Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 51 52 53 54 [55] 56 57 58 59 ... 273
Print
Author  (Read 132942 times)
angel4u
Guest
«Reply #810 on: March 17, 2007, 06:46:28 PM »

Tumse Kabhi Kuchh Kehne Ki Himmat Na Hui,
Tum Ko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui,
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi,
Hamesha,
Par Tumse Izhaar Karneki Kabhi Ulfat Na Hui,
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai,
Par Tumko Kabhi Meri Aankhon Mein Dekhneki Fursat Na Hui,
Mere Pyaar Ka Mazaak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya,
Par Mere Aansuon Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #811 on: March 17, 2007, 06:48:17 PM »
Aye IshQ Na Chhed Aa Aa Ke Hamein,
Hum Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai Hum,
Tu Aur Hamein Nashaad Na Kar,
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch,
Ye Taaza Sitam Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jis Dinse Mile Hai Dono Ka
Sab Chain Gaya Aaram Gaya,
Chehron Se Bahar-E-Subah Gayi,
Aankhon Se Farog-E-Shaam Gaya,
Hathonse Khushi Ka Jaam Chhuta,
Hothonse Hansi Ka Naam Gaya,
Gamgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Raaton Ko Uth Uth Rote Hai,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hai,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye IshQ Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hai Na Zaalim Marte Hai,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ye Rog Laga Hai Jab Se Hamein,
Ranjeeda Hun Main Beemar Hai Wo,
Har WaQt Tapish Har WaQt Khalish,
Be-Khwaab Hun Main Bedaar Hai Wo,
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main,
Maranbe Pe Udhar Taiyar Hai Wo,
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Bedard Zara Insaaf To Kar,
Is Umr Mein Aur Magmoon Hai Wo,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah Masoom Hai Wo,
Ye Husn Sitam Ye Ranj Gazab,
Majboor Hoon Main Mazlum Hai Wo,
Mazlum Pe Yun Bedaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aye IshQ Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen Badnaam Na Ho,
Wo Maah-E-LaQaa Badnaam Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho,
Naamuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen Badnaam Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ummid Ki Jhuthi Jannat Ki,
Reh Reh Ke Na Dikha Khwab Hamein,
Aayinda Ke Farzi Ishrat Ke,
Waade Se Na Kar Betaab Hamein,
Kehata Hai Zamana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar Kaamyab Hamein,
Chhod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Do Din Hi Mein Ahad-E-Tifali Ke
Masoom Zamane Bhul Gaye,
Aankhon Se Wo Khushiyaan Mit Si Gayi,
Lab Ke Wo Tarane Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon Ke,
Dilchasp Fasane Bhool Gaye,
Un Khwabon Se Yun Azaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aankhon Ko Ye Kya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pe Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fugaan Par Ro Dena,
Parbat Ki Sada Par Ro Dena,
Mutrib Ke Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko Gam Buniyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jee Chahta Hai Ek Dusre Ko
Yun Aath Peher Hum Karein,
Aankhon Mein Basaye Khwabon Ko,
Aur Dilko Khayal Abaad Karein,
Khilvat Mein Bhi Jo Jalvat Ka Samaan,
Wahadat Ko Dui Se Shaad Karein,
Ye Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Wo Raaz Hai Ye Gam Aah Jise,
Paa Jaye Koi To Khair Nahi,
Aankhonse Jab Aansu Behte Hai,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
Zaalim Hai Ye Duniya Dilko
Yahan Bhaa Jaye Koi Khair Nahi,
Hai Zulm Magar Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Duniya Ka Tamasha Dekh Liya,
Gamgeen Si Hai Betaab Si Hai,
Ummid Yahan Ek Waham Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka Naam Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #812 on: March 17, 2007, 06:51:11 PM »
Ye Bhi Nahi Beemar Na The,
Itne Junoon Aasaar Na The,

Logonka Kya Zikr Karein,
Hum Bhi Kam Ayaar Na The,

Ghar Mein Aur Bahut Kuch Tha,
Sirf Dar-O-Deewar Na The,

Sab Par Hansa Sheva Tha,
Jab Tak Khud Us Par Na The,

Teri Khabar Mil Jaati Thi,
Sheher Mein Jab Akbaar Na The,

Pehle Bhi Sab Kuch Bikta Tha,
Khwabon Ke Bazaar Na The,

Maut Ki Baatein Pyaari Thi,
Marne Ko Taiyaar Na The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #813 on: March 17, 2007, 06:52:47 PM »
Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein,
Kya Kya Na Aks Tair Rahe The Sharab Mein,

Kab Se Hai Ek Harf Pe Nazrein Jami Hui,
Wo Padh Raha Hon Jo Nahi Likha Kitaab Mein,

Phir Tareeki Ki Khwaab Se Chaunka Hai Rasta,
Phir Roshni Se Door Gayi Hai Shabab Mein,

Paani Nahi Ke Apne Hi Chehre Ko Dekh Lun,
Manzar Zameen Ke Dhundta Hoon Mehtaab Mein,

Kab Tak Rahega Rooh Pe Pairhaan-E-Badan,
Kab Tak Hawa Aeer Rahegi Hubaab Mein,

Jeene Ke Sath Maut Ka Dar Hai Laga Hua,
Khooshki Dikhayi Di Hai Samundar Ko Khwab Mein,

Ek Yaad Hai Ke Chheen Rahi Hai Labon Se Jaam,
Ek Aks Hai Ke Kaanp Raha Hai Sharab Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #814 on: March 17, 2007, 06:55:32 PM »

Awara Hai Galiyon Mein Main Aur Meri Tanhayi,
Jayein To Kahan Jayein Har Mod Pe Ruswayi,
Main Aur Meri Tanhayi,

Ye Phool Se Chehre Hai Haste Hue Guldaste,
Koi Bhi Nahi Apna Begane Hai Sab Raaste,
Main Aur Meri Tanhayi,

Armaan Sulagte Hai Seene Mein Chita Jaise,
Qatil Nazar Aati Hai Duniya Ki Hawe Jaise,
Roti Hai Mere Dil Par Bajti Hui Shehnayi,
Main Aur Meri Tanhayi,

Har Rang Mein Ye Duniay Sau Rang Badalti Hai,
Ro Kar Kabhi Hansti Hai Hans Kar Kabhi Gaati Hai,
Ye Pyar Ki Baahein Hai Ya Maut Ki Angdayi,
Main Aur Meri Tanhayi,

Aakash Ke Maathe Par Taaron Ka Charaghaan Hai,
Pehloo Mein Mere Magar Mere Zakhmon Ka Gulistaan Hai,
Aankhonse Lahoo Tapakta Daman Mein Bahar Aayi,
Main Aur Meri Tanhayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #815 on: March 17, 2007, 07:01:19 PM »
Kabhi Sher-O-Nagma Bunke, Kabhi Aansu Mein Dhalke,
Tum Mile To Mujhko Lekin Soorat Badal Ke,

Jalte Gharon Ki Roshni Sehraon Ko Jagmaga Chuki,
Tu Jala Wo Diya Aye Dil Jo Bujhe Kabhi Na Jal Ke,

Ye Wafa Ki Sakht Raahein Ye Tumhare Paanv Nazuk,
Na Lo InteQaam Mujhse Mere Saath Saath Chalke...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #816 on: March 17, 2007, 07:04:03 PM »

Maroon To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun,
Nadeem Kaash Yehi Ek Kaam Kar Jaun,

Ye Dasht-E-Tark-E-Mohabbat Ye Tere Qurb Ki Pyaas,
Jo Izaan Ho To Teri Yaad Se Guzar Jaun,

Mera Wajood Meri Rooh Ko Pukarta Hai,
Teri Taraf Chlaun To Theher Theher Jaun,

Tere Jamal Ka Saya Hai Sab Haseeno Par,
Kahan Kahan Tujhe Dhundoon Kidhar Kidhar Jaun,

Main Zinda Tha Ke Tera Intezar Khatam Na Ho,
Jo Tu Mila Hai To Ab Sochta Hoon Mar Jaun,

Ye Sochta Hoon Ke Main But-Parast Kyon Na Hua,
Tujhe Kareeb Jo Paun To Khud Se Dar Jaun,

Kisi Chaman Mein Bas Is Khauf Se Guzar Na Hua,
Kisi Kali Pe Na Bhoole Se Paanv Dhar Jaun,

Ye Jee Mein Ati Hai TakhleeQ-E-Fun Ke Lamhon Mein,
Ke Khoon Bunke Rang-E-Sung Mein Utar Jaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #817 on: March 17, 2007, 07:06:32 PM »

Kisko Qatil Mein Kahun Kisko Maseeha Samjhun,
Sab Yahan Dost Hi Baithe Hai Kise Kya Samjhun,

Wo Bhi Kya Din The Ke Har Wahem Yakeen Hota Tha,
Ab HaQeeQat Nazar Aaye To Use Kya Samjhun,

Dil Jo Toota To Kayi Haath Dua Ko Uthe,
Aise Mahol Mein Ab Kisko Paraya Samjhun,

Zulm Ye Hai Ke Hai YaQta Teri Beganaravi,
Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apna Samjhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #818 on: March 17, 2007, 07:08:13 PM »

Jab Tera HuQm Mila Tark Mohabbat Kar Di,
Dil Magar Is Pe Wo Darka Ke Qayamat Kar Di,

Tujhse Kis Tarah Main Izhaar-E-Tamanna Karta,
Lafz Soojha To Maani Ne Bagawat Kar Di,

Main To Samjha Tha Ke Laut Aate Hai Jaane Wale,
Tune Jaa Kar To Judayi Meri Kismat Kar Di,

Mujhko Dushman Ke Iradon Pe Bhi Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Mohabbat Meri Aadat Kar Di,

Puchh Baitha Hoon Main Tujhse Tere Kooche Ka Pata,
Teri Halat Ne Kaisi Teri Soorat Kar Di...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #819 on: March 17, 2007, 07:10:00 PM »
Aaj AshQon Ka Taar Toot Gaya,
Rishta-E-Intezaar Toot Gaya,

Yun To Thukra Ke Chal Diye Goya,
Ek Khilona Tha Pyaar Toot Gaya,

Roye Reh Reh Kar Hichkiyaan Lekar,
Saaz-E-Gam Baar Baar Toot Gaya,

Aap Ki Berukhi Ka Shikwa Kya,
Dil Tha Na-Paidaar Toot Gaya,

Dekh Li Dil Ne Besabati-E-Gul,
Phir Tilism-E-Bahar Toot Gaya,

Kya Chaar Dinki Ranjish Se,
Itni Muddat Ka Pyaar Toot Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #820 on: March 17, 2007, 07:14:43 PM »

Isse Pehle Ke Teri Chashm-E-Karam Maazarat Ki Nigah Ban Jaye,
Pyaar Dhal Jaye Mere AshQon Mein Aarzu Ek Aah Ban Jaye,
Mujhpe Aa Jaye IshQ Ka Ilzaam Aur Tu Begunah Ban Jaye,
Main Tera Shaher Chhod Jaunga,

Isse Pehle Ki Saadgi Teri Lab Khamosh Ko Gila Keh De,
Teri Majbooriyan Na Dekh Sake Aur Dil Tujhko Bewafa Keh De,
Jaane Main Bekhudi Mein Kya Puchun, Jaane Tu Berukhi Se Kya Keh De,
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga,

Isse Pehle Ke Tere Hothon Se Gair Hothon Ke Jaam Takraye,
Isse Pehle Ke Zulf Ke Baadal Ajnabi Baazuon Pe Lehraye,
Aur Teri Bebasi Ke Nazare Meri Aankhon Pe Aag Barsaye,
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga,

Chhod Kar Sahil-E-Hayaat Chala Ab Safeena Mera Kahin Thehre,
Zeher Peena Mera MuQaddar Hai Aru Tere Honth Dilnashin Thehre,
Kis Tarah Tere Aastan Pe Rukun Jab Na Paanv Tale Zameen Thehre,
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga,

Mujhko Itna Zaroor Kehna Hai WaQt-E-Rukhsat Salaam Se Pehle,
Tod Lun Rishta-E-Nazar Main Bhi Tu Utar Aaye Baam Se Pehle,
Ye Meri Jaan Mera Wada Hai Kal Kisi WaQt Shaam Se Pehle,
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga...
* * * * *
Logged
Roja
Guest
«Reply #821 on: March 18, 2007, 03:14:18 AM »
Superb collections you have angel
Thanks for sharing.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #822 on: March 18, 2007, 05:00:33 PM »
Thanks Roja for liking Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #823 on: March 18, 2007, 05:05:02 PM »
Yehi Nahi Ke FaQat Hum Hi Iztaraab Mein Hai,
Hamare Bhoolne Wale Bhi Is Azaab Mein Hai,

Isi Khayal Se Har Shaam Jald Neend Aaye,
Ke Hum Se Bichhde Hue Log Sheher-E-Khwaab Mein Hai,

Azeez Kyon Na Ho Maazi Ka Har WaraQ Humko,
Ke Chand Sookhe Hue Phool Is Kitaab Mein Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #824 on: March 18, 2007, 05:06:36 PM »

Nazar Nazar Se Haal-E-Dil Ka Pata Chalta Hai,
Aap Humpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai,

Shama Ke Baad Ye Parwana Kahan Jalta Hai,
Aap Humpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai,

Ye Sach Hai Raaz-E-Dil Bhi Kahan Chhupta Hai,
Aap Humpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 51 52 53 54 [55] 56 57 58 59 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 06, 2025, 12:18:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer