Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 49 50 51 52 [53] 54 55 56 57 ... 273
Print
Author  (Read 131207 times)
angel4u
Guest
«Reply #780 on: March 14, 2007, 09:13:37 PM »

Phool Khud Hi Bikhar Gaya Hoga,
Muskurane Se Dar Gaya Hoga,

Ek Parwana Apni Shama Ko
Zindagi Deke Mar Gaya Hoga,

Jab Suna Hoga Ke Main Zinda Hoon,
Unka Chehra Utar Gaya Hoga,

IshQ Ki Manzilein To Aasan Thi,
Husn Dushwar Kar Gaya Hoga,

AshQ Aankhon Mein Phir Uhar Aaye,
Gam Se Paimana Bhar Gaya Hoga,

Aaj Kyon Hai Udaasiyan Tanha,
Dard Dil Mein Theher Gaya Hoga...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #781 on: March 15, 2007, 10:14:07 PM »
Good Job Angel....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #782 on: March 16, 2007, 05:02:14 PM »
Thanks Aryaan Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #783 on: March 16, 2007, 05:07:31 PM »

Ek Ek Patthar Jod Ke Maine Jo Deewar Banayi Thi,
Jhankoon Iske Pichhe To Ruswayi Hi Ruswayi Thi,

Yun Lagta Hai Sote Jagte Auron Ka Mohtaaj Hoon,
Aankhein Meri Apni Hain Par Unme Neend Parayi Thi,

Dekh Rahe Hai Hairat Se Sab Neele Neele Paani Ko,
Puchhe Kaun Samundar Se Tujh Mein Kitni Gehrayi Hai,

Aaj Hua Malum Mujhe Uske Chand Saayon Se,
Apni Raah Badalte Rehna Sab Se Badi Danayi Hai,

Tod Gaye Paiman-E-Wafa Us Dard Mein Kaise Kasie Log,
Ye Mat Soch Qateel Ke Bas Ek Yaar Tera Harjayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #784 on: March 16, 2007, 05:13:29 PM »

Zindagi Mein Ek Baar Bhi Chain Aaye Na,
Is Jahan Mein Kaash Koi Dil Lagaye Na,

Hai Yehi Gam Ka Fasana,
Jal Chuka Hai Aashiyana,
Mit Gaya Hai Nishaan,
Hai Andera Hi Andhera,
Haye Main Jaaun Kahan,

Roshni Ka Ek Diya Bhi Jagmagaye Na,
Is Jahan Mein Kaash Koi Dil Lagaye Na...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #785 on: March 16, 2007, 06:25:51 PM »

Yaad Bhi Khwaab Hui, Yaad Wo Aate Kyon Hai,
Roz-O-Shab Ek Naya Afsana Sunate Kyon Hai,

Roz Mar Mar Ke Bhala Jiye Jaate Kyon Hai,
Zindagi Hum Tere Ehsaas Uthate Kyon Hai,

Sab Ko Malum Hai Duniya Ki HaQeeQat Phir Bhi,
Qissa-E-Dard Zamane Ko Sunate Kyon Hai,

Kaun Samjhaye Ye Samjhane Ki Baatein Kab Hai,
Kisliye Khwaab Hue, Hosh Se Jaate Kyon Hai,

Ranj-O-Aalam Ka, Ruswayi-O-Naakami Ka,
Log Har Baat Ka Afsana Banate Kyon Hai,

Aah Duniya Ki Ye Unghast Numayi, Tauba!
Puchhiye Humse Yun Jaan Se Jaate Kyon Hai,

Bandagi Se Hamein Kab Aapki Inkaar Raha,
Baat Be Baat Phir Ehsaan Jatate Kyon Hai,

IshQ To Thik Hai Lekin Ye Khayanat Sarwar,
Jaan Jab Apni Nahi, Jaan Lutate Kyon Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #786 on: March 16, 2007, 06:27:40 PM »

Honge Tere Chahnewale Bahut,
Mujh Mein Ek Alag Baat Hai,
Tera Milna Meri Zindagi Ki,
Ek Nayi Shuruwat Hai,
Baate To Bahut Karte Ho,
Izhaar Nahi Karte,
Dar Sa Lagta Hai Ke
Kahin Tum Mujhse Pyaar Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #787 on: March 16, 2007, 06:32:36 PM »
Ada Hai Ismein Koi Shak Nahi,
Fida Koi Aur Hai Unhe Malum Nahi,

Gumshuda Hoon, Kisi Ko Kuch Khabar Nahi,
Irada Kya Hai, Tumhe Andaaza Nahi,

Laalchi Nahi Hoon, Par Zyada Bhi Mangta Nahi,
Bas Ek Muskaan Ki Talash Mein Jee Raha Hoon Yahi,

Doobta Hoon, Pani Ab Sar Se Upar Chala Gaya Hai,
Izhaar Nahi Karun Tab Tak Aashiyana Dhundta Hoon Kahin...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #788 on: March 16, 2007, 06:34:58 PM »

Ya Khuda Tune Agar TakhleeQ Ki Thi Ladkiyan,
To Inke Dilki Jagah Patthar Rakh Deta Yahan,
Beshak Teri Nazar Mein Qurbaani Ka Bada Aajar Hai,
Magar Kya Zaroori Tha Ke Gairat Ke Naam Par Qurbaan Ho Betiyan,
Jab Tune Banaya Hai Inko Mohabbat Ki Mitti Se Goondh Ke,
To Phir Ye Kis Tarah Mumkin Hai Ke Mohabbat Na Kare Ladkiyan,
Yaa Tu Inko Dil Mohabbat Shuar Na Deta,
Ya Phir Deta Inko Inki Dili Khushiyan,
Mera Almiyan Ye Hai Ke Main Hasaas Hoon Bahut,
Dil Rota Hai Jab Rawajon Mein Jalti Hai Ladkiyan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #789 on: March 16, 2007, 06:37:48 PM »

Har WaQt Mere Dilse Ye Dua Nikalti Hai,
Har Chahat Ho Puri Teri, Tere Chahne Se Pehle,
Har Khwab Ho Pura Tera, Teri Aankhein Khulne Se Pehle,
Darz Ho Jaaye Kaamyabiya Naam Tere, Tere Qadam Badhane Se Pehle,

Hogi Kabool Dua Meri,
Hai Mujhe Puri Ummid,

Aye Uparwale!
De Khushiyan Use Uski Kaamyabiyon Ke Roop Mein,
De Khushiyan Mujhe Uski Maayusiyon Ke Roop Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #790 on: March 16, 2007, 06:41:45 PM »

Aansuon Ko Ankhonki Dehleez Pe Aaya Na Karo,
Ghar Ke Haalat Zamane Ko Bataya Na Karo,

Log Mutthi Mein Namak Leke Phirte Hai,
Zakhm Tum Apne Kisiko Bhi Dikhaya Na Karo,

Saanp Khushbuon Ke Ihaate Mein Rehte Hai,
Phool Ke Pairon Ko Aangan Mein Lagaya Na Karo,

Haath Aaye Usi Lamhe Ko Ganimat Jaano,
Apni Palkon Pe Koi Khwaab Sajaya Na Karo,

Yaas Ki Tapti Huidhoop Mein Jalne Do Mujhe,
Aas Ke Badalo Sar Pe Mere Aaya Na Karo,

Aaj Ke Daur Ka Paigam Yehi Hai Talib,
Koi Gir Jaaye To Bhule Se Uthaya Na Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #791 on: March 16, 2007, 06:44:56 PM »

Kuch Sawal Aise Hai Jo Jawab Chahte Hai,
Zindagi Ki Saanso Ka Har Hisaab Chahte Hai,

Kar Sake Na Hum Sajde Jo Khukam Hue Humpe,
Aur Ab Duwaon Ka Har Sawab Chahte Hai,

Zindagi Ke Verkon Mein Har Taraf Hi Tanha Hai,
Lut Gaye Zara Zara Tere Sheher Mein Bas Kar,

Ab Ye Apne Hisse Hi Ek Kitaab Chahte Hai,
Ab Sheher Walon Hum Ehtasaab Chahte Hai,

Tumne Shaami Usko Bas Hasraton Mein Dekha Tha,
Puchh Hi Liya Hota Kya Janaab Chahte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #792 on: March 16, 2007, 06:51:45 PM »

Ab Bhi Yaad Karte Hai Tumko Hum,
Tumhe Abhi Bhoole To Nahi Hum,

Tum To Kehte The Hamesha Humse,
Ke Teri Zindagi Ki Wafa Hai Hum,

Tum Hi Jante The Humko,
Koi Anjaan To Nahi Hai Hum,

Tum To Yehi Samajhte Ho Na,
Ke Bewafa Ho Gaye Hum,

Tum Bhi Majboor Thi Aur Kuch,
Bebas Bhi Ho Gaye Hum,

Koi Kasoor Nahi Hum Dono Ka,
Wafa Hi Thi Hum Mein Kam,

Koi Ummid To Rakhein Aye Dost,
Kuch Tum Aur Kuch Hum,

Ke Shayad Mil Jaye Zindagi Mein,
Kisi Aur Mod Par Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #793 on: March 16, 2007, 06:56:25 PM »

Wo Ek Lamha
Jo Meri Ek Bhool Tha,
Aur Wo Shakhs,
Jo Mujhe Har Roop Mein Qabool Tha,
Lekin HaQeeQat Ye Na Thi,
Na Ab Mujhe Wo Kabool Tha,
Kyonke
Usne Jana Mujhko Dhool Tha,
Wo Shakhs,
Jo Meri Ek Bhool Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #794 on: March 16, 2007, 07:04:22 PM »

Thaki Thaki Si Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,
Koi To Dard Raas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Ye To Hai Ya Lapata Hua Ko Khayal Hai,
Koi To Aas Paas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Nidhal Yun Hue Ke Sab Zarooratein Hai Mar Gayi,
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Na Jane Kis Khayal Se Bujha Bujha Hai Aajkal,
Yehi Jo Tera Udaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Har Ek Ek Se Yahi Pakar Ke Puchhte Rahe,
Kahan Wo Gam-E-Hehnaashay, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Ajab Tarah Ke Wasoon Mein Ghir Gayi Hai Zindagi,
Ummid Hai Na Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Na Jao Jism Par Saje Hue Haseen Libaas Par,
Badan To Khush Libaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 49 50 51 52 [53] 54 55 56 57 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 05:00:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer