Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 61 62 63 64 [65] 66 67 68 69 ... 273
Print
Author  (Read 131231 times)
angel4u
Guest
«Reply #960 on: March 25, 2007, 05:54:19 PM »

Raaz-E-Dil Aam Kar Gaye Aansu,
Gam Ko Badnaam Kar Gaye Aansu,

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya,
Aaj To Kaam Kar Gaye Aansu,

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur Hum Thaam Kar Gaye Aansu,

Hum Kisike Na The Magar Humko,
Aap Ke Naam Kar Gaye Aansu,

Har Kisi Ne Lagaya Daam,
Gam Ko Nilaam Kar Gaye Aansu,

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein,
Har Taraf Shaam Kar Gaye Aansu,

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha,
Aur Kuch Kaam Kar Gaye Aansu,

Shayri Sirf Shayri Thi,
Usko Ilhaam Kar Gaye Aansu...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #961 on: March 25, 2007, 05:57:44 PM »

Aaj Phir Shaam Dhale,
Phir Wohi Dard Sa Jaga Hai Raahon Mein,
Phir Wohi Aah Si Nikli Hai Mere Seene Se,
Phir Wohi Khwaab Se Toote Hai Meri Aankhon Mein,
Phir Wohi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton Mein,
Phir Wohi AshQ Se Thehre Hai Meri Palkon Par,
Phir Wohi Raat Si Jeevan Mein Utar Aayi Hai,
Phir Wohi Aakhri Manzar Hai Meri Aankhon Mein,
Aaj Phir Shaam Dhale Mujhe Tum Yaad Aaye Ho...
* * * * *
Logged
phoenix
Guest
«Reply #962 on: March 25, 2007, 06:15:54 PM »
Quote from: "angel4u"

Raaz-E-Dil Aam Kar Gaye Aansu,
Gam Ko Badnaam Kar Gaye Aansu,

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya,
Aaj To Kaam Kar Gaye Aansu,

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur Hum Thaam Kar Gaye Aansu,

Hum Kisike Na The Magar Humko,
Aap Ke Naam Kar Gaye Aansu,

Har Kisi Ne Lagaya Daam,
Gam Ko Nilaam Kar Gaye Aansu,

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein,
Har Taraf Shaam Kar Gaye Aansu,

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha,
Aur Kuch Kaam Kar Gaye Aansu,

Shayri Sirf Shayri Thi,
Usko Ilhaam Kar Gaye Aansu...
* * * * *



bahut khoob angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #963 on: March 25, 2007, 06:27:05 PM »
Thanks Nitesh Usual Smile


Koi Kaisa Humsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao,
Abhi Kya Pata Kisi Ka Ke Chali Nahi Hai Naav,

Ye Zaroori To Nahi Hai Ke Sada Rahein Marasim,
Ye Safar Ki Dosti Hai Ise Rog Mat Lagao,

Mere Chaara-Gar Bahut Hai Ye Khalish Magar Hai Dil Mein,
Koi Aisa Ho Ke Jisko Ho Azeez Mere Ghaav,

Tumhe Aayena-Gari Mein Hai Bahut Kamaal Haasil,
Mera Dil Hai Kirchi Kirchi Ise Jod Kar Dikhao,

Koi Keis Tha To Hoga, Koi Kohan Tha To Hoga,
Mere Rang Muhtalif Hai Mujhe Unse Mat Milao...
* * * * *
Logged
Talat
Guest
«Reply #964 on: March 25, 2007, 06:27:07 PM »
Nice collection Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #965 on: March 25, 2007, 06:28:53 PM »
Thanks Talat Ji Usual Smile




Toota Hua Shisha Joda Nahi Jaata,
Aankh Se Nikla Hua Aansu Phir Wapas Nahi Aata,

Tum To Keh Ke Bhool Chuke Ho Sab Kuch,
Lekin Mujhse Wo Pal Bhulaya Nahi Jaata,

Teri Mohababt Ne Zanjeerein Dali Hai Aisi,
Ke Chhudana Bhi Chahun To Chhudaya Nahi Jaata,

Mehfil Mein Bhi Mujhko Tanhayi Nazat Aati Hai,
Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaya Nahi Jaata,

Mere Dilki Deewaron Par Sirf Tera Hi Naam Likha Hai,
Mitana Bhi Chahun To Mitaya Nahi Jaata,

Saans Rukne Se Pehle Ek Jhalak Dikha Jana,
Bewafa Zindagi Ka Aitbaar Kiya Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #966 on: March 26, 2007, 05:48:37 PM »
CHAND PHIR UDAAS HAI

Ajnabi Si Raahon Mein,
Door Tak Nigahon Mein,
Teergi Ka Mausam Hai,
Berukhi Ka Mausam Hai,
Aaj Phir Nigahon Ko
Beete Kal Ki Pyaas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Rang Phike Phike Hai,
Taare Roothe Roothe Hai,
Badalon Ka Shor Hai,
Khizaan Khizaan Ye Daur Hai,
Is Kadar Akele Mein
Pyar Ki Talash Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Ajab Hai Dil Ki Wehshatein,
Aur Aas Paas Aahatein,
Jisko Dhundna Chaho,
Usko Dhund Kab Paao,
Phir Raha Hoon Darbadar,
Maujazey Ki Aas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Baat To Kare Koi,
Saath To Chale Koi,
Khamoshi Ke Pehre Hai,
Zakham Dilke Gehre Hai,
Aaj Wo Mile Mujhko Dard Jisko Raas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #967 on: March 26, 2007, 05:49:30 PM »

Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi,
Meri Tanha Raaton Ko Mehkane Lagi,

Kal Tak Dil Mohabbat Se Anjaan Tha,
Aaj Jaana Isse, Aankh Sharmane Lagi,

Dhadkan Thamti Nahi Dekh Lun Jab Use,
Mere Khwabon Mein Surat Wo Samane Lagi,

Jab Mohabbat Na Thi, Dil Tadapta Na Tha,
Aaj Reh Reh Ke Judayi Mujhko Tadpane Lagi,

Jab Mai-Khane Mein Tha, Kabhi Behka Nahi,
Aaj Uski Nazrein Nashili Mujhko Behkane Lagi,

Aaj Bekhabar Hoon Duniya Ki Uljhano Se Main,
Mohabbat Naye Naye Rang Mujhko Dikhane Lagi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #968 on: March 26, 2007, 05:51:05 PM »

Main Wohi Hoon Jisse Tum Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Baar Mera Naam Liya Karte The,

Kya Baat Hai Kyon Mujhse Khafa Baithe Ho,
Kya Kisi Aur Ko Dil Apna De Baithe Ho,

Faasle To Pehle Na Hua Karte The Anmol,
Main Woh Hoon Jispe Tum Aitbaar Kiya Karte The,

Mujhko Malum Hai Gam Hai Koi Saugaat Nahi,
Tum Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi,

Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi,
Zakhm To Pehle Bhi Is Dilpe Laga Karte The,

Main Wohi Hoon Jise Tum Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Bar Mera Naam Liya Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #969 on: March 26, 2007, 05:55:36 PM »

Ab Unki Yaad Bhi Nahi Wajah Sukoon-E-Dil,
Layi Kahan Ye Halat Shaam-O-Seher Mujhe,

Aye Dost Tere Dam Se Khizaan Bhi Bahar Thi,
Ab Mausam Bahar Hai Baad Nazar Mujhe,

Apne Par Kar Raha Hoon Gumaan Teri Zaat Ka,
Le Aayi Bekhudi Ye Kahan Khich Kar Mujhe,

Aye SANAM Kuch Dino Se Ajab Hai Ye Maajra,
Har Shay Mein Koi Aata Hai Aksar Nazar Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #970 on: March 26, 2007, 05:58:44 PM »

Tujhko Bhool Jaane Ko Roz Ki Koshish Karta Hoon,
Tujhko Bhool Jaunga Phir Is Baat Se Darta Hoon,

Tera Dur Jana Bhi Main Bardasht Kar Nahi Sakta,
Ke Bina Tere Ek Pal Main Hazar Baar Marta Hoon,

Gam Judayi Ka Mujhko Sehna Hi Pada Lekin,
Jab Bhi Saans Leta Hoon Tujhi Ko Yaad Karta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #971 on: March 26, 2007, 06:04:22 PM »

Bachpan Ke Dukh Bhi Kitne Achhe The,
Jab Sirf Khilone Toota Karte The,

Apne Jalne Ka Ehsaas Na Hota Tha,
Jalte Sholon Ko Jab Chheda Karte The,

Paanv Marke Khud Baarish Ke Paani Mein,
Apni Naanv Aap Bhigoya Karte The,

Ab Sochein To Chot Si Padti Hai Dil Par,
Titli Ke Par Noch Ke Uchhla Karte The,

Khushboo Ke Udte Hi Kyon Murjhaya Phool,
Hum Is Baat Pe Aksar Socha Karte The,

Ab To Ek Aansu Bhi Ruswa Kar Jaata Hai,
Bachpan Mein Jee Bhar Ke Roya Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #972 on: March 26, 2007, 06:06:02 PM »

Kyon Yaad Tum Itna Aate Ho,
Kyon Humko Tum Tadpate Ho,
Gum Sum Gum Sum Hai Aaj Seher Se Hum,
Kyon Itna Hamein Satate Ho,
Tumhe Khayalon Se Gar Nikal Bhi Dein,
To Khwabon Mein Aa Jaate Ho,
Hum Lab Se Nahi Karte Izhaar-E-Mohabbat,
Tum Aakhein Nahi Padh Paate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #973 on: March 26, 2007, 06:07:34 PM »

Na Tujhe Chhod Sakte Hai,
Tere Ho Bhi Nahi Sakte,
Ye Kaisi Be-Basi Hai,
Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte,

Ye Kaisa Dard Hai,
Pal Pal Hamein Tadpaye Rakhta Hai,
Tumhare Yaad Aate Hi,
To Phir So Bhi Nahi Sakte,

Chhupa Sakte Hai Aur Na Hum,
Dikha Sakte Hai Logonko,
Kuch Aise Daag Hai Dil Par,
Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte,

Kaha Tha Chhod Denge Ye Nagar,
Phri Ruk Gaye Lekin,
Tumhe Paa To Nahi Sakte,
Magar Kho Bhi Nahi Sakte,

Hamara Ek Hona Bhi
Mumkin Nahi Raha Ab To,
Jeeyein Kaise Ke Tumse Door Ab Ho Bhi Nahi Sakte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #974 on: March 26, 2007, 06:08:41 PM »

Yaad Aate Ho Tum Jab Koi Humse Baat Nahi Karta,
Yaad Aate Ho Tum Jab Koi Hamein Nahi Samajhta,
Yaad Aate Ho Tum Jab Koi Hamara Saath Nahi Deta,
Aur Hamesha Yaad Aaoge Tum Kyonki Dil Ko Dilse Koi Juda Nahi Kar Sakta...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 61 62 63 64 [65] 66 67 68 69 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 10:54:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer