Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 52 53 54 55 [56] 57 58 59 60 ... 273
Print
Author  (Read 132945 times)
angel4u
Guest
«Reply #825 on: March 18, 2007, 05:07:57 PM »

Shakki Hai Wo Magar Usko Nahi Karne Ki Aadat Hai,
Main Saahil Hoon Magar Mujhko YaQeen Karne Ki Aadat Hai,

Use Bhi Sar Bulandi Par Hamesha Naaz Rehta Hai,
Hamein Bhi Aasmano Ko Zameen Karne Ki Aadat Hai,

Suna Hai Khanjar Ki Lahoo Se Pyaas Bujhti Hai,
Hamein Bhi Khoon Surf-E-Asteen Karne Ki Aadat Hai,

Tumhara Kaam Hai Shehron Ko Sehra Mein Badal Dena,
Hamein Banjar Zameenon Ko Haseen Karne Ki Aadat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #826 on: March 18, 2007, 05:09:30 PM »

Aaj Usne Kaha Tum Mera Intezar Kyon Karte Ho?
Sab Jaante Hue Phir Bhi Usne Yeh Sawal Kiya Hai,
Aaj Uske Is Sawal Ne Mujhe Bataya,
Ke Abhi Aitbaar Ka Wo Lamha Nahi Aaya Hai,
Meri Sachi Baatein Abhi Bhi Use Jhooth Lagti Hai,
Meri Har Ek Baat Usko Ek Bahana Lagti Hai,
In Sab Baaton Ke Bawajood,
Mujhe Apne Jazbon Ki Sachaiyon Ka YaQeen Hai,
Ek Na Ek Din Wasi Usko YaQeen Aa Hi Jayega,
Meri Zindagi Mein Na Sahi Meri Maut Ke Baad Hi Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #827 on: March 18, 2007, 05:11:28 PM »

Mere Bagair Bhi Tum Jeena Hansi Khushi Se,
Padta Hi FarQ Kya Hai Ek Shakhs Ki Kami Se,

Barbadiyon Mein Apni Bas Dosh Hai Hamara,
Tohmat Nahi Kisi Par, Shikwa Nahi Kisise,

Hai Saans Ab To Bhaari, Jeena Bhi Ek Khwaari,
Yaa Rab Mujhe Utha Le, Hoon Tang Zindagi Se,

Ye Aayine Mein Jaane Hai Kaun Jhab Dikhata,
Kyon Guftugu Karta Hoon Main Ek Ajnabi Se,

Deewangi Ki Mujh Par Tohmat Hai Jo Galat Hai,
Ruswa Hui Hoon Main To Apni Jugnoo-Gari Se,

Shagufta Baat Meri Pallooo Mein Baandh Lena,
Ummid Mat Lagana Ab Tum Kabhi Kisi Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #828 on: March 18, 2007, 05:13:45 PM »

Puchh Na Mujhse Dilke Fasane,
IshQ Ki Baatein IshQ Hi Jaane,

Wo Din Jab Hum Unse Mile The,
Dil Ke Naazuk Phool Khile,
Masti Aankhein Choom Rahi Thi,
Saari Duniya Jhoom Rahi,
Do Dil The Wo Bhi Deewane,

Wo Din Jab Hum Door Hue The,
Dil Ke Sheeshe Choor Hue The,
Aye Khizaan Rangeen Chaman Mein,
Aag Lagi Jab Dil Ke Ban Mein,
Aaya Na Koi Aag Bujhane...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #829 on: March 18, 2007, 05:15:41 PM »
Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga,
Ek Din Aayega Wo Shakhs Hamara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Ke Mera Naam Shaamil Na Karna,
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi,
Kis Tarah Uske Bagair Apna Guzara Hoga,

Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jaata Hai,
Dilne Chupke Se Tera Naam Pukara Hoga,

IshQ Karna Hai To Din Raat Use Sochna Hai,
Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,

Ye Jo Paani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Garoor,
Usne Dariya Mein Kahin Paanv Utara Hoga,

Kaun Rota Hai Yaahn Raat Ke Sannaton Mein,
Mere Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Hoga,

Mujhko Malum Hai Joonhi Main Qadam Rakhunga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Mein Badal Se Garajte Hai,
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Hoga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Usko,
Mera Maula Ka Joonhi Ishara Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #830 on: March 18, 2007, 05:18:49 PM »

Kyon Hamein Maut Ka Paigam Diye Jaate Hai,
Ye Saza Kam Hai Ke Jeeye Jaate Hai,

Nasha Dono Mein Hai Saaki Mujhe Gam De Ya Sharab,
May Bhi Pee Jaati Hai Ansoo Bhi Piye Jaate Hai,

Ek Tu Hai Ke Hamari Nahi Tujhko Parwah,
Ek Hum Hai Ke Tera Naam Liye Jaate Hai,

Zindagi Apni Kashmakash Mein Guzarti Hai,
Jee Nahi Chahta Jine Ko Jiye Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #831 on: March 18, 2007, 05:21:21 PM »

Kya Sarokaar Ab Kisise Mujhe,
Waasta Tha To Tha Tujhi Se Mujhe,

Behisi Ka Bhi Ab Nahi Ehsaas,
Kya Hua Teri Berukhi Se Mujhe,

Maut Ki Aarzu Bhi Kar Dekhun,
Kya Ummidein Thi Zindagi Se Mujhe,

Phir Kisi Par Na Aitbaar Aaye,
Yun Utaro Na Apne Jee Se Mujhe,

Tere Tham Bhi Na Ho To Kya Jeena,
Kuch Tasalli Hai Dard Hi Se Mujhe,

Kar Gaye Kis Kadar Tanha,
Dushman, Andaaz-E-Dosti Se Mujhe...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #832 on: March 18, 2007, 05:50:08 PM »
very  sharing  Husena..........
Logged
angel4u
Guest
«Reply #833 on: March 18, 2007, 08:05:49 PM »
Thanks Waheed...


Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega,
Khwab Mein Bhi Uska Ilna Khwab Sa Ho Jayega,

Zindagi Thi Qaid Hamein Kya Nikaloge Usse,
Maut Jab Aayegi To Khud Riha Ho Jayega,

Dost Bankar Usko Chhaha, Ye Kabhi Socha Na Tha,
Dosti Hi Dosti Mein Wo Khuda Ho Jayega,

Uska Jalwa Hoga Kya Jiska Parda Noor Hai,
Jo Bhi Usko Dekh Lega Wo Fida Ho Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #834 on: March 18, 2007, 08:08:28 PM »

Yun Na Mil Mujhse Khafa Ho Jaise,
Saath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise,

Log Yun Dekhkar Hans Dete Hai,
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise,

IshQ Ko Shart Ki Had Tak Na Badha,
Yun Na Mil Humse Khuda Ho Jaise,

Maut Bhi Aayi To Is Naaz Ke Sath,
Mujhpe Ehsaan Kiya Ho Jaise,

Hichkiyaan Raat Ko Aati Hi Rahi,
Tune Phir Yaad Kiya Ho Jaise,

Zindagi Bhi Rahi Hai Danish,
Ek Bejurm Saza Ho Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #835 on: March 18, 2007, 08:11:59 PM »

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun,
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

Tum Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali,
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #836 on: March 18, 2007, 08:16:16 PM »
Raah Aasaan Ho Gayi Hogi,
Jaan Pehchan Ho Gayi Hogi,

Phir Palat Kar Nigaah Nahi Aayi,
Tujhpe Qurbaan Ho Gayi Hogi,

Teri Zulfon Ko Chhedti Hai Saba,
Khud Pareshan Ho Gayi Hogi,

Maut Se Tere Dard Mandon Ki,
Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi,

Unse Bhi Chhin Loge Yaad Apni,
Jinka Imaan Ho Gayi Hogi,

Dil Ki Takeen Puchhte Hai Aap,
Haan Meri Jaan Ho Gayi Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #837 on: March 18, 2007, 08:19:06 PM »

Mujhko Mara Haihar Ek Dard-O-Dua Se Pehle,
Di Saza IshQ Ne Har Jurm-O-Khata Se Pehle,

Aatish-E-IshQ Bikharti Hai Hawa Se Pehle,
Honth Jalte Hai Mohabbat Mein Dua Se Pehle,

Ab Kami Kya Hai Tere Be-Sar-O-Samanon Ko,
Kuchh Na Tha Teri Kasam Tark-O-Fana Se Pehle,

Khud-Ba-Khud Chaak Hue Pairahaan-E-Lala-O-Gul,
Chal Gayi Kaan Hava Baad-E-Saba Se Pehle,

Maut Ke Naam Se Darte The ShauQ-E-Hayat,
Tune Maar Hi Dala Tha Qaza Se Pehle,

Galat-E-Hasti-E-Fani Ki Bata Degi Tujhe,
Jo Mera Haal Tha Ehsaas-E-Efana Se Pehle,

Hum Unhe Paake Aur Bhi Kuch Kho Gaye,
Ye TaQalluf To Na Tha Ehd-E-Wafa Se Pehle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #838 on: March 18, 2007, 08:21:19 PM »

Angdayi Pe Angdayi Leti Hai Raat Judayi Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhayi Ki,

Kaun Siyaahi Ghol Raha Tha WaQt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjayi Ki,

Wasl Ki Raat Na Jaane Kyon Israar Tha Unko Jaane Par,
WaQt Se Pehle Doob Gaye Taaron Ne Badi Danayi Ki,

Udte Udte Aas Ka Panchhi Door UfaQ Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayi Aawaz Kisi Saudayi Ki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #839 on: March 18, 2007, 08:25:21 PM »

Maine Puchha Pehla Pathar Mujh Par Kaun Uthayega,
Aayi Ek Awaz Ke Tu Jiska Mohsin Kehlayega,

Puchh Sake To Puchhe Koi Rooth Ke Jane Walon Se,
Roshniyon Ko Mere Ghar Ka Rasta Kaun Batayega,

Logon Mere Sath Chalo Tum Jo Kuch Hai Wo Aage Hai,
Pichhe Mud Kar Dekhne Wala Pathar Ka Ho Jayega,

Din Mein Hans Kar Milne Wale Saaf Batate Hai,
Ek Bhayanak Sapna Mujhko Saari Raat Darayega,

Mere Baad Wafa Ka Dhoka Aur Kisi Se Mat Karna,
Gaali Degi Duniya Tujhko Sar Mera Jhook Jayega,

Sookh Gayi Jab In Aankhon Mein Pyaar Ki Neeli Jheel,
Tere Dard Ka Zard Samundar Kahe Shor Machayega...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 52 53 54 55 [56] 57 58 59 60 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 06, 2025, 12:40:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer