Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 41 42 43 44 [45] 46 47 48 49 ... 273
Print
Author  (Read 132902 times)
angel4u
Guest
«Reply #660 on: March 03, 2007, 07:44:46 PM »

Har Aansu Maine Tere Naam Ka Hi Bahaya,
Teri Is Judayi Ko Gale Se Aaj Bhi Laga Rakha Hai,

Maine Jiya Hai Is Zindagi Ko Tanha Har Pal,
Tera Wohi Saath Yaadon Mein Basa Rakha Hai,

Ye Zindagi Ab Zyada Nahi Hai Baaki,
Kyon Tu Mera Itna Imtehaan Le Raha Hai,

Maine Ki Har Dhadkan Naam Tere,
Khuda Bhi Apna Tujhe Hi Bana Rakha Hai,

Pyar Kiya Tujhe Uski Saza Bhi Paayi,
Phir Bhi Is Judayi Ne Mujhe Barbaad Kar Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #661 on: March 03, 2007, 07:50:40 PM »

Paththar Bana Diya Mujhe Rone Nahi Diya,
Daaman Bhi Tere Pyar Ne Bhigone Nahi Diya,

Tanhaiyaan Tumhara Pata Puchhti Rahi,
Raat Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya,

Aankhon Mein Aake Baith Gayi Ashkon Ki Leher,
Palkon Pe Koi Khwab Pirone Nahi Diya,

Dilko Tumhara Na Ke Aansu Aziz The,
Duniya Ka Koi Dard Samone Nahi Diya,

Nasir Yun Uski Yaad Chali Haath Tham Ke,
Mele Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #662 on: March 03, 2007, 07:52:37 PM »

Shola Tha Jal Bujha Hoon Hawaien Mujhe Na Do,
Main Kabka Mar Chuka Hoon Sadayein Mujhe Na Do,

Jo Zeher Pee Chuka Hoon Tum Hi Ne Mujhe Diya,
Ab Tum To Zindagi Ki Duwayein Mujhe Na Do,

Aisa Kahin Na Ho Ke Palat Kar Na Aa Sakun,
Har Baar Door Jaake Sadayein Mujhe Na Do,

Kab Mujhko Aetraaf-E-Mohabbat Na Tha Faraz,
Kab Maine Ye Kaha Tha Sazayein Mujhe Na Do...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #663 on: March 03, 2007, 09:38:53 PM »
Awesome Collection Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #664 on: March 04, 2007, 05:16:25 PM »
Thanks aryaan Usual Smile


Kabhi Mujhko Saath Lekar, Kabhi Mere Sath Chalkar,
Wo Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badal Kar,

Hue Jispe Meherbaan Tum Koi Khushnasib Hoga,
Meri Hasratein To Nikli Mere Aansu Mein Dhal Kar,

Koi Phool Ban Gaya Hai Koi Chand Koi Taara,
Jo Chirag Bujh Gaya Hai Teri Anjuman Mein Jal Kar,

Mere Doston Khuda Rah Mere Sath Tum Bhi Dhundo,
Wo Yahin Kahin Chhupa Hai Mere Gam Ka Rukh Badal Kar,

Teri Bejhijhak Hansi Se Na Kisika Dil Ho Maila,
Ye Nagar Hai Aaino Ka Yahan Saans Le Sambhal Kar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #665 on: March 04, 2007, 05:22:36 PM »

Usne MaQtoob Mein Likha Hai Ke Majboor Hai Hum,
Aur Baahon Mein Kisi Aur Ke Mehsoor Hai,

Usne Likha Hai Ke Milne Ki Koi Aas Na Rakhna,
Tere Khwabon Se Khayalon Se Bahut Door Hai Hum,

Ek Saath Bhi Sab-E-Wasl Ki Na Boli Na Hamein,
Aaj Bhi Tere Milan Raat Pe Magroor Hai Hum,

Chashm-E-Tar Kulb-E-Hazeen Aabale Paanv Mein Liye,
Teri Ulfat Se, Tere Pyaar Se Mamoor Hai Hum,

Unki Mehfil Mein Hamein Azan-E-Tukalim Na Mila,
Unko Andhesha Raha Sarmad-O-Mansoor Hai Hum,

Yun Sitarone Sunayi Hai Kahani Apni,
Goya Afkaar Se Jazbaat Se Mazoor Hai Hum,

Usne Likha Hai Jahan Mein Karein Shikwa Kisse,
Dil Garifta Hai Gam-O-Dard Se Choor Hai Hum,

Tera Beganoon Sa Hum Se Hai Rawaiya,
Bawajood Iske Tere IshQ Mein Mashhoor Hai Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #666 on: March 04, 2007, 05:24:29 PM »

Dard Badh Kar Fugaan Na Ho Jaye,
Ye Zameen Aasman Na Ho Jaye,

Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai,
Mere Dilki Zubaan Na Ho Jaye,

Dilko Le Lijiye Jo Lena Hai,
Phir Ye Sauda Giraan Na Ho Jaye,

Aah Kijiye Magar Lateed Tareen,
Lab Tak Aa Kar Duwa Na Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #667 on: March 04, 2007, 05:26:00 PM »

Subah Ka Taara Hoon,
Pal Ka Nazaara Hoon,

Kare Na Deedar Koi,
Shab Ka Kinara Hoon,

Gira Chandni Ke Aanchal Se,
Seher Ka Sanwara Hoon,

Hoon Shab Ki Musaafat Se Choor,
Ummid Ka Sahara Hoon,

Roop Hoon Na Singaar Koi,
Manzil Ka Ishara Hoon,

Basaye Na Koi Aankhon Mein,
Aakash Par Bechara Hoon,

Kare Na Dhurti Nazar,
Kab Main Sharara Hoon,

Gine Shab Bhar Taare Koi,
Main Subah Ka Haara Hoon,

Sajaye Mah-O-Mehar Jamaal Naya,
Main Nazar Ka Utara Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #668 on: March 04, 2007, 05:27:17 PM »

Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahi Sakta,
Mera Jawab Kahin Se Tu Laa Nahi Sakta,

Hazaar Parde Bhi Daalo Agar Banawat Ke,
Dilon Ki Baat Ko Chehra Chhupa Nahi Sakta,

Bana Diya Hai Zamane Ne Dilko Paththar Ka,
Sataye Koi Bhi Mujhko Rula Nahi Sakta,

Haseen Taajmahal Ke Bananewala Bhi,
Dilon Ke Toote Gharaunde Bana Nahi Sakta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #669 on: March 04, 2007, 05:34:32 PM »

Falsafe IshQ Mein Pesh Aaye Sawalon Ki Tarah,
Hum Pareshan Hi Rahe Apne Khayalon Ki Tarah,

Sheeshagar Baithe Rahe Zikr-E-Masiha Le Kar,
Aur Hum Toot Gaye Kaanch Ke Payalon Ki Tarah,

Jab Bhi Anjaam-E-Mohabbat Ne Pukara Khudko,
WaQt Ne Pesh Kiya Humko Misaalon Ki Tarah,

ZiQr Jab Hoga Mohabat Mein Tabahi Ka Kahin,
Yaad Hum Aayenge Duniya Ko Hawalon Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #670 on: March 04, 2007, 05:35:46 PM »

Agar Koi Baat Na Ho,
To WaQt Tham Jaata Hai,
Nazrein Taras Jaati Hai Unki Palkon Ko Dekhte Dekhte,
Is Aas Mein Hum Bhi Rehte Hai,
Ke Wo Bhi Apni Nigahon Se Hamein Dekhein,
Aur Humse Bhi Baat Karein,
Unke Honthon Ki Hansi To Bahut Achhi Hai,
Lekin Kabhi Humse Bhi Baat Karein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #671 on: March 04, 2007, 05:37:48 PM »

Jab Dilki Baat Koi Dil Sun Le,
To Dilko Achha Lagta Hai,
Ye Dil To Nadaan Hai,
Kabhi Hansta Hai To Kabhi Rota Hai,
Tumko Ehsaas Nahi Ke Ye Tum Pe Kitna Marta Hai,
Par Jaan Lo Tum Ke Ye Tumhare Liye Dhadakta Hai,
Kabhi To Is Dil Ki Aawaz Suno Tum Bhi,
Ye To Sirf Tumhe Pukar Raha Hai,
Is Dilki Baat Har Koi Sun Leta Hai,
Kabhi Tum Bhi Sun Kar Dekho,
Ye Tumse Apne Pyaar Ka Izhaar Kabse Kar Raha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #672 on: March 04, 2007, 05:39:17 PM »

Bhale Dino Ki Baat Hai,
Bhali Si Ek Shakal Thi,

Na Ye Ke Husn-E-Aam Ho,
Na Dekhne Mein Aam Si,

Na Ye Wo Chale To Kehkasha Si Rah-Guzar Lage,
Haan Magar Wo Sath Ho To Bhala Bhala Sa Safar Lage...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #673 on: March 04, 2007, 05:42:54 PM »

Dekhna Teri Yaad Hamein Maar Na Daale,
Hain Hum Bahut Naazuk,
Teri Yaad Mein Jeete Jee Dam Na Kho Dein Hum Apna,
Aa Jao Ke Dil Ne Pukara Hai Tumhe,
Aao Kabhi Mil Ke Koi Baat Karein,
Ke Aankhein Taras Gayi Hai Tera Deedar Karte Karte,
Mil Jaye Humein Ek Nayi Zindagi,
Tu Jo Samne Ek Baar Aa Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #674 on: March 04, 2007, 05:47:23 PM »

Pehli MulaQaat Mein Humne Dil Nahi Khoya Logon,
Wo Muskurata Raha Par Hamein Wo Galat Laga Logon,

Chehre Par Uski Khushiya Thi Hazar Rango Ki,
Dikhayi Diya Usse Aankhon Mein Meri Thi Na Koi Jagah,

Dil Mein Basate Kaise Use, Kuch Samajh Na Aaye,
Khaasiyat Jo Hai Usmein Aaj Tak Na Mujhe Mili Logon,

Uske Dl Mein Dhadakte Hum Kaise, Samjhao Ye Hamein Logon,
Wo Pehli Raat Jo Jaagte Guzaari Ab Bhi Yaad Hai Logon,

Kab Uski Har Ada IshQ Ke Samundar Mein Le Gayi,
Ye Ab Mujhe Kya Khabar Logon...

Hum Doobte Rahe, Aur Doob Rahe Hai Musalsal,
Par Theherna Nai Aata Is IshQ Mein, Mar Mit Jayenge Logon,

Ek Mulakat Se Duri Kahan Tak Khich Laayi Hamein,
Kuch Na Khabar Ke Ye Dil Kab Chori Ho Gaya Logon,

Mit Raha Hai Mera Wajood Kya Tha Kuch Yaad Nahi,
Marna Manzoor Hai Ab Agar Kitaab-E-TaQdeer Mein Uska Naam Na Mila Logon,

Kismat Mein Milna Qabool Tha, Kaash Ye Duniya Na Roke,
Hum Pyar Mein Itne Kho Gaye Hai Ke Ghar Ki Talash Bhi Ab Fazool Hai Logon,

Nadaan The Hum Jo Dil Laga Baithe,
Par Kya Kahein Aapse Mohabbat Ke Dushman,
Ye Pyaar Rishta Kaise Samjhayein Aapko Logon?

Khata Ho Gayi Humse Jo Humne Uski Aankhon Mein Dekha,
Mila Kuch Na Siwa Pyarke Wahan, Wo Chahta Hai Itna Hamein Logon,

Deta Hai Pyar Itna Din Bhar, Hum Pyaar Lete Lete Thak Jaate Hai,
Par Wo Dete Dete Kabhi Na Thaka Logon,

Usse Pyaar Kyon Hai Itna Hum Itna Bhi Na Jaan Sake,
Jab Baat Aati Hai Apne Ghar Laut Jaane Ki,
To Dil Bahut Ghabrata Hai Logon,

Hain Hum Bahut Khush Usko Paake,
Duwa Hai Ke Mera Pyar Na Ho Juda Mujhse, Karo Ye Dua Tum Bhi Logon,

Zamana Samajhta Nahi Hamare Pyar Ko,
Kaise Samjhaun Unko Jab Khud Kisiki Na Rahi Khabar,
Usse Bichhad Gayi To Dil Par Ek Khanjar Chalega Logon,
Kho Jayegi Ye Hasti Na Milegi Phir,

Zinda Laash Se Behtar Hai Mar Jaana Hamara,
Kabhi Khudko Pyaar Mein Kho Kar Dekho,
Gum Ho Gayi Is IshQ Ke Dariya Mein,
Us Laher Ke Sath Hum Bhi Chale Gaye Logon...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 41 42 43 44 [45] 46 47 48 49 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 01, 2025, 06:53:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer