Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 57 58 59 60 [61] 62 63 64 65 ... 273
Print
Author  (Read 132972 times)
angel4u
Guest
«Reply #900 on: March 23, 2007, 05:59:18 PM »

Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Saare Manzar Bhool Gaye,
Uski Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye,

Khoob Gaye Pardes Ke Apna Dar-O-Deewar Bhool Gaye,
Sheesh Mehel Ne Aisa Giraya Mitti Ka Ghar Bhool Gaye,

Tujhko Bhi Jab Apni Kasmein Apne Waade Yaad Nahi,
Hum Bhi Apne Khwaab Teri Aankhon Mein Rakh Kar Bhool Gaye,

Mujhko Jinhone Qatl Kiya Hai Koi Unhe Batlaye,
Meri Laash Ke Pehloo Mein Wo Apna Khanjar Bhool Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #901 on: March 23, 2007, 06:03:25 PM »

Jab Kabhi Tera Naam Lete Hai,
Dilse Hum InteQaam Lete Hai,

Meri Barbadiyon Ke Afsane,
Mere Yaron Ka Naam Lete Hai,

Bas Yehi Ek Jurm Hai Apna,
Hum Mohabbat Se Kaam Lete Hai,

Har Qadam Par Gire Par Sikha,
Kasie Girto Ko Thaam Lete Hai,

Hum Bhatak Kar Junoon Ki Rahon Mein,
AQl Se InteQaam Lete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #902 on: March 23, 2007, 06:04:38 PM »

Qareeb Maut Khadi Hai Zara Theher Jao,
Qazaa Se Aankh Ladi Hai Zara Theher Jao,

Thaki Thaki Si Fazayein Bujhe Bujhe Taare,
Badi Udaas Ghadi Hai Zara Theher Jao,

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Seher Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hai Zara Theher Jao,

Abhi Na Jao Ki Taaron Ka Dil Dhadakta Hai,
Tamam Raat Padi Hai Zara Theher Jao,

Phir Iske Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge,
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Theher Jao,

Dum-E-FiraaQ Mein Ji Bhar Ke Tum Ko Dekh Lun,
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #903 on: March 23, 2007, 06:10:18 PM »

Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko,
Ek Jhalak Mere Dildaar Ki,
Is Mohabbat Se Mila Kya Mujhko,
Bechaini-O-BeQarari Yaar Ki,
Is AashiQui Se Mila Kay Mujhko,
Ek Sunehri Raah IshQ Ki,
Aur tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko,
Ek Raah Jeene Ki Hamwaar Si...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #904 on: March 23, 2007, 06:11:49 PM »

Chirag-E-Zindagi Hoga Fozaan Hum Nahi Honge,
Chaman Mein Aayegi Fasl-E-Bahar Hum Nahi Honge,

Ab Tumhare Haath Mein TaQdeer-E-Alam Hai,
Tumhe Honge FaroQh-E-Bazm-E-Amkaan Hum Nahi Honge,

Jiyenge Jo Wo Dekhen Ke Baharein Zulf Jaana Ki,
Sanware Jayenge Gesu Doraan Hum Nahi Honge,

Hamare Doobne Ke Baad Ubhrenge Naye Taare,
Jabeen Dhar Par Chatkegi Hum Nahi Honge,

Na Tha Apni Hi Qismat Mein Taloon-E-Meher Ka Jalwa,
Sheher Ho Jayegi Shaam-E-Gareeban Hum Nahi Honge,

Hamare Dor Mein Dali Khurd Ne Uljhanein Lakhon,
Junoon Ki Mushkilein Jab Hongi Aasan Hum Nahi Honge,

Kahin Humko Dikha Do Ek Kiran Hi Timtimati Si,
Ke Jis Din Jagmagayega Sabistaan Hum Nahi Honge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #905 on: March 23, 2007, 06:12:55 PM »

Zindagi Ka Dar Lekar InQalaab Aaya To Kya,
Ek Josheeda Pe Gurbat Mein Shabaab Aaya To Kya,

Ab To Aankhon Par Gam-E-Hasti Ke Pade Pad Gaye,
Ab Koi Husn-E-Mujasim BenaQab Aaya To Kya,

Khud Chale Aate To Shayad Baat Ban Jaati Koi,
Baad TarQ-E-AshiQui Khat Ka Jawab Aaya To Kya,

Muddaton Bichhde Rhae Phir Bhi Gale To Mil Liye,
Humko Sharm Aayi To Kya Unko Hijaab Aaya To Kya,

Ek Tajali Se Munavvar Kijiye Qatl-E-Hayat,
Har Tajali Par Dil-E-Khana Khabar Aaya To Kya,

Matala-E-Hasti Ki Saazish Dekhte Hum Bhi,
Humko Jab Neend Aa Gayi Phir Mehtaab Aaya To Kya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #906 on: March 23, 2007, 06:14:31 PM »

Chaand Ke Saath Kayi Dar Purane Nikle,
Kitne Gam The Jo Tere Gam Ke Bahane Nikle,

Fasl-E-Gul Aayi Phir Ek Baar Aseeran-E-Wafa,
Apne Khoon Ke Dariya Mein Nahane Nikle,

Dil Ne Ek Eent Se Tameer Kiya Taj Mahal,
Tune Ek Baat Kahi Laakh Fasane Nikle,

Dasht-E-Tanhayi-E-Hijraan Mein Khada Sochta Hoon,
Haay Kya Log Mera Saath Nibhane Nikle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #907 on: March 23, 2007, 06:15:26 PM »

Udaas Aankhonse Aansu Nahi Nikalte Hai,
Ke Motiyonki Tarah Seepiyon Mein Palte Hai,

Ghane Dhuwein Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hai,
Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jhulte Hai,

Main Shaah Raah Nahi, Raaste Ka Patthar Hoon,
Yahan Sawar Bhi Piyadal Utar Kar Chalte Hai,

Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hoon,
Wo Log Phool Samajh Kar Mujhe Masalte Hai,

Ye Ek Ped Hai, Aa Isse Mil Kar Ro Lein Hum,
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hai,

Kayi Sitaron Ko Main Jaanta Hoon Bachpan Se,
Kahin Bhijaun Mere Saath Saath Chalte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #908 on: March 23, 2007, 06:16:50 PM »

WaQt Aaj Ye Kis MuQaam Par Le Aaya Hai,
Mujhe Apno Ne Hi Kyon Begana Banaya Hai,

Dikhta Nahi Hai Yahan Ab Apna Sa Kyon Koi,
Ek Sannata Sa Rishton Ke Darmiyaan Aaya Hai,

Dikhta Hai Gam Hi Gam Charon Taraf,
Masoom Sa Mera Dil Apne Zakhmon Ko Dikhane Se Ghabraya Hai,

Saath Chal Ke Char Kadam Chhod Diya Apno Ne,
Mere Apno Ko Shayad Gairon Ne Behkaya Hai,

Dard Aaj Phir Chhalak Pada Hai Aankhon Se Paimane Ki Tarah,
Aaj Phir Ye Dil Ko Kaunsa Haadsaa Yaad Aaya Hai,

Samne The Hum Ke Bhool Chuke Hai Sab Kuch,
Par Aaj Bhi Kyon Unke Naamko Apne Dilki Dhadkano Mein Paya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #909 on: March 23, 2007, 06:18:28 PM »

Dilki Halat Pe Dil Hi Hasta Gaya,
Door Hoke Bhi Wo Aankhon Mein Basta Gaya,

WaQif Hai Raaste Yun To Saare Mujhse,
Jaane Kyon Manzilon Se Faasla Badhta Gaya,

Tera Waada Aur Zindagi Ki Shaam Dhalti Si,
Khoon-E-Jigar Chiragon Ke Sang Jalta Gaya,

Dard Jitna Bhi Diya Tune Humnawaaz,
Lafz Banke Wo Shayri Mein Dhalta Gaya,

Raah Jo Wo Kaanto Ki Thi Chuni Maine,
Bas Ek Tera Hi Karam Ke Main Chalta Gaya,

Na Ab Zameen Ki Khabar Na Aasmaan Ka Pata,
Main Jaane Kin Aandheron Mein Gum Sa Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #910 on: March 23, 2007, 06:19:55 PM »

Hum To Mitti Hai Mitti Mein Mil Jayenge,
Ruswa Honge Wo Jo Bewafa Kehlayenge,

Hum To Roz Kabar Khodte Hai Dilke Khwabon Ki,
Ye Maut Ke Farishte Hamein Kya Darayenge,

Phir Taiyar Kar Lo Apni Andhiyon Ko Tum,
Bahar Mein Hum Aashiyana Phir Banayenge,

Tumne To Dikha Di Hai Farebon Ki Inteha,
Mohabbat Ki Inteha Tumhe Hum Dikhayenge,

Bichha Do Meri Raah Mein Kaante Bhi Chahe Tum,
Hum Tumse Milne Nange Paanv Chalke Aayenge,

Dhal Jayegi Jab Tumhare Husn Ki Ye Shaam,
Hamare Paas Aana Seene Se Lagayenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #911 on: March 23, 2007, 06:20:57 PM »

Bhid Mein Rishton Ki Is Dilko Akele Dekha,
Zindagi Aisi Bhi Humne Tera Chehra Dekha,

Ab To Band Hone Ki Aankhon Ko Ijaazat De De,
Barson Aankhone Tera Jaag Ke Rasta Dekha,

Umar Bhar Saath Chale Phir Bhi Rahe Hum Tanha,
Humne Qurbat Mein Bhi Faasla Aisa Dekha,

Usne Baahon Mein Sama Rakhe The Dariya Lekin,
Humne Saahil Ko Jo Dekha Bhi To Pyaasa Dekha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #912 on: March 23, 2007, 06:22:00 PM »

Hum Jab Apne Dard Ko Dilse Juda Karne Lage,
Ye Zakhm Hamare Marne Ki Duwa Karne Lage,

Humne Jaan De Di Unhe Aaya Na Pyar Phir Bhi,
Upar Se Mere Baad Gairon Se Wafa Karne Lage,

Kambakht Zubaan Ko Ab Koi Aur Shay Bhaati Nahi,
Hum Jabse Apne AshQon Ka Naksha Karne Lage,

Mere Dushman Khat Unhe Pahucha Rahe Hai,
Unke Dost Mere Zakhmonki Dua Karne Lage,

Rote Hai Hum To Gam Ke Mare Aye Jaan-E-Chaman,
Kyon Aankhein Aap Maili Bewajah Karne Lage,

Abhi Likha Tha Bewafa Likhne Lagta Tha,
Mere Kalam Mere Hathon Se Gila Karne Lage...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #913 on: March 23, 2007, 06:23:26 PM »

Kehti Hai Ye Hawa Kehti Hai Ye Fiza,
Kal Koi Tha Yahin Lekin Ab Wo Nahi,
Wo Kahin Aur Hai Dard Ka Dahor Hai,
Kitna Gehra Hai Gam Kaisa Hai Ye Sitam,
Kehti Hai Ye Hawa Kehti Hai Ye Fiza,
Jitna Bhi Gham Sahi Utne Hi Chup Raho,
Kuch Na Kaho Kuch Bhi Na Kaho,
Aarzu So Gayi Har Khushi Kho Gayi,
Sune Hai Raaste Ab Mere Waaste,
Sirf Ek Yaad Hai Ek Fariyaad Hai,
Sirf Tanhaiyan Sirf Parchhaiyan,
Aansun Ki Nadi Dil Mein Hai Beh Rahi,
Kehti Hai Zindagi Tum Bhi Is Mein Baho,
Kuch Na Kaho Kuch Bhi Na Kaho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #914 on: March 23, 2007, 06:24:41 PM »

Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,

Mujhko Dass Gaye Dekho Saanp Aastino Ke,
Dushmano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Matam Hai,

Ro Rahe Hai Dushman Bhi Aaj Meri Hayat Par,
Aa Ke Dekh Le Teri Berukhi Ka Matam Hai,

Ho Gayi Khata Humse Tumko Toot Kar Chaha,
Jo Hamein Na Raas Aayi Us Khushi Ka Matam Hai,

Kal Ujale Baante The Humne Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai,

Dilke Tukde Tum Zalim Chunke Bhar Lo Daman Mein,
Puchhe Koi Keh Dena Dillagi Ka Matam Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 57 58 59 60 [61] 62 63 64 65 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 08, 2025, 05:28:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer