Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 37 38 39 40 [41] 42 43 44 45 ... 273
Print
Author  (Read 131182 times)
angel4u
Guest
«Reply #600 on: March 01, 2007, 06:35:53 PM »
Dilse Nikli Hai Sada Uff Ye Mohabbat,
Kar Degi Hamein Ruswa Uff Ye Mohabbat,

Ajab Iske Dhang Hai Ajab Hi Rang Hai,
Kya Kya Hai Iski Ada Uff Ye Mohabbat,

Hansti Hai Rulati Hai Ajab Khel Khilati Hai,
Rahe Shayad Yun Hi Sada Uff Ye Mohabbat,

Kabhi Banati Hai Sama AashiQon Ko Milane Ka,
Kabhi Kar Deti Hai Juda Uff Ye Mohabbat,

Dard, Gam Aur Aankhon Ko Nami Deti Hai,
Itne Par Hi Aajati Hai Kaza Uff Ye Mohabbat,

Kitni Zalim Aur Be-Rahem Hoti Hai Ye,
Maon Se Laal Hote Hai Juda Uff Ye Mohabbat,

Banti Hai Aag Seene Ki Aur Khoob Jalati Hai,
Jaane Kis Kis Ka Ghar Jala Uff Ye Mohabbat,

Kabhi To Lagta Hai Jurm Hai Mohabbat Karna,
Aisi Deti Hai Mujrim Ko Saza Uff Ye Mohabbat,

Tum To Kehte The Sanam Mohabbat Hai Zindagi,
Ab Ye Kaisi Aa-Hoo-BaQa Uff Ye Mohabbat...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #601 on: March 01, 2007, 06:37:09 PM »

Tum Kyon Aisa Chahte Ho,
Ke Khushiyan Hi Khushiyan Ho,
Ye Khushiyan To Adhuri Hai,
In Mein Gam Zaroori Hai,
Ye Gam To Achhe Hote Hai,
Ye Gam To Sanjhe Hote Hai,
Jab Sab Chhod Jaate Hai,
Tab Yehi Sahara Hote Hai,
Jinki Badaulat Se,
Wo Log Yaad Aate Hai,
Jin Logonke Naamon Se
Zindagi Ko Taaza Karte Hai,
Ye Wohi Log Hote Hai,
Jinko HaQ Ye Hota Hai,
Jab Chahe Samne Aa Jayein,
Jab Chahe Yaadein Ban Jayein,
Ye Gam To Yaadein Hoti Hai,
Is Gam Ka Gam Na Karna,
Ye Gam To Achhe Hote Hai,
Ye Gam To Sanjhe Hote Hai,
In Gamon Ka Bhi Shukar Karo,
Kuchh Log Aise Bhi Hote Hai,
Jo Gam Ke Gareeb Hote Hai,
Ye Gam To Ek Daulat Hai,
Is Daulat Ki Kadar Karo,
Is Pe Tum Naala Na Ho,
Gar Gaur Se Tum Socho To,
Is Mein Ek Nukta Hai,
Aur Nukta Zair-E-Ghor Hai,
Ke Gam Khushiyon Ka Raasta Hai,
Aur Gam Khushiyon Ka Darwaza,
Gam Na Ho To Kaisi Khushiyan,
Khushiyon Ka Kuch Mafhoom Nahi,
Tum Kyon Aisa Chahte Ho,
Ke Khushiyan Hi Khushiyan Ho,
Par Itna Yaad Rakhna Ke,
Ye Khushiyan To Adhuri Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #602 on: March 01, 2007, 06:38:18 PM »

Wo Jo Aankhon Mein Jaam Liye Jaate Hai,
Hamein Yun Hi Badnaam Kiye Jaate Hai,

Kaun Rukta Hai Inhe Dekhne Ke Baad,
Jo Nahi Bhi Peete Sar-E-Aam Piye Jaate Hai,

Kaise Samjhun Main Is Dard-E-Lafani Ko,
Gam Jitne Bhi Ho Hum Jiye Jaate Hai,

Kissa-E-Gam Ho Ya Ho Tere Na Aane Ka,
Bas Isi Baat Pe Hum Piye Jaate Hai,

Ye Bhi Kehte Hai Ke Rishta Nahi Mujhse Koi,
Aur Aankhon Ko Bhi Nam Kiye Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #603 on: March 01, 2007, 06:39:29 PM »

Main Tumko Kaise Bhulaunga,
Ye Hi To Tumse Kehna Tha,
Jab Aankhein Band Ho Jaati Hai,
Andhera Sa Chha Jaata Hai,
Aur Ghup Chup Andhere Mein,
Ek Shamma Roshan Hoti Hai,
Tera Chehra Samne Aata Hai,
Tum Kehte Ho To Chhod Diya,
In Pagal Pan Ki Baaton Ko,
Par In Baaton Ko Samjho To,
In Mein Mera Pyar Chupa Hai,
Barson Ka Izhaar Chupa Hai,
Chalo Bhoolte Hai Tum Ko Hum,
Karte Hai Koi Baat Nahi,
Ajab Hai Subah Ki Kirne,
Shaam Tak Asar Dikhati Hai,
Samandar Ki Ajab Lehrein,
Saahil Se Takrati Hai,
Chand Ki Roshan Kirne Jo
Tera Roop Ban Jaati Hai,
Dekho Ab Main Kya Karun,
Har Teesri Baat Mein Tum Aati Ho,
Bas Dekho Itna Kehna Tha,
Main Tumko Kaise Bhulunga,
Yehi To Tumko Kehna Tha,
Main Tumko Kaise Bhulunga???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #604 on: March 01, 2007, 06:40:22 PM »
Wo Phool Wo Kaliyan, Wo Baharein Kahan Aisi,
Wo Shabnam Ke Qatron Ki Phoowarein Kahan Aisi,
Wo Titli Ke Rangon Mein Kahan Koi Husn Hai,
Wo Chand Ki Chandni Mein Kahan Koi Husn Hai,
Wo Hiran Ki Aankhein Bhi Koi Aankhein Hai,
Aaftab Ki Kirano Mein Kahan Koi Husn Hai,
Wo Samundar Ke Saahil Ki Hawayein Kahan Aisi,
Wo Dariya Mein Kashtee Wo Doobta Hua Suraj,
Main Aisa Bhi Kya Ke Kahoon Yehi Husn Hai,
Aasman Se Bhare Taaron Mein Bhi Koi Husn Hai,
Wo Doobte Hue Kinaron Bhi Koi Husn Hai,
Wo Baarish Wo Sawan Wo Thandi Hawayein,
Jo Mohabbat Ke Maaron Ke Dilko Behlayein,
Lo Ye Kya? Koi Ye Bhi Husn Hai?
Maine Sab Dekhe In Hasino Ke Chehre
Agar Ye Sab Dekhe Haseen Ko Mere
To Kasam Kha Ke Kehta Hoon Ye Sab Kahenge,
Wo Phool, Wo Kaliyan, Wo Baharein Kahan Aisi,
Wo Shabnam Ke Qatron Ki Phoowarein Kahan Aisi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #605 on: March 01, 2007, 06:41:24 PM »
Jis Tarah Aap Ne Aab Dekha Hai,
Aisa Manzar Humne Kab Dekha Hai,

Zindagi Se Maut Tak Jo Raaz Hai Jana,
Ek Lamhe Mein Humne Sab Dekha Hai,

Aaj Jana Hai Ke Raaz-E-Gul Kya Hai,
Aaj Ki To Ye Chehra Ajab Dekha Hai,

Husn Ke Meeyar Kyon Na Mootayein (Fix) Kar Lein,
Teri Basti Mein Jo Aisa Aadab Dekha Hai,

Maykashon Ke Haath Se Jaam Chhut Gaye,
Mera Paimana Bhara Jo Labalab Dekha Hai,

Teri Basti Mein Koi Charagh Jala Kar Kyon Aaye,
Mera Haath Jala Sab Ne Jab Dekha Hai,

Jeenewalon Ka Sanam Ye Tamasha Dekho,
Kya Logone Jeene Ka Sabab Dekha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #606 on: March 01, 2007, 06:42:51 PM »

Kabhi Aaina Bhi Kitna Haseen Lagta Hai,
Kabhi Aaina Bhi Kitna Haseen Lagta Hai,
Siyah Safed Jahan Bhi Rangeen Lagta Hai,

Ek Aisa Daur Bhi Aata Hai Zindagi Mein Jahan,
Koi Udaas Na Koi Gamgeen Lagta Hai,

Kabhi Main Milne Use Jaata Hoon Pariyon Ke Nagar,
Kabhi Wo Utra Dil-E-Sarzameen Lagta Hai,

Umar Ka Tayyun Sonpa Khuda Se Leke Unhe,
Kya Koi Itna Bhi Apnatareen Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #607 on: March 01, 2007, 06:44:07 PM »

Tum Agar Maangte To Hum Apni Jaan Dete,
Tumhari Aankhonko Ek Naya Imtihaan Dete,

Bhulne Lag Jaate Sab Dastanein Pichhli,
Hum Jahan Ko Aisi Apni Daastan Dete,

Agar Koi Puchhta Humse Hamara Hi Wajood,
To Tumhari Nisbat Se Apni Pehchaan Dete,

Shairon Ne Kabhi Tumko Jo Dekha Hota,
Sab Milkar Shayri Ke Kayi Deewan Dete,

Qadam Uthate Hi Meri Janib Ye Masti Jhonke,
Door Se Hi Tere Aaneki Azaan Dete...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #608 on: March 01, 2007, 06:45:06 PM »

Tanha Hai Is Qadar Ke Tanhayi Sisak Uthi,
Sookhe Hue Phoolon Se Yaadon Ki Mehek Uthi,

Uljhi Si Zindagi Hai Uljhan Na Sulajh Saki,
Jisne Ki Ye Koshish Uski Bhi Ulajh Uthi,

Dil Mein Daba Ke Rakhi Thi Har Ek Chingari,
Ek Teri Kaj Rahi Se Shola Ban Sulag Uthi,

Har Soo Tha Habs Ka Alam Har Shaakh Sookhi,
Tu Aaya Ban Ke Saawan Har Bulbul Chehek Uthi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #609 on: March 01, 2007, 06:46:07 PM »
Ek Bebasi Si Bun Ke Reh Gayi Hai Zindagi,
Kuch Tootti Si Jaa Rahi Hai Lamha Lamha Zindagi,

Tujhse Mil Ke Pal Mein Bichhad Gayi Hai Zindagi,
Kabhi Gulshan Hai To Kabhi Kaante Hai Ye Zindagi,

Ke Humne Laakh Koshish Ki Aa Jaye Neend Raaton Mein,
Kabhi Sapne Mein To Aa Ke Mil Jaye Mujhse Meri Zindagi,

Karein Ab Kisise Kya Shikwa Hum Har Baat Ka,
Ek Nadi Ke Do Kinaron Si Hai Meri Zindagi,

Unki Khamosh Aankhone Hamein Na Jane Kya Samjha Diya,
Ab Ek Haadse Ki Tarah Lagti Hai Hamein Apni Zindagi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #610 on: March 01, 2007, 06:47:51 PM »

Badnaam Mere Pyaar Ka Afsana Hua Hai,
Deewane Bhi Kehte Hai Deewana Hua Hai,

Rishta Tha Tabhi To Kisi Bedard Ne Toda,
Apna Tha Kabhi To Koi Begana Hua Hai,

Badal Ki Tarah Aake Baras Jayein Ek Din,
Dil Aap Ke Hote Hue Veerana Hua Hai,

Bajte Hai Khayalon Mein Teri Yaad Ke Ghunghru,
Kuch Din Se Mera Ghar Bhi Parikhana Hua Hai,

Mausan Me Banaya Hai Nigahon Ko Sharabi,
Jis Phoolko Dekhun Wohi Paimana Hua Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #611 on: March 01, 2007, 06:49:15 PM »
Logone Meri Maiyyat Ro Ro Ke Jab Uthayi,
Haathon Mein Apne Mehandi Tune Shauk Se Lagayi,

Tu Aa Saka Na Meri Maiyat Bhi Dekhneko,
Tu Hi Bata Ke Kam Hai Kya Teri Ye Bewafai,

Zaalim Main Mar Gaya Hoon Teri Berukhi Ne Maara,
Mere Ghar Hua Hai Maatam Tere Ghar Baaaraat Aayi,

Mujhko Mita Ke Tumne Gairon Ka Ghar Basaya,
O Bewafa Ye Tune Achhi Wafa Nibhayi,

Jis Sheher Se Palat Kar Aata Nahi Hai Koi,
Us Sheher Chal Diya Hai Tera Ye Saudayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #612 on: March 01, 2007, 06:51:14 PM »

Dard To Rukne Ka Ab Naam Nahi Leta Hai,
Sabar Se Dil Bhi Mera Kaam Nahi Leta Hai,

Jab Se Bakshe Hai Meri Aankhon Ke Aansu Tune,
Tabse Deewana Kahin Aaram Nahi Leta Hai,

Itna Sangdil Hai Ke Barbaad Wo Karke Mujhko,
Apne Sar Koi Bhi Ilzaam Nahi Leta Hai,

Ye Inayatein Bhi Kaam Nahi Mere Harjayi Ki,
Zakham Deta Hai Magar Daam Nahi Leta Hai,

Khauf-E-Ruswayi Se Darta Hai Bahut Wo,
Wo Mera Naam Sar-E-Aam Nahi Leta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #613 on: March 01, 2007, 06:54:27 PM »

Haalaat Mere Kuch Aise The Ke Jinse Nikalna Mushkil Tha,
Gairon Ki Shikayat Kya Kariye, Apno Ko Samajhna Mushkil Tha,

Afsos Ke Hum Hai Sehra Mein Gulshan Mein Pahunchna Mushkil Tha,
Dauran-E-Safar Kuch Aise Gire Ke Gir Ke Sambhalna Mushkil Tha,

Duniya Ki Hadon Ko Chodkar Hum Ek Baar Wahan Phir Pahunche Hain,
Chand Roz Hue Jis Dar Se Humein Kis Darja Nikalna Mushkil Tha,

Har WaQt Naseehat Dete Hain, Har Baar Karam Farmaaye Hain,
Humdard Humein Kuch Aise Mile Ke Dard Ka Mitna Mushkil Tha,

Dariya-E-Lahuu Mein Doob Ke Hum Paani Ke Liye Kuch Aise Jale,
Aankhon Se Tapakta Tha Lekin Hothon Pe Pahunchna Mushkil Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #614 on: March 01, 2007, 06:56:19 PM »
Mile Hai Tumhe Zakhmo Par Marham Lagane Wale,
Humne To Rahat Paane Ko Unse Dil Lagaya Tha,
Aur Wo Hai Hamare Dil Ko Jalane Wale..

Sajaya Maine Sabka Ghar Apna Ghar Bhi Jala Kar Yahan,
Phir Bhi Baaki Hai Kuch Log Mere Nishaan Mitane Wale,

Dard De Kar Hamein Wo Jaa To Rahe Hai,
Hum To Ho Gaye Bebas Dil Tootne Ke Baad,
Dard Dilka Kya Samjhein Wo Jo Hai Muskurane Wale..

Ho Raha Hai Maatam Ab Mera Us Bewafa Ki Wajahse,
Humne To Muskura Kar Gamon Ko Jhela Tha Aur
Ye Sab Hai Mujh Par Aansu Bahane Wale..

Tu Na Ho Udaas Sunkar Mere Dard Ke Fasane Ko,
Hum To Wo Hai Ke Mar Bhi Jaaye To Bankar Yaad Aanewale...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 37 38 39 40 [41] 42 43 44 45 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 10:04:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer