Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 55 56 57 58 [59] 60 61 62 63 ... 273
Print
Author  (Read 132958 times)
angel4u
Guest
«Reply #870 on: March 21, 2007, 05:19:57 PM »
Kaha Saathi Koi Dukh Dard Ka Taiyar Karna Hai,
Jawab Aya Ke Ye Dariya Akele Paar Karna Hai,

Kaha Har Rasta Bakhshish Hai Nahumwaar Kyon Mujhko,
Jawab Aaya Tujhe Har Rasta Khud Humwaar Karna Hai,

Kaha Kya Tegh Uthani Hai Yaaron Ne Ganioon Par,
Jawab Aaya Keyaaron Ne Bhi Palat Kar Waar Karna Hai,

Kaha Kyon Samne Chamka Diya Upar Pada Sooraj
Jawab Aya Hamein Saya Pas-E-Dewar Karna Hai,

Kaha Zulfon Se Phoolon Ki Mehek Aane Lagi Kaise,
Jawab Aaya Mohabbat Ka Tujhe Izhaar Karna Hai,

Kaha Main Ladla Tera Hoon, Main Mati Mein Kyon Utrun,
Jawab Aaya Ke Sabko Ye Samundar Paar Karna Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #871 on: March 21, 2007, 05:21:16 PM »

Ab Udaas Phirte Hai Sadiyon Ki Shamon Mein,
Is Tarah To Hota Hai Is Tarah Ke Kaamon Mein,

Ab To Uski Aankhon Ke Mehkade Mayasir Hai,
Phir Sakoon Dhundoge Sagaron Mein Jamon Mein,

Dosti Ka Gam Kiya AshQi Se Kya Matlab,
Main Tere Fakeeron Mein, Main Tere Ghalamon Mein,

Zindagi Bikharti Hai Shayri Nikharti Hai,
Labron Ki Galiyon Mein Dillagi Ke Kaamon Mein,

Jis Tarah Uska Naam Chun Liya Tumne,
Usne Bhi Hai Chun Rakha Ek Naam Nanmoon Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #872 on: March 21, 2007, 05:22:39 PM »

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya,
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya,

Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi,
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya,

Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha,
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya,

Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka,
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya,

Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai,
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya,

Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai,
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #873 on: March 21, 2007, 05:24:10 PM »

Sar-E-Raah Kuch Bhi Kaha Nahi Kabhi Uske Ghar Mein Gaya Nahi,
Main Janam Janam Se Usi Ka Hoon Use Aaj Tak Ye Pata Nahi,
Ye Khuda Ki Deen Ajeeb Hai Ke Usika Naam Naseeb Hai,
Jise Tune Chaha Wo Mil Gaya Jise Maine Chaha Mila Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #874 on: March 21, 2007, 05:25:29 PM »

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai Is Nishani Ko Kya Naam Dein Hum,
Pyar Deewar Banke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam Dein Hum,

Aap Ilzaam Dhar Gaye Hum Par Ek Ehsaan Kar Gaye Hum Par,
Aap Ki Ye Meherbani Hai Meherbani Ko Kya Naam Dein Hum,

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samajh Dhoop Ko Humne Chandni Samjha,
Bhool Hi Bhool Jiski Aadat Ek Jawani Ko Kya Naam Dein Hum,

Raat Sapna Bahar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Se Dekha,
Bewafa WaQt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam Dein Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #875 on: March 21, 2007, 05:27:26 PM »

Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha,
Samne Baitha Tha Magar Wo Mera Na Tha,

Wo Ke Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Chaar Soo,
Main Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chhu Sakta Na Tha,

Raat Bhar Uski Aahat Kaan Mein Aati Rahi,
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aaya Na Tha,

AQs To Maujood The Par AQs Tanhayi Ke The,
Aayina To Tha Magar Us Mein Tera Chehra Na Tha,

Aaj Usne Dard Bhi Apne Alahida Kar Diye,
Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha,

Ye Sabhi Veeraniyan Uske Juda Hone Se Thi,
Aankh Dhundlayi Hui Thi Sheher Dhundhlaya Na Tha,

Yaad Karke Aur Bhi Takleef Hoti Thi,
Bhool Jane Ke Siwa Ab Koi Bhi Chara Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #876 on: March 21, 2007, 05:30:34 PM »

Gaye Mausam Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah,
Dil Pe Utrenge Wohi Khwaab Azabon Ki Tarah,

Raakh Ke Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai,
Jal Chuke Hai Mere Khaime Mere Khwabon Ki Tarah,

Wo Samundar Hai To Phir Reh Ke Shadaab Kare,
Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hai Sarabon Ki Tarah,

Yaad To Honge Wo Baatein Tujhe Ab Bhi Lekin,
Shelf Mein Rakhi Hui Band Kitabon Ki Tarah,

Kaun Jane Ke Naye Saal Mein To Kisko Padhe,
Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabon Ki Tarah,

Hijr Ki Shab Meri Tanhayi Pe Dastak Degi,
Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwabon Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #877 on: March 21, 2007, 05:33:12 PM »

Sab Aane Wale Behla Kar Chale Gaye,
Aankhon Par Sheeshe Chamka Kar Chale Gaye,

Malbe Ke Niche Aa Ke Malum Hua,
Sab Kaise Dewar Gira Kar Chale Gaye,

Agar Kabhi Lautenge Raakh Batorenge,
Jangal Mein Jo Aag Laga Kar Chale Gaye,

Main Tha Din Tha Aur Ek Lamba Rasta Tha,
Sab Khaime Jab Log Utha Kar Chale Gaye,

Chattano Pe Aa Kar Thehre Do Raste,
Phir Aage Ki Raah Bana Kar Chale Gaye,

Kuch Aise Bache Bhi Aaye MaQtab Mein,
Naam Likhaya Naam Likha Kar Chale Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #878 on: March 21, 2007, 05:35:30 PM »

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzu Thi MulaQaat Ki,

Kayi Saal Se Kuch Khabar Hi Nahi,
Kahan Din Guzarna Kahan Raat Di,

Main Chup Tah To Chalti Hawa Ruk Gayi,
Zubaan Sab Samajhte Hai Jazbaat Ki,

Sitaron Ko Shayad Khabar Hi Nahi,
Musaafir Ne Jaane Kahan Raat Ki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #879 on: March 21, 2007, 05:39:22 PM »

Ek Khoobsurat Si Shaam Jaise Hote Hai,
Azmaat Ke Unche Mukaam Jaise Hote Hai,
Banke Kiran Wo Bikherte Hai Roshni,
Kuch Log Apne Hi Naam Jiase Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #880 on: March 21, 2007, 05:41:35 PM »

Dukh Nahi Hai Ke Jal Raha Hoon Main,
Roshni Mein Badal Raha Hoon Main,

Tootta Hai Toot Jane Do,
Aaine Se Nikal Raha Hoon Main,

Rizk Milta Hai Kitni Mushkil Se,
Jaise Pathar Mein Pal Raha Hoon Main,

Har Khazane Ko Maar Di Thokar,
Aur Ab Haath Mal Raha Hoon,

Khauf Gharkaab Ho Gaya Fesal,
Ab Samundar Pe Chal Raha Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #881 on: March 21, 2007, 05:44:21 PM »

Sochta Hoon Ke Use Neend Bhi Aati Hogi,
Ye Meri Tarah FaQt AshQ Bahati Hogi,

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulane Wali,
Apni Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,

Is Zameen Par Bhi Hai Sailab Mere AshQon Ka,
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Hogi,

Shaam Hote Hi Wo Chaukhat Pe Jala Ke Shama,
Apni Palkon Pe Kayi Khwaab Sulati Hogi,

Mere Tareek Zamane Se Nikalne Wale,
Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,

Dilki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hogi,
Joonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #882 on: March 21, 2007, 05:51:39 PM »

Aansu Bhar Aaye Aankh Mein Har Ek Hansi Ke Baad,
Gam Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad,

Nikla Tha Karwan Mohabbat Ki Raah Mein,
Har Mod Pe Nafrat Khadi Thi Har Gali Ke Baad,

Socha Tha Pyar Ka Main Sajaunga Gulistaan,
Har Phool Jal Gaya Mera Bankar Kali Ke Baad,

Chahat Ki Bebasi Ka Ye Kissa Hai Mukhtasir,
Dilne Sakoon Na Paya Kabhi Dillagi Ke Baad,

Ab Raakh Hi Sametta Hoon Aashiyane Ki,
Khud Hi Jala Diya Tha Jaise Aajzi Ke Baad,

Sunte Hai Baad Marne Ke Milta Hai Sab Sila,
Dekhenge Kya Milega Zindagi Ke Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #883 on: March 21, 2007, 05:53:07 PM »

Saahil Ki Tishnagi Ka MuQaddar Bhi Dekhiye,
Fursat Mile To Pyaas Ka Manzar Bhi Dekhiye,

Zarre Ki Aankh Mein Hai Sehra Ki Vusaten,
Qatre Ke Dil Mein Ek Samundar Bhi Dekhiye,

Chrehre Se Mere Gam Ka Na Andaza Kijiye,
Jo Ho Sake To Rooh Ke Ander Bhi Dekhiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #884 on: March 21, 2007, 05:54:13 PM »

Dukh Noshta Hai Tu Aandhi Ko Likha Aahista,
Aye Khuda Ab Ke Chale Zard Hawa Aahista,

Khwaab Jal Jayein Mere Chashm-E-Tamam Bujh Jayein,
Bas Hatheli Se Ude Rang-E-Heena Aahista,

Zakham Hi Khulne Aaye Hai To Ujlaat Kaisi?
Chhoo Mere Jismko Aye Baad-E-Saba Aahista,

Tootna Aur Bikharne Ke Koi Mausam Ho,
Phool Ki Ek Dua, Mauj-E-Hawa Aahista,

Janti Hon Ke Bichhadna Teri Majboori Hai,
Par Meri Jaan Mile Mujhi Ko Saza Aahista,

Meri Chahat Mein Bhi Ab Sochke Rang Ane Laga,
Aur Tera Pyar Bhi Shiddat Mein Hua Aahista,

Neend Par Jaal Se Padne Lage Aawazon Ke,
Aur Phir Hone Lage Teri Sada Aahista,

Raat Jab Phoolke Rukhsaar Par Dhire Se Jhuki,
Chaand Ne Jhuk Ke Kaha Aur Zara Aahista...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 55 56 57 58 [59] 60 61 62 63 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 07, 2025, 09:40:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer