Tootte Hue Maine Dilonko,
Us Din Se Humne Bhi Pyar Karna Chhod Diya,
Bahut Naaz Tha Mujhe Apne Chahne Walon Par,
Jab Lagi Chot Dil Par To Humne Aitbaar Karna Chhod Diya,

Koi Hota Nahi Apna Yahan Sab Dikhawe Ke Rishte Hai,
Jab Dekha Maut Ko Qareeb Se Zindagi Ka Daman Maine Chhod Diya,
Aa Kar Bahar Mere Gulistan Mein Jab Kaanton Ko Na Mehkaya,
Us Bahar Ke Phoolon Ka Chaman Maine Chhod Diya,

Kehte Hai Sab Yahan Mujhe Ke Main Bojh Hoon Is Duniya Mein,
Ye Soch Kar Maine Bhi Ab Jeene Ka Bahana Chhod Diya,
Rote Rote Jab Dekha Kisiko Muskurate Hue,
Maine Bhi Ab Gam Ka Sath Nibhana Chhod Diya...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #567 on: February 25, 2007, 06:47:47 PM »
wonderful    post  Husena..........   bahot khoob ....har  ke sher  acchi lagi.........  :lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #568 on: February 25, 2007, 06:48:23 PM »

Sabko Malum Hai Main Sharabi Nahi,
Phir Bhi Koi Pilaye To Main Kya Karun,
Sabko Maulm Hai Main Sharabi Nahi,
Phir Bhi Koi Pilaye To Main Kya Karun,
Sirf Ek Baar Nazron Se Nazrein Mile,
Sirf Ek Baar Nazron Se Nazrein Mile,
Aur Kasam Toot Jaye To Main Kya Karun!

Mujhko Maikash Samajthe Hai Sab Vadakash,
Kyonki Unki Tarah Ladkhadata Hoon Main,
Meri Rag Rag Mein Nasha Mohabbat Ka Hai,
Jo Samajh Mein Na Aaye To Main Kya Karun,

Haal Sunkar Mera Sehme Sehme Hai Wo,
Koi Aaya Hai Zulfein Bikhere Hue,
Maut Aur Zindagi Dono Hairan Hai,
Dum Nikalne Na Paaye To Main Kya Karun,

Kaisi Lat, Kaisi Chahat, Kahan Ki Khata,
Bekhudi Mein Hai Aye Sanam Khudi Ka Nasha,
Zindagi Ek Nashe Ke Siwa Kuch Nahi,
Tumko Peena Na Aaye To Main Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #569 on: February 25, 2007, 06:50:40 PM »

Faasle Korba Ki Bunyad Hote Hai,
Sach Hai,
Tumse Bichhad Ke Bhi
Tum Hi Mere Sath Ho,
Aaj Tumhari Yaad Sare Shaam
Diye Jalati Hai,
Aur Main Jaanti Hoon,
Ke Hum Phir Milenge,
Mohabbat Sachhi Hai,
To Is Duniya Mein Na Sahi Kahin,
Kisi Aur Duniya Mein Hum
Kahin Milenge...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 34 35 36 37 [38] 39 40 41 42 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:52:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer