Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 62 63 64 65 [66] 67 68 69 70 ... 273
Print
Author  (Read 131232 times)
angel4u
Guest
«Reply #975 on: March 26, 2007, 07:39:57 PM »

Uski Hansi Ne To Aanj Mujhe Rula Diya,
Lehje Se Uth Raha Tha Har Ek Dard Ka Dhuwan,
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,
Awaz Mein Thehrao Tha Aankhon Mein Nami Thi,
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya,
Jaane Kya Usko Logonse Thi Shikayatein,
Tanhaiyon Ke Des Mein Khudko Basa Diya,
Khud Bhi Wo Humse Bichhad Kar Adhura Sa Ho Gaya,
Mujhko Bhi Itne Logon Mein Tanha Bana Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #976 on: March 26, 2007, 07:53:11 PM »

Is Nagri Ko Jaaye Kaun,
Rootha Yaar Manaye Kaun,
Usse Kehna Tere Bin
Phoolon Ko Mehkaye Kaun,
Dukh Ko Payal Dali Hai,
Dard Se Behtar Gaaye Kaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #977 on: March 26, 2007, 07:55:23 PM »

Mehfil Mein Teri Sitaron Ki Roshni Bahut Hai,
Isliye Alwida Teri Mehfil Ko Hum Kar Chale,

Jaane Dilke Kisi Kone Mein Andhera Bahut Hai,
Dilko Roshan Khuda Ki Ibadat Se Karne Hum Chale,

Khuda Ko Paane Ki Chaah Is Dil Mein Bahut Hai,
Do Hathon Se Dua Maangne Hum Chale,

Teri Aankhon Mein Base Motiyonki Chamak Bahut Hai,
Khuda Se Apne Motiyon Ka Hisaab Mangne Hum Chale,

Patthar Na Kehna Jis Dil Mein Armaan Bahut Hai,
Pattharon Se Ek Jharne Ka Rukh Modne Hum Chale,

Phool Na Kehna Jis Phool Mein Kaante Bahut Hai,
Phoolon Ko Kaanto Se Sajane Hum Chale,

Chaand Ke Noor Mein Chandni Bahut Hai,
Hum Ek Taare Mein Apni Yaad Basa Kar Chale,

Karvaan Zindagi Ka Yun Hi Badhta Jayega,
Hum Aasman Tere Haathon Mein Saunp Kar Chale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #978 on: March 26, 2007, 08:00:38 PM »

Bhari Mehfil Mein Tanha Rehna Achha Lagta Hai,
Tere Baare Mein Sochte Rehne Achha Lagta Hai,

Kabhi Phoolon Mein Kabhi Kaliyon Mein,
Tujhko Hi Dhundte Rehne Achha Lagta Hai,

Meri Zindagi Ki Khushiya Tumhi Se Hai Wabasta,
Rab Se Sirf Tumhe Hi Mangna Achha Lagta Hai,

Hamare Darmiyaan Fail Rahi Hai Sadiyon Ki Khamoshiyan,
Kuch Is Tarah Guftugu Karna Achha Lagta Hai,

Tumhi Ko Chaha, Tumhi Ko Chahte Hai,
Tumhi Ko Chahte Rehna Achha Lagta Hai,

Main Chheen Lunga Tumhe Duniya Ki Rasmon Se,
Ke Mujhe Zamane Se Bagawat Karna Achha Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #979 on: March 26, 2007, 08:03:07 PM »

Sehraon Se Samandaron Tak,
Hawaon Se Badalon Tak,
Zindagi Se Maut Tak,
Matam Se Jashn Tak,
Gardish Se Sakoon Tak,
Chand Se Chandni Tak,
Deewane Se Deewangi Tak,
Chain Se Bechaini Tak,
Aaram Se Be-Aarami Tak,
Tanhayi Se Mehfil Tak,
MERE KHAYALON MEIN BAS TUM HI TUM HO...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #980 on: March 26, 2007, 08:14:22 PM »

Socha Nahi Achha Bura,
Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,
Manga Khuda Se Har WaQt
Tere Siwa Kuch Bhi Nahi,

Dekha Tujhe Chaha Tujhe,
Socha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Wafa Meri Khata,
Teri Khata Kuch Bhi Nahi,

Jis Par Hamari Aankhne,
Moti Bichhaye Raat Bhar,
Bheja Wahin Kagaz Use,
Humne Likha Kuch Bhi Nahi,

Aur Ek Shaam Ki Dehleez Par,
Baithe Rahe Wo Der Tak,
Aankhon Se Ki Baatein Bahut,
Muh Se Kaha Kuch Bhi Nahi,

Do Chaar Din Ki Baat Hai,
Dil Khaak Mein Mil Jayega,
Aag Par Jab Kaagaz Rakha,
Baki Bacha Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #981 on: March 26, 2007, 08:15:45 PM »

Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Bhi Wo Taza Ba-Taza Ka Hi Qail Hai,
Poori Chahaton Ko Bhool Jana Uski Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Achha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisika Naam Likh Likh Kar Mitana Uski Aadat Hai,

Lagta Rehta Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakdiyan Geeli Jalana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisise Yun Jatana Uski Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Udana Uski Aadat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #982 on: March 26, 2007, 08:17:06 PM »

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Par Bhi Aazmaungi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supurd Karke Use Chandni Ke Haathon,
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Laut Aaungi,

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Payega,
Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke RafaQat Ke Saare Lutf Gaye,
Main Kisse Roothungi Kise Manaungi,

Wo Ek Rishta-E-Benaam Bhi Nahi Lekin,
Main Ab Bhi Uske Isharon Pe Sar Jhukaungi,

Bichha Diya Tha Gulabon Ke Sath Apna Wajood,
Wo So Ke Uthe To Khwabon Ki Raakh Uthaungi,

Ab Uska Fan To Kisi Aur Se Mansoob Hogaya,
Main Kiski Nazm Akele Mein Gungunaungi,

Jawaz Dhund Rahi Thi Nahi Mohabbat Ka,
Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhul Jaungi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #983 on: March 26, 2007, 08:19:32 PM »

Tumhari Zindagi Mein Main Kahan Par Hoon,
Hawa-E-Sabah Mein
Ya Shaam Ke Pehle Sitare Mein,
Jhijhakti Bunda Bandi Mein,
Ke Behad Tez Baarish Mein,
Ro Pehli Chandni Mein
Ya Ke Phir Tapti Dopaheron Mein,
Bahut Gehre Khayalon Mein,
Ke Behad Sirsari Dhun Mein...
Tumhari Zindagi Mein Main Kahan Par Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #984 on: March 26, 2007, 08:20:25 PM »

Sab Se Chhupa Ke Gum Jo Wo Muskura Diya,
Uski Hansi Ne To Aaj Mujhko Rula Diya,

Lehje Se Uth Rahi Thi Har Ke Dard Ki Daastan,
Chehra Bata Raha Tha Ke Sab Kuch Ganwa Diya,

Awaz Mein Thehrav Tha, Aankhon Mein Nami Thi,
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya,

Jaane Kya Usko Logonse Thi Shikayatein,
Tanhaiyon Ke Des Mein Khudko Basa Diya,

Khud Bhi Wo Humse Bichhad Ke Adhoora Sa Ho Gaya,
Mujhko Bhi Itne Logon Mein Tanha Bana Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #985 on: March 26, 2007, 08:21:49 PM »

Tu Paas Bhi Ho To Dil Bekarar Apna Hai,
Ke Humko Tera Nahi Intezaar Apna Hai,

Mile Koi Bhi Tera Zikr Chhed Dete Hai,
Ke Jaise Sara Jahan Raazdaar Apna Hai,

Wo Door Ho To Baja Tark-E-Dosti Ka Khayal,
Wo Samne Ho To Kab Ikhtiyaar Apna Hai,

Zamane Bhar Ke Dhukhon Ko Laga Liya Dilse,
Aasre Pe Ke Ek Gam Gusaar Apna Hai,

FARAZ Rahat-E-Jaan Bhi Wahi Hai Kya Kijiye,
Wo Jiske Haath Se Seena Figaar Apna Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #986 on: March 26, 2007, 08:22:59 PM »

Jalata Nahi Aur Jal Raha Hoon,
Kis Aag Mein Main Pighal Raha Hoon,

Mefluj Hai Haath Paanv Mere,
Phri Zehen Mein Kyon Chal Raha Hoon,

Raai Ka Bana Ke Ek Parbat,
Ab Ispe Khud Hi Phisal Raha Hoon,

Kis Haath Se Haath Main Milaun,
Ab Apne Hi Haath Mal Raha Hoon,

Kya Aayna Baar Baar Dekhun,
Main Aaj Nahi Jo Kal Raha Hoon,

Ab Kaunsa Dar Raha Hai BaaQi,
Us Dar Se Kyon Main Nikal Raha Hoon,

Kadmon Ke Tale To Kuch Nahi Hai,
Kis Chiz Ko Main Kuchal Raha Hoon,

Ab Koi Nahi Raha Sahara,
Main Aaj Phir Se Sambhal Raha Hoon,

Ye Barf Hatao Mere Sar Se,
Main Aaj Kuch Aur Jal Raha Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #987 on: March 26, 2007, 08:26:18 PM »

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo,
Khwaab Dekha Hai To Ab Khwaab Ko Ruswa Na Karo,

Bojh Suraj Ka Padega To Lachak Jayegi,
Raat Ki Surmayi Shaahon Pe Bharosa Na Karo,

Khwaab, Ummid, Nasha, Saans, Tabassum, Aansu,
Tootne Wali Kisi Shay Par Bharosa Na Karo,

Humne Aankhon Ko Jalaya Tha Ke Kuch Dhundh Chhate,
Tum Nayi Nasl Ke Sooraj Ho Tum Aisa Na Karo,

AshQ Peene Ka Hunar Seekh Lo Humse Aakar,
Jazba-E-Dil Ko Nigaahon Se Havedaa Na Karo,

Mausami Barf Hai Kuch Der Mein Pighal Jayenge,
In Badalte Hue Rishton Par Bharosa Na Karo,

Ye Fazaa Raas Na Aayegi Tumhe Aye SANAM,
Yaad Guzre Hue Lamhaat Ki Taaza Na Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #988 on: March 26, 2007, 08:27:12 PM »
Jahan Mein Jaaun Hawa Ka Yehi Ishara Hai,
Koi Nahi Jo Yahan Muntazir Tumhara Hai,

Meri Bujhti Hui Aankhon Ko Roshni Bakshe,
Wo Phool Jo Tere Chehre Ka Ista'aara Ho,

Chala Hoon Apni Hi Baaz Awaz-E-Baazgasht Pe Yun,
Kisine Door Se Jasie Mujhe Pukara Ho,

Ganwa Chuke Kayi Umrein Ummidwaar Tere,
Kahan Tak Aur Teri Berukhi Ganwara Ho,

Tu Paas Aate Hue Mujhse Door Ho Jaye,
Ajab Nahi Ke Yehi Haadsa Dobara Ho,

Nazar Farebi-E-Rang-Chaman Se Bach MEKHMOOR,
Jise Tu Phool Samajh Ke Kahin Sharara Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #989 on: March 26, 2007, 08:29:25 PM »

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti,

Kuch Log Yun Hi Shaher Mein Humse Bhi Khafa Hai,
Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti,

Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shayad,
Wo Kaun Hai Jisse Teri Surat Nahi Milti,

Hanste Hue Chehronse Hai Bazaar Ki Zeenat,
Rone Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 62 63 64 65 [66] 67 68 69 70 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 11:28:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer