Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 58 59 60 61 [62] 63 64 65 66 ... 273
Print
Author  (Read 132974 times)
angel4u
Guest
«Reply #915 on: March 23, 2007, 06:25:44 PM »

Wo Kuch Bhi Nahi Keh Kar Sab Kuch Keh Jaati Hai,
Belafz Subaan Se Wo Hum Ko Bharmaati Hai,

Wo Labse Nahi Kehti Kehti Hai Isharo Se,
Kya Keh Ke Na Jaane Wo Khud Hi Sharmati Hai,

Ek Pal Mein Wo Hansti Hai, Duje Pal Roti Hai,
In Naaz-O-Adaon Par Hum Jaan Lutate Hai,

Kuch Khaas Unhe Shayad AshQon Se Mohabbat Hai,
Pehle Khud Roti Hai, Phir Humko Rulati Hai,

Kuchh To Pehle Hi The Hum Pyaar Mein Deewane,
Kuch Jaam Pila Ke Wo Deewana Banaati Hai,

Inkaar Zubaan Pe Hai IQraar Aankhon Mein,
Lachaar Hai Fitrat Se Ulfat Mein Satati Hai,

Hum Ko Ye Ganwara Hai Sab Sitam Mohabbat Ke,
Shukriya Khalish Humse Wo Dil To Lagati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #916 on: March 23, 2007, 06:30:50 PM »

Manzil Ko Dhundne Nikle Hum Khud Rasta Ho Gaye,
Nikle Jab Gulistan Se To Wo Be-Tanha Ho Gaye,

Chalte Chalte Jab Ehsaas Kisike Chalne Ka Hua,
Tab Se Mere Aansu Bhi Mujhse Ruswa Ho Gaye,

Apne Akelepan Ke Dhundlepan Ko Sab Se Chhipa Ke Rakha,
Aaj Ye Dard Mere Kaise Parde Se Bahar Ho Gaye,

Karte Rahe Har Pal Kisike Saye Ko Mehsoos,
Apni Parchhayi Se Hi Hum Kaise Juda Hogaye,

Kabhi Ki Thi Ghanton Humne Kitni Baatein,
Aaj Mere Lafz Hi Kyon Mujhse Juda Hogaye,

The Ab Tak Mere Paas Kuch Amanat Beete Pal Unke,
Aaj Ye Hua Ke Haadsa Phir Se Wo Pal Kahin Fanaa Hogaye,

Bahut Roka Apne AshQon Mein Khud Ko Doobne Se,
Hansi Ke Jhuthe NaQab Mein Mere Aansu Bhi Kahin Kho Gaye...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #917 on: March 23, 2007, 10:25:57 PM »
Nice sharing Angle
Logged
angel4u
Guest
«Reply #918 on: March 24, 2007, 05:21:15 PM »
Thanks Pooja Ji...

Humne Apna Har Rasta Badal Kar Dekha,
Zindagi Ki Chhanv Aur Dhoop Ko Dekha,

Jo Paya Tha Ek Saya Kisi Deewar Ka,
Usko Apne Se Hi Humne Juda Dekha,

Shikwa To Bahtu Hai Magar Ab Koi Gam Nahi Hai,
Jab Raahein Hi Alag Hai To Manzil Bhi Apni Wo Nahi Hai,

Na Hum Apne Dard Ko Dastan Banane Denge,
Unke Liye Har Zeher Ko Hans Ke Pee Lenge,

Sakoon Milega Ab Mujhe Tab Hi Kahin,
Jab Apni Har Ibadat Mein Naam Khuda Ka Lenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #919 on: March 24, 2007, 05:23:00 PM »

Kyon Neend Nahi Aati,
Kyon Chain Nahi Padta,
Kyon Raat Nahi Katti,
Kuch Baat Nahi Banti,

Tanhayi Ye Dasti Hai,
Ek Aag Bhadakti Hai,
Apna Hi Nahi Koi,
Jo Baat Kare Humse,

Sab Neend Karein Aur Hum,
Jalte Hi Rahein Tanha,
Kis Kisko Batayein Hum,
Kaise Ye Guzari Hai,

Tanhayi Ke Alam Mein,
Har Raat Hi Bhaari Hai,
Sab Chain Se Sote Hai,
Hum Raat Ko Jalte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #920 on: March 24, 2007, 05:24:48 PM »

Teri Yaadon Ki Khushboo Dhadkano Mein Raks Karti Hai,
Tere Gam Mein Sulagta Hoon Ke Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Main Hanske Jhel Laata Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein,
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #921 on: March 24, 2007, 05:28:23 PM »

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hai,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,
Bas Ek Khayal Se Kahin Uska Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,
Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye Magar,
Faasla Ana Ka Mitaya Na Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #922 on: March 24, 2007, 05:30:02 PM »

Main Apne Gahr Mein Hi Ajnabi Ho Gaya Hoon Aakar,
Mujhe Yahan Dekhkar Meri Rooh Dar Gayi Hai,
Sahem Ke Sab Aarzuyein Kono Mein Jaa Chhupi Hai,
Lauu Bujha Di Gayi Hai Napane Chehron Ki, Hasraton Ne
Ki ShauQ Pehchanta Hi Nahi,
Muradein Dehliz Hi Pe Sar Rakhke Mar Gayi Hai,

Main Kis Watan Ki Talash Mein Yun Chala Tha Gahr Se,
Ke Apne Ghar Mein Bhi Ajnabi Hogaya Hoon Aakar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #923 on: March 24, 2007, 05:32:03 PM »

Dukh Sukh Ka Andaza Karna,
Saari Shamayein Paas Bulana,
Saari Subahein Ikatthi Karna,
Saare Dost Paas Bulana,
Aru Iske Ilawa Dekho
Apne Beete Kal Likh Lena,
Apne Guzre Pal Likh Lena,
Apne Beete Ek Ek Pal Ka,
Apne Guzre Ek Ek Kal Ka,
Ek Ek More Ka Aahaata Karna,
Agar To Khushiya Badh Jayein
Mat Bekar Takleef Tum Karna,
Aur Agar Gam Badh Jayein,
Dekho Phir Tum Aisa Karna,
Mujhse Meri Khushiyan Le Lena,
Mujhko Apne Gam De Dena,
Ab Ke Baras Kuch Aisa Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #924 on: March 24, 2007, 05:34:04 PM »

Kabhi Socha Nahi Tha Is Mod Pe Aa Jaungi,
Mere Jeewan Ki Siyan Raatonse, Daman Apna Main Chhuda Paungi,

Kitne Toote Hue Sapne Kayi Berang Khayal,
Unhe Main Jod Naya Rang Bhi De Paungi,

Yaad-E-Maazi Se Jo Wehshat Si Mujhe Hoti Hai,
Us Aziyat Se Main Kab Tak Nikal Paungi,

Tune Di Aas, Ummidein Hai Bandayi Meri,
Hosla Mujhko Diya, Phir Se Hansi Khwabon Ka,

Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe,
Main Kehkashan Mein Sitaron Ko Bhi Chhu Paungi,

Main Dard-O-Yaas Ki Duniya Pe Fateh Paungi,
Tere Dil Mein Tere Jeevan Mein Sama Jaungi,
Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #925 on: March 24, 2007, 05:37:30 PM »

Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tadpaati Hai,
Ek Ummid Hai Tere Aane Ki,
Apna Tujhe Bananeki,
Na Chain Hai Na Sukoon Hai,
Ye Kaisa Mera Haal Hai,
Raatein Ho Gayi Hai Itni Lambi,
Jo Kaate Nahi Katti,
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai,
Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har WaQt Mere Sath Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #926 on: March 24, 2007, 05:39:04 PM »

KUCH LOG BADAL GAYE HAI...

Is Raat Ki Tanhaiyon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hai,
Chand Nikla Hai Waise Hi
Andhere Badal Gaye Hai,

Jinke Bharose Thi Khushiyan,
Wo Badal Thaher Gaye Hai,
Manzilein To Ab Bhi Wohi Hai,
Kuch Raste Badal Gaye Hai,

Jinpe Kiya Tha Bharosa Humne,
Wo Dost Bichhad Gaye Hai,
Dekhe The Jo Humne,
Wo Khwaab Badal Gaye Hai,

Jo Bane The Kabhi Humsafar,
Aaj Wohi Mukar Gaye Hai,
Is Toote Hue Dilke Saare
Jazbaat Badal Gaye Hai,

Na Badle Kabhi Hum,
Na Badle Hamare Khayalat,
Bas Rona Hai Yehi,
KUCH LOG BADAL GAYE HAI...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #927 on: March 24, 2007, 05:42:10 PM »

Dard Wo Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahi,
Manzil Wo Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahi,

Sapne Wo Hai Jisme Koi Apne Bhi Nahi,
Dil Wo Hai Jisme Koi Dhadkan Bhi Nahi,

Aankhein Wohi Hai Jisme Koi Haya Bhi Nahi,
Samundar Wo Hai Jisme Koi Lehre Bhi Nahi,

Mohababt Wo Hai Jisme Koi Manzil Bhi Nahi,
Pyaar Wo Hai Jisme Koi Haya Bhi Nahi,

Dil Wo Hai Jisme Koi Raah Bhi Nahi,
Phool Wo Hai Jisme Koi Khushbu Bhi Nahi,

Mehek Wo Hai Jisme Taazgi Bhi Nahi,
Bhool Wo Hai Jiski Koi Pyaas Bhi Nahi,

Pyaas Wo Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahi,
Zindagi Wo Hai Jisme Koi Maza Bhi Nahi,

Maut Wo Hai Jiska Koi Pata Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #928 on: March 24, 2007, 05:43:06 PM »

Logonka Na Jane Kya Hota Jaa Raha Hai,
Har Koi Apna Zameer Khota Jaa Raha Hai,

Koi Bhi To Kisi Ka Nahi Raha Ab,
Bhai Bhai Se Bichhadta Jaa Raha Hai,

Azis Ek Dusre Se Bhagne Lage,
Nafrat Ka Ehsaas Mohabbat Ko Nigalta Jaa Raha Hai,

Khushiya Jaane Kyon Rooth Si Gayi Hai "AMIR"
Har Koi Gum Mein Doob Kar Pighalta Jaa Raha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #929 on: March 24, 2007, 06:28:31 PM »

Tumhe Kaise Main Bataun, Tumhe Kaise Main Kahoon,
Mere Bas Mein Agar Ho To Main Bas Itna Hi Karun,
Tumhe Dinbhar Tumhe Har Pal Dekhta Hi Main Rahun,
Tumhe Dekhun Tumhe Chahun Tumhe Poojoon Har Pal,
Tumhe Sochun Tumhe Samjhun Tumhe Maango Har Pal,
Tumhe Main Gungunaun Tumhe Gaaun Har Pal,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan,
Mera Marna Bhi Tumhi Ho Mera Jeena Bhi Ho Tum,
Meri Madira Bhi Tumhi Ho, Mera Peena Bhi Ho Tum,
Meri Chandi Bhi Tumhi Ho, Mera Sona Bhi Ho Tum,
Mera Hasna Bhi Tumhi Ho, Mera Rona Bhi Ho Tum,
Meri Saari Saanson Mein Tumhari Saansein Jaise Ho Ghuli,
Meri Aakhein Tumhe Dekhe Chahe Band Ho Ya Khuli,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan,
Mere Dil Mein Hai Ye Armaan Tumhe Ek Din Paaun,
Is Ambar Se Bhi Aage Tumhe Le Kar Jaun,
Jahan Rahoon Main Ho Bikhre Sab Chand Aur Taare,
Jahan Geeton Ke Behte Ho Meethe Dhaare,
Jahan Khwabon Ki Duniya Kabhi Soyi Nahi Ho,
Jahan Tum Ho Jahan Main Hoon Aur Koi Nahi Ho,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 58 59 60 61 [62] 63 64 65 66 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 08, 2025, 05:53:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer