Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 38 39 40 41 [42] 43 44 45 46 ... 273
Print
Author  (Read 131183 times)
angel4u
Guest
«Reply #615 on: March 01, 2007, 06:57:07 PM »
Dil Ke Sunsaan Jazeeron Ki Khabar Laayega,
Dard Pehlu Se Juda Ho Kar Kahan Jayega,

Kaun Hota Hai Kisika Shab-E-Tanhayi Mein,
Gam-E-FurQat Hi Gam-E-IshQ Ko Behlayega,

Chand Ke Pehlu Me Dam Saadh Ke Roti Hai Kiran,
Aaj Taaron Ka Fasun Khaak Nazar Aayega,

Raakh Mein Aag Dabi Hai Gam-E-Mehroomi Ki,
Raakh Hokar Bhi Ye Shola Hamein Sulgayega,

WaQt Khamosh Hai Roothe Hue Yaaron Ki Tarah,
Kaun Lao Dete Ho Zakhmon Ko Sehlayega,

Dhoop Ko Dekhke Us Jism Pe Padti Hai Jhamak,
Chhanv Dekhenge To Us Zulf Ka Dhyan Aayega,

Zindagi Chalke Zara Maut Ka Humdam Dekhein,
Warna Ye Jazbaa Lahad Tak Hamein Le Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #616 on: March 01, 2007, 06:58:14 PM »

Hamein To Ab Bhi Wo Guzra Hua Zamana Yaad Aata Hai,
Tumhe Bhi Kya Kabhi Koi Deewana Yaad Aata Hai,

Hawayein Tez Thi Baarish Bhi Thi Toofan Bhi Tha Lekin,
Tera Aise Mein Bhi Wada Nibhana Yaad Aata Hai,

Guzar Chuki Thi Bahut Raat Baaton Baaton Mein,
Phir Uthke Wo Tera Shamma Bujhana Yaad Aata Hai,

Ghatayein Kitni Dekhi Hai Par Mujhe Aye Sanam,
Kisika Rukh Par Wo Zulfein Girana Yaad Aata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #617 on: March 01, 2007, 06:59:27 PM »

Wo Rula Kar Hans Na Paya Der Tak,
Jab Main Ro Kar Muskuraya Der Tak,

Bhulana Chaha Agar Usko Kabhi,
Aur Bhi Wo Yaad Aaya Der Tak,

Bhooke Bachhon Ki Tasalli Ke Liye,
Maa Ne Phir Pani Pakaya Der Tak,

Gungunaata Jaa Raha Tha Ek FaQeer,
Dhoop Rehti Hai Na Saaya Der Tak...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #618 on: March 01, 2007, 08:08:04 PM »
Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chhupa Kar Rona,
Jab Bhi Rona To Chiragon Ko Bujha Kar Rona,

Haath B Jaate Hue Wo To Mila Kar Na Gaya,
Maine Chaha Jise Seene Se Laga Kar Rona,

Tere Deewane Ka Kya Haal Kiya Hai Gam Ne,
Muskurate Hue Logon Mein Bhi Jaakar Rona,

Log Padh Lete Hai Chehre Pe Likhi Tehreerein,
Kitna Dushwaar Hai Logon Se Chupa Kar Rona...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #619 on: March 01, 2007, 08:09:29 PM »

Humse Kya Ho Saka Mohabbat Mein,
Khair Tumne To Bewafayi Ki,

Masoom Hai Mohabbat Lekin Iske Haathon,
Aye Jaan-E-IshQ Maine Tera Bura Bhi Chaha,

Shaamein Kisiko Maangti Hai Aaj Bhi,
Jo Zindagi Mein Yun To Mujhe Koi Kami Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #620 on: March 01, 2007, 08:11:47 PM »

Mohabbat Ke Gawah Apni Ye Chaand Sitare Hai,
Din Humne Judayi Ke Gin Ginke Guzare Hai,

Ab IshQ Ki Choton Ka, Gam Kaisa Karein Saahib,
Khushiyon Mein Chune Chehre, AshQon Ne Nikhare Hai,

Aise Mein Garibon Ki, Kashti Ka Khuda Hafiz,
Toofan Hai Gardish, Aur Door Kinare Hai,

Tu Badal Gaya Mujhse, Gam Iska Nahi Mujhko,
Gam To Ye Hai Ke Tere Gesu, Gairone Sanware Hai,

Hue "AAP" Se Pehle "TUM", Ab "TUM" Se Hue Hai "TU",
Kyon Bahe Na Ye Aansu, Hum Jeet Ke Haare Hai,

Maana Ke Wo Zaalim The, Mayyat Pe To Aaye Hai,
Ab Kuch To Kaho Aye Sanam, Wo Paas Tumhare Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #621 on: March 01, 2007, 08:14:45 PM »

Mere Kandhe Pe Rakhke Sar Usne,
Apne Muh Se Kaha Nahi Kuch Bhi,
Uske Kamre Ki Baraf Khamoshi,
Aur Bhi Ho Gayi Kahin Gehri,
Ek Lamhe Ko WaQt Ruk Sa Gaya,
Saans Arz-O-Sama Ki Tham Si Gayi,
Mere Kandhe Pe Usko Rakhe Sar,
Kitni Sadiyan Hi Jaane BEET Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #622 on: March 01, 2007, 08:15:53 PM »

Meri Rooh Ke Azaab Dhule Nahi,
Meri Aankhonse Khwab Mite Nahi,
Mere Dilke Daagh Gaye Nahi,
Phir Bhi Lekin,
Na Jane Kyon,
Ummidon Ki Nayi Roshni Liye,
Har Roz Ek Sapna,
Meri Aankhon Mein Apna Rang Jamane Chala Aata Hai,
Aur Main Pichhle Tamam Dukh Bhool Kar,
Uske Swaagat Ko Aage Badhti Hoon,
Uska Swagat Karti Hoon Ke Phirse,
Apni Rooh Ko, Apne Dilko,
Sheher-E-Gam Ka Mehmaan Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #623 on: March 01, 2007, 08:18:19 PM »

Ek Intezaar Sa Tha Ab Nazar Mein Wo Bhi Nahi,
Safar Mein Marne Ki Fursat Thi Ghar Mein Wo Bhi Nahi,

Zara Malaal Ki Zulmat Ko Taalne Ke Liye,
Kayi Khayal The Ab To Asar Mein Wo Bhi Nahi,

Jo Sang-O-Khaar The Meri Hi Gardishon Tak The,
Main Rah-Guzar Mein Nahi Reh-Guzar Mein Wo Bhi Nahi,

The Chashm-O-Baam Nagar Mein Ajab Tuluu Ke Rang,
Wo Ek Nishaat-E-Sahar Tha Sahar Mein Wo Bhi Nahi,

Rahe Na Kuch Bhi Magar Ye Kaif Kya Kam Hai,
Jis Aagahi Ki Kami Thi Hunar Mein Wo Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #624 on: March 01, 2007, 08:19:35 PM »

Yaadein Hai Teri Ya
Yaadon Mein Tum Ho?

Khwab Hai Tere Ya
Khwabon Mein Tum Ho?

Ye Hum Nahi Jaante,
Hume Bas Itna Bata Do Ke

Hum JAAN Hai Teri
Ya Jaan Mein Tum Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #625 on: March 01, 2007, 08:20:39 PM »

Taraash Ke Mere Baazu Udaan Chhod Gaya,
Hawa Ke Paas Berahna Kaman Chhod Gaya,

RafaQaton Ka Meri Usko Dhyan Kitna Tha,
Zameen Le Li Magar Aasman Chhod Gaya,

Ajeeb Shakhs Tha Baarish Ka Rang Dekh Ke Bhi,
Khule Dariche Pe Ek Phool Daan Chhod Gaya,

Jo Baadalon Se Bhi Mujhko Chhupaye Rakhta Tha,
Badhi Hai Dhoop To Be-Sayeban Chhod Gaya,

Nikal Gaya Kahin Andekhe Paaniyon Ki Taraf,
Zameen Ke Naam Khula Baadbaan Chhod Gaya,

UQaab Ko Thi Garz Faakhta Pakadne Se,
Jo Gir Gayi To Yunhi Neem Jaan Chhod Gaya,

Najane Kaunsa Aaseb Dil Mein Basta Hai Ke,
Jo Bhi Thehra Wo Makaan Chhod Gaya,

AQab Mein Gehra Samundar Rahe Samne Jungle,
Kis Inteha Pe Mera Meherbaan Chhod Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #626 on: March 01, 2007, 08:22:55 PM »

Suna Hai Tum Jis Des Ja Base Ho,
Uski Shaamein Badi Khoobsurat Hai,
Par Haan.....
Ye Bhi To Suna Hai Ke
Tum Itni Khoobsurat Shaamon Mein Udaas Rehte Ho,
Ye Meri Chahaton Ka Ejaz To Nahi,
Ke Tum Ab Bhi,
Jaati Shaamon Ke Sang Dhoond Rahe Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #627 on: March 01, 2007, 08:25:15 PM »

Kisine Humse Puchha Humein Kiska Gam Hai,
Jis Dilmeinthi Hamesha Khwabon Ki Dhadkan,
Kyon Wo Aaj Dhadkano Se Kam Hai....

Usne Puchh Liya Dilke Lutne Ka Sabab Sabke Samne,
Sar-E-Mehfil Puchh Liya Usne Hamare Dilbar Ka Naam,
Roka Bahut Unhe Isharonse Ke Na Chehre Dafnaye Hue Fasane,
Hum Keh Na Sakenge Kyon Ke Ho Jaeyga Ruswa Wo Sar-E-Aam,

Usne Puchh Liya Hamari Tanhayi Ka Sabab Doston Ke Darmiyan,
Kya Kahein Unse Ke Hamein Kisi Dost Ko Na Paaya Mitane Apne Tanhayi!

Usne Puchh Liya Kyon Hum Apna Chain-O-Sukoon Kho Baithe The,
Kya Kahein Ke Hum To Khudko Kho Chuke The,
Khel Rahe The Pyar Ki Baazi Wafa Ki Raah Mein,
Ab Kaun Jeeta Kaun Haara Ye Bhi Sonp Diya Uske Haath Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #628 on: March 01, 2007, 08:26:53 PM »

Na Apno Ne Wafa Ki Na Gairon Ne Koi Sila Diya,
Maine Jinhe Sab Kuch Samjha Mujhe Unhone Bhula Diya,

Wo Baadalon Ka Barasna Aur Tera Mujhse Jhatse Milne Aana,
Jab Bhi Yaad Aaya Meri Aankhon Ne Meen Barsa Diya,

Tum Na Aaye Hote Meri Zindagi Mein To Achha Tha,
Pehle Kya Kam Tha Jo Ab Aur Gam Badha Diya,

Hum To Samajh Baithe The Ke Manzil Hamare Kareeb Hai,
Na Jane Kyon TaQdeer Ne Hamein Phir Rula Diya,

Bahut Kuch Diya Tha Teri Chahaton Ke Chand Lamhone,
Tumne Na Jaane Kyon Mujhse Wo Sab Chura Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #629 on: March 01, 2007, 08:28:15 PM »

Dilke Sehra Mein Aas Ka Jugnu Bhi Nahi,
Itna Roya Hoon Ke Ab Aankh Mein Aansu Bhi Nahi,

Chhin Gaya Meri Nigahon Se Bhi Ehsaas-E-Jamaal,
Teri Tasveer Mein Pehle Se Jaadu Bhi Nahi,

Dil Wo Kambakht Ke Dhadka Hi Chala Jaata Hai,
Ye Alag Baat Tum Zeenat-E-Pehlu Bhi Nahi,

Dard Ki Dhoop Liye Phirti Hai Gulshan Ki Hawa,
Mere Daman Mein Tere Pyar Ki Khushbu Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 38 39 40 41 [42] 43 44 45 46 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 10:22:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer