Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 45 46 47 48 [49] 50 51 52 53 ... 273
Print
Author  (Read 131199 times)
angel4u
Guest
«Reply #720 on: March 07, 2007, 06:52:49 PM »

Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun,
Is Kitaab Ka Tere Naam Intisab Likhun,

Tujhe Sharminda Karne Ke Liye Main Is Mein,
Tera Aur Mera Baad Baaki Hisaab Likhun,

Main Soch Soch Kar Pagal Si Ho Gayi Hoon,
Jhele Hai Jo Tere Gam Maine, Kaise Wo Azaab Likhun,

De Gaye Meri Zindagi Ko Andhere Wohi,
Khwahish Thi Jise Main Aaftab Likhun,

Jo Diya Hai Tune Kaanto Ke Bistar Mujhe,
Bahut Mushkil Hai In Kaanto Ko Gulaab Likhun,

Mujhse MunafaQat Na Ho Sakegi Dilki Baat Mein,
Dukho Ke Samundar Ko Main Kaise Sarab Likhun,

Ajab Qarb Mein Mubtila Kar Diya Hai Tune Mujhe,
Samajh Nahi Aata Tere Khat Ka Kya Jawab Likhun,

Lafz To Sab Hi Mita Diye Hai Mere Aansuon Ne,
Apni Kahani Ab Main Kaise Teh-E-Aab Likhun,

Ek Ek Lafz Yaad Hai Mujhe Teri Guftugu Ka,
Khwahish Hai Teri Har Baat Ko Khitaab Likhun,

Jiski Tabeer Bhi Na Mil Saki Mujhko Aye Jaana,
Main Apni Kitaab Mein Kaise Wo Khwaab Likhun,

Lakho Chehro Se Haseen Banaya Tujhe Khudane Magar,
Jo Mera Nahi Us Chehre Ko Kaise Mehtaab Likhun,

Yak Tarfa Faisala Sunaya Adalar-E-Uzma Ne,
Main Is Jajj Ko Kaise Izaat-E-Mab Likhun,

Har Baat To Dilki Keh Dali Hai,
Isse Zyada Aur Main Kya Janab Likhun...
* * * * *
Logged
Anique
Guest
«Reply #721 on: March 08, 2007, 04:49:44 PM »
hi...
superbbbbbbbbbbb collection angelllllll...................................... ..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #722 on: March 08, 2007, 06:22:03 PM »
Thanks re Anique Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #723 on: March 08, 2007, 06:25:49 PM »

Manzil Bhi Kho Chuka Hoon Safar Bhi Nahi Raha,
Meri Kisi Bhi Dua Mein Asar Bhi Nahi Raha,

Jabse Hui Hai Dilko Khabar Hijr Yaar Ki,
Lafzon Ko Jodne Ka Hunar Bhi Nahi Raha,

Tu Kya Chala Gaya Main Takhlil Bhi Kho Chuka Hoon,
Kuch Paas Hi Nahi Hai Tu Daar Bhi Nahi Raha,

Awaargi Mein Lutf Kahan Ek Azaab Hai,
Par Kya Karunga Laut Ke Ghar Bhi Nahi Raha,

Ginti Ke Din Hai Maut Mein Lekin Ye WaQt Bhi,
Kab Se Hi Tham Gaya Hai Guzar Bhi Nahi Raha,

Dafna Do Mujhe Maut Se Pehle Mere Sanam,
Ab To Kisika Lakhte Jigar Bhi Nahi Raha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #724 on: March 08, 2007, 06:34:39 PM »

Aao Chand Se Wo Sab Baatein
Izhaar Bhi Karein Isi Se,
Bana Lein Ab Usiko Apna Raazdaan,
Wagarna Kaun Sunega Hamari Yahan Daastan,
Chalo Batayein Phir Isko Baatein,
Apni Tamam Uljhane,
Aur Na Layein Kisiko Apne Darmiyan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #725 on: March 08, 2007, 06:39:21 PM »
Kabhi Socha Hai Tune Dil Kya Kehta Hai?
Kabhi Socha Hai Kya Hota Jab Dil Tutta Hai?
Kitna Dard Hota Hai.....
Jab Apno Se Khauf Hota Hai,
Wo Manzar Bhi Kya Manzar Hota Hai,
Jab Tu Kareeb Rehkar Bhi Door Hota Hai,
Kitan Kamzor Wo Shakhs Hota Hai,
Jo Dost Hi Ko Dhoka Deta Hai,
Itna Badnaseeb Wo Kyon Hota Hai,
Jo Majme Me Bhi Akela Hota Hai,
Judayi Ka Gam Bhi Kya Gam Hota Hai,
Kyon Har Koi Mujhse Sawal Karta Hai,
Kyon Mera Dil Har Baar Ro Deta Hai,
Ab To Saaya Bhi Yehi Sawal Karta Hai,
Kaise To Itna Khush Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #726 on: March 11, 2007, 04:58:48 PM »
Kabhi Socha Hai Tune Dil Kya Kehta Hai?
Kabhi Socha Hai Kya Hota Jab Dil Tutta Hai?
Kitna Dard Hota Hai.....
Jab Apno Se Khauf Hota Hai,
Wo Manzar Bhi Kya Manzar Hota Hai,
Jab Tu Kareeb Rehkar Bhi Door Hota Hai,
Kitan Kamzor Wo Shakhs Hota Hai,
Jo Dost Hi Ko Dhoka Deta Hai,
Itna Badnaseeb Wo Kyon Hota Hai,
Jo Majme Me Bhi Akela Hota Hai,
Judayi Ka Gam Bhi Kya Gam Hota Hai,
Kyon Har Koi Mujhse Sawal Karta Hai,
Kyon Mera Dil Har Baar Ro Deta Hai,
Ab To Saaya Bhi Yehi Sawal Karta Hai,
Kaise Tu Itna Khush Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #727 on: March 11, 2007, 05:01:50 PM »

AansuHar Khushi Aur Gam Mein Insaan Ka Saath Dete Hai,
AansuBahane Se Dil Ka Bojh Halka Hota Hai,
AansuKhushi Ke MauQe Par Bhi Nikle Aate Hai Aur Khushi Ka Izhaar Karte Hai,

Aansu Dost Bichhadne Par Aankhon Se Motiyon Ki Tarah Behne Lagte Hai,
Aansu Se Pyaar Karo Kyon Ke Ye Bin Maange Mil Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #728 on: March 11, 2007, 05:14:10 PM »

Lutf Wo IshQ Mein Paaye Hai Ke Jee Janta Hai,
Ranj Bhi Itne Uthaye Hai Ke Jee Janta Hai,

Jo Zamane Ke Sitam Hai Wo Zamana Jaane,
Tune Dil Itne Dukhaye Hai Ke Jee Janta Hai,

Tum Nahi Jaante Ab Tak Ye Tumhare Andaz,
Wo Mere Dil Mein Samaye Hai Ke Jee Janta Hai,

Inhi Kadmone Tumhare Inhi Kadmon Ki Kasam,
Khaak Mein Itne Milaye Hai Ke Jee Janta Hai,

Dosti Mein Teri Darparda Hamare Dushman,
Is Qadar Apne Paraye Hai Ke Jee Janta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #729 on: March 11, 2007, 05:18:44 PM »

Tumhari Dosti Nawazi Mein Gar Kami Hoti,
Zameen Toot Ke Taaron Pe Gir Gayi Hoti,

Bahut Se Log Pareshan Ho Gaye Hote,
Jo Baat Sach Thi Wo Kahi Gayi Hoti,

Khushi Ne Thik Kiya Jo Humse Door Door Rahi,
Hamare Paas Jo Aati To Ro Padi Hoti,


Tujhe Bhi Log Hamari Tarah Samajh Lete,
Hamare Jaiso Ki Teri Agar Dosti Hoti,

Main Roshni Ke Sarabon Se To Bacha Rehta,
Naseeb Mein Jo Zara Aur Teergi Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #730 on: March 11, 2007, 05:27:58 PM »

Zindagi Mein Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi,
Tamashayi Hai Ye Duniya Iske Siwa Kuch Nahi,

Meri Zindagi Se Puchhiye Zindagi Kya Hai,
Zindagi Hai Ek Khwab Iske Siwa Kuch Nahi,

Khushiyan Hai Laakhon Is Duniya Mein Magar,
Udaasi Hai Mere Dil Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Mujhse Jo Log Bhi Mile Hai Khush Hokar,
Inke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi,

Waade Karte Hai Log Magar Jaante Nahi Wafa Karna,
Bewafayi Hai Is Duniya Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Pal Mein Jise Cahha Use Pal Mein Bhula Diya,
Ye Khel Hai Duniya Ka Iske Siwa Kuch Nahi,

Tumko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke,
Duniya To Hai Ek Sarab Iske Siwa Kuch Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #731 on: March 11, 2007, 05:35:57 PM »

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadkane Ki Jizaarat Bhi Nahi Ki,

Tabeer Ka Aizaaz Hua Hai Use Haasil,
Jisne Mere Khwabon Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai Humse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

Aadaab-E-Safar Ab Wo Sikhate Hai Jinhone,
Do Char Kadam Tay, Ye Musaafat Bhi Nahi Ki,

Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne,
Na Karda Gunaahon Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki,

Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-E-Bazm,
So Zakham Sahe Dil Pe, Shikaayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhey Chodne Aaye,
Dehleez Talak Usne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki,

Usne Bhi Gulamoo Ki Safoon Mein Humein Rakha,
Is Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #732 on: March 11, 2007, 05:42:23 PM »

Wo Jo Mera WaQf-E-Haal Tha,
Wo Jo Us Ke Subh-E-Urooj Thi,  
Wo Jo Mera WaQt-E-Zawaal Tha,

Mera Dard Kaise Wo Janta,
Mere Baat Kaise Wo Manta,
Wo Tu Khud Fanaa Ke Safar Pe Tha,
Use Rokna Muhaal Tha,

Kahan Jaoge Mujhe Chhodke,
Main Ye Puchh Puchh Ke Thak Gayi,
Wo Jawab Mujhko Na De Saka,
Wo To Khud Ek Sawal Tha,

Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi,
Mere Lab Pe Koi Gila Na Tha,
Use Mere Chupine Rula Diya,
Jise Guftugu Mein Kamaal Tha,

Dam-E-Wapsi Use Kya Hua,
Na Wo Roshni Na Wo Taazgi,
Wo Sitara Kaise Bikhar Gaya,
Wo To Aap Apni Misaal Tha,

Mere Sath Lagke Wo Ro Diya,
Mujhe FaQt Itna Wo Keh Saka,
Jise Janta Tha Main Zindagi,
Wo To Sirf Wahem-O-Khayal Tha...

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #733 on: March 11, 2007, 05:43:34 PM »

Kabhi Socha Bhi Hai Tumne,
Tumhari Yaad Ne Mujhko
Kahan Tak Maar Dala Hai,
Tumhare Pyar Ka Jaadu,
Kahan Tak Chal Chuka Jaana,
Tumhari Baat Ka Pehlu,
Kahan Tak Aan Pahucha Hai,
Tumhare Pyar Ka Ye Bojh,
Masal Jaata Hai Ab Mujhko,
Tumhare Yaad Ki Ye Aag,
Rago Mein Bhi Utar Aaye,
Mera Dil Mujhse Kehta Hai,
Masal Do Apne Khwabon Ko,
Mita Do Un Lakeeron Ko,
Kabhi Jinse,
Hamare Ek Hone Ki Gawahi,
Humko Milti Thi,
Dubo Do Sab Jazeeron Ko,
Ke Jinse Doobne Wale Ko
Hayat Ki Aas Milti Thi,
Gharonko Tod Do Jinse,
Hamein Us Paar Jaana Tha,
Ke Ab Humko Aur Is Dilko,
Isi Hi Aag Mein Jalna Hai,
Ke Ab Ye Pyar Ka Dhaga,
Gale Ka Ek Phanda Ahi,
Ke Ab Be-Naam Si Raatein,
Hamare Muntazir Hongi,
Ke Ab Bechain Se Ye Din,
Akele Hi Bitane Hai,
Mujhe Kehne Do Ab Humko,
Mohabbat Maar Daalegi
Mohabbat Maar Daalegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #734 on: March 11, 2007, 05:44:41 PM »

Husn Aisa Bhi Na Tha Jispe Fida Ho Jate,
IshQ Bhi Kab Tha Ke Paband-E-Wafa Ho Jate,

Jise Logonse Wafaon Ki Talab Rehti Hai,
Sachha Hota To Usike Ba-Khuda Ho Jaate,

Raat Berahem Na Thi, Raaste Dushwar Na The,
Warna Ban Jaate Hasa, Warna Diya Ho Jaate,

Hum Jo Bhatakte Hai To Phri Asal Ko Laut Aaye Hai,
Teer Ban Kar Jo Nikalte To Qazaa Ho Jaate,

Koi Hasrat Hi Nahi Warna Ye Bikhre Se Harf,
Is Qareene Se Parota Ke Dua Ho Jaate...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 45 46 47 48 [49] 50 51 52 53 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 02:53:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer