Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 53 54 55 56 [57] 58 59 60 61 ... 273
Print
Author  (Read 131213 times)
angel4u
Guest
«Reply #840 on: March 18, 2007, 08:28:56 PM »
Mitti Ki Imarat Saya De Kar Mitti Mein Humwaar Hui,
Virani Se Ab Kaam Hai Aur Veerani Kis Ki Yaar Hui,

Dar Dar Ke Qadam Yun Rakhta Hoon Khwabon Ki Sharay Mein,
Ye Reg Abhi Zanjeer Bani Ye Chhanv Abhi Deewar Hui,

Har Patti Bojhil Ho Ke Giri Sab Shaakein Jhook Kar Toot Gayi,
Us Baarish Hi Se Fasal Ujdi Jis Baarish Se Taiyyar Hui,

Ab Ye Bhi Nahi Hai Bas Mein Ke Hum Phoolon Ki Dagar Par Laut Chalein,
Jis Raah-Guzar Par Chalna Hai Wo Raah-Guzar Talvaar Hui,

Chhuti Hai Zara Jab Tan Ko Hawa Chubhte Hai Ragon Mein Kaante Se,
So Baar Khizayein Aayi Hongi Mehsoos Magar Is Baar Hui,

Wo Naale Hai Betabi Ke Chikh Uthta Hai Sannata Bhi,
Ye Dar Ki Shab Malum Nahi Kab Tak Ke Liye Bedaar Hui,

Likhi Hai Shikastein Itni Jahan MaQtal Mein Wahan Ye Bhi Likh Do,
Kitni Shaam-Sheeree Toot Gayi Kitne Dushmano Ki Haar Hui,

Ab Gair Hawa Kitni Hi Chale Ab Garm Fiza Kitni Hi Rahe,
Seene Ka Zakhm Charag Bana Daman Ki Aag Bahar Hui...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #841 on: March 18, 2007, 08:32:07 PM »



Dard Jab Tera Tohfa Hai To Gila Kisse Karein,
Hijr Jab Tune Diya Hai To Gila Kisse Karein,

AQs Bikhra Hai Tera Toot Ke Aayine Mein,
Ho Gayi Nam Nazar AQs Liya Kisse Karein,

Main Safar Mein Hoon Mere Sath Judayi Teri,
Hum Safar Gam Hai To Phir Tera Pata Kisse Karein,

Khil Uthe Gul Ya Khile Dast-E-Hinayi Tere,
Har Taraf Tu Hai To Phir Tera Pata Kisse Karein,

Tere Lab, Teri Nigahein Tere Ariz Teri Zulf,
Itne Zindaan Hai To Is Dilko Riha Kisse Karein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #842 on: March 18, 2007, 08:37:27 PM »
Apne Hue Paraye Zamane Guzar Gaye,
Dil Par Ye Chot Khaye Zamane Guzar Gaye,

Wo Bhi Bichhad Ke Chain Se Soya Nahi Kabhi
Humko Bhi Neend Aaye Zamane Guzar Gaye,

Fursat Agar Mile To Kabhi Mere Ghar Bhi Aa,
Raste Ko Ghar Bane Zamane Guzar Gaye,

Sar Pe Meri Dhari Hai Tere Gam Ki Ghatraiyan,
Aur Bojh Ye Uthaye Zamane Guzar Gaye,

Wo Jo Kisi Ke Pyaar Mein Kho Kar Hi Reh Gayi,
Humko Bhi Hosh Aaye Zamane Guzar Gaye,

Kitne Hi Dukh Hai Jo Kabhi Keh Nahi Saka,
Is Dukh Ko Bhi Chhupaye Zamane Guzar Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #843 on: March 18, 2007, 08:39:58 PM »
Agar Na Hota Main Mohabbat Ke Manoon Se WaQaf,
To Khud Se Bhar Kar Na Kisi Aur Ko Chaha Hota,

Mar Jata Tum Bin Aye Bewafa,
Gar Tanhaiyonko Apna Humsafar Na Banaya Hota,

Chahat Ki Tamam Hadon Se Bhar Kar Usko Chaha,
Pachhtata Hoon Wapsi Ka Koi Rasta Hi Banaya Hota,

Dere Daal Liye Hai Kyon Tune Bewafa Ke Astane Pe,
Shahid Koi To Apna Bhi Tune Aashiyana Banaya Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #844 on: March 18, 2007, 08:43:29 PM »
Ye Mere Zehen Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do,
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mita Do Humdam,
Raat Taare Nahi Angare Liye Aati Hai,
In Baraste Hue Sholon Ko Bujha Do Humdam,
Dilki Dhadkan Ko Sula Jao Bahut Tanha Hoon,

Andheri Raat Mein Jab Chand Khilne Lagta Hai,
Tumhare Pyar Ka Deepak Jala Ke Rota Hoon,
Tumhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai,
Main In Chiragon Ko Khud Hi Bujha Ke Rota Hoon,
Zindagi Aisi Mita Jao Bahut Tanha Hoon,

Sochte Sochte Jab Soch Mar Jaati Hai,
WaQt Ke Kadmon Ki Aahat Ko Suna Karta Hoon,
AshQ Hai Aahon Ka Dhuwan Uthta Hai,
Raatbhar Yun Hi Tadapta Hoon Jala Karta Hoon,
Baar-E-Gam Kuch To Ghata Jao Bahut Tanha Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #845 on: March 18, 2007, 08:46:39 PM »

Dil Jo Hamara Le Gaya, Tha Koi Ajnabi,
Ek Sahara Sa De Gaya, Tha Koi Ajnabi,

Rukhsat Kiya Hume Usne, Itni Berukhi Se,
Aur Shikwa Sa De Gaya, Tha Koi Ajnabi,

Zindagi Hai Chhoti Aru Raaste Hai Lambe,
Tanha Jo Chhod Gaya, Tha Koi Ajnabi,

Gam Nahi Hai Zakhmon Ka Jo Apno Se Mile,
Jo Dil Tod Ke Gaya, Tha Koi Ajnabi,

Aankhein Jo Dhundti Hai Wo Tasveer Nahi Koi,
Jo Khwaabon Mein Chha Gaya, Tha Koi Ajnabi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #846 on: March 18, 2007, 08:48:55 PM »

Aye Zindagi, Ek Baar To Nazdeek Aa Tanhaiyon Mein,
Ya Phir Dur Se De Koi Sada Tanhaiyon Mein,
Duniya Ki Mehfil Mein Main Hoon Bhi Nahi,
Ek Umar Se Isi Soch Mein Dooba Tanhaiyon Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #847 on: March 18, 2007, 08:52:17 PM »

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si,

Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsaat Si,

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Toofanon Mein Bhi Hai Raste,

Kabhi Manzilo Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Kadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,

Ye Zindagi Badi Ajeeb Hai,
Kabhi Har Pal Imtehaan Hai,
Kabhi Bin Maange Inaam Hai,

Kabhi Kuch Nahi,
Kabhi Sab Kuch Si,

Ye Zidnagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #848 on: March 18, 2007, 08:54:01 PM »

Koi Dhundla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Koi Bhatka Sa Ek Jugnoo Mere Khwabon Mein Rehta Hai,

Ek Manoos Si Awaz Mujhe Sone Nahi Deti,
Koi Uljha Sa Ek Jamela Meri Yaadon Mein Rehta Hai,

Hai Kiske Shabnami Aanchal Ki Khushbu Ab Talak Mujh Mein,
Koi Ehsaas Mehka Sa Meri Saanson Mein Rehta Hai,

Mujhe Khud Par Kaboo Na Main Kuch Bol Sakta Hoon,
Asar Ye Kiske Lafzon Ka Meri Baaton Mein Rehta Hai,

December Ki Khanak Raatein Mujhe Bechain Rakhti Hai,
Lams Ek Haath Ka Ab Tak Meri Sochon Mein Rehta Hai,

Hai Dil Ab Muztarib Ehsaas Be Sochon Ki Uljhan Bhi,
Ye Kiski Aankh Ka Anasu Meri Aankhon Mein Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #849 on: March 18, 2007, 08:55:59 PM »

Jinhe Chahta Hai Ye Dil Unka In Hathoki Lakeeron Mein Deedar Kyon Nahi Hota,
Jo Baste Hai Hamare Dil Mein Unhe Humse Pyaar Kyon Nahi Hota,

Dekha To Tha Unki Nazron Mein Bhi Pyar Humne,
Phir Kyon Kabhi Kisi Bhi Mulakat Ka Unpar Asar Nahi Hota,

Khudko Kho Kar Bhi Hum Kahan Paa Sake Unko,
Unki Tabiyat Mein Ranjish Ka Asar Kam Kyon Nahi Hota,

Ek Muddat Se Hum Doobe Hai Bas Unki Yaadon Mein,
Hamari Kisi Bhi Raah Se Unka Guzar Kyon Nahi Hota,

Kash Ke Unko Bana Sakte Hum TaQdeer Apni,
Par Jab Se Ruthe Hai Wo Ab Hamein Apne Naseeb Par Bhi Aitbar Kyon Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #850 on: March 18, 2007, 08:57:50 PM »

Kaati Hai Gam Ki Raat Bade Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ethamam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke Jaam Se,

Subah-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
Hum Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat Guzar Is Mukaam Se,

Kati Tamam Umr Fareb-E-Bahar Mein,
Kante Samette Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke Hum Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har Mukaam Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #851 on: March 18, 2007, 08:59:36 PM »

Har Kisi Yaad Ne Har Raat Bhar Hai Jagaya Mujhko,
Kya Saza Di Hai Mohabbat Ne Khuda Ya Mujhko,

Din Ke Armaan Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi,
Jaane Kis Khaak Se Qudrat Ne Banaya Mujhko,

Dukh To Ye Hai Ke Zamane Mein Mile Gair Sabhi,
Jo Mila Hai Wo Mila Mujhko Paraya Mujhko,

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Rone Ko,
Ghar Ki Deewaron Ne Seene Se Lagaya Mujhko,

Yun To Ummid-E-Wafa Tumse Nahi Hai Koi,
Phir Charagon Ki Tarah Kis Ne Jalaya Mujhko,

Bewafa Zindagi Ne Jab Chhod Diya Hai Tanha,
Maut Ne Pyar Se Pehloo Mein Bithaya Hai Mujhko,

Wo Diya Hoon Jo Mohabbat Ne Jalaya Tha Kabhi,
Gam Ki Aandhi Ne Sar-E-Shaam Bujhaya Mujhko,

Kaise Bhooloonga Wohi Wasl Ke Lamhe,
Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujhko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #852 on: March 19, 2007, 05:07:26 PM »
Tanhayi Ka Apni Nishaan Chhod Aaye,
WarQ Dar WarQ Dastan Chhod Aaye,

Har Ek Ajnabee Se Puchhte Hai,
Tujhe Zindagi Hum Kahan Chhod Aaye,

Wohi Log Jeene Ka Fan Jaante Hai,
Jo Ehsaas-E-Sood-O-Ziyaan Chhod Aaye,

Nikal Aaye Tanha Teri Rehguzar Par,
Bhatakne Ko Hum Karvan Chhod Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #853 on: March 19, 2007, 05:11:53 PM »

Ye Shab-E-FiraaQ Ye Bebasi Hai Qadam Qadam Pe Udaasiyan,
Mera Sath Koi Na De Saka Meri Hasratein Hai Dhuwan Dhuwan,

Main Tadap Tadap Ke Jiya To Kya Mere Khwab Mujhse Bichhad Gaye,
Main Udaas Ghar Ki Sada Sahi Mujhe De Na Koi Tasalliyaan,

Chali Aisi Dard Ki Aandhiyan Mere Dilki Basti Ujad Gayi,
Ye Jo Raakh Si Hai Bujhi Bujhi Isi Mein Meri Nishaaniya,

Ye Fiza Jo Gard-O-Gubaar Hai Meri Bekasi Ka Manzar Hai,
Main Wo Phool Hoon Jo Na Khil Saka Meri Zindagi Mein Wafa Kahan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #854 on: March 19, 2007, 05:12:59 PM »

Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai,
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai,

Din Bhi Chup Chap Sar Jhukaye Tha,
Raat Ki Nabz Thami Si Hai,

Kisko Samjhe Kisi Ki Baat Nahi,
Zehen Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai,

Khwab Tha Ya Anbar Tha Koi,
Gardan Palkon Pe Jami Si Hai,

Kahan Gaye Hum Bhi Kisse Dil Ki Baat,
Sheher Mein Ek Sansani Si Hai,

Hasratein Raakh Ho Gayi Lekin,
Aag Ab Bhi Kahin Dabi Si Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 53 54 55 56 [57] 58 59 60 61 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 06:31:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer