Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 42 43 44 45 [46] 47 48 49 50 ... 273
Print
Author  (Read 131190 times)
angel4u
Guest
«Reply #675 on: March 04, 2007, 05:49:08 PM »

Pyaar Karte Karte Hum Ye Na Jaan Sake Ke Manzil Kya Hai,
Raaste Par Chalte Rahe Uska Haath Apne Haath Mein Liye,
Socha Nahi Ke Raasta Kaisa Hoga,
Kadi Dhoop Mein Nikal Pade Hum Do Deewane,
Wo Pyar Bhi Mangta Lekin Hamein Pyar Dena Na Aaya Logon,
Wo Humse "Haan" Maange,
Hum Karte Rahe "Inkaar" Logon,
Phir Bhi Uske Pyaar Mein Hum Doobte Rahe,
Wo Mangte Bhi Agar Judayi,
Hamein Inkaar Na Karna Aaya Logon,
Wo Kar Jaye Humse Bewafayi,
Humein Phir Bhi Wo Galat Na Lagega Logon,
Itna To YaQeen Hai Apne Pyaar Pe,
Par Raaste Mein Chhod Gaya To Wahin Ruk Kar Zindagi Bhar Intezar Karenge

Logon,

Dua Karo Ke Wo Yaar Na Chhute Humse,
Wo Rishta Jo Bana Liya Wo Kabhi Na Toote Logon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #676 on: March 05, 2007, 07:01:09 PM »

Lafzon Ka Kya Hai,
Ye Aa Jaate Hai Zuban Pe,
Dilki Baat Jo Ho,
Wo Dil Ko Chhu Jaati Hai,
Samajh Aaye Na Aaye Pyar Ki,
Karte Rehte Hai Uska Intezaar,
Wo Hai Bahut Nikamma,
Par Karta Hai Mujhse Pyaar,
Maaf To Kar Denge Usko,
Galti Wo Kare Beshak Baar Baar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #677 on: March 05, 2007, 07:04:41 PM »

Wo Kehta Hai Jaana Maan Jaao,
Lekin Dil Nahi Karta,
Usne Kaha Jaana Meri Galti Nahi
Lekin Dil Nahi Maanta,
Usne Kaha Jaana Maaf Kar Do,
Lekin Dil Nahi Samajhta,
Usne Kaha Jaana Suno Mujhe Saza Do,
Lekin Dil Nahi Maanta,

Ye Dil Bhi Kya Cheez Hai,
Nafrat Karta Bhi Hai
Aur Pyar Bhi Karta Hai,
Khud Isko Malum Nahi,
Ye Kya Chahta Hai,
Baat Baat Par Rooth Jaata Hai,
Par Saza Nahi Deta,
Kya Karun Is Dilka,
Kuch Samajh Mein Nahi Aata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #678 on: March 05, 2007, 07:06:11 PM »

Ye Dil Shayri Nahi Jaanta,
Isko Shayri Aati Nahi,
Karta Hai Be-Tahasha Mohabbat Kisise,
Rehta Hai Sirf Usika Intezaar,
Kehne Ko To Ye Sirf Dil Hi To Hai,
Par Pyaar Ki Had Ko Nahi Jaanta,
Kitna Samjhaun Isko?
Ye Baat Nahi Manta,
Na Jane Kya Milta Hai Isko Uski Chahat Se,
Khil Uthta Hai, Khushi Ka Izhaar Nahi Kar Paata,
Wo Maange Bhi Judayi,
Ye Dil Inkaar Na Kar Payega,
Wo Kare Bewafayi Bhi Mujhse,
Ye Dil Usko Kabhi Bewafa Na Kahega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #679 on: March 05, 2007, 07:08:01 PM »

Ye Maan Lete Hain Ke Pyar Humein Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke Humein Hamara Yaar Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke Duniya Ne Saath Nahi Diya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Bewafa Ho Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Dil Tod Ke Chala Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke Hamare Naseeb Mein Ye Sab Tha
Ye Maan Lete Hain Ke TaQdeer Mein Kuch Aur Likha Hai
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Kasmein Jhooti Thi
Lekin Yeh Mein Kaise Maan Lun Ke Jo Kal Tak Mere Saath Tha
Aaj Woh Kisi Aur Ke Saath Hai

Dhoor Se Dekhti Houn Usko
Woh Usse Pyar Kar Raha Hai
Uske Saath Woh Kasmein Le Raha Hai
Jo Kuch Din Pehle Mujhse Ki
Usko Us Nazar Se Dekh Raha Hai
Jis Tarah Woh Mujhe Dekhta Tha
Mera Dil Toot Gaya To Kya Hua
Humne To Pyar Kiya Tha Bina Kisi Shart Ke
Afsos Hai Ke Yeh Dil Aaj Bi Usko Chahta Hai
Rehta Hai Is Aas Pe Ke Woh Aa Jaayega
Jaanta Hai Ke Aisa Nahi Hoga
Lekin Nadaan Hai Na Yeh Dil
Yeh Kuch Samajna Nahi Chahta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #680 on: March 05, 2007, 07:10:45 PM »

Apne Dard Ki Kya Daastan Sunaun Tumhe Mere Yaar
Tum Poochte Ho Ke Woh Jo Saath Thi Ab Kahan Hai
Kya Kahun Ke Woh Kaise Juda Ho Gayi Hai Mujh Se
Nahi Rahi Mere Saath Woh,
Kya Kahoun Kahan Se Shuru Karo Apni Baat

Itne Saal Ho Gaye Hamein Mile
Dono Chhote The Jab Pyar Kiya
Us WaQt To Chalo Hum Nadaan The
Har Baat Se Anjaan The,
Lekin Chahna Shuru Kiya Ek Doosre Ko Jab,
To Najaane Jawaani Kab Aayi,
Aur Pyar Samaj Mein Aaya,
Yeh Jo Filmon Mein Dekhte Rahe,
Yeh Pyar Naam Ki Jo Cheez Thi...Yeh Samaj Mein Aane Lagi,
Sab Ne Humaara Saath Chor Diya,
Chupke Se Rishta Humne Nibaaya,
Saath Jeene Marne Ki Kasam Bi Li,
Chup Chup Ke Milna,
Ek Doosre Se Raat Bar Baatein Karna,
Sab Yaad Hai Mujhe,
Woh Baatein, Woh Yaadein Rahengi Saath Mere Hamesha,
Lekin Yeh Silsile Isi Tarah Na Reh Paaye,
Woh Alag Hone Lagi Mujhse,
Lekin Mujhe Iss Baat Ki Khabar Na Thi,

Alag Ho Gayi Hai,
Mere Saath Nahi Rehti Woh Ab,
Sab Kuch Bardaasht Kiya Hai Maine,
Lekin Ab Woh Badal Gayi Hai,
Sab Ko Kehti Hai Ke Hum Saath Saath Hain,
Lekin Khud Bewafa Lafki...Samajti Nahi Ke Hum Alag Ho Gaye,
Khud Rishte Tod Ke Keh Rahi Hai Hum Saath Saath Hain,
Koi Samjha De Usko,
Koi Batlaaye Usko,
Woh Apne Raste Per Chal Nikli Thi,
Jab Meine Roka Tha Usko To Nahi Thi Lauti,
Ab Wapsi Ke Raste Khud Bandh Kar Ke Gayi Hai,
Mein Kaise Maan Loun Ge Hum Saath Saath Hain???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #681 on: March 05, 2007, 07:13:24 PM »

Humnawa Ho, Humnasheen Ho, Humsafar, Hamdard Ho,
Hum Khayal, Humdam, Humraaz Ho, Hamgard Ho,
Hum-Sukhan, Hum Saaz Ho Aur Hum-Jalees HamQadam,
Hum-RaQaab Ho, Hum-Digar Ho, Aisa Bhi Ek Fard Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #682 on: March 05, 2007, 07:14:28 PM »

Tere Hijr Mein Hum Bekaar Gaye Ayaam Pe Maatam Karte Hai,
Har Subah Pe Maatam Karte Hai, Har Shaam Pe Maatam Karte Hai,

Yun Paas Hamare Jo Hasti Shah-Rag Se Bhi Zyada Rehti Hai,
Use Chahna Tujhe Pyaar Kiya, Har Gam Pe Maatam Karte Hai,

Main AashiQ, Shaa'ir, Tanha Hoon, Mere Ghar Mein Hai Aisi Veerani,
Yaa Sard Hawaon Ke Jhaunke Dar-O-Baam Pe Maatam Karte Hai,

Muflis Jo Hue To SaaQi Ne Phir Muh Hi Lagana Chhod Diya,
Pehle May Pee Kar Haste The Ab Jaam Pe Maatam Karte Hai,

Shab Bhar Hi Yahan Parwano Ki TaQdeer Pe Shamma Roti Hai,
Dildaar Bhi Kya Deewano Ke Anjaam Pe Maatam Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #683 on: March 05, 2007, 07:16:24 PM »

Lafz Anokhe Kya Laayega Tera Shaa'ir,
Kaha Hua Hi Dohrayega Tera Shaa'ir,

Apna Kal Jab Saaf Dikhayi Deta Ho To,
Kaise Khudko Behlayega Tera Shaa'ir,

Kuredte Kuredte Khoon Ugalne Lag Jayega,
Sheron Mein Yun Rang Laayega Tera Shaa'ir,

Aadhi Beeti Beetne Ko Hai BaaQi Aadhi,
Gum-Naami Mein Gum Jayega Tera Shaa'ir...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #684 on: March 05, 2007, 07:18:58 PM »

Agar Talash Karo To Koi Mil Hi Jayega,
Magar Kaun Tumhari Tarahse Humko Chahega,
Tumhe Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega,
Magar Wo Aankhein Hamari Kahanse Layega,
Tumhare Saath Ye Mausam Gulabon Jaisa Hai,
Tumhare Baad Ye Mausam Bada Satayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #685 on: March 05, 2007, 07:20:38 PM »

Jisse Pyaar Kiya Usne Kaha Duniya Chhod Do,
Duniya Ne Kaha Jisse Pyaar Kiya Use Chhod Do,
Dimag Ne Kaha Ke Duniya Sahi Kehti Hai,
Ke
Duniya Ke Liye Pyaar Ko Chhod Dun,
Dil Ne Kaha Ke Dimag Galat Kehta Hai,
Ke Pyar Ke Liye Duniya Ko Chhod Dun,
Magar,
Jab Sab Kuch Chhod Kar Hum Apne Pyaar Ke Paas Gaye,
To
Usne Kaha Ke Khuda Ke Liye Mujhe Chhod Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #686 on: March 05, 2007, 07:23:57 PM »

Aankh Se Aankh Mila Baat Banata Kyon Hai,
Tu Agar Mujhse Khafa Hai To Chhupata Kyon Hai,

Gair Lagta Hai Na Apno Ki Tarah Milta Hai,
Tu Zamaneki Tarah Mujhko Satata Kyon Hai,

WaQt Ke Sath Halaat Badal Jaate Hai,
Ye HaQeeQat Hai Magar Mujhko Sunata Kyon Hai,

Ek Muddat Se Jahan Kaafile Guzre Hi Nahi,
Aisi Raahon Pe Charagon Ko Jalata Kyon Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #687 on: March 05, 2007, 07:26:28 PM »

Kitabon Mein Mere Fasane Dhundte Hai,
Nadaan Hai Guzre Zamane Dhundte Hai,

Jab Wo The, Talash-E-Zindagi Bhi Thi,
Ab To Maut Ke Thikane Dhundte Hai,

Kal Khud Hi Apni Mehfil Se Nikala Tha,
Aaj Hue Se Deewane Dhundte Hai,

Musaafir Bekhabar Hai Teri Aankhonse,
Tere Sheher Mein Maikhane Dhundte Hai,

Tujhe Kya Pata Aye Sitam Dhaane Wale,
Hum To Rone Ke Bahane Dhundte Hai,

Unki Aankhon Ko Yun Dekho Na Sanam,
Naye Teer Hai Nishane Dhundte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #688 on: March 05, 2007, 07:28:51 PM »

Aaj Uski Yaad Ne Hamein Tadpaya Bahut,
Aaj Na Chahte Hue Bhi Wo Yaad Aaya Bahut,

Uske Baad To Jaise Wehshaton Se Dosti Ho Gayi,
Phir Kyon Aaj Tanhaiyon Ne Daraya Bahut,

Wo Mera Tha Mera Hai Mera Rahega,
Humne Is Khayal Se Khudko Behlaya Bahut,

Shamma Ke Jalne Par Hum Afsos Karein Kyon,
Humne Bhi Maanind Shamma Khudko Jalaya Bahut,

Humne Jis Kisiko Bhi Humdard Samjha Sanam,
Wo Hamare Dukh Pe Na Jane Kyon Muskuraya Bahut...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #689 on: March 05, 2007, 07:30:00 PM »

Ek Intezaar Sa Tha Ab Nazar Mein Wo Bhi Nahi,
Safar Mein Marne Ki Fursat Thi Ghar Mein Wo Bhi Nahi,

Zara Malaal Ki Zulmat Ko Taalne Ke Liye,
Kayi Khayal The Ab To Asar Mein Wo Bhi Nahi,

Jo Sang-O-Khaar The Meri Hi Gardishon Tak The,
Main Rah-Guzar Mein Nahi Reh-Guzar Mein Wo Bhi Nahi,

The Chashm-O-Baam Nagar Mein Ajab Tuluu Ke Rang,
Wo Ek Nishaat-E-Sahar Tha Sahar Mein Wo Bhi Nahi,

Rahe Na Kuch Bhi Magar Ye Kaif Kya Kam Hai,
Jis Aagahi Ki Kami Thi Hunar Mein Wo Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 42 43 44 45 [46] 47 48 49 50 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 12:31:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer