Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 43 44 45 46 [47] 48 49 50 51 ... 273
Print
Author  (Read 131192 times)
angel4u
Guest
«Reply #690 on: March 05, 2007, 07:31:11 PM »

Door Tak Phaila Hua Ek Wehem Reh Jayega,
Tu Nahi Hoga To In Aankhon Mein Kya Reh Jayega,

Apne Darwaze Par Dastak Doonga Tere Naam Ki,
Khud Se Milne Ka Yehi Ek Raasta Reh Jayega,

Harf Parchayi Ki Soorat Nind Mein Beh Jayegi,
Aur Kitab-E-Umar Ka Safah Khula Reh Jayega,

Rafta Rafta Tab Hi Ek Din Bhool Jayega Mujhe,
Ek Din Mujhko Bhi Tera Dhyan Reh Jayega,

Tere Sathi Tere Dushman Ki Tarah Ho Jayega,
Is Bhare Mele Mein Tu Beasra Reh Jayega,

Har Zamane Ke Liye Zinda Hawala Hoon Sanam,
Main Chala Jaunga Mera Tazkara Reh Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #691 on: March 05, 2007, 07:34:32 PM »

Wo Sitara Jo Aasman Mein Hai,
Meri Palkon Ke Darmiyan Mein Hai,

Kis Tarah Hue Dilke Tukde,
Teer To Ab Tak Guman Mein Hai,

Koi Surat Nahi Behlane Ki,
Har Ghadi Wo Jo Mere Dhyan Mein Hai,

Wo Kahan Qissa-E-Mohabbat Mein,
Jo Maza Apni Daastan Mein Hai,

Isne Jab Se Nasb-E-Dil Badla,
Zindagi Apni Imtehaan Mein Hai,

Dil Mein Yun To Koi Nahi,
Ek Saaya Par Makan Mein Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #692 on: March 05, 2007, 07:36:36 PM »

Kya Hua Jo Tumhara Saath Nahi,
Mere Hathon Main Tumhara Haath Nahi,

Mere Liye Tumhari Yaadein Hi Kafi Hain,
Mohabbat Main Zaroori MulaQat Nahi,

Main Sari Umar Tarsi Hoon Chahat Ke Liye,
Mere Naseeb Mein Shayad Ye Saugat Nahi,

Is Andaazse Bikhar Kar Phir Simat Na Saki,
Mujhe Sametne Wala Hi Koi Haath Nahi,

Jis Ki Dosti Peh Naaz Tha, Wo Dost Bhi Gaya,
Kis Qarb Se Kaha Kiseene Koi Baat Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #693 on: March 05, 2007, 07:38:34 PM »

Ye Ab Khula Hai Ke Koi Bhi Manzar Mera Na Tha,
Main Jisme Reh Raha Tha Wohi Ghar Mera Na Tha,

Main Jisko Ek Umr Sambhale Phira Kiya,
Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha,

Mauj-E-Hawa-E-Saher MuQaddar Jawaab De,
Dariya Mera Na Tha Ke Samundar Mera Na Tha,

Phir Bhi To Sang-Saar Kiya Jaa Raha Hoon Main,
Kehte Hai Naam Tak Sar-E-Manzar Mera Na Tha,

Sab Log Apne Apne Kabilon Ke Sath The,
Ek Main Hi Tha Ke Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #694 on: March 07, 2007, 05:56:31 PM »

Jo Bhoolna Hota Itna Aasaan To Kabke Hum Tujhe Bhool Jaate,
Na Karte Tujhe Fariyaad Milneki Na Tujhe Kabhi Yaad Aate,

Mita Diya Humne Apna Saara Wajood Tak Tujhe Paane Mein,
Kash Ke Tum Bhi Mere Pyaar Ki Gehrayi Ko Kabhi Samajh Paate,

Kiya Tha Tumne Wada Humse Dosti Ka Aye Dost,
To Us Dostika Kuch Rasm-O-Riwaaj To Tum Nibhate,

Mitane Chala Hoon Aaj Apni Hasti Badnaami Ke Dar Se,
Kaash Ke Zindagi Ke Is Khelme Kahin To Apna Ek Mukaam Banate...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #695 on: March 07, 2007, 05:59:23 PM »

Dil-E-Bechain Ko Qaraar Kahan Aata Hai,
Mar Bhi Jaaye To Sukoon Kahan Aata Hai,

Main To Intezar Mein Uske Chaukhat Par Baitha Hoon,
Dekho Ke Ab Ke Wo Chand Mere Aangan Mein Kab Aata Hai,

Jal Rahe Hai Mere Sapno Ke Makaan,
Dekho Ke Ab Ke Wo Roshni Lene Kab Aata Hai,

Mere Zakhm To Ab Nasoor Ban Chuke Hai,
Dekhte Hai Ke Marham Lagane Kaun Aata Hai,

Raahein To Main Uski Takta Hi Rahunga,
Dekhte Hai Ke Ab Ke Wo Palat Kar Kab Aata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #696 on: March 07, 2007, 06:04:53 PM »

Dard Kaisa Bhi Ho Aankh Nam Na Karna,
Raat Kaali Sahi Kio Gam Na Karo,

Ek Sitara Bano Jagmagate Raho,
Zindagi Mein Sada Musukrate Raho,

Baantni Hai Agar Baant Lo Har Khushi,
Gam Na Zahir Karo Tum Kisi Par Bhi,

Dilki Gehrayi Mein Gam Chhupate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

AshQ Anmol Hai Kho Na Dena Kahin,
Inki Har Boond Hai Motiyon Se Haseen,

Inko Har Aankh Se Tum Churate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

Faasle Kam Karo Dil Milate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #697 on: March 07, 2007, 06:06:54 PM »

Yun To Guzar Raha Hai Har Ek Pal Khushi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Saath,

Rishte Wafayein Dosti Sab Kuch To Paas Hai,
Kya Baat Hai Pata Nahi Dil Kyon Udaas Hai,
Har Lamha Hai Haseen Naye Dilkashi Ke Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath,

Chahat Bhi Hai Sukoon Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
Aankhon Mein Khwab Bhi Hai Labon Par Hasi Bhi Hai,
Dilko Nahi Hai Koi Shikayat Kisike Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath,

Socha Tha Jaisa Waisa Hi Jeevan To Hai Magar,
Ab Aru Kis Talash Mein Bechain Hai Nazar,
Kudrat Ki To Meherbani Hai Dariyadili Ke Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #698 on: March 07, 2007, 06:10:54 PM »

Kaha Tha Tumse Mera Intezaar Na Karna,
Duniya Chahe Jo Kahe Tum Aitbaar Na Karna,

Aisa Ho Chuka Hai Kayi Baar Pehle Bhi,
Ab Ke Baar Tum Koi Bhi Sawal Na Karna,

Din Raat Kat Rahe Hai Ab To Usike Khayal Mein,
Wo Lamhe Wo Raatein Unko Yaad Baar Baar Na Karna,

Zindagi Ranha Hi Sahi Kat Rahi Hai Ab Tak,
Kisine Keh Diya Tha Mohabbat Ka Izhar Na Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #699 on: March 07, 2007, 06:13:32 PM »

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hote The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,

Wo Khushiyan Jane Kaisi Khushiyan Thi,
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The,

Maar Kar Paanv Jo Barish Mein,
Apni Naav Khud Aap Duboya Karte The,

Sochte Hai To Chot Si Dil Par Padti Hai,
Aap Banane Aap Gharonde Toda Karte The,

Apne Jal Jane Ka Kuch Ehsaas Na Tha,
Jalte Hue Sholon Ko Chheda Karte The,

Khushbuke Udte Hi Kyon Murjhate Hai Phool,
Kitne Bholepan Se Puchha Karte The,

Aaj Inki Taabeerein Aur Rulati Hai,
Bachpan Mein Hum Jo Sapne Dekha Karte The,

Ab To Aansu Ka Ek Qatra Bhi Ruswa Kar Jata Hai,
Bachpan Mein Hum Jee Bhar Kar Roya Karte The...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #700 on: March 07, 2007, 06:15:01 PM »
Nice collection Angle
Logged
angel4u
Guest
«Reply #701 on: March 07, 2007, 06:15:37 PM »

Wo Nadaan Bholi Si Ladki Nahi Jaanti Ke Kya Hai,
Uska Roop Saroop Kundan Nahi To Kya Hai,

Usko Nahi Khabar Ke Uski Nahi Misaal,
Bahisht Ka Husn Bhi Uske Aage Kya Hai,

Wo Apna Paak Daaman Nachod De To Hoorein,
Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lad Pade To Aru Kya Hai,

Wo Nawlon Mein Gum Kone Mein Simti Baithi,
Usko Nahi Khabar Ke HaQeeQat Aur Kya Hai,

Uski Ada Hai Aisi Ke Mausam Badal Ke Rakh De,
Wo Hanste Hanste Ro De Koi Puchhe Aakhir Kya Hai,

Sharmili To Aisi Ke Khud Se Bhi Sharma Si Jaye,
Palloo Daba Ke Muh Mein Ghabra Ke Bole Kya Hai,

Usko Kahein Pari To Uski Toheen Hogi,
Par Pariyan Chehek Uthengi Wah Unka Naseeb Kya Hai,

Seerat To Aisi Ke Qurbaan Ho Jaye Har Shakhs,
Ya Mere Khuda Ka Us Par Inaam Nahi To Kya Hai,

Ye HaQeeQat Hai Ke TarQ-E-Deeda-E-Zan Se Hoorein Hamein Milegi,
Wo Samne Jo Aaye To Hooron Ki Talab Kya Hai,

Dam Aakhir Agar Wo Haath Mere Haath Mein Thama De To,
Ye Zindagi Hai Kya Aur Ye Kaza Kya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #702 on: March 07, 2007, 06:17:20 PM »

Jab Zindagi Hi Nasoor Ban Jaye,
To Bas Maut Hi Saroor Ban Jaye,

Kya Rakhna Ilzaam Sar Kisike,
Jab Ilteja Bhi Kasoor Ban Jaye,

Aazmayish Shart Hai Ya Kehna Kisika,
Be-Wajah Ka Garoor Ban Jaye,

Bhasm Kar Do Naam-E-Mohabbat Jahan Se,
Ke Aur Hi Na Fatoor Ban Jaye,

Ye Qayamat Tha Mera Chahna Itna,
Ke Wo Mera Zaroor Ban Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #703 on: March 07, 2007, 06:19:42 PM »

Aaj Tum Hum Ko Aise Kyon Paraye Paraye Se Lagte Ho,
Jaise Kabhi Tum Mere Ghar Aaye Aaye Se Lagte Ho,

Maazi Ke Dareechon Mein Gaur Se Ghar Mein Dekhun To,
Tum To Mere Apne Hi Saaye Saaye Se Lagte Ho,

Khamoshi Hai Ab Galiyon Mein Aur Suna Suna Mera Man,
Shaher-E-Dil Ki Galiyon Se Jaaye Jaaye Se Lagte Ho,

Chahel Pehel Un Raaton Mein Jab Chaand Nikla Karta Tha,
Jo Gazlein Suna Karte The Bhulaye Bhulaye Se Lagte Ho,

Jab Shaam Ki Lambi Baaton Mein Jhagde Suljha Karte The,
Jo Na Suljhe Ab Tak Wo Uthaye Uthaye Se Lagte Ho,

Jin Baaton Ki Humne Mil Kar Kasmein Khoob Khayi Thi,
Unko Yaad Karke Kyon Ghabraye Ghabraye Se Lagte Ho,

Aaj Kuch Chehra Aisa Ahi Ke Dhoond Raha Hoon Wo Sada Pan,
Jo Bana-O-Singhaar Ke Pichhe Tum Chhupaye Chhupaye Se Lagte Ho,

Badal Li Hai Raahein To Is Dilko Bhi Badal Lo Tum,
Aaj Bhi Is Mein Meri Yaadein Basaye Basaye Se Lagte Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #704 on: March 07, 2007, 06:22:27 PM »

Mohabbat Ke Zamane Mein,
Ranj-O-Gam Ke Aane Jane Mein,
Har Simt Tamasha Hi Hota Hai,
Kabhi Berukhi Ke Aanchal Mein,
Shokh Jazbe Dabte Hai,
Kabhi Muskurate Chehron Par,
Ekdam Aansu Chhalakte Hai,
In Bhigi Bhigi Aankhon Mein,
Wo Khwab Nazar Aate Hai,
Jin Khwabon Ki Tabeeron Par,
Ek Umar Guzra Karti Hai,
Aur.......
Ghar Shamma Roshan Ho Jaye,
To Zindagi Bas Ho Jaye,
Kuch Asie Sapne Rakhte Hai,
Aur Socho!!! Gar In Sapno Ko
Koi Nazar Jo Lag Jaye,
To Yehi Sapne Phir Ek Din,
Aankhon Mein Chubhne Lagte Hai,
Kuch Kar Lo, Kuch Bhi Kar Lo Tum,
Ye Tamasha To Hota Hai,
Aisa Tamasha To Hota Hai,
Mohabbat Ke Zamane Mein,
Har Simt Tamasha Hi To Hota Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 43 44 45 46 [47] 48 49 50 51 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 01:24:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer