Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 48 49 50 51 [52] 53 54 55 56 ... 273
Print
Author  (Read 132926 times)
angel4u
Guest
«Reply #765 on: March 13, 2007, 08:28:24 PM »

Mohabbaton Ke Safar Mein Koi Judaiyon Ka Jo Lamha Aaye,
To Chahaton Ke Safeer Logon,
Bichhadne Walon Ko Rok Lena,
Wo Laakh Tumko Naye Ruton Ke Haseen Lamho Baantein,
Judaiyon Ke Siyah Raston Se Wapsi Ki Sarab Baantein,
To Unki Baaton, Haseen Waadon Ka Dam Na Bharna,
YaQeen Na Karna,
Ke Wapasi Ki Taweel Musafeto Se Palat Ke Aana Bahut
Kathin Hai,
Koi Agar Lutna Chahe,
To Bete Lamho Ki Tez Aandhi Tamam Wado, Wadon Ki Roshni
Chhen Kar Andheron Ko Bantti Hai,
Kisi Ki Aankhon Ke Manzaro Se Wafa Rango Ke Khatam,
Hone Ka Khauf Bhi Dilko Rokta Hai,
Aur Is Tarah Faslon Mein Khoyi Hui Kabhi Bhi Nahi Palte,
Judaiyon Ke Raston Mein Muntazir Log Apne Apne Diye Jalaye,
Bas Ek Raste Ko Dekhte Hai,
Nayi Ruton Ke Haseen Lamhon Ke Khwab Aankhon Mein Tootte Hai,
Bichhadne Wale Judayi Ke Raston Baithe, Bikharte,
Khwabon Ki Kirchiyon Ko Samette Hai,
Bichhadne Walo Agar Na Tum Ko YaQeen Aaye,
To Meri Aankhon Mein Reza Reza Bikharte Khwabon Ko Dekh Lena,
Jinhe Chahun Sametna Bhi To Mere Bas Mein Wo Ab Nahi Hai,
To Roshni Ke Safeer Logon, Bichhadne Walon Ko Rok Lena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #766 on: March 13, 2007, 08:30:37 PM »

Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Liya,
Dil Bahut Kuch Jala Ke Dekh Liya,

Aur Kya Dekhneko BaaQi Hai,
Aapse Dil Laga Ke Dekh Liya,

Wo Mere Hoke Bhi Mere Na Hue,
Unko Apna Banake Dekh Liya,

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Humne,
Sabki Nzarein Bacha Ke Dekh Liya,

Aamir Takmeel-E-Gam Bhi Ho Na Saki,
IshQ Ko Aazma Ke Dekh Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #767 on: March 13, 2007, 08:33:21 PM »

Pyaar Mera Ek Sapna Sa Ban Gaya Hai,
Jiski Chahat Thi Wo Raahi Chhut Gaya Hai,

Jisko Chaha Tha Is Dilne Sada,
Aaj Wohi Hamsafar Begana Ban Gaya Hai,

Jin Aankhon Mein Uski Tasveer Sajayi Thi,
Unhi Aankhone Us Tasveer Ko Mita Dala Hai,

Jis Dil Mein Deep Jalte The Pyaar Ke,
Aaj Us Deep Ne Is Dilko Jala Dala Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #768 on: March 13, 2007, 08:34:57 PM »

Bana  Bana Ke Tamanna Mitayi Jaati Hai,
Tarah Tarahse Wafa Aazmayi Jaati Hai,

Jab Unko Meri Mohabbat Ka Aitbaar Nahi,
To Jhuka Jhuka Ke Nazar Kyon Milayi Jaati Hai,

Hamare Dilka Pata Wo Hamein Nahi Dete,
Hamari Chiz Hum Hi Se Chhupayi Jaati Hai,

Doori-E-Manzil Se Naummid Na Ho,
Manzil Ab Aa Hi Jaati Hai Ab Aa Hi Jaati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #769 on: March 14, 2007, 08:48:41 PM »
Bana Gulaab To Kaante Chubha Gaya Ek Shakhs,
Hua Chiraag To Ghar Hi Jala Gaya Ek Shakhs,

Tamaam Rang Mere Aur Saare Khwaab Mere,
Fasana Keh Ke Fasana Bana Gaya Ek Shakhs,

Main Kis Hawa Mein Udun Kis Fiza Mein Lehraun,
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bichha Gaya Ek Shakhs,

Palat Sakun Main Na Age Badh Sakun Jis Par,
Mujhe Ye Kaunse Raaste Laga Gaya Ek Shakhs,

Mohabbatein Bhi Ajeeb Uski Nafratein Bhi Kamal,
Meri Tarah Ka Hi Mujh Mein Sama Gaya Ek Shakhs,

Wo Mehtaab Tha Marham-Ba-Dast Aaya Tha,
Magar Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Ek Shakhs,

Khula Ye Raaz Ka Aaina Khana Hai Duniya,
Aur Is Mein Mujhko Tamasha Bana Gaya Ek Shakhs...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #770 on: March 14, 2007, 08:52:36 PM »

Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera,
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera,

Apne Dilko Bhi Bataun Na Thikana Tera,
Sab Ne Jaana Jo Pata Ek Na Jaana Tera,

Tu Jo Aye Zulf Pareshan Raha Karti Hai,
Kiske Ujde Hue Dil Mein Hai Thikana Tera,

Ye Samajh Kar Tujhe Aye Maut Laga Rakha Hai
Kaam Aata Hai Bure WaQt Mein Aana Tera,

Apni Aankhon Mein Bhi Kaundh Gayi Bijli Si,
Hum Na Samjhe Ke Ye Aana Hai Ke Jaana Tera,

Mujhko Yun Wo Mitate Hai Ye Farmaate Hai,
Tu Badal Daal Hua Naam Purana Tera...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #771 on: March 14, 2007, 08:55:14 PM »

Labon Ke Azaab Seh Raha Hoon,
Main Apne Wajood Ki Saza Hoon,

Zakhmon Ke Gulab Khil Rahe Hai,
Khushbu Ke Hajoom Mein Khada Hoon,

Is Dasht-E-Talab Mein Ek Main Hi,
Sadiyon Ki Thaki Hui Sada Hoon,

Benaam-O-Numood Zindagi Ka,
Ek Bojh Uthaye Phir Raha Hoon,

Ek Aisa Chaman Hai Jiski Khushbu,
Saanson Mein Basaye Phir Raha Hoon,

Ek Aisi Zameen Hai Jisko Chhu Kar,
Takdees-E-Haram Se Aaashna Hoon,

Aye Mujhko Fareb Dene Wale,
Main Tujhpar Yakeen Kar Chuka Hoon,

Main Tere Kareeb Aate Aate,
Kuch Aur Bhi Door Ho Gaya Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #772 on: March 14, 2007, 08:56:12 PM »

Pathar Ke Khuda Pathar Ke Sanam Pathar Ke Hi Insaan Paaye Hai,
Tum Sheher-E-Mohabbat Kehte Ho Hum Jaan Bacha Kar Aaye Hai,

Butkhana Samajhte Ho Jisko Puchho Na Wahan Kya Halat Hai,
Hum Log Wahin Se Laute Hai Bas Shukar Karo Laut Aaye Hai,

Hum Soch Rahe Hai Muddat Se Ab Umr Guzrein Bhi To Kahan,
Sehra Mein Khushi Ke Phool Nahi Sehraon Mein Gamon Ke Saaye Hai,

Honthon Pe Tabassum Halka Sa Aankhon Mein Nami Si Hai,
Hum Ehl-E-Mohabbat Par Aksar Aise Bhi Zamane Aaye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #773 on: March 14, 2007, 08:57:14 PM »

Poora Dukh Aur Aadha Chaand
Hijr Ki Shab Aur Aisa Chaand,

Itne Ghane Badal Ke Pichhe,
Kitna Tanha Hoga Chaand,

Meri Karvat Par Jaag Uthe,
Neend Ka Kitna Kachha Chaand,

Sehra Sehra Bhatak Raha Hai,
Apne IshQ Mein Sachha Chaand,

Raat Ke Shahid Ek Baje Hai,
Sota Hoga Mera Chaand...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #774 on: March 14, 2007, 08:58:13 PM »

Phir Sawan Rutt Ki Pawan Chali Tum Yaad Aaye,
Phir Patton Ki Paazeb Baji Tum Yaad Aaye,

Phir Koonjein Boli Ghaas Ke Samundar Mein,
Rutt Aayi Peele Phoolonki Tum Yaad Aaye,

Phir Kagaa Bola Ghar Ke Sune Aangan Mein,
Phir Amrat Ras Ki Boond Padi Tum Yaad Aaye,

Pehle To Main Cheekh Ke Roya Aur Phir Hasne Laga,
Baadal Garja Bijli Chamki Tum Yaad Aaye,

Din Bhar To Main Duniya Ke Dhandon Mein Khoya Raha,
Jab Deewaron Se Dhoop Dhali Tum Yaad Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #775 on: March 14, 2007, 08:59:36 PM »

Ab Saath Mera Chhod De To Kya Hua Aye Zindagi,
Humne To Naam Unke Kar Di Thi Apni Zindagi,

Anjaane Se Chehron Mein Apna Chehra Talashte Hue,
Kho Gaye Hum Bheed Mein To Kya Hua Aye Zindagi,

Sach Kehne Walon Ko To Thokarein Hi Milti Hai Yahan,
Pehchaan Gaye Hum Tujhko Ke Tu Kya Bala Hai Zindagi,

Maut Ke Dard Se Dar Kar Bhagta Hai Har Insaan Yahan,
Koi Inko Ye Bata De Ke Dardon Ka Ek Sila Hai Zindagi,

Umr Saari Guzar Gayi Apni To Rote Hue Behlate Hue Khudko,
Kaun Kehta Hai Ke Bahtu Ye Khushnuma Hai Zindagi,

Sambhalna Isko Hai Mushkil Hai Bewafayi Karna Iski Fitrat,
Ek Din Hath Se Phisal Jayegi Geeli Ret Si Ye Zindagi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #776 on: March 14, 2007, 09:00:29 PM »

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein Hum,
Maut Se Khud Baithe Hai Dil Lagaye Hum,

Kadmon Ki Aahat Ho To Lagta Hai Wo Aaye,
Rakhte Hai Khud Apna Kafan Sajaye Hum,

Koi Aayega Aur Phir Kahega Bewafa Hamein,
Baithe Hai Dekho Apna Sar Jhukaye Hum,

Likh De Koi Kahani Meri Chahe Adhuri Sahi,
Phirte Hai Haath Mein Kora Kaagaz Uthaye Hum,

Har Shakhs Ke Do Chehre Nazar Aate Hai Hamein,
Ab Kisko Dein Dua Aur Kise Baddua Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #777 on: March 14, 2007, 09:05:01 PM »

Kuch Door To Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,
Kuch Pal Tum Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kuch Der To Thamo Mera Haath Kuch Der Raho Tum Mere Paas,
Ya Yaadein Mujhko Tum De Do, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Auron Ke Sath To Rehte Ho Auron Ke Sunte Kehte Ho,
Do Baatein Mujhse Bhi Kar Lo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kandhe Pe Tere Sar Rakh Lun Aankhon Ko Apni Band Kar Lun,
Palkon Ki Chilman Girne Do, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kyon Mujhse Chupke Rehte Ho Kyon Dil Ki Baat Nai Kehte Ho,
Jo Dil Mein Hai Wo Keh Dalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Tum Kehte Na Kehti Hai Kyon Aankhon Saath Na Deti Hai,
Ya Aansu Bhi Apne Chun Lun, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Bin Tere Jee Na Paunga Main Mitti Mein Mil Jaunga,
Meri Maiyyat Ko Kandha De, Phir Beshak Raah Badal Lena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #778 on: March 14, 2007, 09:06:54 PM »

WaQt Ki Chaaal Se Bekhabar Ho Gaye,
Raat Din Umar Ke Yun Basar Ho Gaye,

Roshni Se Ulajh Is Qadar Main Gaya,
Andhere Mere Humsafar Ho Gaye,

Manzil To Khadi Thi Mere Samne,
Magar Raaste Darguzar Ho Gaye,

Karwaan Se Pata Puchha Main Raha,
Gard-O-Gubaar Meri Nazar Ho Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #779 on: March 14, 2007, 09:11:02 PM »

Magroor The Apni Zaat Par Hum,
Rone Lage Baat Baat Par Hum,

Aye Dil Teri Maut Ka Bhi Gam Hai,
Khush Bhi Hai Teri Nijaat Par Hum,

Lut Jayenge Zabt Gam Ke Haathon,
Mar Jayenge Apni Baat Par Hum,

Ye Bhi Tere Gam Ka Aasra Hai,
Hanste Hai Gam Hayaat Par Hum,

Kya Naaz Tha Hamein Apne Hosle Par,
Chup Ho Gaye Ek Baat Par Hum...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 48 49 50 51 [52] 53 54 55 56 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 04, 2025, 11:09:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer