Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 46 47 48 49 [50] 51 52 53 54 ... 273
Print
Author  (Read 132924 times)
angel4u
Guest
«Reply #735 on: March 11, 2007, 05:46:13 PM »

Kahan Aake Rukne The Raaste, Kahan Mod Tha, Use Bhool Jaa,
Jo Mil Gaya Use Yaad Rakh, Jo Nahi Mila Use Bhool Jaa,

Wo Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chahat Pe Baras Gayi,
Dil-E-Bekhabar Meri Baat Sun, Use Bhool Jaa, Use Bhool Jaa,

Main To Gum Tha Tere Hi Dhyan Mein, Teri Aas Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Use Bhool Jaa,

Kisiki Aankh Mein Nahi AshQ-E-Gam, Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ne Bhual Diya, Tu Bhi Muskura Use Bhool Jaa,

Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi, Na Wo Khwab Hi Tere Khwab Tha,
Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye Tera Jagna, Use Bhool Jaa,

Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa, Use Dekh Ispe Yakeen Na Kar,
Nahi AQs Koi Bhi MustaQil Sar-E-Aaina, Use Bhool Jaa,

Jo Bisaat-E-Jaan Hi Ulat Gaya, Wo Jo Raste Mein Palat Gaya,
Use Rokne Se Haasil Kya, Use Mat Bula Use Bhool Jaa...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #736 on: March 11, 2007, 05:49:21 PM »

Kehne Ko Wo Pehli Chahat Thi,
Wo Jis Mein Junoon Tha, Shiddat Thi,
Pakeeza Thi, Anmol Thi Wo,
Khwabon Ke Jahan Ki Ulfat Thi,
Mehboob Ko Bhi Malum Na Tha,
Aisi Khamosh Mohabbat Thi,
Khamosh Rahi Bekaar Hui,
Na Jeet Hui Na Haar Hui,
Phir WaQt Ne Apni Chaal Chali,
Wo FurQat Se Do-Chaar Hui,
Kaisi Khamosh Mohabbat Thi,
Gulzaar Se Phir Wo Khaar Hui,
FurQat Se Junoon Mein Aag Lagi,
Is Dilke Sukoon Mein Aag Lagi,
AshQon Ki Ladi Aankhon Se Bandhi,
Is Jism Ke Khoon Mein Aag Lagi,
Phir WaQt Ne Apni Chaal Chali,
Dilse Wo Khumaar-E-Preet Gaya,
Honthon Se Wafa Ka Geet Gaya,
Kehne Ko Wo Pehli Chahat Thi,
Uska Bhi Zamana Beet Gaya,
Hijraan Ki Shabon Se Lad Lad Kar,
Dil Haar Gaya, Gam Jeet Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #737 on: March 11, 2007, 05:50:45 PM »

Tumko Malum Hi Hoga Zamane Ka Chalan,
"Jaane Wale Ko Bhulana", Hum Bhi Sikhenge Ye Fan,

Mera Kissa Ho Ya Meri Wafa Ki Daastan,
IshQ Ki Shiddat Wohi Hai, Sheher Ho Chahe Ho Ban,

Wo Bechara Bhi Amawas Ki Shabon Mein Bujh Gaya,
Chand Jo Khud Ko Kaha Karta Tha, "Main Hoon Shab-Shikan",

Zindagi Ki Aakhri Ayyaam, Yaadon Ke Azaab,
Aur Badh Jaati Hai Yaaro Umr-E-Rafta Ki Thakan,

Hamari Zindagi Mein Hai Hi Kya Iske Siwa,
Chand Sapne, Chand Dhoke Aur Nazron Ki Chubhan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #738 on: March 11, 2007, 05:52:04 PM »

Jab Use Nigahon Ne
Pehli Baar Dekha Tha,
Usse Guftugu Ki Thi,
Dilko Uski Soorat Ne,
Apni Or Khincha Tha,
Phir Ehed Mohababt Ka,
Maine Usse Bandha Tha,
Jab Wo Narm Lehje Mein
Dilki Bekarari Ki,
Neend Se Bichhadne Ki,
Muntazir Nigahon Ki,
Karvatein Badalne Ki,
Daastan Sunata Tha,
Aarzu Ye Hoti Thi,
Hashr Tak Ki Fursat Ho,
Dard-E-Dil Ki Baatein Ho,
Uska Narm Lehja Ho,
Aur Meri Samaat Ho,
Haan Magar Samaat Ko,
Uski Is Kahani Se,
Ab Nahi Hai Dilchaspi,
Kyonke Aaj Kal Dilko
Ek Aur Soorat Ka,
Bhol-Pan Bulata Hai,
Dhadkanein Badhata Hai,
Aur Udhar Wo Bechara,
Ab Bhi Apne Seene Mein,
Pyar Ka Diya Lekar,
Bekarar Phirta Hai,
Ab Kabhi Jo Milneko,
Wo Mujhe Bulata Hai,
Sochti Hoon Ukta Ke,
"Phir Wohi Mohabbat Ki
Raagini Sunayega,
Phir Mujhe Batayega,
Intezaar Kitna Tha"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #739 on: March 11, 2007, 05:53:21 PM »

Yadon Ka Ek Jhoka Aaya Humse Milne Barso Baad,
Pehle Itna Roye Na The Jitna Roye Barso Baad,

Lamha-Lamha Ghar Ujda Hai Mushkil Se Ehsaas Hua,
Pathar Aaye Barso Pehle Shishe Toote Barso Baad,

Aaj Hamari Khak Pe Duniya Rone-Dhone Baithi Hai,
Phool Hui Hai Jaane Kaise Itne Saste Barso Baad,

Bhool Bhi Jao Kisne Toda Kaise Toda Kyon Toda,
Dhoond Rahe Ho Kya Galiyon Mein Dilke Tukde Barso Baad,

Dastak Ki Ummeed Lagaye Hue Jeete Kab Tak Hum,
Kal Ka Wada Karne Wale Milne Aaye Barso Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #740 on: March 11, 2007, 05:56:39 PM »

Phir Koi Yaad Aa Raha Hai,
Meri Aankhonse Pani Beh Raha Hai,

Phir Uski Yaad Tadpa Rahi Hai,
Phir Uski Yaad Rula Rahi Hai,

Bhoolna Chah Rhaa Hoon Us Shakhs Ko,
Phir Kyon Wo Shakhs Mujhe Baar Baar Yaad Aa Raha Hai,

Seene Mein Bhi Dard Hone Laga Hai,
Ab Ye Dard Had Se Guzarne Laga Hai,

Aakar Mujhe Seene Se Laga Le Aye Dost,
Ab Tere Bin Har Pal Mujhe Maarne Laga Hai...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #741 on: March 12, 2007, 01:39:15 AM »
Beautiful poetry Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #742 on: March 12, 2007, 05:06:45 PM »
Thanks Re Aryaan....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #743 on: March 12, 2007, 05:26:08 PM »
Jo Chhate Ho So Kehte Ho Chup Rhene Ki Lazzat Kya Jaano,
Ye Raaz-E-Mohabbat Hai Pyaare Tum Raaz-E-Mohabbat Kya Jaano,

Alfaz Kahanse Laun Main Chhale Ki Tapak Samjhane Ko,
Izhaar-E-Mohabbat Karte Ho Ehsaas-E-Mohabbat Kya Jaano,

Kya Husn Ki Bhikh Bhi Hoti Hai Jab Chutki Chukti Judti Hai,
Hum Ehl-E-Garaz Jaane Isko Tum Saahib-E-Daulat Kya Jaano,

Hai FarQ Bada Aye Jaan-E-Raza Dil Dene Mein Dil Lene Mein,
Ulfat Ka TaalluQ Janate Ho Rishte Ki Nazakat Kya Jaano...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #744 on: March 12, 2007, 05:28:36 PM »

Saal Bete Dilse Mere Jaa Na Paye Tum,
Shaam Ki Tnahayi Mein Phir Yaad Aaye Tum,

Har Subah Paya Tumhe Khayalon Mein Apne Paas,
Raatonko Khwabon Mein Mere Muskuraye Tum,

Lagte Ho Mere Apne Tum Jabse Ho Door,
Na Jaane Kyon Lagte The Pehle Kuch Paraye Tum,

Pyaar Humse Behisab Tha Tumhe Phir Bhi,
Jaane Kyon Rahe Humse Nazrein Churaye Tum,

Jab Talak Tum Sath The Shikwe Bhi Saat The,
Kuch Bhi Nahi Ho Ab Mohabbat Ke Siwa Tum,

Thak Gaye Hum Zindagi Ki Raah Mein,
Ke Mil Jaate Kahin Haath Badhaye Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #745 on: March 12, 2007, 05:30:30 PM »

Teri Baahon Mein Simatne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Lipatne Ki Chahat Hai,

Khuda Ko Ek Nazar Dekhneke Baad,
Tujh Par Mar Mitne Ki Chahat Hai,

Tere Sath Guzzara Har Lamha,
Apne Har Pal Tere Sath Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai,

Tum Pyar Bhari Ek Nazar Daalo Mujh Par,
In Aankhon Ke Sagar Mein Doobne Ki Chahat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #746 on: March 12, 2007, 05:32:46 PM »

Maine Kaha Wo Ajnabi Hai,
Dilne Kaha Ye Dil Ki Lagi Hai,

Maine Kaha Wo Sapna Hai,
Dilne Kaha Phir Bhi To Apna Hai,

Maine Kaha Wo Maikhana Hai,
Dilne Kaha Ye Pyaar Khaana Hai,

Maine Kaha Wo Ghadi Bhar Ki Mulakat Hai,
Dilne Kaha Ye Sadiyon Ka Saath Hai,

Maine Kaha Wo Meri Haar Hai,
Dilne Kaha Yehi To Pyaar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #747 on: March 12, 2007, 05:36:20 PM »

Kitni Baatein Hai Jo Chhupaye Baithe Hai Hum Dil Mein Apne,
Kitne Armaan Hai Jo Dabaye Baithe Hai Hum Dil Mein Apne,

Kabhi Puchho Un Aankhon Se Jo Raat Bhar Jaagi Ho Intezar Mein,
Kitne Khwab Hai Jo Sajaye Baithe Hai Hum Dil Mein Apne,

Wo Raaste Se Aankh Bachate Guzar Jaate Hai Bekhabar,
Kitne Phool Hai Jo Bichhaye Baithe Hai Hum Dil Mein Apne...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #748 on: March 12, 2007, 05:56:08 PM »
Aur Kaanto Ko Lahoo Kisine Pilaya Hoga,
Humsa Diwana Koi Is Chaman Mein Aaya Hoga,

Besabab Bhala Kaun Kab Ulajhta Hai Kisise,
Aapne Guzra Hua Kal Yaad Dilaya Hoga,

Na Aaya Hai Humsa Na Aayega Koi Is Duniya Mein,
Vahem Ne Yaad Karke Pardon Ko Hilaya Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #749 on: March 12, 2007, 05:59:13 PM »

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko,

Tumko Aankhon Mein Tasavvur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dhadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujhko,

Baat Karne Mein Jo Mushkil Ho Tumhe Mehfil Mein,
Main Samajh Jaunga Nazron Se Batana Mujhko,

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho,
Khwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujhko,

Apne Rishte Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena,
Main To AashiQ Hoon Deewana Na Banana Mujhko,

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 46 47 48 49 [50] 51 52 53 54 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 04, 2025, 10:31:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer