Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 44 45 46 47 [48] 49 50 51 52 ... 273
Print
Author  (Read 132898 times)
angel4u
Guest
«Reply #705 on: March 07, 2007, 06:23:58 PM »

Agar Jo Dilki Sunoge To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kahan Paaoge,

Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindagi Bananewala Kahan Se Laoge,

Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Hamein,
Tu Har Taraf Sirf Humi Ko Paoge,

YaQeen Apni Mohabbat Par Itna Hai Mujhe,
Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge,

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Doob Gaye Agar,
Kahin Jana Bhi Chahoge To Na Jaa Paoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #706 on: March 07, 2007, 06:25:59 PM »


Nahi Ke Milne Milane Ka Silsila Rakhna,
Kisi Bhi Satah Pe Kio To Raabta Rakhna,

Madad Ki Tumse TawaQQo To Khair Kya Hogi,
Garib-E-Shaher-E-Sitam Hoon Mera Pata Rakhna,

Marenge Aur Hamare Siwa Bhi Tumpe Bahut,
Ye Jurm Hai To Phir Is Jurm Ki Saza Rakhna,

Naye Safar Pe Rawaana Hua Hai Az-Sar-E-Nau,
Jab Aaunga To Mera Naam Bhi Naya Rakhna,

Hisaar-E-ShauQ Uthana Zaroor Magar,
Kisi Taraf Se Nikalne Ka Raasta Rakhna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #707 on: March 07, 2007, 06:27:58 PM »

Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut,
In Dino Khudse Bichhad Jaane Ka Dhadaka Hai Bahut,

Raat Ho Din Ho Gaflat Ho Ke Bedaari Ho,
Usko Dekha To Nahi Hai Use Socha Hai Bahut,

Tashnagi Ke Bhi MuQaamaat Hai Kya Kya Yaani,
Kabhi Dariya Nahi Kaafi, Kabhi Qatraa Hai Bahut,

Mere Haathon Ki LaQeeron Ke Izaafe Hai Gawah,
Maine Paththar Ki Tarah Khudko Taraasha Hai Bahut...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #708 on: March 07, 2007, 06:29:36 PM »

Aaj To Be-Sabab Udaas Hai Jee,
IshQ Hota To Koi Baat Bhi Thi,

Jalta Phirta Hoon Kyon Dopeheron Mein,
Jaane Kya Chiz Kho Gayi Meri,

Wahin Phirta Hoon Main Bhi Khaak Ba-Sar,
Is Bhare Shaher Mein Hai Ek Gali,

Chhupata Phirta Hai IshQ Duniya Se,
Phail Jaa Rahi Hai Ruwayi,

Hamnasheen Kya Kahoon Ke Wo Kya Hai,
Chhod Ye Baat Neend Udane Lagi,

Aaj To Wo Bhi Kuchh Khaamosh Sa Tha,
Maine Bhi Usse Koi Baat Na Ki,

Ek Dam Uske Haath Chum Liye,
Ye Mujhe Baithe Baithe Kya Sujhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #709 on: March 07, 2007, 06:31:03 PM »

Apni Ruswayi Tere Naam Ka Charcha Dekhun,
Ek Zara Sher Kahoon Aur Main Kya Kya Dekhun,

Neend Aa Jaye To Kya Mehfilein Barpaa Dekhun,
Aankh Khul Jaye To Tanhayi Ka Sehra Dekhun,

Shaam Bhi Ho Gayi Dhundhla Gayi Aankhein Bhi Meri,
Bhoolne Wale Main Kab Tak Tera Raasta Dekhun,

Sab Zidein Uski Main Puri Karun Har Baat Sunun,
Ek Bachhe Ki Tarah Use Hasta Dekhun,

Mujhpe Chha Jaye Wo Barsaat Ki Khushbu Ki Tarah,
Ang Ang Apna Usi Rut Mein Mehekta Dekhun,

Tu Meri Tarahse Yakta Hai Magar Mere Habeeb,
Jee Mein Aata Hai Koi Aur Bhi Tujhsa Dekhun,

Maine Jis Lamhe Ko Pooja Hai Use Bas Ek Baar,
Khwaab Ban Kar Teri Aankhon Mein Utarta Dekhun,

Tu Mera Kuch Nahi Lagta Hai Magar Jaan-E-Hayaat,
Jaane Kyon Tere Liye Dilko Dhadakta Dekhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #710 on: March 07, 2007, 06:32:21 PM »

Baadalon Ka Kaafila Aata Hua Achha Laga,
Pyaas Ki Dharti Ko Har Sawan Bada Achha Laga,

Us Bhari Mehfil Mein Uska Chand Lamhon Ke Liye,
Mujhse Milna Baat Karna Dekhna Achha Laga,

Jinka Sach Hona Kisi Surat Se Bhi Mumkin Na Tha,
Aisi Aisi Baatein Aksar Sochna Achha Laga,

Wo To Kya Aata Magar Khushfehmiyon Ke Saath Saath,
Saari Saari Raat Humko Jaagna Achha Laga,

Pehle Pehle To Nigaahon Mein Koi Jachta Na Tha,
Rafta Rafta Dusra Phir Teesra Achha Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #711 on: March 07, 2007, 06:36:36 PM »

Chandni Raat Mein Chaand Ke Saamne,
Rukh Se Parda Hatana Gazab Ho Gaya,
Chandni Chhup Gayi Chaand Sharma Gaya,
Aapka Muskurana Gazab Ho Gaya,

Dilki Dhadkanein Meri Tez Ho Gayi,
Raat Aankhon Mein Kaantein Chubhone Lagi,
Wasl Ki Raat Mein Baat Hi Baat Mein,
Yun Tera Rooth Jana Gazab Ho Gaya,

Jhoom Kar Kaali Kaali Ghata Jab Uthi,
Raat Apni To Karvat Badalte Kati,
Kuch To Mausamne Bechain Rakha Hamein,
Kuch Tera Yaad Aana Gazab Ho Gaya,

Apne Hisse Mein Toofan Ki TaQdeer Thi,
Zindagi Apni Maujonki Zanjeer Thi,
Doob Jane Ka Apne Hamein Gam Na Tha,
Uska Saahil Pe Aana Gazab Hogaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #712 on: March 07, 2007, 06:37:55 PM »

Meherbaan Ho Ke Bula Lo Mujhe Chaho Jis WaQt,
Main Gaya WaQt Nahi Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakun,

Zauf Mein Tanaa-E-Agayaar Ka Shikwa Kya Hai,
Baat Kuch Sar To Nahi Hai Ke Utha Bhi Na Sakun,

Zeher Milta Hi Nahi Mujhko Sitamgar Warna,
Kya Kasam Hai Tere Milneki Ke Kha Bhi Na Sakun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #713 on: March 07, 2007, 06:39:19 PM »

Aaj Hum Bichhde Hai To Kitne Rangeele Ho Gaye,
Meri Aankhein Surkh Tere Haath Peele Ho Gaye,

Kab Ki Patthar Ho Chuki Thi Muntazir Aankhein Magar,
Chhu Ke Dekha To Mere Haath Gile Ho Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #714 on: March 07, 2007, 06:41:17 PM »

Kis Kis Ki Main Pyaas Bujhaun,
Kis Kis Ke Main Kaam Aaun,
Soch Raha Hai Jaane Kya Kya
Pehla Qatra Baarish Ka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #715 on: March 07, 2007, 06:42:59 PM »

Tumhe Jafa Se Yun Na Baaz Aana Chahiye Tha,
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha,

Taveel Raat Ke Pehloo Mein Kab Se Soye Hai,
Naveed-E-Subah Tujhe Jaag Jaana Chahiye Tha,

Bujhe Chiragon Mein Kitne Hai Jo Jale Hi Nahi,
Savaad-E-WaQt Inhe Jagmagana Chahiye Tha,

Ajab Na Tha Ke Qafas Saath Le Ke Ud Jaate,
Tadapna Chahiye Tha Pharpharana Chahiye Tha,

Ye Meri Haar Ke Karya-E-Jaan Se Haara Magar,
Bichhadnewale Tujhe Yaad Aana Chahiye Tha,

Tamam Umar Ki Aasudgi-E-Visal Ke Baad,
FiraaQ Aakhri Dhoka Tha Khana Chahiye Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #716 on: March 07, 2007, 06:45:24 PM »

Mujhe Zindagi Ki Talab Nahi,
Mujhe Zindagi Se Gila Nahi,
Jise Paa Kar Kho Diya,
Wo Naseeb Tha Mila Nahi,
Jise Chaha Wo Badal Gaya,
Jise Maanga Wo Bichhad Gaya,
Main Ab Jee Kar Kya Karun,
Jab Zindagi Mein Sila Nahi,
Jis Wafa Ki Aas Mein Jal Gaya,
Wo Khushi Ka Deep Jala Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #717 on: March 07, 2007, 06:47:04 PM »

Khamosh Se Lab Aankhon Mein Nami Hoti Hai,
Teri Yaad Jo Aati Hai To Kuch Aisi Ada Hota Hai,

Aankhon Ko Band Karke Usko Main Sochun To,
Khamosh Andhere Mein Bas Uski Nigah Hoti Hai,

Ab Ya Duniya Mere Maula Veeran Si Lagti Hai,
Khushbu Teri Na Hoti Hai Na Teri Sada Hoti Hai,

Jis Des Bhi Jao Tum Wo Des Tumhara Ho,
Ab Haath Jo Uthta Hai To Yehi Dua Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #718 on: March 07, 2007, 06:48:57 PM »

Kabhi Dukh Ki Aanch Kisi Pe Na Aane Dena,
Aaya Hai Mehmaan Koi To Na Jaane Dena,

Har Ghadi Khud Se Ulajh Jaata Hoon Main,
Agar Koi Manaye To Manane Dena,

Main Jo Aksar Tanhayi Mein Ro Padta Hoon,
Qissa-E-Gam Sunaun To Sunane Dena,

Usne Bheja Hai Ye Paigam Bazoor,
Hawa Zulf Tumhari Lehraye To Lehrane Dena,

Har Baat Ka Matlab Galat Na Nikala Karo,
Jab Main Samjhaun To Samjhane Dena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #719 on: March 07, 2007, 06:50:25 PM »

Ho Kar Zameen Ka Aasman Ki Chah Kyon Karun,
Main Tujhko Paane Ki Tamanna Kyon Karun,
Mujhko Khabar Hai Judayi Tadpayegi Har Pal,
Isliye Bata De Main Tujhse Wafa Kyon Karun,

Meri Masumiyat Ko Banaya Hai Rabne Mohabbat Ke Liye,
Tujhe Main Chahne Ki Phir Khata Kyon Karun,
Farishte Bhi Tadap Jaate Hai Jab Mere Aankh Se AshQ Chhalakte Hai
Ye Dard Main Tujhe De Kar Koi Gunaah Kyon Karun,

Teri Meri Kismat Ki Raahein Hai Juda Juda,
Main Phir Tere Bann Jane Ki Aarzu Kyon Karun,
Mere Hathon Ki LaQeeron Pe Nahi Naam Tera,
Main Tera Naam Apne Naam Se Milane Ki Justuju Kyon Karun,

Meri Baatein Tere Dil Mein Hamesha Bas Jaati Hai,
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyon Karun,
Baaton Baaton Mein Benaam Fasane Ban Jaate Hai,
Aur Aisi Adhuri Kahani Ko Main Shuru Kyon Karun,

Jo Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hai,
Ye Batao Ke Main Unka Zikr Dobara Kyon Karun,
Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai,
Usko Pyaar Se Dekh Kar Uspar Koi Jaadu Kyon Karun,

Mere Liye Ye Mumkin Nahi Ke Main Teri Ban Jaun Kabhi,
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyon Karun...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 44 45 46 47 [48] 49 50 51 52 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 01, 2025, 06:10:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer