Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44 45 46 47 ... 273
Print
Author  (Read 131184 times)
angel4u
Guest
«Reply #630 on: March 01, 2007, 08:29:23 PM »

Suna Tha Sapne Tootte Bhi Hai,
Aaj Unko Tootte Hue Dekh Bhi Liya,
Meri Hi Is Qismat Ne Mujh Se,
Itna Bada Dhoka Kiya,

Aisa Toofaan Aaya Zindagi Mein,
Ke Saare Raaste Kho Gaye,
Kal Tak Jo Apne The,
Pal Mein Begane Ho Gaye,

Dil Deta Hai Sadayein Aaj Bhi Unko,
Rakh Ke Ummid Ke Laut Aaye Wo Baharein,
Aakhir Kab Tak Jiyein Hum Aise,
Beete Kal Ki Yaadon Ke Sahare,

Shayad Meri Kismat Mein Hai Kuch Kami,
Ke Ye Saza Humne Paayi Hai,
Bewafayi To Kabhi Ki Na Thi Lekin,
Shayad Hamare Pyar Ka Imtehaan Ye Judayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #631 on: March 01, 2007, 08:32:21 PM »

Na Jaane Wo Kyon Humse Door Hote Jaa Rahe Hai,
Meri Kis Khata Ki Saza Wo Mujhe Yun Diye Jaa Rahe Hai,
Kyon Badal Rahi Hai Ab Unki Nigahein,
Kyon Unke Bole Lafz Ab Nashtar Chubha Rahe Hai,
Kuch Is Qadar Chhaya Hai Unka Hi AQs Aankhon Mein,
Hum Zamane Bhar Mein Ab Unke Naamse Mashhoor Hote Jaa Rahe Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #632 on: March 01, 2007, 08:40:03 PM »

Mujhse Mera Kya Rishta Hai Har Ek Rishta Bhool Gaya,
Itne Aaiyne Dekhe Hai Apna Chehra Bhool Gaya,

Ab To Ye Bhi Yaad Nahi Hai FarQ Tha Kitna Dono Mein,
Uski Baatein Yaad Rahi Aur Uska Lehja Bhool Gaya,

Pyaasi Dharti Ke Honthon Par Mera Naam Nahi To Kya,
Main Wo Badal Ka Tukda Hoon Jisko Dariya Bhool Gaya,

Duniya Wale Kuch Bhi Kahein Apni Majboori Hai,
Uski Gali Jab Yaadein Aayi Hai Ghar Ka Rasta Bhool Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #633 on: March 01, 2007, 08:41:30 PM »

Jab Bhi Do Aansu Nikal Kar Reh Gaye,
Dard Ke Unwaan Badal Kar Reh Gaye,

Kitni Fariyaadein Labon Par Ruk Gayi,
Kitne AshQ Aahon Mein Dhal Kar Reh Gaye,

Rukh Badal Jaata Meri TaQdeer Ka,
Aap Hi Tevar Badal Kar Reh Gaye,

Khulke Rone Ki Tamanna Thi Hamein,
Ek Do Aansu Nikal Kar Reh Gaye,

Zindagi Bhar Saath Dena Tha Jinhe,
Do Qadam Hum Raah Chal Kar Reh Gaye,

Tere Andaaz-E-Tabassum Ka Fusoon,
Haadse Pehloo Badal Kar Reh Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #634 on: March 01, 2007, 08:43:02 PM »

Jalta Nahi Aur Jal Raha Hoon,
Kis Aag Mein Main Pighal Raha Hoon,

Maflooj Hai Haath Paanv Mere,
Phir Zehen Mein Kyon Chal Raha Hoon,

Rai Ka Bana Ke Ek Parbat,
Ab Ispe Khud Hi Phisal Raha Hoon,

Kis Haath Se Haath Main Milaun,
Ab Apne Hi Haath Mal Raha Hoon,

Kyon Aaiyna Baar Baar Dekhun,
Main Aaj Nahi Jo Kal Raha Hoon,

Ab Kaunsa Dar Raha Hai BaaQi,
Us Dar Se Kyon Nikal Raha Hoon,

Ab Koi Nahi Raha Sahara,
Main Aajse Phir Sambhal Raha Hoon,

Ye Barf Hatao Mere Sar Se,
Main Aaj Kuch Aur Jal Raha Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #635 on: March 01, 2007, 08:44:43 PM »
Jee Dhundta Hai Ghar Koi Dono Jahanse Door,
Is Aapki Zameen Se Alag, Aasman Se Door,

Shayad Main Darakhur-E-Nigaah-Gam Bhi Nahi,
Bijli Tadap Rahi Hai Mere Aashiyane Se Door,

Aankhein Chura Ke Aapne Afsana Kar Diya,
Jo Haal Tha Zuban Se Qareeb Aur Bayan Se Door,

Taa Arz-E-ShauQ Mein Na Rahe Bandagi Ki Laag,
Ek Sajda Chahta Hoon Teri Astaan Se Door,

Hai Mana Raah-E-IshQ Mein Der-O-Haram Ka Hosh,
Yani Kahanse Paas Manzil, Kahanse Door...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #636 on: March 01, 2007, 08:48:00 PM »

Zindagi Tune Lahoo Leke Diya Kuch Bhi Nahi,
Tere Daaman Mein Mere Waaste Kuch Bhi Nahi,

Mere In Haathon Ki Chaho To Talashi Le Lo,
Mere Hathon Mein Lakeeron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Humne Dekha Hai Ke Aise Khudaon Ko Yahan,
Samne Jinke Wo Sach Much Ka Khuda Kuch Bhi Nahi,

Ya Khuda Ab Ke Ye Kis Rang Se Aayi Hai Bahar,
Zard Hi Zard Hai Pairon Pe Hara Kuch Bhi Nahi,

Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachhe Ki Tarah,
Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye, Ya Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #637 on: March 01, 2007, 08:50:30 PM »

Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Malum Nahi,
Gam Dena Malum Hai Lekin Gam Ki Dawa Malum Nahi,

Jinki Gali Mein Umr Ganwa Di Jivan Bhar Hairan Rahe,
Paas Bhi Aake Paas Na Aaye Jaan Ke Bhi Anjaan Rahe,
Kaun Si Aakhir Ki Thi Humne Aisi Khata Malum Nahi,

Aye Mere Pagal Armano Jhuthe Bandhan Tod Bhi Do,
Aye Meri Zakhmi Ummidon Dil Ka Daman Chhod Bhi Do,
Tumko Ab Is Nagri Mein Jeene Ki Saza Malum Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #638 on: March 01, 2007, 08:53:17 PM »

Shole Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa,
Phir Tod Ke Manzar Ko Dikhane Ke Liye Aa,

Ye Kisne Kaha Hai Meri TaQdeer Bana De,
Aa Apne Hi Haathonse Mitane Ke Liye Aa,

Aye Dsot Mujhe Gardish-E-Haalaat Ne Ghera,
Tu Zulfki Kamail Mein Chhupane Ke Liye Aa,

Deewar Hai Duniya Ise Rahonse Hata De,
Har Rasm Mohabbat Ki Mitane Ke Liye Aa,

Matlab Teri Aamad Se Hai Daramaan Se Nahi,
Hasrat Ki Kasam Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #639 on: March 01, 2007, 08:54:40 PM »

Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna Nigah-E-Lutf Kabhi Na Karna,
Tumhe Kasam Hai Hamare Sar Ki Hamare HaQ Mein Kami Na Karna,

Kahan Ka Aana Kahan Ka Jaana Wo Jante Hi Nahi Ye Rasmein,
Wahan Hai Waade Ki Bhi Ye Soorat Kabhi To Karna Kabhi Na Karna,

Hamari Maiyyat Pe Tum Jo Aana To Chaar Aansu Baha Ke Jaana,
Zara Rahe Paas-E-Aabru Bhi Kahin Hamari Hansi Na Karna,

Wo Ek Hamara TareeQ-E-Ulfat Ki Dushmano Se Bhi Milke Chalna,
Ye Ek Sheva Tera Sitamgar Ki Dost Se Dosti Na Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #640 on: March 01, 2007, 08:56:23 PM »

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi Kabhi AshQ Aankhse Dhal Gaye,
Wo Tumhare Gam Ke Chirag Hai Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye,

Main Khayal-O-Khwaab Ki Mehfilein Na Saja Saka,
Tumhari Ek Nazar Ke Sath Hi Mere Sab Irade Badal Gaye,

Kabhi Rang Mein Kabhi Roop Mein Kabhi Chhanv Mein Kabhi Dhoop Mein,
Kahin Aaftab-E-Nazar Hai Wo Kahin Mehtaab Mein Dhal Gaye,

Jo Fana Hue Gam-E-IshQ Mein Unhe Zindagi Ka Na Gam Hua,
Jo Na Apni Aag Mein Jal Sake Wo Parayi Aag Mein Jal Gaye,

Ya Unhe Bhi Meri Tarah Junoon To Phir Un Mein Mujh Mein Ye FarQ Kya,
Main Giraft-E-Gam Se Na Bach Saka Wo Hadood-E-Gam Se Nikal Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #641 on: March 01, 2007, 09:01:56 PM »

Kaash Khwabon Mein Aa Jao Bahut Tanha Hoon,
Ya Mere Zehan Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do,
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mita Do Hum Dum,
Raat Taare Nahi Angare Liye Aati Hai,
In Baraste Hue Sholon Ko Bujha Do Hum Dum,
Dil Ki Dhadkan Ko Sula Jao Bahut Tanha Hoon,

Andheri Raat Mein Jab Chand Khilne Lagta Hai,
Tumhare Pyar Ke Deep Jala Ke Rota Hoon,
Tumhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai,
Main In Chiragon Ko Khud Hi Bujha Ke Rota Hoon,
Zindagi Aisi Mita Jao Bahut Tanha Hoon,

Sochte Sochte Jab Soch Bhi Mar Jaati Hai,
WaQt Ke Kadmon Ki Aahat Ko Suna Karta Hoon,
AshQ Thamte Hai To Aahon Ka Dhuwan Uthta Hai,
Raat Bahr Yun Hi Tadapta Hoon Jala Karta Hoon,
Baar-E-Gam Kuch To Ghata Jao Bahut Tanha Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #642 on: March 01, 2007, 09:07:05 PM »

Kabhi Aansu Kabhi Khushi Bechi,
Hum Garibon Ne Bekasi Bechi,

Chand Saansein Khareedne Ke Liye,
Roz Thodi Si Zindagi Bechi,

Jab Rulane Lage Mujhe Saaye,
Maine Ukta Ke Roshni Bechi,

Ek Hum The Ke Bik Gaye Khud Hi,
Warna Duniya Ne Dosti Bechi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #643 on: March 01, 2007, 09:08:24 PM »

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Aisi Tanhayi Ke Mar Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Ghar Ki Wehshat Se Larazta Hoon Magar Jaane Kyon,
Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Doob Jaun To Koi Mauj Nishaan Tak Na Bataye,
Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Kabhi Mil Jaye To Raste Ki Thakan Jaag Pade,
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Wahi Paimaan Jo Kabhi Jee Ko Khush Aaya Tha Bahut,
Usi Paimaan Se Mukar Jaane Ko Jee Chahta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #644 on: March 01, 2007, 09:09:48 PM »

Kis Kis Tarahse Mujhko Na Ruswa Kiya Gaya,
Gairon Ka Naam Mere Lahoo Se Likha Gaya,

Nikla Tha Main Sada-E-Jaras Ki Talash Mein,
Bhule Se Is Sukoot Ke Sehra Mein Aa Gaya,

Kyon Aaj Uska Zikr Mujhe Khush Na Kar Saka,
Kyon Aaj Uska Naam Mera Dil Dukha Gaya,

Is Haadse Ko Sun Ke Karega YaQeen Koi,
Suraj Koi Ek Jhonka Hawa Ka Bujha Gaya...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44 45 46 47 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 11:36:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer