Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 273
Print
Author  (Read 131098 times)
angel4u
Guest
«Reply #60 on: November 23, 2006, 06:19:39 PM »

Zakham Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,
Dard Bhool Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Shabnami Sitaron Mein Phool Khilne Lagte Hai,
Chand Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Umar Kaat Di Lekin Bachpan Nahi Jaata,
Hum Diye Jalate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Teri Yaad Aayi To Nind Jati Rehti Hai,
Khwab Toot Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Jo Sitam Kare Aa Kar Sab Qabool Hai Dilko,
Hum Khushi Manate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Tere Hijr Mein Humpe Ek Azab Tari Hai,
Chaunk Chaunk Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #61 on: November 23, 2006, 06:22:15 PM »

Abalay Puchhte Hai Paunv Se,
Kya Milega Tumhe Wafaon Se,

In Munderon Pe Kuch Charag Bhi The,
Kaun Puchhega Ab Hawaon Se,

Bastiyan Zay-Raay Aab Aati Gein,
Honth Jalte Rahe Duwaon Se,

Titliyan Kyon Safar Mein Rehti Hai,
Bachhiyan Puchhti Hai Maaon Se,

Abr Pawanday Khaak Lagta Hai,
Ret Girne Lagi Khalaon Se,

Bhook Ki Dhoop Humko Kha Jaati,
Bach Gaye Mehnaton Ki Chhanv Se,

Dil Ne Hijrat Kabool Kar Li Thi,
Hosley Ho Sake Na Paanv Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #62 on: November 23, 2006, 06:23:00 PM »

Chahta Hoon Ke Bhool Jaun Tumhe,
Aur Ye Sab Dareecha Haaye Khyal
Jo Tumhari Hi Simt Khulte Hai,
Band Kar Dun Kuch Is Tarah Ke Yahan,
Yaad Ki Ek Kiran Bhi Na Aa Sake,

Chahta Hoon Ke Bhool Jaun Tumhe,
Aur Khud Bhi Na Yaad Aaun Tumhe,
Jaise Tum Sirf Ek Kahani Thi,
Jaise Main Sirf Ek Afsana Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #63 on: November 23, 2006, 06:23:34 PM »

Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien,
Aaina Hai To Kabhi Jheel Hai Uski Aankhein,

Khud Main Us Shaks Ki Tasveer Ba-Zahir Dekhun,
Meri Aankhon Mein Jo Tehweel Hai Uski Aankhein,

Ghar Mumkin Hai Kisi Tarah Bhatak Jaun Main,
Raah-E-Ehsaas Main Qandeel Hai Uski Aankhein,

Humne Dekha Hai Samundar Ki Tahoon Mein Jaakar,
Dar-E-Irfaan Ki Zanbeel Hai Uski Aankhein,

Jiski Taujeeh Na Kar Paayi Ho Kisi Ne Bhi EHSAN,
Is Mazmoon Ki Tafseel Hai Uski Aankhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #64 on: November 23, 2006, 06:24:14 PM »

Inhi Raaston Mein
Kisi Mod Par
Kaun Thak Gaya, Haar Gaya,
Pathreeli Raahon Ka Zeher,
Chup Chap Kisko Maar Gaya?
Kaun Kahe Kisse,
Chamakti Aankhon Se Diye
Bujh Kyon Gaye,
Veeran Hai Aashiyan
Makeen Kihdar Jaa Base,
Wehshat-Zada Sa Koi In Veeranon Mein,
Khamosh, Udaas Kyon Chup Chap Rota Hai,
Udti Khaak Kisko Yaad Karti Hai,
Meenh Bina Barse Kisko Bhigota Hai,
Kaun Kahe Kisse,
Ke Raahi Raah Kyon Bhatak Gaya,
Safar Shuru Bhi Na Hua Aur Koi Be-Tarah Thak Gaya,

Haay Kuch Kehne Ke Liye Kuch Bacha Hi Nahi,
Shayad Koi Khwahish Roti Rehti Hai,
Mere Andar Barish Hoti Rehti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #65 on: November 23, 2006, 06:25:17 PM »


Dil Faqat Dil Hai, Aashiyan Nahi Hota
Hathon Ki Lakeeron Mein Aasman Nahi Hota

Jo Log Bikhar Jate Hain Ret Ki Manind
Jalne Se Kabhi Unke Dhuwaan Nahi Hota

Kya Hua Jo Bichar Gaya Koi Raah-E-Talab Mein
Ek Shakhs Ke Jane Say Shehar Veeraan Nahi Hota

Yun To Khainchati Hain Mujh Ko Har Shahar Ki Galiyaan
Har Shahar To Magar Tera Aastaan Nahi Hota

Kyon Jalatay Ho Tum Ab Nayi Mashalein
Kiya Ghar Kay Jalnay Say Charaghaan Nahi Hota

Nasah Se Kah Do Ab Uss Ki Zarorat Nahi Rahi
Hum Hi Se Ab Taswar-Ay-Jaanaan Nahi Hota
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #66 on: November 23, 2006, 06:25:51 PM »

Kuchh Door Hamare Sath Chalo Hum Dilki Kahani Keh Denge,
Samjhe Na Jise Tum Aankhonse Wo Baat Zubani Keh Denge,

Phoolon Ki Tarah Jab Hothon Pe Ek Shokh Tabassum Bikhrega,
Dheere Se Tumhare Kaano Mein Ek Baat Purani Keh Denge,

Izhaar-E-Wafa Tum Kya Jaano Iqraar-E-Wafa Tum Kya Jano,
Hum Zikr Karenge Gairon Ka Aur Apni Kahani Keh Denge,

Mausam To Bada Hi Zaalim Hai Toofan Uthata Rehta Hai,
Kuch Log Magar Is Halchal Ko Badmast Jawani Keh Denge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #67 on: November 23, 2006, 06:26:29 PM »

Kaha Na Pyar Hai Tumse,
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
Ke Jab Bhi Milo Mujhse,
Yehi Ikraar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Tumhe Malum Hai Jaana
Mohabbat To Mohabbat Hai,
Ye To Aankhon Mein Dikhti Hai,
Haseen Se Khwab Ki Soorat,
Ye To Ek Phool Sa Jazba Hai,
Ke Jisme Rang Bhi Aur Khushbuon Ka Sath Hota Hai,
Bahut Anmol Jazba Hai,
Ye Izhaar Ki Shiddat Ka Talib B Nai Hota,
Bahut Chup Chap Jazba Hai,
Dabe Paanv Hi Chala Ata Hai,
Magar Jo Naksh Is Ke Hai Bahut Hi Gehre Hote Hai,
Inhe Kehna Nahi Padta,
Lab To Khamosh Hote Hai Magar Izhaar Hai Hota,
Kabhi Aankhon Ki Shokhi Se,
Kabhi Baaton Ki Khusboo Se,
Ye Jazbaa Chhup Nahi Paata,
Ye Sab Batein Hai Mere Jaana,
Tumhe Malum Hi To Hai,
Tumhari Hi Kahi To Hai,
To Phir Kyon Zid Se Yehi Izhaar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Magar Tum Janti Ho Na Tumhari Baat Ko Jaana,
Nahi Main Taal Sakta Hoon,
Chalo Ikraar Karta Hoon,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #68 on: November 23, 2006, 06:27:07 PM »

Manzil Nahi Milti,
Rasta Nahi Dikhta,
Ho Kar Juda Tujhse,
Mujhe Sahara Nahi Milta,

Roz Jeeti Hoon
Roz Marti Hoon,
Tere Jaane Ke Baad,
Jeene Ka Aasra Nahi Milta,

Har Awaz Pe Chonk Jaati Hoon,
Har Aahat Pe Mud Ke Dekhti Hoon,
Kho Kar Tujhe
Tera Saaya Nahi Milta,

Hai Yakeen Mujhe
Laut Ayega Wo Bhi,
Magar Tab Tak
Saans Ko Rabta Nahi Milta,

Theher Jaye Is Dilki Dhadkan,
Sukoon Mil Jaye Is Bechain Ko,
Dua Karo Ke Is Rooh Ko
Jaane Ka Raasta Nahi Milta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #69 on: November 24, 2006, 05:33:45 PM »

Gar Chaho Ke Ada Kar Sako TuM KeeMat-E-Dil,
To Tasavvur Ke Garaan Qadar Aaino Mein Basi,
Ek KhaMosh Si Beloos Ibarat Padh Lo
Jiska MafhooM Agar SaMjho To Behad Sada Hai,
Har Tahayyul Ki Bulandi Par Hai Mehwe Parwaaz,
Dilki QeeMat Nahi Kabhi SaiM-O-Jawahir Mein Mili,
Naa Hi Yeh Bandish-E-Khalat-E-ZaMana Mein Mili,
Kisne Dekha Hai Kisi Phool Ki Khushboo Ko Kabhi,
Kyon Chhu Sakta Hai Parbat Ki Sadaon Ko Kabhi,
Kiya Kisi Aankh Se Le Sakte Ho TuM Aansu Ko Kabhi,
Kya Chura Sakte Ho Taaron Se Uski Kiranon Ko Kabhi,
Phir Bhi Chaho Ke Ada Kar Salko TuM QeeMat-E-Dil,
Pyar Ki Aanch Mein Jal Gaye LaMhe La Do,
TuMhari Yaad Mein Chhalakte Hai Jo Aansu La Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #70 on: November 24, 2006, 05:36:31 PM »

"TuMhe Pata Hai Mohabbat Hai Kya
Kehte Hain Isko Kya
Chalo !!
Batate Hain HuM TuM Ko
HuM Ne Kiya Hai Jana Isko
Mohabbat Ko Baad-E-Saba Mana
Kis Tarah Hai Isko Pehchaana....
Jo LaMhe Bhar Ko Zeest Bakhshti Hai
Zindagi Ka Pata Deti Hai....
Nahi Mohabbat Ye Hoti Nahin Hai..
Haan !!
Mohabbat To Mehaz Lehar Hai...
Jo Sang Sang Saath Hoti Hai...
Nahi Mohabbat To Ye Hoti Nahi Hai....
Haan!!
Mohabbat To MausaM Ki Manind Hai
Jo Har Bashr Ko Sawan Se Zyada Bhata Hai...
Lekin......
MausaM To Apni Muddat Poori
Kar K Guzar Jata Hai
Aisi To Nahin Hoti Mohabbat
To Kya Hai Yeh???
Kya Sawan???
Kya MausaM???
Kya Haqeeqi??
Kya Majaazi??
Haan
Bus Hai Itna Pata
Jan'ne Ko Hai Is Zeest Se Gila
Hai Mukhtasir Yeh Zindagee
Mohabbat Ko SaMajhne
Parakhne K Wastay...
Choro Is Qisse Ko
Jano Itna
Jo SaMjha Jo Mana
DASHT-E-TALAB Isko Gardana........
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #71 on: November 24, 2006, 05:38:00 PM »

"TuMhe Pata Hai Mohabbat Hai Kya
Kehte Hain Isko Kya
Chalo !!
Batate Hain HuM TuM Ko
HuM Ne Kiya Hai Jana Isko
Mohabbat Ko Baad-E-Saba Mana
Kis Tarah Hai Isko Pehchaana....
Jo LaMhe Bhar Ko Zeest Bakhshti Hai
Zindagi Ka Pata Deti Hai....
Nahi Mohabbat Ye Hoti Nahin Hai..
Haan !!
Mohabbat To Mehaz Lehar Hai...
Jo Sang Sang Saath Hoti Hai...
Nahi Mohabbat To Ye Hoti Nahi Hai....
Haan!!
Mohabbat To MausaM Ki Manind Hai
Jo Har Bashr Ko Sawan Se Zyada Bhata Hai...
Lekin......
MausaM To Apni Muddat Poori
Kar K Guzar Jata Hai
Aisi To Nahin Hoti Mohabbat
To Kya Hai Yeh???
Kya Sawan???
Kya MausaM???
Kya Haqeeqi??
Kya Majaazi??
Haan
Bus Hai Itna Pata
Jan'ne Ko Hai Is Zeest Se Gila
Hai Mukhtasir Yeh Zindagee
Mohabbat Ko SaMajhne
Parakhne K Wastay...
Choro Is Qisse Ko
Jano Itna
Jo SaMjha Jo Mana
DASHT-E-TALAB Isko Gardana........
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #72 on: November 24, 2006, 05:39:18 PM »

Khud Duriyon Ka Hai Talabgaar To Main Kya Karun,
Mohabbat Se Hai Be-Zaar To Main Kya Karun,

Aaina Khane Mein Mang Kar Baseerat Ki Aziyat,
Ab Rota Hai Zaar-Zaar To Main Kya Karun,

Kisne Kaha Tha Ke Gulabon Ki UMMid Rakh,
Ab Jo Aya Mukaddar Mein Khaar To Main Kya Karun,

Tujhe Hi Lahak Tha Wafa Ka Marz Bahut,
Ab Ruswa Hai Sar-E-Bazaar To Main Kya Karun,

Main TaMaM UMar Dhundta Hi Raha,
Mila Na Wafa Ka Koi Kharidaar To Main Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #73 on: November 24, 2006, 05:40:19 PM »

Maut Bhi Zaroori Hai

HaakiM-E-Sheher Bata!
Waqt Ke Shikanjo Ne
Khwahishon Ke Phoolon Ko,
Noch Noch Toda Hai...Kya Yeh ZulM Thoda Hai?
Dard Ke Jazeeron Ne
Aarzu Ke Jeevan Ko,
Maqbaron Mein Dala Hai,
ZulMaton Ke Dairay Hai.....Log Sab Lutere Hai,
Maut Rooth Baithi Hai,
Zaat Raiza Raiza Hai,
Zindagi Tere Haathon,
PaiMal Hai Janaan, Ek Sawaal Hai Janaan!
Kaise Main Loon Jeevan?
Saans Hi Nahi Koi,
Karb Karb LaMhe Yeh
Baar Baar Daste Hai,
Log TuM Pe Haste Hai,
Taar Taar Aanchal Hai,
Dard Dard Jeevan Hai,
ShabnaMi Si Palkein Hai,
Qurb Hai Na Doori Hai, Zindagi Adhuri Hai,
Ab Yaqeen Aaya Hai.........Maut Bhi Zaroori Hai!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #74 on: November 24, 2006, 05:43:45 PM »

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad,

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera KaaM Safar Karna Hai,
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad,

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri,
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad,

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka,
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad,

Meri Chahat Mein To ShaMil Hai Khuda Ki Chahat,
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad,

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin,
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad,

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua,
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad...
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:23:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer