Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 50 51 52 53 [54] 55 56 57 58 ... 273
Print
Author  (Read 131205 times)
angel4u
Guest
«Reply #795 on: March 16, 2007, 07:06:46 PM »

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe,
Guzar Gayi Jaras-E-Gul Udaas Karke Mujhe,

Main So Raha Tha Kisi Yaad Ke Shabistaan Mein,
Jaga Ke Chhod Gaya Gafila Saher Ka Mujhe,

Main Tere Dar Ki Tugiyaaniyon Mein Doob Gaya,
Pukarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe,

Tere FiraaQ Ki Raatein Kabhi Na Bhulengi,
Maze Mile Inhi Raton Mein Umar Bhar Ke Mujhe,

Zara Si Der Theherne De Aye Gam-E-Duniya,
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar Ke Mujhe,

Phir Aaj Aayi Thi Ek Mauj-E-Hawa-E-Tarab,
Suna Gayi Hai Fasane Idhar Udhar Ke Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #796 on: March 16, 2007, 07:08:27 PM »

Ek Bekasi Hai Hijr Ke Maron Ke Sath Sath,
Toota Hai Mera Dil Besaharon Ke Sath Sath,

Jee Bhar Ke Dekh Bhi Na Paaye The Ke Chhup Gaye,
Armaan Bhi Hai Udaas Nazron Ke Sath Sath,

Dil Mein Wafoor-E-ShauQ Ka Toofan Liye Hue,
Khamosh Jagta Hoon Sitaron Ke Sath Sath,

Itni To Mehviyat Ho Tasavuur Mein Tere Dost,
Khud Ko Bhi Bhool Jaun Nazron Ke Sath Sath,

Ye Aag IshQ Ki Phri Bhi Na Bujh Sak,
Hai Dil Mein AshQ-E-Gam Besehraon Ke Sath Sath...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #797 on: March 16, 2007, 07:11:08 PM »

Bichhad Ke Mujhse Kabhi Tune Ye Bhi Socha Hai,
Adhoora Chand Bhi Kitna Udaas Lagta Hai,

Ye Wasl Ka Lamha Hai Ise Rayegaan Na Samajh,
Ke Iske Baad Wohi Dooriyon Ka Sehra Hai,

Kuch Aur Der Na Jhadta Udaasiyon Ka Shajar,
Kise Khabar Tere Saaye Mein Kaun Baitha Hai,

Ye Rakh Rukhao Mohabbat Sikha Gayi Usko,
Wo Rooth Kar Bhi Mujhe Muskura Kar Milta Hai,

Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakti Hai,
Tera Badan Hai Ke Ye Aaiyno Ka Dariya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #798 on: March 16, 2007, 07:13:11 PM »

Ye Shab-E-FiraQ Ye Bebasi Hai Qadam Qadam Pe Udaasiyan,
Mera Sath Koi Na De Saka Meri Hasratein Hai Dhuwan Dhuwan,

Main Tadap Tadap Ke Jiya To Kya Mere Khwab Mujhse Bichhad Gaye,
Main Udaas Ghar Ki Sada Sahi Mujhe De Na Koi Tasalliyan,

Chali Aisi Dard Ki Aandhiyan Mere Dilki Basti Ujad Gayi,
Ye Jo Raakh Si Hai Bujhi Bujhi Hai Isi Mein Meri Nishaniya,

Ye Fiza Jo Gard-O-Gubaar Hai Meri Bekasi Ka Mazar Hai,
Main Wo Phool Hoon Jo Na Khil Saka, Meri Zindagi Mein Wafa Kahan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #799 on: March 16, 2007, 07:18:53 PM »

Ye Kya Jagah Hai Doston Ye Kaunsa Dayar Hai,
Had-E-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai,

Ye Kis Mukaam Par Hayat Mujhko Leke Aa Gayi,
Na Bas Khushi Pe Hai Jahan Na Gam Pe Ikhtiyar Hai,

Tamam Umr Ka Hisab Mangti Hai Zindagi,
Ye Mera Dil Kahe To Kya Ye Khud Se Sharmsaar Hai,

Bula Raha Kya Koi Chilamno Ke Us Taraf,
Mere Liye Bhi Kya Koi Udaas Bekarar Hai,

Na Jiski Shakal Hai Koi Na Jsika Naam Hai Koi,
Ek Aisi Sheh Ka Kyon Hamein Azal Se Intezar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #800 on: March 16, 2007, 07:25:57 PM »

Payaam Aaye Hai Us Yaar-E-Bewafa Ka Mujhe,
Jise Qarar Na Aya Kahin Bhool Ke Mujhe,

Nashe Se Kahoon To Nahi Yaad-E-Yaar Ka Aalam,
Ke Le Uda Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe,

Judaiyan Ho To Aisi Ke Umr Bhar Na Mile,
Fareb To Do Zara Silsile Bada Ke Mujhe,

Main Khudko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale,
Udaas Chhod Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #801 on: March 16, 2007, 07:29:21 PM »

Meri Aankh Ko Aansu Denewale,
Meri Saans Ko Hulchul Denewale,

Ye To Bata Inhe Puchhun Kaise,
Ye To Bata Inhe Rokun Kaise,

Jo Ye Chalti Hai To Lagta Hai Tu Aas Paas Hi Baitha Hai,
Jo Ye Behte Hai To Lagta Hai Tera Anchal Mere Hathon Mein,

Tere Haath Ki LaQeerein Jo Mujhse Baaghi Dikhti Hai,
Jee Karta Hai Rukh De Dun Sabko Apni Raahon Mein,

Chahat Ki Is Baazi Mein Kyon Hara Hara Rehta Hoon,
Jee Karta Hai De Dun Khudko Teri Raahon Mein,

Raat Ke Kisi Sannate Mein Jo Aati Tu Meri Aankhon Mein,
Teri Aankh Se Main Dekhta Hoon Ye Duniya Achhi Lagti Hai,

Phir Rona Achha Lagta Hai,
Aur Hasna Achha Lagta Hai,

Yaad Karta Jab Un Lamhon Ko Jab Tu Mujhse NazdeeQ Hoti Thi,
Tere Badan Ki Wo Mehek Jo Mujh Mein Bas Jaya Karti Thi,

Raat Ko Tanhayi Mein Us Mein Kho Jaya Karta Tha,

Tujhko Zahir Karta Tha,
Aur Khud Ko Baatein Karta Tha,

Phir Tujhse Baatein Karta Tha,
Aur Tujhko Chaha Karta Tha,

Sard Hawa Ke Jhonke Se Aankh Khuli To Dekha Kya,
Main Yunhi Tanha Leta Hoon Aur Chand Se Baatein Karta Hoon,

Bahar Ka Ek Patta Hoon Jo Khizaan Mein Aakar Thehra Hoon,
Main Ab Bhi Yunhi Tanha Hoon Jaise Tanha Rehta Hoon,

Khol Ke Saare Darwaze Main Chokhat Par Yun Baitha Hoon,
Ke Zamane Ke Sataye Tum Jab Tanha Ho Jaoge,

Tum Laut Kar Wapis Yahan Aaoge,
To Main IstaQbaal Par Baitha Hoon,

Tum Kab Wapas Aaoge,
Tum Kab Wapas Aaoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #802 on: March 16, 2007, 07:30:50 PM »

Dilki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hai,
Humne Suna Tha Is Basti Mein Dilwale Bhi Rehte Hai,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli,
Lekin Is Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behte Hai,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hai,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liye Badnaam Hue,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehte Hai,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Us Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #803 on: March 16, 2007, 07:34:06 PM »

Dukh Fasan Nahi Ke Tujhse Kahein,
Dil Bhi Mana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Aaj Tak Apni Behaali Ka Sabab,
Khud Bhi Jaana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Ek Tu Harf-Aashna Tha Magar,
Ab Zamana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Betarah Dil Hai Aur Tujhse,
Dostana Nahi Ke Tujhse Kahe,

Aye Khuda Dard-E-Dil Hai Bakhashish-E-Dost,
Aab-O-Dana Nahi Ke Tujhse Kahein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #804 on: March 16, 2007, 07:36:26 PM »

Pyaare Lamhe Aayenge Aur Majboori Mit Jayegi,
Hum Dono Mil Jayenge Sab Doori Mit Jayegi,
Hardam Behne Wali Aankhonki Mala Bhi Toot Jayegi,
Teri Mari Hasti Is Bairi Badan Se Chhutegi,

Lekin Ye Sab Baatein Hai Apne Jee Ke Behlane Ki,
Dukh Ki Raat Mein Dhire Dhire Dilka Dard Mitane Ki,
Rote Rote Hanste Hanste Rukte Rukte Gaane Ki,

Sukh Ka Sapna Sukha Hai Aur Sukha Hi Reh Jayega,
Sooni Sej Se Prem Kahani Premi Yun Keh Jayega,
Rote Rote Saara Jeevan Aankhon Se Beh Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #805 on: March 16, 2007, 07:39:45 PM »

Har Kisika Dil Dukhana Achha Nahi Lagta,
Har Kisi Se IshQ Jatana Achha Nahi Lagta,
Khaas Insaan Ko Diya Jaata Hai Dil,
Har Kisise Dil Lagana Achha Nahi Lagta,
Humne Bhi Mohabbat Ki Hai,
Magar Usko Dil Ka Haal Batane Ka Mauka Nahi Milta,
Kya Pata Wo Humse Mohabbat Karte Hai,
Iska Mujhe Andaza Nahi Hota,
Iski Baaton Se?
Iske Isharo Se Mohabbat Tapakti Hai,
Lekin Isko Zuban Se Izhar Karne Ka Mauka Nahi Milta,
Kash Wo Din Bhi Aaye,
Wo Izhaar Kare IQraar Kare,
Isse Achha Din Koi Aur Ho Nahi Sakta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #806 on: March 16, 2007, 07:44:01 PM »

Mere Naseeb Ne Jab Mujhse InteQaam Liya,
Kahan Kahan Teri Yaadon Ne Hath Thaam Liya,

Faza Ki Aankh Bhar Aayi Hawa Ka Rang Uda,
Sukoot-E-Shaam Ne Chupke Se Tera Naam Liya,

Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera Salaam Liya,

Har Ek Khushi Mein Tere Gam Ki Aabroo Rakha Li,
Har Khushi Se Tere Gam Ne InteQaam Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #807 on: March 16, 2007, 07:46:26 PM »

Meri Tanhaiyan Tum Hi Laga Lo Mujhko Seene Se,
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se,

Ye Aadhi Raat Ko Phir Chudiyan Se Kya Khanakti Hai,
Koi Aata Hai Ke Meri Zanjeerein Chhanakti Hai,
Ye Baatein Kis Tarah Main Puchhun Sawan Ke Mahine Se,
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se,

Bahut Lambi Hai Raahein Pyaari Ki Aur Zindagi Kam Hai,
Ghata Bhi Ghir Aayi Hai Diye Ki Lau Bhi Maddham Hai,
Kinara Door Hota Jaa Raha Hai Phir Safeene Se,
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se,

Mujhe Peene Do Apne Hi Lahoo Ka Jaam Peene Do,
Na Seene Do Kisiko Bhi Mera Daman Na Seene Do,
Meri Wehshat Na Badh Jaye Kahin Daaman Ke Seene Se,
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #808 on: March 16, 2007, 07:51:54 PM »

Meri Zuban Se Meri Dastan Suno To Sahi,
YaQeen Karo Na Karo Meherbaan Suno To Sahi,

Chalo Ye Maan Liya Mujrim-E-Mohabbat Hai,
Hamare Jurm Ka Humse Bayaan Suno To Sahi,

Banoge Dost Mere Tum Bhi Dushmano Ek Din,
Mere Hayat Ki Aah-O-Fugaan Suno To Sahi,

Labon Ko See Ke Jo Baithe Hai Bazm-E-Duniya Mein,
Kabhi To Unki Bhikhamoshiyan Suno To Sahi,

Kahoge WaQt Ko Mujrim Bhari Baharon Mein,
Jala Tha Kaise Mera Aashiyana Suno To Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #809 on: March 16, 2007, 07:55:05 PM »

Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

TariQeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 50 51 52 53 [54] 55 56 57 58 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 04:25:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer