Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 47 48 49 50 [51] 52 53 54 55 ... 273
Print
Author  (Read 132923 times)
angel4u
Guest
«Reply #750 on: March 12, 2007, 06:01:21 PM »

Main Bhi Tishna-E-Mohabbat, Tu Bhi Tishna-E-Wafa Hai,
Meri Jaan Mujhse Mil Jaa, Tujhe Kaun Rokta Hai,

Mujhe Aur Ki Tamanna, Tujhe Aur Ki Tamanna,  
Unhe Aur Ki Tamanna, Yehi Dil Ka Silsila Hai,

Tere Dil Se, Jaanta Hoon, Kayi Doriyaan Bandhi Hai,
Nayi Doriyon Mein Bandh Ja, Yehi Rasm Hai, Ada Hai,

Tere Gham Samet Loon To Mere Gam Nazar Na Aaye,
Inhe Sonp De Jo Mujh Ko, Meri Jaan To Kya Bura Hai,

Ye MuQaddaron Ke Heele, Ye Wafaaon K Bahaane,
Mujhe Mat Suna, HaQeeQat Mera Dil Bhi Jaanta Hai,

Mere Baazuon Mein Dam Hai, Rukh-E-WaQt Mod Doonga,
Tere Dil Ko Jod Dunga Mere Paas Wo Dawa Hai,

Kisi Khush-Nazar Ko Kya Ke Teri Shiddaton Ko Samjhe,
Mere Dil Ki Kuch Qadar Kar Ke Ye Dard-Aashna Hai,

Tujhe Aaj Lag Raha Hai, Hai Bada Kathin Badalna,
Sabhi Zakhm Bhar Hi Degi Ye Jo WaQt Ki Hawa Hai,

Tere Choor Choor Dil Par Mera Dil Tadap Utha Hai,
Meri Jaan Mujhse Mil Jaa, Tujhe Kaun Rokta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #751 on: March 12, 2007, 06:07:37 PM »

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #752 on: March 12, 2007, 06:10:31 PM »

Meri Jaan Kisi Din Chupke Se,
Mere Mann Ki Pyaasi Dharti Par,
Tum Aa Ke Baras Jao To Kya,
Kuch Aise Achanak Aa Jao,
Dilko Bhi Khabar Na Ho Paye,
Aankhon Mein Baso Tum Kuch Aise,
Ke...
Umr Kate Aur Subah Na Ho,
Sun Sajna! Door Udasi Hai,
Ye Baarish Ka Mausam Sajan,
Mere Dilko Aur Jalata Hai,
Tere Pyar Mujhe Yaad Aata Hai,
Ab Aa Jao Dil Nahi Lagta,
Bin Tere Roop Bhi Nahi Sajta,
Aa Jao Bahut Akele Hai,
Aa Jao Bahut Akele Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #753 on: March 12, 2007, 06:19:10 PM »
Meri Wafao Ka Sila Meri Saugaat Hai Baaki,
Mere Har Dard Ka Badla Meri Muskaan Hai Baaki,

Jo Mujhse Sunayi Na Gayi Wo Baat Hai Baaki,
Jo Tune Kabhi Jataya Nahi Wo Ehsaas Hai Baaki,

Paaya Nahi Hai Jo Wo Tera Saath Hai Baaki,
Mere Zakhm-E-Nasur Ka Ilaaj Hai Baaki,

Jo Chhut Gayi Thi Wo Abhi Raat Hai Baaki,
Kehne Ko To Wiase Apni Mulakat Bhi Hai Baaki,

Mere Is Dilki Abhi Ek Aah Hai Baaki,
AshQon Se Abhi Mere Aana Ek Sailaab Hai Baaki,

Batana Sab Logonko Ek Raaz Hai Baaki,
Zindagi Thi Mukhtasar Magar Saans Hai Baaki,

Pura Hona Mera Abhi Ek Khwaab Hai Baaki,
Thodi Si Justajoo Thodi Hajaat Hai Baaki,

Khamosh Hai Lab Lekin Alfaaz Hai Baaki,
Khud Ka Pata Nahi Par Jazbaat Hai Baaki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #754 on: March 12, 2007, 06:21:32 PM »

Suno,
Wo Kehta Hai,
Ke Dooriyan Mohabbaton Ka Imtehaan Hoti Hai,
Lekin Use Shayad Ye Malum Nahi,
Ke Faasle Dilo Pe Bane Naksh
Dhundla Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #755 on: March 12, 2007, 06:25:55 PM »

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda,
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi,
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum,
Kismat Hi Kuch Aisi Thi,

Duniya Sach Hi Pathar Maare,
Laila Tere Majnoo Ko,
IshQ Mein Us Deewane Ki Bhi
Halat Hi Kuch Aisi Thi,

Ek Jhalak Hi Dekhi To Hum,
Pyar Ke Dhoke Kha Baithe,
Yaaron Unki Bholi Bhali
Soorat Hi Kuch Aisi Thi,

Humne Apni Aankh Mein Aksar,
Khoon Ke Aansu Dekhe Hai,
Bakshi Hai Jo Pyar Ne Humko,
Nemat Hi Kuch Aisi Thi,

Dekhke Heere Moti Humse,
Pyar Ka Naata Tod Gaye,
Sona Chandi Jaisi Shay Mein,
TaQat Hi Kuch Aisi Thi,

SaadiQ Ne Kar Shikwa Inse,
Zakhm Diye Gar Kaantone,
Is Gulshan Ke Phoolonki Bhi,
Aadat Hi Kuch Aisi Thi,

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda,
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi,
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum,
Kismat Hi Kuch Aisi Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #756 on: March 12, 2007, 06:27:23 PM »

Mohabbaton Ke Safar Mein Koi Judaiyon Ka Jo Lamha Aaye,
To Chahaton Ke Safeer Logon,
Bichhadne Walon Ko Rok Lena,
Wo Laakh Tumko Naye Ruton Ke Haseen Lamho Baantein,
Judaiyon Ke Siyah Raston Se Wapsi Ki Sarab Baantein,
To Unki Baaton, Haseen Waadon Ka Dam Na Bharna,
YaQeen Na Karna,
Ke Wapasi Ki Taweel Musafeto Se Palat Ke Aana Bahut
Kathin Hai,
Koi Agar Lutna Chahe,
To Bete Lamho Ki Tez Aandhi Tamam Wado, Wadon Ki Roshni
Chhen Kar Andheron Ko Bantti Hai,
Kisi Ki Aankhon Ke Manzaro Se Wafa Rango Ke Khatam,
Hone Ka Khauf Bhi Dilko Rokta Hai,
Aur Is Tarah Faslon Mein Khoyi Hui Kabhi Bhi Nahi Palte,
Judaiyon Ke Raston Mein Muntazir Log Apne Apne Diye Jalaye,
Bas Ek Raste Ko Dekhte Hai,
Nayi Ruton Ke Haseen Lamhon Ke Khwab Aankhon Mein Tootte Hai,
Bichhadne Wale Judayi Ke Raston Baithe, Bikharte,
Khwabon Ki Kirchiyon Ko Samette Hai,
Bichhadne Walo Agar Na Tum Ko YaQeen Aaye,
To Meri Aankhon Mein Reza Reza Bikharte Khwabon Ko Dekh Lena,
Jinhe Chahun Sametna Bhi To Mere Bas Mein Wo Ab Nahi Hai,
To Roshni Ke Safeer Logon, Bichhadne Walon Ko Rok Lena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #757 on: March 12, 2007, 06:34:25 PM »

Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Liya,
Dil Bahut Kuch Jala Ke Dekh Liya,

Aur Kya Dekhneko BaaQi Hai,
Aapse Dil Laga Ke Dekh Liya,

Wo Mere Hoke Bhi Mere Na Hue,
Unko Apna Banake Dekh Liya,

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Humne,
Sabki Nzarein Bacha Ke Dekh Liya,

Aamir Takmeel-E-Gam Bhi Ho Na Saki,
IshQ Ko Aazma Ke Dekh Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #758 on: March 12, 2007, 06:37:06 PM »

Pyaar Mera Ek Sapna Sa Ban Gaya Hai,
Jiski Chahat Thi Wo Raahi Chhut Gaya Hai,

Jisko Chaha Tha Is Dilne Sada,
Aaj Wohi Hamsafar Begana Ban Gaya Hai,

Jin Aankhon Mein Uski Tasveer Sajayi Thi,
Unhi Aankhone Us Tasveer Ko Mita Dala Hai,

Jis Dil Mein Deep Jalte The Pyaar Ke,
Aaj Us Deep Ne Is Dilko Jala Dala Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #759 on: March 12, 2007, 06:43:48 PM »

Bana  Bana Ke Tamanna Mitayi Jaati Hai,
Tarah Tarahse Wafa Aazmayi Jaati Hai,

Jab Unko Meri Mohabbat Ka Aitbaar Nahi,
To Jhuka Jhuka Ke Nazar Kyon Milayi Jaati Hai,

Hamare Dilka Pata Wo Hamein Nahi Dete,
Hamari Chiz Hum Hi Se Chhupayi Jaati Hai,

Doori-E-Manzil Se Naummid Na Ho,
Manzil Ab Aa Hi Jaati Hai Ab Aa Hi Jaati Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #760 on: March 13, 2007, 04:36:04 PM »
Nice collection Angle
Logged
angel4u
Guest
«Reply #761 on: March 13, 2007, 06:22:22 PM »
Thanks pooja ji... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #762 on: March 13, 2007, 08:20:47 PM »
Meri Wafao Ka Sila Meri Saugaat Hai Baaki,
Mere Har Dard Ka Badla Meri Muskaan Hai Baaki,

Jo Mujhse Sunayi Na Gayi Wo Baat Hai Baaki,
Jo Tune Kabhi Jataya Nahi Wo Ehsaas Hai Baaki,

Paaya Nahi Hai Jo Wo Tera Saath Hai Baaki,
Mere Zakhm-E-Nasur Ka Ilaaj Hai Baaki,

Jo Chhut Gayi Thi Wo Abhi Raat Hai Baaki,
Kehne Ko To Wiase Apni Mulakat Bhi Hai Baaki,

Mere Is Dilki Abhi Ek Aah Hai Baaki,
AshQon Se Abhi Mere Aana Ek Sailaab Hai Baaki,

Batana Sab Logonko Ek Raaz Hai Baaki,
Zindagi Thi Mukhtasar Magar Saans Hai Baaki,

Pura Hona Mera Abhi Ek Khwaab Hai Baaki,
Thodi Si Justajoo Thodi Hajaat Hai Baaki,

Khamosh Hai Lab Lekin Alfaaz Hai Baaki,
Khud Ka Pata Nahi Par Jazbaat Hai Baaki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #763 on: March 13, 2007, 08:23:02 PM »

Suno,
Wo Kehta Hai,
Ke Dooriyan Mohabbaton Ka Imtehaan Hoti Hai,
Lekin Use Shayad Ye Malum Nahi,
Ke Faasle Dilo Pe Bane Naksh
Dhundla Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #764 on: March 13, 2007, 08:25:49 PM »

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda,
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi,
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum,
Kismat Hi Kuch Aisi Thi,

Duniya Sach Hi Pathar Maare,
Laila Tere Majnoo Ko,
IshQ Mein Us Deewane Ki Bhi
Halat Hi Kuch Aisi Thi,

Ek Jhalak Hi Dekhi To Hum,
Pyar Ke Dhoke Kha Baithe,
Yaaron Unki Bholi Bhali
Soorat Hi Kuch Aisi Thi,

Humne Apni Aankh Mein Aksar,
Khoon Ke Aansu Dekhe Hai,
Bakshi Hai Jo Pyar Ne Humko,
Nemat Hi Kuch Aisi Thi,

Dekhke Heere Moti Humse,
Pyar Ka Naata Tod Gaye,
Sona Chandi Jaisi Shay Mein,
TaQat Hi Kuch Aisi Thi,

SaadiQ Ne Kar Shikwa Inse,
Zakhm Diye Gar Kaantone,
Is Gulshan Ke Phoolonki Bhi,
Aadat Hi Kuch Aisi Thi,

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda,
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi,
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum,
Kismat Hi Kuch Aisi Thi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 47 48 49 50 [51] 52 53 54 55 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 04, 2025, 10:30:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer