Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 54 55 56 57 [58] 59 60 61 62 ... 273
Print
Author  (Read 132959 times)
angel4u
Guest
«Reply #855 on: March 19, 2007, 05:14:38 PM »

Sochta Hoon Main Kahin Door Chala Jaun,
Na Kabhar Ho Unko Kabhi Bhi Meri,
Ek Os Ki Boond Ki Tarah In Fizaon Mein Kho Jaun,
Har Shaam Ek Aarzu Bankar Sab Ke Khayalon Mein Aaun,
Sochta Hoon Main Bhi Kahin Door Chala Jaun,

Ho Gayi Hai Adat Dono Ko Akele Rehne Ki,
Bas Ho Gayi Hai Shaam Ab Main Apni Tanhayi Se Mil Aaun,
Wo Kahin Ho Na Jaye Badnaam Mere Saye Mein Reh Kar,
Aur Khokle Rishton Se Door Chala Jaun,

Guzaare The Kuch Lamhe Maine Apne Liye,
Ab Jeenen Doon Lamho Ko Apne Haal Par,
Main Bhi Lamho Ke Bina Apna Ek Mukaam Banaun,
Sochta Hoon Main Kahin Door Chala Jaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #856 on: March 19, 2007, 05:16:42 PM »

Yeh Peene Wale Bhi Bahut Hi Ajeeb Hote Hai,
Jahan Se Door Ye Khud Ke Kareeb Hote Hai,

Kisko Pyaar Mile Aur Kisi Ko Ruswayi,
Mohabbaton Ke Safar Bhi Ajeeb Hote Hai,

Mila Kisiko Ha Sochiye Ameeri Se,
Dilon Ke Shah Aksar Gareeb Hote Hai,

Yahan Ke Logon Ki Hai Ye Khaasiyat Sabse Badi,
Habib Lagte Hai Lekin RaQeeb Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #857 on: March 19, 2007, 05:19:05 PM »

Dil Walon Kya Dekh Rahe Ho In Raahon Mein,
Had-E-Nazar Tak Yeh Weerani Sath Chalegi,

Sannate Phir Shama Ka Aansu Pee Rahe Hai,
Ye Basti To Ujad Gayi Hai Ab Na Basegi,

Ghar Ke Andar Sare Jangal Ka Sannata,
Shaam Hui To Jangal Mein Hawa Chalegi,

Jinke Haathon Dilki Tauheed Hui Hai,
Unke Liye Bhi Ye Duniya Aisi Na Rahegi,

"Razi" Miyaan Tum Shaam Se Kasie Chup Baithe Ho,
Kuch To Bolo Aisi Chup Se Baat Badhegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #858 on: March 19, 2007, 05:21:41 PM »

Akele Hi Chalna Tha Har Raah Par Mujhe,
To Do Qadam Tum Mere Saath Aaye Hi Kyon The,

Tanha Hi Sehna Tha Har Dard Mujhe,
To Kuch Dard Mere Tumne Baante Hi Kyon The,

Aansu Hi Dene The Tohfe Mein Jab,
To Do Pal Tum Mere Sang Muskuraye Hi Kyon The,

Socha Aaj Puchh Hi Loon Tumse,
Ke Aakhir Tum Meri Zindagi Mein Aaye Hi Kyon The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #859 on: March 19, 2007, 05:23:17 PM »

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaron,
Ke Main Sameen Ke Raston Se Kat Gaya Yaaron,

Wo Behayaal Musafir, Main Rasta Yaaron,
Kahan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaron,

Mere Qalam Pe Zamane Ki Gard Aisi Thi,
Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaron,

Tamam Sheher Hi Jiski Talash Mein Gum Tha,
Main Uske Ghar Ka Pata Kisse Puchhta Yaaron...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #860 on: March 19, 2007, 05:25:07 PM »

Kya Yeh Bhi Zindagi Ki Raahat Kabhi Na Ho,
Aisi Bhi To Kisi Se Mohabbat Kabhi Na Ho,

Waada Zaroor Karte Hai Aate Nahi Kabhi,
Phir Ye Bhi Chahte Hai Shikayat Kabhi Na Ho,

Shaam-E-Visal Bhi Yeh Tagaful Ye Berukhi,
Teri Raza Hai Mujhko Masarrat Kabhi Na Ho,

Ahbaab Ne Diye Hai Mujhe Kis Tarah Fareb,
Mujhsa Bhi Koi Saada Tabiyat Kabhi Na Ho,

Dil Chahta Hai Phir Wohi Fursat Ke Raat Din,
Mujhko To Tere Khayal Se Fursat Kabhi Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #861 on: March 19, 2007, 05:28:59 PM »

Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha,
Ab Dilko Aitbaar-E-Hawa Bhi Nahi Raha,

Tu Bujh Gaya To Hum Bhi Farozaan Na Reh Sake,
Tu Kho Gaya To Apna Pata Bhi Nahi Raha,

Kuch Hum Bhi Tere Baad Zamane Se Kat Gaye,
Kuch Rab-O-Zabt Khuda Se Bhi Nahi Raha,

Goya Hamara HaQ Se Sitam Dar Sitam Hua,
Harf-E-Dua Bhi Dast-E-Dua Bhi Nahi Raha,

Kya Shayri Karein Ke Tere Baad Sheher Mein,
Lutf Kalaam Kef-E-Nawa Bhi Nahi Raha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #862 on: March 19, 2007, 05:30:35 PM »

Tadapta Hai Dil Dilko Samjhaun Kasie,
Jo Khel Khelti Hai Zindagi Usko Nibhaun Kaise,

WaQt Ke Haathon Maar Khata Raha Hoon Main,
Phir Bhi Na Badla Khudko Samjhaun Kaise,

Dil Mein Dard, Dard Mein Zakham Hai Laakhon,
Har Zakhm Tumko Dikhaun Kaise,

Aaj Ro Bhi Nahi Sakta, Kaise Kahoon Kuch,
Marna Chahta Hoon Is Zindagi Ko Nibhaun Kaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #863 on: March 19, 2007, 05:32:20 PM »

Chandni Raat Hai Aur Alam-E-Tanhayi,
Zindagi Yaad Ke Daman Mein Simat Aayi Hai,

Maar Dale Na Kahin Dard-E-Judayi Mujhko,
Ab To Aaja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai,

Utre Utre Nazar Aate Hai Phoolon Ke Chehre,
Tere Jaane Se Gulistan Par Khizan Chhayi Hai,

Jisne Barbaad Mohabbat Mein Kiya Tha Kal Tak,
Woh Aankhein Aaj Mere Haal Pe Sharmayi Hai,

Tere Maykhane Mein Jitni Bhi De De Saaki,
Aaj To Maine Bhi Peene Ki Kasam Khayi Hai,

Jis Jagah Kuch Nazar Nahi Aata Hai Jalwon Ke Siwa,
Zindagi Us Mod Pe Mujhe Le Aayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #864 on: March 19, 2007, 05:33:43 PM »

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe,
Wo Aayina Hai To Phir Aayina Dikhaye Mujhe,

Azab Chirag Hoon Din Raat Jalta Rehta Hoon,
Main Thak Gaya Hoon Hawa Se Kaho Bujhaye Mujhe,

Main Jiski Aankh Ka Aansu Tha Usne Kadar Na Ki,
Bikhar Gaya Hoon To Ab Ret Se Uthaye Mujhe,

Bahut Dino Se Main In Pattharon Mein Patthar Hoon,
Koi To Aaye Zara Der Ko Rulaye Mujhe,

Main Chahta Hoon Ke Tum Hi Mujhe Izzat Do,
Tumhari Tarahse Koi Gale Lagaye Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #865 on: March 21, 2007, 05:02:57 PM »
Ek Patthar Se Pyar Kiya Tha,
Dilne Jab Israar Kiya Tha,
Barso Khamoshi Se Chaha,
Lekin Phir Izhaar Kiya Tha,
Usne Bhi Kagaz Pe Likh Kar
Chahat Ka IQraar Kiya Tha,
Apne Dukh Aur Dard Sabhi Kuch,
Mere Naam Shamaar Kiya Tha,
Dil Toota To Aankhein Ro Di,
Chain Sakoon Dur Nindein Kho Di,
Bechain Sa Bola Yun Pathar To Aakhir Pathar Hai,
Ek Pathar Se Pyar Kiya Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #866 on: March 21, 2007, 05:04:40 PM »

Kyon Tujhe Dekhkar Ek Toota Insaan Kehte Hai,
Kyon Meri Zindagi Mein Ab Sirf Aansu Hi Rehte Hai,

Kya Rishta Hai Hum Jaise Logonka,
Jo Haar Kar Bhi Jeetne Ka Garoor Rakhte Hai,

Chehre Par Aadhi Adhuri Si Muskurahat Laate Hai,
Maut Ka Intezaar Kiye Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #867 on: March 21, 2007, 05:06:00 PM »

Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Unki Yaad,
Dard Bun Kar Chha Rahi Hai Unki Yaad,

IshQ Se Ghabra Rahi Hai Unki Yaad,
Rukte Rukte Aa Rahi Hai Unki Yaad,

Wo Hanse Wo Zer-E-Lab Kuch Keh Uthe,
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Unki Yaad,

Main To Khuddari Ka Qahil Hoon Magar,
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Unki Yaad,

Ab Khayal-E-Tark-E-Zabt Hi Se Hai,
Khud Ba Khud Sharma Rahi Hai Unki Yaad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #868 on: March 21, 2007, 05:07:10 PM »
Jise Bhi Chahte Hai Hum, Wohi Milta Nahi Humko,
Bichhad Jata Hai Kab Humse Pata Chalta Nahi Humko,

Dua Jo Maut Ki Maangein To Saansein Aur Bharti Hai,
Na Jaane Kyon Khuda Tala Bhi Ab Sunta Nahi Humko,

Ajab Tark-E-Taluk Duniya Walone Kiya Humse,
Batayein Kya Koi Dushman Bhi Ab Kehta Nahi Humko,

Hazaron Log Milte Hai Hazaron Sath Chalte Hai,
Magar Us Ek Chehre Sa Koi Lagta Nahi Humko,

Khade Hai Raste Mein Hum Uthaye Dastan-E-Gam,
Guzar Jaate Hai Sab Koi Padhta Nahi Humko,

Jise Bhi Chahte Hai Hum, Wohi Milta Nahi Humko,
Bichhad Jaata Hai Kab Humse Pata Chalta Nahi Humko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #869 on: March 21, 2007, 05:09:04 PM »
Us Ek Furd Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kisliye,
Meri Zindagi Ka Matlab Wohi Ek Fard Hai Kisliye,

To Jo Sheher Mein Hai Mokeem Hai To Musafrat Ki Fiza Hai Kyon,
Tera Karwan Jo Nahi Gaya To Hawa Mein Gard Hai Kisliye,

Na Jamal-O-Husn Ki Bazm Hai Na Janoon-E-IshQ Ka Azam Hai,
Sar Dasht Raks Mein Har Ghadi Koi Bar-E-Gard Hai Kisliye,

Tere Husn Se Ye Pata Chala Tujhe Dekhkar Ye Khabar Hui,
Jahan Rasta Hi Nahi Koi Wahan Rah Noorad Hai Kisliye,

Jo Likha Hai Mere Naseeb Mein Kahin Tune Padh To Nahi Liya,
Tere Haath Sard Hai Kis Liye Tera Rang Zard Hai Kisliye,

Wo Jo Tark-E-Rabt Ka Ehad Hai Kahin Tootne To Nahi Laga,
Tere Dilke Dard Ko Dekhkar Mere Dil Mein Dar Hai Kisliye,

Koi Wasta Jo Nahi Raha Teri Aankh Mein Ye Nami Hai Kyon,
Mere Gam Ke Aag Ko Dekh Kar Teri Aah Sard Hai Kisliye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 54 55 56 57 [58] 59 60 61 62 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 07, 2025, 09:42:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer