Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 273
Print
Author  (Read 131107 times)
angel4u
Guest
«Reply #90 on: November 29, 2006, 07:44:04 PM »

Sach To Ye Hai Ke Mere Humdam
Kiye The Aansu Jo Naam Tere,
Unhe Main Chupke Se Rat Bhar Ko
Khud Apni Aankhon Mein Dhundta Hoon,

Tumhe Bhulane Ke Baad Apne
Wajood Ke Har Paich-O-Kham Mein,
Tumhari Khushbu Ko Dhundta Hoon,

Apne Chehre Se Gard-E-Ulfat
Mita Sakunga Batao Kaise,
Tumhe Main Ab Bhi Har Ek Pal Mein,
Dayar-E-Naqis Mein Dhundta Hoon,
Dil-E-Hawadis Mein Dhundta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #91 on: November 29, 2006, 07:47:12 PM »

Dasht-E-Shab Par Dikhayi Kya Dengi,
Silvatein Roshni Meri Ubharengi,

Ghar Ki Deewarein Mere Jaane Par,
Apni Tanhaiyon Ko Sochegi,

Ungliyon Ko Taraas Dun Phir Bhi
Aadatein Uska Naam Likhengi,

Rang-O-Buu Se Kahin Panaah Nahi,
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi,

Ek Khushbu Se Bach Bhi Jaun Agar,
Dusri Nikahatein Jakar Lengi,

Khidkiyon Par Dabiz Parde Hon,
Baarishein Phir Bhi Dastakein Dengi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #92 on: November 29, 2006, 07:48:30 PM »

Koi Yaad Saloni Si,
Koi Baat Purani Si,
Aankhon Se Jaari Hai,
Ashkon Ki Rawani Si,
Hans Ke Kisi Se Milna,
Lagta Hai Kahani Si,
Koi Mujh Ko Lagti Thi,
Khwabon Ki Raani Si,
Mere Rahe Takti Thi,
Pagal Si Diwani Si,
Bachpan Ke Beete Din,
Lagte Hai Nadani Se,
Aaj Jab Wo Mile,
Lage Kitne Begane Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #93 on: November 29, 2006, 07:49:20 PM »

Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hia,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

'Sagar' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #94 on: November 29, 2006, 07:55:36 PM »

Sochon To Wo Saath Chal Raha Hai,
Dekhun To Nazar Badal Raha Hia,

Kyon Baat Zabeen Se Keh Ke Koi
Dil Aaj Bhi Haath Mal Raha Hai,

Raaton Ke Safar Mein Wahen Sa Hai,
Ye Main Hoon Ke Chand Chal Raha Hai,

Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hia,
Aur Tu Bhi Kahin Behal Raha Hai,

Samjha Ke Abhi Gaye Hai Sakhyaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai,

Pehle Se Wo Roshni Nahi Ab,
Kya Dard Ka Chand Dhal Raha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #95 on: November 29, 2006, 07:56:33 PM »

Main Hoon Ya Tu Hai, Khud Apne Se Gurezan Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai Kharaman Jaise,

Tujhse Pehle To Baharon Ka Ye Andaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hia, Jalta Ho Gulistan Jaise,

Yun Teri Yaad Se Hota Hai Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hia Bayaban Jaise,

Dil Mein Roshan Hai Abhi Tak Tere Waadon Ke Chirag,
Tootti Raat Ke Taare Hon Farozan Jaise,

Tujhe Paane Ki Tamanna, Tujhe Khone Ka Yaqeen,
Tere Gaisoo, Mere Mahol Mein Galtan Jaise,

Waqt Badla Pe Na Badla Mera Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein, Sar-E-Kohsaar, Charagan Jaise,

Zakhm Barta Hai Zamana, Magar Is Tarah Nadeem,
Si Raha Ho Koi Phoolon Ke Girebaan Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #96 on: November 29, 2006, 07:57:07 PM »

Kamaal-E-Ishq Hai Deewana Ho Gaya Hoon Main,
Ye Kis Ke Haath Se Daaman Chhuda Raha Hoon Main,

Tumhi To Ho Jise Kehti Hai Naakhuda Duniya
Bacha Sako To Bacha Lo Ke Dubta Hoon Main,

Ye Mere Ishq Ki Majburiyan Maaz-Allah,
Tumhara Raaz Tumhi Se Chupa Raha Hoon Main,

Is Ek Hijaab Pe Sau Be Hijaabiyan Sadke,
Jahan Se Chahta Hoon Tumko Dekhta Hoon Main,

Batane Wale Wahin Par Batate Hia Manzil,
Hazaar Baar Jahanse Guzar Chuka Hoon Main,

Kabhi Ye Zom Ki Tu Mujshe Chhup Nahi Sakta,
Kabhi Ye Wahem Ki Khud Bhi Chhupa Hua Hoon Main,

Mujhe Sune Na Koi Mast-E-Baada-E-Isharat,
"Majaz" Tute Hue Dil Ki Ek Sada Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #97 on: November 29, 2006, 07:58:22 PM »

Qareeb Maut Khadi Hai Zara Thaher Jao,
Qazaa Se Aankh Ladi Hia, Zara Thaher Jao,

Thaki Thaki Si Fizayein Bujhe Bujhe Taare,
Badi Udaas Ghadi Hai Zara Thaher Jao,

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Sahar Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hia Zara Thaher Jao,

Abhi Na Jao Ki Taaron Ka Dil Dhadakta Hai,
Tamaam Raat Padi Hai Zara Thaher Jao,

Phir Is Ke Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge,
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Thaher Jao,

Dam-E-Firaaq Mein Jee Bhar Ke Tumko Dekh To Lun,
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #98 on: November 29, 2006, 07:59:11 PM »

Ghar Banana Chahta Hoon, Mera Ghar Koi Nahi,
Daman-E-Kohsar Mein Ya Daman-E-Sehra Ke Paas,
Oonchi Oonchi Chotiyon Mein Sarhade Sehra Ke Paas,
Mushaffaq Aabadiyon Mein Wusatay Tanha Ke Paas,
Roz-E-Roshan Ke Kinare Ya Shub-E-Yulda Ke Paas,
Is Pareshani Mein Mera Humsfar Koi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #99 on: November 29, 2006, 08:00:02 PM »

Jis Tarah Daaman-E-Mashriq Mein Sahar Hoti Hia,
Zarre Zarre Ko Tajalli Ki Khabar Hoti Hia,
Aur Jab Noor Ka Sailaab Guzar Jaata Hia,
Raat Bhar Ek Andhere Mein Basar Hoti Hai,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jaise Gulshan Mein Dabe Paanv Bahar Aati Hia,
Patti Patti Ke Liye Leke Nikhaar Aati Hia,
Aur Phir Waqt Wo Aata Hia Ke Har Mauj-E-Sabaa,
Apne Daaman Mein Liye Gard-O-Gubaar Aati Hai,
Kuch Isi Tarahse Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jis Tarah Mahv-E-Safar Ho Koi Veerane Mein,
Aur Raaste Mein Kahin Koi Khiyaabaan Aa Jaye,
Chand Lamhon Mein Khiyaabaan Ke Guzar Jaane Par,
Saamne Phir Wohi Duniya-E-Biyaabaan Aa Jaaye,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #100 on: November 29, 2006, 08:01:13 PM »

Tum Ab To Aa Milo Hum Se
Na Jaane Kab Hamari Zindagi Ki Shaam Ho Jaaye
Jo Ankhon Mein Chamakta Hai Nazar Ko Jagmagta Hai
Wo Jugnoo Maand Ho Jaaye
Jo Dhadkan Main Utarta Hai
Hamein Dilshaad Karta Hai
Wo Naghma Khwab Ho Jaaye
Tum Ab To Aa Milo Ham Se
Ke Tum Hi Ho
Ke Jis Ke Saath Hamein Har Raah Chalna Hai
Safar Ki Shiddaton Mehroomion Ko Zabt Karna Hai
Jahan Pe Tum Bichad Jaao
Usi Raste Pe Ham Ko Zindagi Ki Sham Karna Hai
Tumhare Sath Ubharna Aur Tumhare Saath Dhalna Hai
Tum Ab To Aa Milo Hum Se
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #101 on: November 29, 2006, 08:02:52 PM »

Jise Aqes Aqes Ganwa Diya,
Kabhi Rubaroo Thi Mere Liye,
Jise Naqsh Naqsh Bujha Diya,
Kabhi Chaar Soo Thi Mere Liye,
Joheday Hawa Se Bhi Door Hua,
Kabhi Koo Baa Koo Thi Mere Liye,
Jo Tapish Hai Mauj-E-Sarab Ki,
Kabhi Aabjo Thi Mere Liye,
Jise Likhta Hoon Khatein Main Ab,
Kabhi Sirf Tu Hi Mere Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #102 on: November 29, 2006, 08:04:09 PM »

Koi To Guftagoo Karoo, Shaam Bahut Udaas Hai
Tum Meray Pass Hi Raho, Shaam Bahut Udaas Hai

Kuch Bhi To Bolte Nahi, Khauf Ye Todte Nahi
Main Ne Kaha Zara Suno, Shaam Bahut Udaas Hai

Mujh Se Na Tum Miloge Magar, Mujh Se Na Kuch Kaho Magar
Shaam Se Aa Kar Kuch Kaho, Shaam Bahut Udaas Hai

Dekho Bahut Hai Ranjeeda, Umar Rawa Ki Dastan
Is Mein Na Aur Dukh Bharo, Shaam Bahut Udaas Hai

Itna Hai Iztiraab Kyon, Karb Mein Hain Janab Kyon
Milna Hai Gar To Aa Milo, Shaam Bahut Udaas Hai

Mana Ke Tum Khafa Nahi, Kehne Ko Kuch Bacha Nahi
Achha Sa Sher Hi Parho, Shaam Bahut Udaas Hai

Koi Nahi Idhar Udhar, Sare Khamosh Bam-O-Dar
Kisse Kahein Dua Karo, Shaam Bahut Udaas Hai

Kuch To Ilaaj-E-Gum Karo, Sabr-E-Khasta Jaan Suno
Aaj Kisi Ko Khatt Likho, Shaam Bahut Udaas Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #103 on: November 30, 2006, 08:00:09 PM »
Thanks re majid..

and nice one...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #104 on: November 30, 2006, 08:01:24 PM »
Pehli nazar,
pehla milan badhne lagi
ye lagan bole bina
rehna sakoon lekin
tujhe keh na sakun meri jaan
kabhi tu sune aankhein kya kehti hia,
kabhi kabhi pyar mein
thodi khushi thoda gam
kio chale sang har kadam
kabhi pyaar mein...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:38:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer