Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 59 60 61 62 [63] 64 65 66 67 ... 273
Print
Author  (Read 131228 times)
angel4u
Guest
«Reply #930 on: March 24, 2007, 06:30:01 PM »

Chaak-E-Daman Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand,

Unke Abroey-Khameeda Ki Tarah Teekha Hai,
Apni Aankhon Mein Badi Der Chubha EID Ka Chaand,

Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jiase,
Gam Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand,

Leke Haalaat Ke Seraon Mein Aa Jaata Hai,
Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand,

Talhiyaan Badh Gayi Jab Zeest Ke Paimaane Mein,
Gholke Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand,

Chashm To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi,
Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #931 on: March 24, 2007, 06:34:50 PM »

Teri Tasveer Ko Tasavvur Mein Banata Raha,
Ek Musaver Raat Bhar Aansu Bahata Raha Hai,

Tune Thukraya Bhi To Us Shakhs Ko,
Jo Tere Dar Pe Sajde Lutata Raha Hai,

Usko Khushiyon Ka Intezar Nahi Hota,
Jo Gam Ka Saath Umar Bhar Nibhata Raha Hai,

Wo Shakhs To Ek Pal Ko Bhi Tera Na Hua,
Tu Jiski Yaadon Ke Charag Jalata Raha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #932 on: March 24, 2007, 06:35:58 PM »

Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai,
Jaise Khushboo Aur Hawa Ka Ristha Hai,

Ke Dooje Ko Toot Ke Chaha Karte Hai,
Lekin Kuch Kuch Sath Aana Ka Rishta Hai,

Ek Dooje Ki Majboori Hai Hum Dono,
Jaise Rangat Aur Heena Ka Rishta Hai,

Gam Se Bhar Kar Dost Nahi Hai Koi Bhi,
Jiska Mere Sath Sada Ka Rishta Hai,

Jo Kuch Mangun Mil Jata Hai Lamhon Mein,
Kaisa Mera Aur Khuda Ka Rishta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #933 on: March 24, 2007, 06:38:01 PM »

Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Maalum Nahi,
Gam Dena Malum Hai Lekin Gam Ki Dawa Maalum Nahi,

Jinki Gali Mein Umr Ganwa Di Jeevan Bhar Hairan Rahe,
Paas Bhi Aa Ke Paas Na Aaye Jaan Ke Bhi Anjaan Rahe,
Kaunsi Aakhir Ki Thi Humne Aisi Khata Maalum Nahi,

Aye Mere Pagal Armaano Jhuthe Bandhan Tod Bhi Do,
Aye Meri Zakhmi Ummidon Dilka Daman Chhod Bhi Do,
Tum Ko Abhi Is Nagri Mein Jeene Ki Saza Maalum Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #934 on: March 24, 2007, 06:39:09 PM »

Azeez Itna Hi Rakhi Ke Jee Sambhal Jaye,
Ab Is Kadar Bhi Na Chaho Ke Dam Nikal Jaye,

Mile Hai Yun To Bahut Aao Ab Milein Yun Bhi,
Ke Rooh Garmi-E-Anfaas Se Pighal Jaye,

Mohabbaton Mein Ajab Hai Dilon Ka Dhadaka Sa,
Ke Jaane Kaun Kahan Raasta Badal Jaye,

Rahe Wo Dil Jo Tamanna-E-Taazaa Tar Mein Rahe,
Khusha Wo Umr Jo Khwabon Hi Mein Bahaal Rahe,

Main Wo Charag-E-Sar-E-Rehguzar-E-Duniya Hoon,
Jo Apni Zaat Ki Tanhaiyon Mein Jal Jaye,

Har Ek Lehja Yehi Aarzu Yehi Hasrat,
Jo Aag Dil Mein Hai Wo Sher Mein Bhi Dhal Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #935 on: March 24, 2007, 06:40:24 PM »

Ye Khushbu Ab IshQ Ki Sab Taraf Na Mahek Jaye,
Mera Wajood Kahin Tere Daman Se Lipat Na Jaye,

Sochke Dar Jata Hoon Main Akele Mein Kayi Baar,
Kahin Tera Naam Koi Mere Chehre Par Likha Padh Na Jaye,

Tere Hi Pyar Ke Rangon Se Saja Ke Rakhi Hai Maine Duniya Apni,
Aa Jaa Aaj Pehlu Mein Ke Ye Raat Aaj To Kuch Khwabon Se Behek Jaye,

Kate Nahi Katti Ab Ye Ghadiyan Tujhse Judayi Ki,
Ek Baar Aake Mil Le Ke Ab Ye Safar Tanha Na Humse Kata Jaaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #936 on: March 24, 2007, 06:43:10 PM »

Ye Inaayatein Gazab Ki Ye Bala Ki Meherbani,
Meri Khairiyat Bhi Puchhi Kisi Aur Ki Zubaani,

Mera Gam Rula Chuka Hai Tujhe Bikhri Zulf Wale,
Ye Ghata Bata Rahi Hai Ke Baras Chuka Hai Paani,

Tera Husn So Raha Tha Meri Chhed Ne Jagaya,
Wo Nigah Maine Daali Ke Sanwar Gayi Jawani,

Meri Bezubaan Aankhonse Gire Hai Chadn Katre,
Wo Samajh Sake To Aansu Na Samajh Sake To Paani...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #937 on: March 24, 2007, 06:45:08 PM »

Aab-E-Chashm Mein Beh Gayi Kuch Kahaniyan,
Ranjish-E-Dil Ki Beh Gayi Kuch Nishaaniyan,

Alam Ye Lag Raha Hai Kuch Khushnuma,
Dilko Mere Chain De Gayi Kuch Tabahiyan,

Kashish Thi Us Pyar Mein Kuch Zaroor,
Wo Nigahein Berahem Le Gayi Kuch Kurbaaniyan,

IshQ Hamara Shayad Tha Kuch Na Qaabil,
Bas Dil Ke Kone Mein Reh Gayi Kuch Kahaniyan,

Aagosh Mein IshQ Ke Hue Kuch Barbaad,
Daastan-E-ShauQ Ki Reh Gayi Kuch Nishaaniyan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #938 on: March 24, 2007, 06:46:14 PM »

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,

Ke Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhanv Mein,
Guzarne Paati To Shaadaab Ho Bhi Sakti Thi,
Ye Teergi Jo Meri Zeest Ka MuQaddar Hai,
Teri Nazar Ki Shuwaon Mein Kho Bhi Sakti Thi,

Ajab Na Tha Ke Main Begana-E-Alam Ho Kar,
Tere Jamaal Ki Raanaaiyon Mein Kho Rehta,
Tera Gudaaz Badan Teri Neem-Baar Aankhein,
Inhi Haseen Fasano Mein Maaho Rehta,

Pukarti Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki,
Tere Labonse Halaawat Ke Ghoont Pee Leta,
Hayaat Chikhti Phirti Barahana Sar, Aur Main
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhupke Jee Leta,

Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai,
Ke Tu Nahi, Tera Gam, Teri Justuju Bhi Nahi,
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise,
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzu Bhi Nahi,

Zamane Bhar Ke Dukhon Ko Laga Chuka Hoon Gale,
Guzar Raha Hoon Kuch Anjani Guzar-Gaahon Se,
Muhbi Saye Meri Simt Badhte Aate Hai,
Hayaat-O-Maut Ke Pur-Haul Kharazaaron Se,

Na Koi Jaadaa Na Manzil Na Roshni Ka Surag,
Bhatak Rahi Hai Khayalon Mein Zindagi Meri,
Inhi Khayalon Mein Reh Jaunga Kabhi Khokar,
Main Janta Hoon Meri Ham-Nafas Magar Yunhi,

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai...

{Sahir Ludhiyanvi}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #939 on: March 24, 2007, 06:47:37 PM »

Kabhi Dukh Ki Aanch Kisi Pe Na Aane Dena,
Aya Hai Mehmaan Koi To Na Jaane Dena,

Har Ghadi Khudse Ulajh Jaata Hoon Main,
Agar Koi Manaye To Manane Dena,

Main To Aksar Tanhayi Mein Ro Padta Hoon,
Qissa-E-Gam Sunaun To Sunane Dena,

Usne Bheja Hai Ye Paigam Bazoor,
Hawa Zulf Tumhari Lehrayi To Lehrane Dena,

Har Baat Ka Matlab Galat Na Nikala Karo,
Jab Main Samjhaun To Samjhane Dena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #940 on: March 24, 2007, 06:49:49 PM »

Kya Tum Bhi
Aansu Rokne Ki Koshish Mein,
Palkein Tez Tez Jhapakte Ho,
Aur
Kisi Sandese Ki Aas Mein Baar Baar
Darwaze Ki Jaanib Lapakte Ho,
Kya Tum Bhi
Phool Pe Girti Baarish Ki Awaz Se,
Aur
Door Kahin Bajne Wale Almiyaan
Saaz Ki Awaz Se
Aafsurda Ho Jaate Ho???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #941 on: March 25, 2007, 05:05:00 PM »

Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,
Saare Gam Baant Lein Har Khushi Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,

Daal Lein Reet Agar Baant Lene Ki Hum,
Dugni Ho Khushi Nisf Reh Jayein Gam,
AshQ TaQseem Kar Lein Khushi Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,

Pyaas Ka Raabta Bhi Samundar Se Ho,
Koi Muflis Na Bahar Na Andar Se Ho,
Jitni Daulat Hai Ehsaas Ki Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,

Rakhein Buniyaad Agar Adal Ki Pyaar Ki,
Kitni Unchi Imarat Ho Kirdaar Ki,
Jal Uthe Roshni Har Diya Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,

Raaste Ek Ho Manzilein Ek Ho,
Mukhtalif Log Bhi Jab Mile Ek Ho,
Aaine Hi Nahi Zehen Bhi Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein,

NuQrayi Subah Par Surmayi Shaam Par,
Sab Ka HaQ Ho Inaayat-E-Ayyaam Par,
HaQ Qadam Har Nazar Har Ghadi Baant Lein,
Aao Aapas Mein Hum Zindagi Baant Lein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #942 on: March 25, 2007, 05:06:10 PM »

Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Hijr Ke Gehre Zakham Mile To Mujhko Ye Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samajhne Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Jaan Se Pyaare Logonse Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai,
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Khwabon Mein Bhi Piya Milan Ke Sapne Dekhte Rehte Hai,
Neendon Mein Muskurane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Is Jhuthi Nagri Mein Humne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Pyaar Jinhe Ho Jaye Unko Chain Bhala Kab Milta Hai?
Shab Bhar AshQ Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Apni Zaat Se Ujde Gulshanse Wo Pyaar Kahan Karte Hai?
Auron Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #943 on: March 25, 2007, 05:09:31 PM »

Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Magar Main Keh Nahi Sakta,
Ajab Ye Baat Hai Kaisi,
Ke Jisko Seh Nahi Sakta,
Na Jaane Kab Mere Dil Mein,
Na Jaane Kab Meri Jaan Mein,
Tumhare Naam Ka Roshan Diya Sa Jagmagata Hai,
Tumhare Zikr Pe Dhadkan Ne Toofan Sa Uthaya Tha,
Tumhare Naam Se Aankhon Mein Koi Rang Aaya Tha,
Sulagte Shab Ki Khamoshi Mein Dil Aksar Dhadakta Hai,
Mere Khwabon Mein Aksar Hi Tumhara AQs Milta Hai,
Mere Yaadonki Raahon Pe Tumhara Naksh Milta Hai,
Jahan Koi Bhi Jurm-E-Dil Lagi Ki Baat Karta Hai,
Ye Dil Aise Mein Aksar,
Tumhi Ko Yaad Karta Hai,
Magar Afsos Tum Ne Aaj Tak Unko Nahi Dekha,
Dikhaun Bhi Bhala Kaise Sunaun Bhi Bhala Kaise,
Agar Main Laakh Bhi Chahun,
Bata Tumko Nahi Sakta,
Tumhe Main Keh Nahi Sakta,
Tumhe Samjha Nahi Sakta,

Mujhe Tumse Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #944 on: March 25, 2007, 05:12:04 PM »

Ek Din
Baaton Hi Baaton Mein,
"Jane Kyon Duniya Ne
Rog Bana Liya Hai Judayi Ko,"
Maine Kaha
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai?
To Kehne Laga,
"Ha To Magar...
Rog Nai Laga Sakta"
Aur Phir Aisa Palta
Na Kabhi Laut Kar Aaya,
Koi Mere Dilse Puchhe,
Kya Hai Ye?
Mohabbat Ki Ada Hai???
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 59 60 61 62 [63] 64 65 66 67 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 10:39:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer