Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 60 61 62 63 [64] 65 66 67 68 ... 273
Print
Author  (Read 132975 times)
angel4u
Guest
«Reply #945 on: March 25, 2007, 05:13:36 PM »

Ek Din
Baaton Hi Baaton Mein,
Usne Chand Lamhe
Mujhe Bagor Dekhte Hue Kaha
"Tumhari Aankhein Bahut Achhi Hai
Jab Tum Royi Hui Hoti Ho
To Soojhi Soojhi Si Bojhal Ankhein
Bahut Achhi Lagti Hai"
Aur Us Din Pehli Baar
Maien Tanhayi Mein
Bagor Apni Aankhein Dekhi,
Yun Laga Kisine Qareeb Se Sargoshi Ki Ho,
'Tumhari Aankhein Bahut Achhi Hai'
Aur Main Ye Soch Kar Dheeme Se Muskura Di,
Ke Jiski Khushi Aur Ana
Mujhe Apni Zaat Ki Tarah Azeez Hai,
Us Meherbaan Ko
Agar Mere Kuch Azeez Hai,
To FaQt Meri Aankhein,
Aur Wo Bhi
"Royi Hui"
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #946 on: March 25, 2007, 05:14:52 PM »

Mere Meherbaan
Jaanti Hoon Main,
Meri Khushi Mere Israar Par
FaQt Meri Ana Ki Khatir,
Tune Kisi Aur Ka Haath Thama Tha,
To Phir Aaj
Jab Meri Nazrone Tujhe
Kisi Aur Ke Sang Dekha To
Kyon Aisa Laga Mujhko?
"Jaise Tune Mujhse Bewafayi Ki"
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #947 on: March 25, 2007, 05:16:06 PM »

Main Kis Dam Roya Karti Thi,
Teri Yaad Mein Khoya Karti Thi,
Khushboo Ho Khazaan, Basant, Bahar,
Tujhko Hi Dhunda Karti Thi,
Koi Aahat Bhi Tere Aane Ki,
Ab Dilko Nahi Dhadkati,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab
Kyon Teri Yaad Nahi Aati?

Hum Jitne Baras Bhi Saath Rahe,
Haathon Mein Aksar Haath Rahe,
Kabhi Sang Sang The Ya Tanha The,
Bas Ek Duje Ki Aas Rahe,
Ab Teri Koi Tasalli Bhi,
Is Dilko Nahi Behlaati,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab,
Kyon Teri Yaad Nahi Aati?

Hamare Sath Se Jo Bhi Jalte The,
Hamari Wafa Ki Kasmein Bhi Bharte The,
Kabhi Shanasa The Ya Anjaan The,
Hum Ek Duje Ki Jaan The,
Teri Koi Ada Bhi Ab,
Nahi Dilko YaQeen Dila Paati,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab,
Kyon Teri Yaad Nahi Aati?

Kabhi Dil Dukhaya Karte The,
Ek Duje Ko Sataya Karte The,
Sar-E-Mehfil Khamosh Se Rehte The,
Tanhayi Mein Manaya Karte The,
Teri Aankhein Purnam Dekh Ke Hi,
Usi Lamhe Maan Jaati,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab
Kyon Teri Yaad Nahi Aati?

Ek Samjhota Ab Kar Liya Hai,
Tujhe Yun Saanson Mein Bhar Liya Hai,
Tujhe Paane Ki Rahi Hasrat Hi Nahi,
Aur Mangna Apni Fitrat Hi Nahi,
Hai Ummid Ke Tujhe Paa Lungi,
Ye Aas Bhi Nahi Ab To Bhaati,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab
Kyon Teri Yaad Nahi Aati?

Tujhe Khudse Badhke Chaha Tha,
Teri Khataon Ko Bhi Saraha Tha,
Ek Galat Fehmi Ne Humko Door Kiya,
Maine Kitna Tumhe Samjhaya Tha,
Hai Suna Ke Ab Pachhtate Ho,
Par WaQt To Beet Chuka Saathi,

Main Khud Bhi Hoon Hairan Ke Ab
Kyon Teri Yaad Nahi Aati???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #948 on: March 25, 2007, 05:17:33 PM »

Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-RaQeeb Se,
Tumse To Kam Gila Hai Zyada Naseeb Se,

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai,
Hota Hai Pehron Zikr Tumhara Tabeeb Se,

Barbaad-E-Dilka Aakhri Sarmaya Thi Ummid,
Wo Bhi To Tumne Chheen Liya Mujh Gareeb Se,

Dhundla Chali Nigaah Dam-E-Waapsi Hai Ab,
Aa Paas Aa Ke Tujhko Dekh Lun Qareeb Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #949 on: March 25, 2007, 05:18:58 PM »

Baandh Lein Haath Se Seene Pe Saja Lein Tumko,
Jee Mein Aata Hai Ke Taveez Bana Lein Tumko,

Phir Tumhe Roz Sawarein Tumhe Badhta Dekhein,
Kyon Na Aangan Mein Chameli Sa Laga Lein Tumko,

Kya Ajab Khwahishein Uthti Hai Hamare Dil Mein,
Kar Ke Munna Sa Hawa Mein Uchhalein Tumko,

Kabhi Khwabon Ki Tarah Aankh Ke Parde Mein Raho,
Kabhi Khwaahish Ki Tarah Dil Mein Bula Lein Tumko,

Is Qadar Toot Ke Tumpe Hamein Pyaar Aata Hai,
Apni Baahon Mein Bharein Maar Hi Daalein Tumko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #950 on: March 25, 2007, 05:20:16 PM »

Uljhano Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha,
Tera Jawab Tere Sawalat Mein Hi Mein Tha,

Saya Kisi YaQeen Ka Bhi Jis Par Na Pad Saka,
Wo Ghar Bhi Sheher Ke Muzafat Hi Mein Tha,

Ilzaam Kya Hai Ye Bhi Na Jana Tamam Umar,
Mulzim Tamaam Umar Hawalaat Hi Mein Tha,

Mujhko To Qatl Karke Manaata Raha Hai Jashn,
Wo Zilihaaz Shakhs Meri Zaat Hi Mein Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #951 on: March 25, 2007, 05:21:30 PM »

Yun Teri Nigahon Se Gila Kuch Bhi Nahi Tha,
Is Dil Ne To Yun Hi Bekarar Baithe Bithaye
Veeraniye Lamhaat Ko Behlane Ki Khatir,
Afsanae Ghade Baatein Bana Li Thi Hazaron,
Ye IshQ Ka Afsana Jo Phir Chheda Hai Tune,
Bekarar Hai Ab WaQt Kahan Usko Sunun Main,
Tab Tumko Faraagat Na Thi Ab Mujhko Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #952 on: March 25, 2007, 05:23:37 PM »

Tazkiraa Gam Ka Padha Aur WaraQ Mod Aaye,
Wo Kitaab Uske Sarhaane Hi Khuli Chhod Aaye,

Log Behte Hue Dariya Mein Hamein Chhod Aaye,
Hum Bhi Dariya Ko Samundar Ki Taraf Mod Aaye,

Zakham Jo Aaye Hai Haathon Mein Wo Bharte Hi Nahi,
Hum Bahut Khush The Ke Sheeshe Ka Makaan Tod Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #953 on: March 25, 2007, 05:29:33 PM »

Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Hamein,
Patthar Pe Hoon Lakir Mita Dijiye Hamein,

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon Ek Baar Bata Dijiye Hamein,

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mauzu-E-Guftagu,
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Hamein,

Main Kya Hoon Kis Jagah Hoon Mujhe Kuch Khabar Nahi Hai,
Hai Aap Kitni Door Sada Dijiye Mujhe,

Ke Maine Apne Zakhm Ki Tashheer Ja-Ba-Ja,
Main Maanta Hoon Jurm Saza Dijiye Mujhe,

Qayam To Ho Sake Koi Rishta Gauhar Ke Sath,
Gehre Samundaron Mein Baha Dijiye Mujhe,

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasne Se Faiyda,
Hai Teergi To Aag Laga Dijiye Mujhe,

Jalte Dino Mein Khud Paas-E-Deewar Baith Kar,
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe,

SHEHZAD Yun To Shola-E-Jana Sard Ho Chuka,
Lekin Sulag Uthoon To Hawa Dijiye Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #954 on: March 25, 2007, 05:34:41 PM »

Jal Bhi Chuke Parwane Ho Bhi Chuki Ruswayi,
Ab Khaak Udane Ko Baithein Hai Tamashayi,

Taaron Ki Ziya Dil Mein Ek Aag Lagati Hai,
Aaram Se Raaton Ko Sote Hai Saudayi,

Raaton Ki Udaasi Mein Khamosh Hai Dil Mera,
Behis Hai Tammanayein Neend Aayi Ke Maut Aayi,

Ab Dilko Kisi Karwat Se Aaram Nahi Milta,
Ek Umar Ka Rona Hai Do Dinki Shanasayi,

Ek Shaam Wo Aaye The Ek Raat Firozaan Thi,
Wo Shaam Nahi Lauti Wo Raat Nahi Aayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #955 on: March 25, 2007, 05:36:01 PM »

Zindagi Tune Lahoo Leke Diya Kuch Bhi Nahi,
Tere Daaman Mein Mere Waaste Kya Kuch Bhi Nahi,

Mere In Haathon Ki Chaho To Talashi Le Lo,
Mere Hathon Mein Lakeeron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Yaa Khuda Ab Ke Ye Kis Rang Se Aayi Hai Bahar,
Zard Hi Zard Hi Paidon Pe Hara Kuch Bhi Nahi,

Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachhe Ki Tarah,
Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye, Ya Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #956 on: March 25, 2007, 05:39:07 PM »

Hijr Ki Shab Bhi Aur Ujala Hai,
Kya Tasavvur Bhi Lutane Wala Hai,

Gam To Hai Zindagi Lekin
Gumgusaron Ne Maar Dala Hai,

IshQ Majboor-O-Namuraad Sahi,
Phir Bhi Saalim Ka Bol-Baala Hai,

Dekh Kar BarQ Ki Pareshani,
Aashiyan Khud Hi Phoonk Dala Hai,

Kitne AshQon Ko Kitni Aahon Ko,
Ek Tabassum Mein Usne Daala Hai,

Teri Baaton Ko Maine Aye Vaa'iz,
Ehtaraaman Hansi Mein Taala Hai,

Maut Aaye To Din Phire Shayad,
Zindagi Ne To Maar Dala Hai,

Sher, Nazmein, Shaguftagi, Masti,
Gam Ka Jo Roop Hai Nirala Hai,

Lagzishein Muskurayi Hai Kya Kya,
Hosh Ne Jab Mujhe Sambhala Hai,

Dam Andhere Mein Ghut Raha Hai,
Aur Charon Taraf Ujala Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #957 on: March 25, 2007, 05:40:12 PM »

Kahin Aisa Na Ho Daaman Jala Lo,
Hamare Aansuon Par Khaak Daalo,

Manana Hi Zaroori Hai To Phir Tum,
Hamein Sab Se Khafa Hokar Mana Lo,

Bahut Royi Hui Lagti Hai Aankhein,
Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo,

Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko,
Kahan Ho Aye Mere Khwabon Khayalon,

Bahut Mayoos Baitha Hoon Main Tumse,
Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #958 on: March 25, 2007, 05:42:06 PM »

Jaan Ki Parwah Bhi Kisko Ho Jab Qaatil Ho Yaaron Sa,
Baatein Ho Dildaaron Jaisi Lehja Ho Gamhwaaron Sa,

Kisne Kaha Tha Barkha Rut Mein Yun Bedhyaan Anjaan Phiro,
Ond Padne Se Aur Bhi Jaise Bhadke Jism Angaron Sa,

Aate Jaaet Saare Mausam Usse Nisbat Rakhte Hai,
Uska Hijr Khazaon Jaisa Uska Qurb Baharon Jaisa,

Ab Ke Hawayein Yun Chalti Hai Jaise Dil Par Teer Chalein,
Ab Ke Gulabon Ka Mausam Bhi Vaar Kare Talvaaron Sa,

Barso Baad Usko Dekha Uska Haal Ahwaal Na Puchh,
Sher Wahi Dil Walon Jaise Shugal Wahi Banjaron Sa...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #959 on: March 25, 2007, 05:49:38 PM »

Khizaan Ke Aakhri Din The,
Bahar Aayi Na Thi Lekin,
Hawa Ke Lams Mein Ek Bhi Sada Si,
Nagmagi Mehsoos Hoti Hai,

Darakhton Ke Tahyaer Mein,
Kisi Bhi Aasra Ummid Ki Lau Thartharati Thi,

Guzargaon Mein Udte Khushk Patte,
Ajnabi Logon Ke Qadmon Se Lipatte Aur Ulajhte The,
To Ek Bhooli Hui Tasveer Jaise Kond Jaati Thi,

Har Ek Manzar Ke Chehre Par,
Larazti Bekali Si Reshmi Chilman Kasheeda Thi,
Nazar Rasta Na Paati Thi,

Kuch Aisahi Sama Tha Jab
Wo Mere Bakht Ke Sehra Mein Sawan Ki Tarah Utri,
Meri Saanso Mein Mehki,

Nigahon Ke Sitare Aarzu Ke Istaare
Tamannaon Ke Seil ShauQ Mein Behne Lagi Thi,

Mere Seene Pe Sar Rakh Kar Achanak Muskurayi
Aur Kuch Kehne Lagi Wo.....

Na Jane Kya Tha Wo Jumla,
Aur Uska Adh Kaha Jumla,
Jo Gunche Ki Tarah Un Kaanpte Hothon Pe Khila Tha,

Usi Lamhe Koi Koyal Bade Dard Se Kooki Thi,
Wo Jaise Achanak Neend Se Jaagi Thi,
Aur Usne Bade Dukh Se FalaQ Ki Taraf Dekha Tha,
Wo Boli Thi.....

"Sitara Shaam Ka Roshan Hua Hai, Ab Main Chalti Hoon"
Khazaan Ke Aakhri Din The,
Hawa Ke Lams Mein Ek Besdaa Si Nagmagi Mehsoos Hoti Hai,
Koi Maanoos Si Khushbu Mere Kaano Mein Kehti Hai,
Phir Uske Husn Ka Mehram Tera Dil Hone Wala Hai,
Wo Uska Adh Kaha Jumla
Mukammal Hone Wala Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 60 61 62 63 [64] 65 66 67 68 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 08, 2025, 06:29:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer