Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 36 37 38 39 [40] 41 42 43 44 ... 273
Print
Author  (Read 131178 times)
angel4u
Guest
«Reply #585 on: February 28, 2007, 05:37:19 PM »

Yun Teri Tamanna Mere Dilko Dukhati Rahi,
Jab Bhi Muskurana Chaha Aankh Bhar Aati Rahi,

Ummidon Ne Bana Bana Ke Tode Mere Khwaab,
Baharon Mein Dil Ki Kali Khil Ke Murjhati Rahi,

Tharrati Rahi Ye Sard Palkein Garm AshQon Se,
Aag Paani Se Milke Dhuwein Khoob Udati Rahi,

Na Mila Koi Sahara Hi Na Thaama Kisine Haath,
Zindagi Qadam-Qadam Pe Thokarein Khati Rahi,

Ab Kuch Nahi Hai BaaQi Unki Chahat Ke Siwa,
Aise Gaye Hai Woh Ke Dil Ki Har Khushi Jaati Rahi,

Honth To Dekhe Mere Tune Muskurate Aye Sanam,
Zara Dekh Leta Aankh Bhi Jo AshQ Bahati Rahi,

Wo Kha Kar Gaya Tha Kasmein Ise Bhul Jaane Ki,
Na Jaane Kyon Phir Bhi Uski Yaad Kyon Aati Rahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #586 on: February 28, 2007, 05:43:19 PM »

Hazaar Is Dil Ko Samjhaya Udaasi Kam Nahi Hoti,
Gamon Ka Saath Hai Udasi Kam Nahi Hoti,

Kabhi Subah Ne Bhule Se Agar Koi Khushi De Di,
Bahut Shaamon Ne Tadpaya Udaasi Kam Nahi Hoti,

Mujhe Azhar Ki Surat Koi De De Mere Maula,
Agar Na Hoon Lab Goyia Udaasi Kam Nahi Hoti,

Sheekista Hi Sahi Daaman Mein Nanhi Si Khushi To Ho,
Jab Aansun Hi Ho Sarmayia Udaasi Kam Nahi Hoti,

Mere Pehloo Mein Laakhon Gam Bhi Aksar Soye Rehte The,
Ye Kaisa Sanayha Aaya Udaasi Kam Nahi Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #587 on: February 28, 2007, 05:44:57 PM »

Mujhe Maalum Nahi Ke
Tumhari Saalgirah Kab Hoti Hai,
Chand Ghanto Ki MulaQaat Mein,
Main To Tumhare Haseen Sarape Ko
Apni Aankhon Mein NaQsh Karta Raha,
Tumhari Sada Lekin Dilkash Guftagu Ko Dil Mein,
Utaarta Raha,
Aur Tabse Hi Main
Tumhari Salgirah
Har May Mein Manati Hoon
Ke.....
Is Mein
Hum Mile The,
Shayad Ke Tumhe Bhi Yaad Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #588 on: February 28, 2007, 05:48:03 PM »

Kathin Hai Zindagi Kitni,
Safar Dushwar Hai Kitna,
Kabhi Paanv Nahi Chalte
Kabhi Raasta Nahi Milta,
Hamara Sath De Paye
Koi Aisa Nahi Milta,
FaQt Aise Guzaroon
To Ye Roz-O-Shab Nahi Katte,
Ye Katte The Kabhi Pehle,
Magar Haan Ab Nahi Katte,
Mujhe Phir Bhi Mere Maalik
Koi Shikwa Nahi Tujh Se,
Main Har Dukh Jhel Sakta Hoon,
Agar To Aaj Hi Kar De,
Mohabbat Humsafar Meri...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #589 on: March 01, 2007, 06:16:40 PM »

Mujhe Maalum Nahi Ke
Tumhari Saalgirah Kab Hoti Hai,
Chand Ghanto Ki MulaQaat Mein,
Main To Tumhare Haseen Sarape Ko
Apni Aankhon Mein NaQsh Karta Raha,
Tumhari Sada Lekin Dilkash Guftagu Ko Dil Mein,
Utaarta Raha,
Aur Tabse Hi Main
Tumhari Salgirah
Har May Mein Manati Hoon
Ke.....
Is Mein
Hum Mile The,
Shayad Ke Tumhe Bhi Yaad Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #590 on: March 01, 2007, 06:17:59 PM »

Kathin Hai Zindagi Kitni,
Safar Dushwar Hai Kitna,
Kabhi Paanv Nahi Chalte
Kabhi Raasta Nahi Milta,
Hamara Sath De Paye
Koi Aisa Nahi Milta,
FaQt Aise Guzaroon
To Ye Roz-O-Shab Nahi Katte,
Ye Katte The Kabhi Pehle,
Magar Haan Ab Nahi Katte,
Mujhe Phir Bhi Mere Maalik
Koi Shikwa Nahi Tujh Se,
Main Har Dukh Jhel Sakta Hoon,
Agar To Aaj Hi Kar De,
Mohabbat Humsafar Meri...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #591 on: March 01, 2007, 06:19:20 PM »
Bhari Mehfil Mein Tanha Rehna Achha Lagta Hai,
Tere Baare Mein Sochte Rehna Achha Lagta Hai,

Kabhi Phoolon Mein, Kabhi Kaliyon Mein,
Tujhko Hi Dhundte Rehna Achha Lagta Hai,

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tumhi Se Hai Wabasta,
Rab Se Sirf Tumhe Hi Mangna Achha Lagta Hai,

Hamare Darmiyan Phail Rahi Sadiyon Ki Khamoshiyan,
Kuch Is Tarah Guftugu Karna Achha Lagta Hai,

Tumhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi Hai,
Kuch Is Tarah Tumhari Tamanna Karna Achha Lagta Hai,

Tum Hi Ko Chaha, Tum Hi Ko Chahte Hai,
Tumhi Ko Chahte Rehna Achha Lagta Hai,

Main Chhin Lunga Tumhein Duniya Ki Rasmon Se,
Ke Mujhe Zamane Se Bagawat Karna Achha Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #592 on: March 01, 2007, 06:20:37 PM »

URDU Ne Kaha,
Mohabbat Bewafaon Ka Khel Hai,
Maths Ne Kaha,
Khushi + Gam = Mohabbat,
Islamiyat Ne Kaha
Mohabbat Ek Ibaadat Hai,
Geography Ne Kaha,
Mohabbat Dilon Ke Sarhadein Aubor Karne Ka Naam Hai,
Science Ne Kaha,
Mohabbat Do Dilon Ke Darmiyan Attraction Hai,
History Ne Kaha,
Mohabbat Taaj-Mahal Ka Naam Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #593 on: March 01, 2007, 06:21:54 PM »

Duniya Se Kuch Darta Tha Wo,
Sehma Sehma Rehta Tha Wo,

Jaane Kya Abat Thi Us Mein,
Itna Haseen Kyon Lagta Tha Wo,

Ek Bhool Hui Mujhse Magar,
Wafa Hi Wafa Karta Tha Wo,

Kehte Kehte Ruk Jaata Tha,
Aksar Aisa Karta Tha Wo,

Jo Bhi Kehna Hai Wo Keh Do,
Mujhse Yehi Bas Kehta Tha Wo,

ShauQ-E-Wafa Mein Aksar Apne
Haath Dikhaya Karta Tha Wo,

Aksar Mujh Se Baithe Baithe,
Ehd Nibaah Ka Leta Tha Wo,

Jab Bhi Mujh Se Milkar Jaata,
Phoole Nahi Samata Tha Wo,

Na Jane Kyon Teri Ye Gazal Padh Kar,
Aksar Roya Karta Tha Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #594 on: March 01, 2007, 06:23:25 PM »

Raat Bheege To Kahan Zabt-E-Phughan Hota Hai,
Jam Khankao Ke Mahtab Jawan Hota Hai,

Jabse Barbaad Hua Meri Mohabbat Ka Nagar,
Pyar Ka Lafz Samaat Par Gran Hota Hai,

RaQs Karti Hui Jo Aati Hai Yaadein Chham Chham,
Mere Dil Mein Kisi Mehfil Ka Saman Hota Hai,

IshQ Raanjhe Ya Majnoo Pe Hi MoQoof Nahi,
Ye Wo Jazba Hai Jo Har Dil Mein Jawan Hota Hai,

Naam Lete Hai Mera Log Tere Naam Ke Sath,
Aag Hoti Hai To Sarkar Dhuwan Hota Hai,

Roz Kehte Hai Mujhe Haath Wo Rakh Ke Dil Par,
Meethe Meetha Sa Koi Dard Yahan Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #595 on: March 01, 2007, 06:27:29 PM »

Gam Bhi Unko Naseeb Hote Hai, Jo Log Khushnasib Hote Hai,
Hota Hai Ek Hi Koi Apna, Warna Saare RaQeeb Hote Hai,
Daulat-E-Zindagi Ki Khwahish Hai, Log Kiten Gareeb Hote Hai,
Zakhm Hum Ko Jo Ata Karte Hai, Wo Dilke Kareeb Hote Hai,
Humko Dushman Samajh Rahe Hai Wohi Jo Hamare Habeeb Hote Hai,
Dilon Mein Dard Chhupane Wale Khwahishon Ke Saleeb Hote Hai,
IshQ Mein Marke Bhi Fana Na Hue, Silsile Ye Bhi Ajeeb Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #596 on: March 01, 2007, 06:29:52 PM »

Woh Bhi Aankhon Ke Isharon Se Baat Karti Thi,
Main Bhi Lafzon Ke Samandar Se Door Rehta Tha,

Wo Bhi Sakhiyon Se Chhupati Thi Dilon Ki Baatein,
Main Bhi Har Baat Kahan Doston Se Kehta Tha,

Wo Bhi Chup Chap Sanwarti Thi FaQt Mere Liye,
Main Bhi Is Shokh Se Jalwon Pe Gazal Kehta Tha,

Wo Bhi Doori Ke Khayalat Se Ro Padti Thi,
Main Bhi FurQat Se Tasavvur Se Zara Dara Rehta Tha,

Wo Bhi Chand Lamhon Ki Doori Se Tadap Jaati Thi,
Usko Dekhe Bina Main Bhi Udaas Rehta Tha,

Jaane Kis Tarah Se Toota Ye Pyar Ka Bandhan,
Jaane Wo Kaun Tha Jo Pyar Ko Sach Kehta Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #597 on: March 01, 2007, 06:32:05 PM »
Aaj Uski Yaad Ne Hamein Tadpaya Bahut,
Aaj Na Chahte Hue Bhi Wo Yaad Aaye Bahut,

Uske Baad To Jaise Vehshaton Se Dosti Ho Gayi,
Phir Kyon Aaj Tanhaiyon Ne Daraya Bahut,

Wo Mera Tha, Mera Hai Mera Rahega,
Humne Is Khayal Se Khudko Behlaya Bahut,

Shamma Ke Jalne Par Hum Afsos Karein Kyon,
Humne Bhi Maanind Shama Khudko Jalaya Bahut,

Humne Jis Kisiko Bhi Humdard Samjha Apna,
Wo Hamare Dukh Pe Na Jaane Kyon Muskuraya Bahut...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #598 on: March 01, 2007, 06:33:13 PM »

Teri Yaad Ki Khushbu Se Dil Ko Aabad Kiya Karte Hai,
Hum Kuch Is Tarah Se Subah Shaam Barbaad Kiya Karte Hai,

Sab Mausam Guzar Jaate Hai Par Na Jaane Kyon,
Jab Aata Hai Sawan Chup Saadh Liya Karte Hai,

Nidhal Kar Deta Hai Maazi Ka Tawil Safar Aksar,
To Subah Hote Hi Hum Bhi Kuch Aaram Kiya Karte Hai,

Hota Hai Jab Bhi Kahin Bewafa Ka Zikr,
To Hum Bhi Sar Jhuka Ke Tera Naam Liya Karte Hai,

Jiske Sath Guzarti Thi Maazi Ki Shamein Aksar,
Ab Wo Dost Ahbaab Bhi Hamein Barbaad Kiya Karte Hai,

Aankhon Ke Chup Rehne Ki Aadat Purani Sahi Magar,
Kabhi Kabhar Hum Bhi Dilka Kaha Maan Liya Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #599 on: March 01, 2007, 06:34:25 PM »
Mohabbat Mein Kisiko Aazmaya Nahi Jaata,
Kar Ke Koi Kaam Jataya Nahi Jaata,

Sehte Hai Har Teer Dil Pe Magar,
Koi Zakham Bhi Apna Dikhaya Nahi Jaata,

Pee Jaate Hai Sab Ghoont Aansu Ke Magar,
Koi Aansu Aankh Mein Sajaya Nahi Jaata,

Chadte Hai Hijr Ki Sooli Kayi Baar Magar,
Ehsaas-E-Dard Kabhi Bahar Laya Nahi Jaata,

Karni Padti Hai Jang Zamane Se Kayi Baar,
Jang-E-Mohabbat Mein Kabhi Ghabraya Nahi Jaata,

Bante Hai Khud Nishana Tano Ka Magar,
Kabhi Usko Nishana Banaya Nahi Jaata,

Behlate Hai Dil Chand Se Baatein Karke,
Par Chand Ko Mehboob To Banaya Nahi Jaata,

Banate Hai Kisse, Kahanhiyan Baad Marne Ke Log,
Pehle Koi Kyon Nishtar Lagaya Nahi Jaata,

Khol Rahe Ho Sanam Raaz-E-Mohabbat Kyon Aise,
Shayri Mein Kuch Bhi To Chhupaya Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 36 37 38 39 [40] 41 42 43 44 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:29:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer